gohar e hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi...

107

Upload: hoanghuong

Post on 13-Aug-2019

214 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 2: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

7

Gohar e Hikmat (15th Edi�on)

Seerat-e-Imam Jaffer Sadiq (AS) (Hissa-e-Doyam)

Nashir: Green Island Publica�ons - GIP

Page 3: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

Bismillah-ir-rahman-ir-raheem

Naam e Kitab: Seerat-e-Imam Jaffar Sadiq (AS)

Iq�baas az: Muntah-ul-Aamaal - Siqat ul Muhaddiseen Sheikh Abbas Qummi (RA)

Tarteeb: Hujjat-ul-Islam Maulana Syed Hashim Abbas Zaidi

Taseeh: Hujjat-ul-Islam Maulana Ghulam Raza Roohani Hujjat-ul-Islam Maulana Mustafa Ali Vakil Hujjat-ul-Islam Maulana Mujtaba Hassan Jivani

Designer: Ali Raza Bhanji

Publica�on Date: Jamadil Awal 1440

Peshkash: Green Island Youth Forum (GIYF)

Nashir: Green Island Publica�ons

Page 4: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 5: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

INDEX

PESH LAFZ ......................................................................................... 6 CHOTHI FASAL: IMAM JAFAR SADIQ (AS) KE CHAND MAUJIZAT KA ZIKAR . 8

PEHLA MAUJIZA: HAMAREY AAMAAL HAMAREY IMAM SE PAUSHIDA NAHI. 8 DUSRA MAUJIZA: HAZRAT (AS) KA ABU BASEER KO IMAM KI ALAMAAT ATAA FARMANA: 9 TEESRA MAUJIZA: SHOHAR SE BAD IKHLAQI UMR KE KAM HONE KA SABAB: 10 CHOTHA MAUJIZA: HAZRAT (AS) KI WAJAH SE AAG KA HAROON MAKKI KO NA JALANA: 11 PANCHWA MAUJIZA: AAP (AS) KA MOHAMMADE HANAFIA KO IZNE KHUDA SE

SYED HAMYARI KE LIE ZINDA KERNA: 13 CHATA MAUJIZA: IK SHAKHS KE ZAMEER AUR DIL KI BAAT BTANA: 16 SATWA MAUJIZA: IMAM JAFAR SADIQ (AS) KA NEHR-E-BILKH KI RAAT KI KHABAR DENA: 18

PANCHWI FASL: BAAZ ZULM O SITAM JO MANSOOR DAWANIQI SE HAZRAT IMAM JAFAR SADIQ (AS) KO POHANCHEY. .......................... 20 CHATHI FASAL: IMAM JAFAR SADIQ (AS) KI SHAHADAT. ................... 38 SATHWI FASAL: IMAM JAFAR SADIQ (AS) KI AULAD KA TAZKIRA. ...... 48

1. ISMAEL BIN JAFAR (AS) 48 2. ABDULLAH BIN JAFAR (AS) 51 3. IS’HAAQ BIN JAFAR (AS) 53 4. MOHAMMAD BIN JAFAR (AS) 55 5. ABBAS BIN JAFAR (AS) 58 6. ALI BIN JAFAR (AS) 58 7. ALI AREEZI 63

AANTHWI FASAL: HAZRAT SADIQ (AS) KE CHAND BUZURG AS’HAAB KA TAZKIRA 63

1. ABAN BIN TAGLUB: 63 2. ISHAAQ BIN AMMAR SERAFI KOOFI 66 3. BURAIR BIN MUAWIYAH A’JALI 67 4. ABU HAMZA SUMALI 69 5. HAMRAN BIN AA’YUN SHAIBANI 73

Page 6: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

6. ZURARA BIN AA’YUN SHIBAANI 75 7. SAFWAN BIN MEHRAN JAMMAL ASADI KOOFI 79 8. ABDULLAH BIN ABI YAFOOR 81

KHATIMA ........................................................................................ 83

Page 7: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[6]

Pesh lafz Assalamo alaikum wa rahmatuLLAHi wa barakatuh,

Kutub beeni aur mutala’ ka shouq qomo ki taraqqi main in�hai eham kirdaar ada karta hay. Aqwaame aalam main jis andaaz say ye shouq apni jaga bana chuka hay, us ae�baar say hamari qoum ko abhi bohat mehnat karna hay. Alba�a ye baat arz karna bhi nihayat zaroori hay kay us silsilay main mukhtalif idaaro nay kaam shuroo kardiya hay. “Gohar e hikmat” kay naam say targhib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho� si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey.

