aqeel mohsin naqvi - poetry

2
Zulm kay rukh pe khauf taari hai.. Kat gaya sar, bayaan jaari hai.. Sabr aur Zulm ka taqaabul kya?? Ik Shehenshah(a), Ik Bhikaari Hai.. Laash-e-Baiyat utha k ley jao, Yeh hamari nahin, tumhari hai.. Dafn karna isay yazeed k sath.. Karbala ki zameeN hamari hai.. Khul k karna yazeed pe laanat.. Har husaini ki zimmadaari hai.. Main(a) Zindagi ka Noor Hon, Tuu Zindagi pe Daagh.. Main(a) fikr-e-ambiya ka ameeN hon, tuu Bad’dimaagh.. Main reh-guzar hon deen ki, tuu kufr ka suraagh.. Suraj k samnay kabhi jalta nahi charaagh.. Farzand-e-Bu’turaab hon, Zehra ka Laal Hon.. Tujh sey tu beshumaar hain, Main be’misaal Hon.. Tuu regzaar-e-dasht-e-umayya ki dhool hai.. Main woh hon jiska naqsh-e-qadam bhi usool hai.. Tuu aur kuch nahin hai, anaasir ki bhool hai.. Main woh hon, Jis pe NazaaN Khuda Ka Rasool(saww) Hai.. Main Ghaaza-e-Waqaar-e-Rukh-e-Kirdagaar Hon.. Kese JhukooN ga, Dosh-e-Nabi(saww) ka Sawaar Hon.. Tu shar’Pasand Shorish-e-Shaitaan ki Tarah.. Mera Wujood Soorah-e-Rehmaan ki Tarah..

Upload: guriya1214

Post on 04-Jul-2015

249 views

Category:

Documents


15 download

TRANSCRIPT

Page 1: Aqeel Mohsin Naqvi - Poetry

Zulm kay rukh pe khauf taari hai..

Kat gaya sar, bayaan jaari hai..

Sabr aur Zulm ka taqaabul kya??

Ik Shehenshah(a), Ik Bhikaari Hai..

Laash-e-Baiyat utha k ley jao,

Yeh hamari nahin, tumhari hai..

Dafn karna isay yazeed k sath..

Karbala ki zameeN hamari hai..

Khul k karna yazeed pe laanat..

Har husaini ki zimmadaari hai..

Main(a) Zindagi ka Noor Hon, Tuu Zindagi pe Daagh..

Main(a) fikr-e-ambiya ka ameeN hon, tuu Bad’dimaagh..

Main reh-guzar hon deen ki, tuu kufr ka suraagh..

Suraj k samnay kabhi jalta nahi charaagh..

Farzand-e-Bu’turaab hon, Zehra ka Laal Hon..

Tujh sey tu beshumaar hain, Main be’misaal Hon..

Tuu regzaar-e-dasht-e-umayya ki dhool hai..

Main woh hon jiska naqsh-e-qadam bhi usool hai..

Tuu aur kuch nahin hai, anaasir ki bhool hai..

Main woh hon, Jis pe NazaaN Khuda Ka Rasool(saww) Hai..

Main Ghaaza-e-Waqaar-e-Rukh-e-Kirdagaar Hon..

Kese JhukooN ga, Dosh-e-Nabi(saww) ka Sawaar Hon..

Tu shar’Pasand Shorish-e-Shaitaan ki Tarah..

Mera Wujood Soorah-e-Rehmaan ki Tarah..

Paida huwa Hai, Tuu Faqat Insaan ki Tarah..

Page 2: Aqeel Mohsin Naqvi - Poetry

Utra hon Main Zameen per Quran ki Tarah..

Tuu Rijs Hai Jo Mujh say Azal Hi Se Door Hai..

Who Noor Hon Main Jis Pe Khuda Ko Ghuroor Hai..

Yazeed naqsha-e-jor-o-jafa banata hai

Husain(a) us mein khat-e-karbala banata hai

Yazeed mosam-e-issyaaN ka la-elaaj maraz..

Husain(a) khaak say khaak-e-shifa banata hai..

Yazeed taiz hawaoN say jor tor mein gum..

Husain(a) sar pe bahen kay rida banata hai..

Yazeed likha hai tareekiyon ko khat din bhar..

Husain(a) sham say pehle diya banata hai..

Yazeed aj bhi bantay hain log koshish say..

Husain khud nahi banta, khuda banata hai..