Green Island Youth Forum ki khwahish hay kay bachoo aur nojawano main shouqe mutalia’ ko farogh denay kay liye apni sa’e o koshish ki jaey. Us silsilay ko agay barhatay howay is baar kitabchay kay liye mawad ma’roof kitab ‘’safinatul bihaar” kay musannif, Siqatul Mohaddiseen Sheikh Abbas Qummi ki kitab “Muntah-ul-Aamaal” say iq�baas liya gaya hay. Is kitaab main Sheikh Abbas Qummi nay Chahardah-e- Masoomeen (AS) ki seerat ko mukhtalif unwanaat kay tehat umdagi say tasneef kiya hay aur sath hi rehlate Rasool (SAWW) kay baad kay khulafa aur us dour ki mukhtlif mash-hoor shakhsiyat kay halaat ko bhi bayan kiya hay. Pakistan main pehli bar is kitab ka Tarjuma Imamia Publicasionz Pakistan nay “Ahsan ul Maqaal kay nam say chapa. Is ishaat kay liay matan agarchay “Ahsal un Maqaal” say lia gaya laikin urdu daan tabqay kay liye zuban ki salasat kay paishe nazar asl matan say taqabul kartay howay kai maqamaat par urdu tarjumay main baaz islahaat bhi ki gai hain.

Page 8: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[7]

Mutala’ay main ghour talabi kay unsur ko baaqi rakhnay kay liye mukhtasir kitabchey ki soorat main kuch sawalat bhi diye gaey hain takay dorane mutalia’ in sawalaat kay jawabaat ko hasil karnay kay liye tawajjuh bhi baqi rahay.

Kamsin nojawano kay shouq ko dekhtay howay kam az kam 12 saal ki umr tak kay larko aur larkio ko is program main shamooliat ka ehal qarar diya gaya hay aur sath hi sath ziada say ziada umr ki had hata kar har umr kay mard o khawateen ko is program main shirkat ki dawat di gai hay.

Baradaraane arjumand Qibla Maulana Syed Hashim Abbas Zaidi, Maulana Qamar Ali Lilani, Maulana Mustafa Ali Vakil aur Maulana Mujtaba Hasan Jivani sahibaan ka nihayat hi shukar guzaar hon kay jinhoo nay na sirf is project ko mukammal tor par sambhala balkay nihayat hi khoobsoor� aur nafasat kay sath is mushkil kaam ko payae takmeel tak pohunchaya.

Khudawande muta’aal say dua go hon kay wo inki taufeeqaat main izaafa farmaey aur ham sab ko naasiraane Imam (AJTF) main shamil farmaey.

Wasslaam

Maulana Ghulam Raza Roohani

Page 9: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[8]

Chothi Fasal: Imam Jafar Sadiq (AS) Ke Chand Maujizat Ka Zikar

Pehla Maujiza: Hamarey Aamaal Hamarey Imam se Paushida Nahi.

Sheikh Toosi ne Dawood bin Kaseer Raqqi se riwayat ki hay ke wo kehty hain main Hazrat Sadiq (AS) ki khidmat main betha tha ke achanak Ap (AS) ne kalam main pehal kartey howe farmaya:

عملك صلتك ، فـرأيت فيما عرض علي من اخلميس داود، لقد عرضت علي أعمالكم يـوم طع أجله.إين علمت صلتك له أسرع لفناء عمره و ق البن عمك فالن فسرين ذلك،

Aey Dawood! Batehqeeq jumerat ke din tum logo ke aamaal mere samney pesh howe pas main ne tere aamaal main tera apney falan chachazaad bhai ke sath silah rehmi aur ehsan kar na dekha. Tere is amal ne mujhey khush krdia aur main janta hun ke tera silah rehmi karna tere chachazaad bhai ki jald maut ka sabab banega.

Dawood kehty hain ke mera chachazaad bhai muanid aur dushman-e-ahlaybait aur khabees shakhs tha, mujhey ye maloom hua ke wo aur us ke ahl-o-ayaal buri halat main hain pas main ne makka ki taraf rawana ho ne se pehly us ke nafaqa aur ikhrajat ke lie ik

Page 10: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[9]

dastawez likhi aur jab main madina pohancha to Imam Jafar Sadiq (AS) ne mujhey is waqia ki khabar di.

Dusra Maujiza: Hazrat (AS) ka Abu Baseer ko Imam ki Alamaat ataa farmana:

Kashaf-ul-gaamah main Dalail e hamyari se manqool hay ke Abu Basir kehty hain ke main ik din apney Maula Imam Jafar Sadiq (AS) ki khidmat main betha hua tha, to Hazrat (AS) ne farmaya: Aey Abu Mohammad! Aya Ap apney Imam ko pehchantey ho? Main ne Arz ki: Jee han! qasam hay uski jis ke ilawa koi mabood nahi Aap (AS) hi mere Imam hain aur ye keh ker main ne apna hath Imam ke zanu per rakha. Imam (AS) ne farmaya: Tum ne sach kaha tum apney Imam ko pehchantey ho pas apney daman ko thamey raho aur is se mutamassik raho. Main ne arz ki: Main chahta hun ke Aap (AS) mujhey Imamat ki alamat ataa farmaye. Ap (AS) ne farmaya ke marifat ke baad alamat kis lie chahtey ho? Main ne Arz ki: Taa ke mere eiman aur yaqeen main izaafa ho. Farmaya: Aey Abu Mohammad! Jab tum Kufa main wapis jaogey to tum dekho ge ke tumhara ik beta Eesa nami paida ho chuka hay is ke baad tumhara ik aur beta Mohammad nami paida hoga aur in do beto ke baad tumhaari do be�yan paida hogi. Phir farmaya:

Page 11: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[10]

ئ يف الصحيفة اجلامعة مع أمساء شيعتنا و أمساء آ ن عند هم و و اعلم أن ابـنيك مكتوم و أجدادهم و ي صفراء أنسام و ما يلدون إىل يـوم القيامة و أخرجها فإذا ه أمها

مدرجة.

Aur jaan lo ke tumharey beto ke naam hamarey pass Sahifa-e-Jamiaa main hamarey shion ke namo aur in ke maa baap o ajdaad o ansab ke namo aur jo qayamat tak paida ho ga, ke namo ke sath likhey hain aur Asp (AS) ne ik sahifa nikala ke jis ka rang zard tha aur wo lipta hua tha.

Teesra Maujiza: Shohar se bad ikhlaqi umr ke kam hone ka sabab:

Ibne Shehr Ashob aur Qutub Rawandi ne Hussain bin Abil alaa se riwayat ki hay ke wo kehtey hain ke main Hazrat Imam Jafar Sadiq (AS) ke huzoor betha hua tha ke ik shakhs Ap (AS) ke ghulamo ke sath Aap (AS) ki khidmat main hazir hua aur us ne apni biwi ki bad ikhlaqi ki shikayat ki. Imam (AS) ne farmaya: Us aurat ko mere pass le aao. Jab wo aurat aye to Hazrat (AS) ne is se farmaya ke tere shohar ko kia hua hay ke wo teri shikayat ker raha hay? Us aurat ne apney shohar ko nafreen aur bura bhala kehna shuru kerdia. Ap (AS) ne farmaya:

م.أما إنك إن ثـبت على هذ ا مل تعيشي إال ثالثة أ

Page 12: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[11]

Agar tu isi halat main baqi rahi to teen din se ziada zinda nahi rahegi. Wo keh ne lagi mujhey is ki parwah nahi kiun ke main nahi chah� ke kabhi bhi usey dekhun. Hazrat (AS) ne is shakhs se farmaya:

م بيدها فـليست تبيت يف بـيتك أكثر من خذ .ثالثة أ

Apni biwi ko leja ye teen din se ziada tere ghar main nahi so paegi.

Jab teesra din hua to wo shakhs Hazrat (AS) ki khidmat main hazir hua to Ap (AS) ne farmaya: Teri biwi ka kia hua? Wo kehne laga Khuda ki qasam abhi usey dafna ker ke arha hun.

Ravi kehta hay main ne Imam (AS) se arz ki main ap per qurban jaun us aurat ki kia halat thi? Farmaya:

له عمرها و أراحه منها. كانت متعدية عليه فـبرت ا

Wo aurat (apney shohar ke sath) had se ziada ziad� kar� thi. Khudawande Aalam ne us ki umr mukhtasir kardi aur is ke shohar ko is se rahat o aram dia.

Chotha Maujiza: Hazrat (AS) ki wajah se aag ka Haroon Makki ko na jalana:

Mamoon riqqi se riwayat hay ke wo kehta hay ke main Hazrat Imam Jafar Sadiq (AS) ki khidmat main hazir tha ke Sahel bin Hassan Khurasani Imam (AS) ki khidmat

Page 13: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[12]

main hazir hua aur Hazrat (AS) ko salam ker ke beth gaya aur arz ki: Aey Farzande Rasool (SAWW)! Allah ki meharbani aur rehmat Aap (AS) hi ke lie hay aur Ap (AS) Imamat ke Ahlaybait main se hain phir bhala kia cheez mane’ aur rukawat hay ke Aap (AS) apna haq chor ker beth gaye hain? Halankey Ap (AS) ke pass ik lakh shia mojud hain jo Aap (AS) ke lie talwar chalaen ge. Aap (AS) ne farmaya: Aey mard Khurasani! Beth ja, Khuda tere Haq ki hifazat karey. Phir Imam (AS) ne apni kaneez se farmaya: Aey Haneefa! Tanoor roshan karo. Pas is kaneez ne tanoor garam kia jo aag ki tarah surkh hogya aur us ke uper wala hissa safaid hogya. Is waqt Aap (AS) ne us Khurasani shakhs se farmaya: Uth kharey ho aey khurasani aur tanoor main ja ker beth ja. Marde Khurasani kahne laga: Aey Mere Aaqa! Aey Farzand-e Rasool (SAWW) Mujhey aag ka azab na den aur mujh se darguzar kejiye Khuda Aap (AS) se darguzar karey. Farmaya: Tujhey maaf kia. Usi waqt Haroon Makki Dakhil howe. Unho ne apni joo�yan angushte shahadat se pakri hui thi. Dakhil hotey hi Haroon Makki ne kaha:

ابن رسول ا السالم عليك

Hazrat (AS) ne (Jawab-e-salam ke baad) farmaya: joo�yan hath se phenk ker us tanoor main ja betho. Ravi kehta hay ke Haroon ne joo�yan phenki aur tanoor main ja bethey phir Imam (AS) ne us Marde khurasan ki taraf rukh kia aur us se Khurasan ki baa�en is tarah karne

Page 14: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[13]

lagey jese wo Khurasan ko ankhon se dekh kar aye ho. Phir farmaya: Utho Aey Khurasani aur tanoor ke andar dekho. Wo kehta hay main khara hua aur tanoor main dekha ke Haroon dozanu ho ker betha hua hay. Us waqt wo tanoor se nikla aur aakir hum ko salam kia. Hazrat (AS) ne Khurasani se farmaya:

كم جتد خبراسان مثل هذا

Khurasan main is jese kitne afrad hain? Wo keh ne laga Khuda ki qasam aik bhi is jesa nahi hay. Imam (AS) ne farmaya:

ال خنرج يف زمان ال أما إ د فيه مخسة معاضدين لنا حنن أعلم لوقتجن

Hum aese zamaney main khurooj nahi karengey ke jis main hum panch afrad bhi aese na paye jo hamarey madadgaar ho. Hum khurooj ke waqt ko (tum se ziada) behtar jantey hain.

Panchwa Maujiza: Aap (AS) ka Mohammade Hanafia ko izne Khuda se Syed Hamyari ke lie zinda kerna:

Madinatul Moajiz main Saqibul Munaqib se naqal kia hay ke Abu Hashim Ismail bin Mohammad Hamyari kehta hay ke main Hazrat Sadiq (AS) ki khidmat main hazir hua. Main ne arz ki Farzande Rasool (SAWW) main ne suna hay ke Aap (AS) mere main haq main farmatey

Page 15: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[14]

hain ke main kisi cheez per nahi (Yani mera ae�qaad sahi nahi)? halankey main nay apni zindagi Aap (AS) ki mohabbat main guzari hay aur Aap (AS) ki kha�r logo ki sarzanish ki hay. Imam (AS) ne farmaya: Tu ne Mohammad Hanafia (RA) ke haq main ye nahi kaha:

ق رز ت ي ح نت أ و ي ص الو ابن ى؟املد م ك ىت؟ و ىل م إ ىت؟ و ىت م ح !؟ق ول أ ة اب ب الص ن م يك ل بنا إ و !ىر تـ ال و ال ز تـ ى ال ضو ر ب ثوىت

Yani kab tak aur kitni muddat aey Wasie Rasool (SAWW) ke bete tu zinda rahega aur rizq khaega aur rizwa pahar main taweel muddat tak qayam karega aur hamesha wahan rahega aur tera deedar nahi hoga?!! Halankey Hum tere shoq o ishq main deewaney hogye hain.

Aaya tu is ka qa’il aur mautaqid nahi ke Mohammad bin Hanafia qayem hain rizwa pahar main zindagi basar ker rahey hain aur ik sher in ke dayen taraf aur dusra bayen taraf hay. Subh-o-sham inhen rozi mil� hay. Waay ho tujh per Rasoole Khuda (SAWW) aur Ali o Hassan o Hussain (AS) Mohammad Hanafia se behtar hain is ke bawajood un sab ne maut ka maza chakha hay.

Ismael Hamyari ne arz ki: Is ki koi daleel hay? Farmaya: Han Beshak Mere walid ne mujhey bataya ke unho ne Mohammad Hanafia ki namaz e janaza parhi hay aur un ko dafan ke waqt wo mojud the aur main tumhey us ki alamat o nishani dikhata hun. Pas Ap (AS) ne Ismael Hameeri ka hath pakra aur unhey ik qabr ke

Page 16: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[15]

pas le gaye aur us per apna hath mara aur dua parhi. Foran qabar shiga�a hui aur ik shakhs ke jis ke sir aur darhi ke baal safaid thay qabr se bahir nikla aur wo apney sir o sorat se khaak jhaar raha tha aur kehta tha ke aey Abu Hashim! Mujhey pehchantey ho? Syed Hamyari ne kaha nahi. Us ne kaha: Main Mohammad Hanafia hun Beshak Hussain (AS) ke baad Imam Ali bin Hussain (AS) aur un ke baad Mohammad bin Ali (AS) aur un ke baad ye (Imam Jafar Sadiq (AS) ki taraf ishara kartey howe) Imam hain. Phir unho ne apna sir qabr main dakhil ker lia aur qabr band ho gaye. Us waqt Ismail Hamyari ne ye shair kahey!

أكرب و ا سم ا يـعفو و يـغفر جتعفرت و أيـقنت أن ا

اين سيد الناس جعفر بدين غري ما كنت دائنا و دنت به و ودت بـرهة ر دين من يـتـنص و إال فديين فـقلت هب أين قد

ئب ذاك من الرمحن إىل فإين أكرب و إين قد أسلمت و ا

May Allah ke naam se jafri ho gaya hun aur Allah buzurg o bartar hay aur mujhey yaqeen hay ke Khuda maaf ker ne wala aur bakshne wala hay aur ab main ne apney pichley deen ko chor ker is deen ko apna lia hay aur mujhey logo ke sardar o aqa Imam Jafar Sadiq (AS) ne (pichley deen se) mana farmaya hay pas main ne kaha ke farz kijiay ke main ik zamaney tak yahoodi tha aur yahoodi nahi to mera deen nasara wala tha. Lekin ab

Page 17: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[16]

Khudae Rehman ki bargah main tauba karta hun aur Islam lata hun aur Khuda hi buzurg o bartar hay.

Chata Maujiza: Ik Shakhs ke zameer aur dil ki baat btana:

Sheikh Kulaini (RA) ne riwayat ki hay ke ik shakhs ne Imam Sadiq (AS) ki khidmat main arz ki: Aey Farzande Rasool (SAWW)! Main ne khuwab main dekha ke goya main shehr Kufa se nikal ker aisi jagah pohancha hun ke jisay main pehchanta hun. Wahan may nay dekha goya ik lakri ke admi ka saya ya lakri se bana hua mard hay jo aik lakri ke ghorey per sawar hay aur wo apni talwar ko chamka raha hay aur main usey dekh raha hun is halat main ke main khof zada aur maroob hun. Hazrat (AS) ne farmaya: Tu aisa shakhs hay ke ik admi ki maieeshat ko halak karna chahta hay yani tu chahta hay ke jo kuch asbabe zindagi aur matae hayat us ke pass hay wo us se le le. Pas dar’ Khuda se jis ne tujhey paida kia aur wohi tujhey maut de ga. Wo shakhs keh ne laga main gawahi deta hun ke Aap (AS) ko ilm ata hua hay aur Aap (AS) ne ilm ko us ke madin se lia hay. Khuwab ki jo tafseer Aap (AS) ne mere lie bayan farmaye main Aap (AS) ko is ki khabar deta hun. Beshak mera aik hamsaya mere pass aya aur mujhey peshkash ki ke main is ki zameen khareed lun. Pas main chahta hun ke thori si qeemat per is zameen ka malik ban jaun chunke mujhey maloom tha

Page 18: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[17]

ke mere ilawa is ka koi khareedar nahi hay. Aap (AS) ne farmaya:

؟ و يربأ من عدو و صاحبك يـتوال

Kiya wo shakhs hum se mohabbat karta hay aur hamarey dushmano se baizar hay? May ne arz ki: Jee han aey Farzande Rasool (SAWW)! Wo aesa shakhs hay ke jis ki baseerat umda aur deen mustahkam hay aur may tauba karta hun, bargahe ilahi main aur Aap (AS) ki khidmat main is cheez se ke jiska main ne qasd kia aur niyyat ki thi. Is ke baad is shakhs ne Imam (AS) se kaha:

صبا حل لو كان ابن رسول ا يل اغتياله فأخربين

Aey Farzande Rasool (SAWW)! Mujhey bataiay ke agar ye shakhs naasibi hota to kia mairay lie ye kaam haram tha?

Hazrat (AS) ne farmaya:

احلسني عليه السالم.إىل قاتل و أراد منك النصيحة و لو أد األمانة لمن ائـتمنك

Amanat Ada karo har us shakhs ki jo tumhay ameen samjhay aur tum se naseehat chahey agarchay Imam Hussain (AS) ka qa�l hi kiun na ho.

Page 19: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[18]

Satwa Maujiza: Imam Jafar Sadiq (AS) ka Nehr-e-Bilkh ki raat ki khabar dena:

Kitab Kharaij may Haroon bin Ra’aib se riwayat hay wo kehta hay ke mera ik bhai Jaroodi mazhab tha. Aik dafa main ne Imam Jafar Sadiq (AS) ki khidmat main hazir hua. Hazrat (AS) ne farmaya: Tera jaroodi bhai kesa hay? Main ne kaha wo naik wa saleh hay aur qazi aur hamsaya har aik ke nazdeek pasandeeda wa mehboob shakhs hay aur tamam halat main is main koi aeb nahi lekin wo Aap (AS) ki wilayat ka iqrar nahi karta. Imam (AS) ne farmaya: kiya cheez mane’y hay ke wo hamari wilayat ka iqrar nahi karta? Main ne kaha is ke guman main taqwa wa parhaizgari is ke mane’y hay. Aap (AS) ne farmaya: Is ka ye taqwa wa parhaizgari nehr e balkh ki raat kahan tha?! Ravi kehta hay ke main apney bhai ke pass gaya aur us se kaha teri maa tere matam wa taziyat main bethey, Main Imam Jafar Sadiq (AS) ki khidmat may sharafyab hua. Inho ne mujh se tere baarey main pucha. Main ne tere baarey main kaha ke tu hamsaya aur qazi aur tamam halat main sab ke nazdeek pasandeeda hay lekin in ki riwayat ka iqrar nahi karta. Imam (AS) ne mujh se is ka sabab darya� kia. Main kaha taqwa wa parhaizgari. To Imam (AS) ne kaha nehr e balkh ki raat is ka taqwa wa parhaizgari kaha tha?!

Mera bhai kehnay laga kia Imam Sadiq (AS) ne tujhey ye khabar di hay? Main ne kaha han wo keh ne laga:

Page 20: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[19]

أشهد أنه حجة رب العالمني.

May gawahi deta hun ke wo Rabul Aalameen ki Hujjat hain.

May ne kaha apna waqia mujh se bayan ker. Wo kehne laga ke mau ne nehr e balkh ke peechy se arha tha to mere sath aik aur shakhs mera humsafar hogaya jis ke sath ik haseen o jameel kaneez bhi thi pas wo shakhs mujh se kehne laga ke ya tum hamarey lie aag talash kerke le ao aur hum tumharey saman ki hifazat karte hain ya main aag talash kerne jata hun? May ne kaha tum aag talash kerne jao pas jab wo shakhs aag ki talash main chala gaya to main is kaneez ke pass gaya aur mere aur us ke darmian jo kuch hua Khuda ki qasam na us kaneez ne ye cheez faash ki aur na mainay kisi se bayan ki aur usey siwaye Khudawand Aalam ke koi nahi janta tha pas mere bhai ko khof e Khuda taari hua aur agley saal main usey layker Imam Jafar Sadiq (AS) ki khidmat main hazir hua aur sara qissa bayan kia pas hum Imam (AS) ke huzoor se rukhsat howe jab ke mera bhai Hazrat (AS) ki Imamat ka mautaqid ho chuka tha.

Page 21: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[20]

Panchwi Fasl: Baaz Zulm o Sitam Jo Mansoor Dawaniqi se Hazrat Imam Jafar Sadiq (AS) ko

pohanchey.

Mo’allif farmatey hain ke hum is fasal main un waqiaat per ik�fa karenge jo Allama Majlisi (RA) ne Jala’alul Oyoon main ziker kiye hain. Allama Majlisi (RA) farmatey hain ke mautabar riwayat main mazkoor hain hay ke Abul Abbas Saffah ne jo ke Bani Abbas ka pehla khalifa tha, Us ne Imam (AS) ko Madina se Iraq bulwaya lekin wo Imam (AS) ke bohat se maujizat, beshumar uloom aur Imam aali qadar ke makarimul ikhlaq wa atwar dekh ker Ap ko koi takleef wa aziyyat nahi de saka aur us ne Imam (AS) ko rukhsat daydi aur Hazrat (AS) Madina ki taraf wapis chaley gaye.

Jab Mansoor dawaniqi, Saffah ka bhai, khilafat tak pohancha aur Hazrat (AS) ke shion aur perokaro ki kasrat se aagah hua to dubara us ne Imam (AS) ko Iraq bulaya aur panch dafa ya us se ziada is mazloom Imam (AS) ke qatal ka irada kia aur har dafa azeem maujiza dekh ker us iradey se baaz raha jesa ke Ibne Babway, Ibne Shehr Ashob aur dusrey ulma-e-kram ne riwayat ki hay ke ik din Abu Jafar Mansoor ne Imam Sadiq (AS) ko bulwaya taa ke Aap (AS) ko qatal karey aur us ke kehne per talwar hazir ki gaye aur aik chamra bicha dia gaya. Apney nigehbaan Rabi se kaha ke jab Imam (AS) aye ge to main un se baton main mashgool hojaun ga aur jab main hath

Page 22: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[21]

per hath marun to unhen qatal ker dena. Rabi kehta hay ke jab main Hazrat (AS) ko le aya aur mansoor ki nazar Aap (AS) per pari to kehne laga marhaba khush aamdeed aey Aba Abdillah (AS)! Aap (AS) ko main ne is lie bulwaya hay ke Aap (AS) ka qarz ada karun aur Aap (AS) ki hajat ko pura karun aur bohat mazrat chahi aur Hazrat (AS) ko rawana ker dia aur mujh se kaha ke teen din ke baad Hazrat (AS) ko Madina rawana ker dena. Jab Rabi bahir aya aur Hazrat (AS) ki khidmat main hazir hua to kehne laga: Aey Farzande Rasool (SAWW)! Wo talwar aur chamra jo Aap (AS) ne dekha tha, Aap (AS) hi ke lie tha. Aap (AS) ne kon si dua parhi ke is ke shar se mehfooz rahey?! Imam (AS) ne farmaya: Ye dua parhi aur dua Aap (AS) ne usey taleem farmaye.

Aur dusri riwayat ke mutabiq Rabi wapis aaya aur Mansoor se kehne laga aey khalifa! Tere azeem gusse ko kis cheez ne khushi main badal dia?! Mansoor ne kaha:

لسنة اآلدميني إن و هو يـق الباب رأيت تنينا عظيما يـقرض أنـيابه ت ربيع لما حضر ول ألفصلن حلمك من عظمك فأفـزعين ذلك و فـعلت به ما ر أنت أشكت .أيتابن رسول ا

Aey Rabi! Jab main ghar ke darwazey per aaya to main ne bohat bara azdaha dekha jo mere qareeb aya aur wo apney dant piesta tha aur faseeh zaban se kehta tha ke agar thori si takleef bhi Imam (AS) ko pohanchaye to main tera gosht teri had’ion se juda ker dunga pas us ke

Page 23: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[22]

dar se mere rawayye main tabdeeli agaye aur phir main ne wo kia jo tu ne apni ankhon se dekha.

Neez riwayat hay ke aik din Mansoor apney Qasar-e-Hamra (Laal Mahal) main betha tha aur jis din wo us mahal main bethta to us din ko log Youme Zibh (zibah ka din) kehtey thay kiunke wo us mahal main sirf qatal kerne ki garz se bethta tha aur unhi dino is ne Imam Jafar Sadiq (AS) ko Madina se yahan bulwaya hua tha. Jab raat hui aur raat ka kuch hissa guzar gaya to us ne apney nigehbaan Rabi ko bulaya aur keh ne laga ke tum to jantey ho ke mairay nazdeek tumhara kia muqam wa martaba hay. Aur may ne tumhen apna mehrame raaz banaya hay aur bohat se aisy razon se tumhay ba-khabar kia hay jinhen main apney ahle khana se bhi poshida rakhta hun. Rabi kehne laga ye Allah aur janab Khalifa ka mujh per fazal hay aur main bhi aap ki hukoomat ki khair khuwai main kisi ko apney se buland martaba nahi pata. Mansoor ne kaha aesa hi hay. May chahta hun ke isi waqt jaun aur Jafar bin Mohammad (AS) ko jis halat may wo ho unhen usi halat may le ker aao aur khabardaar unko apni halat tabdeel na kerne dena wo jis haal main ho usi haal main mairay pas lay aao. Rabi kehta hay ke may bahir nikla aur kaha “Inna lillahi wa inna ilahi rajion” Allah ki qasam ye halakat hay kiunkay ager Imam (AS) ko Mansoor ke pass le aata hun to is shiddat wa gazab ki wajah se jo may dekh raha hun, Aap (AS) ko qatal ker daaley ga aur ager khalifa ke hokum se rugardani karin

Page 24: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[23]

to wo mujhey aur mairi nasal ko tabah kerdega aur mera maal wa dawlat cheen lega pas may dunya aur akhirat ke darmian phans ker reh gaya hun lekin mera nafs dunia ki taraf maa’il hua aur dunia ko akhirat per tarjeeh di. Mohammad, Rabi ka beta kehta hay ke jab mera baap ghar main aya to mujhey bulaya aur may us ke baito main sab se ziada tundkho aur sangdil tha pas kehne laga: Jafar bin Mohammad (AS) ke ghar jao aur deewar phalank ke ghar main dakhil hojana aur darwazay per daqqul baab na kerna aur jis halat main unhain dekho le aao. Mohammad kehta hay may raat ke akhri hisse main Hazrat (AS) ke ghar gia aur seerhi lagai aur khabar kiye bagair un ke ghar main dakhil ho gaya. May ne dekha ke Aap (AS) aik kurta pehney howe aur aik rumal bandhay namaz main mashgool hain. Jab namaz se farigh howe to main ne kaha chaliye khalifa Aap (AS) ko bula rahen hain. Farmaya itni mohlat do ke dua parh lun aur kaprey pehan lun. Main ne kaha ye nahi ho sakta. Farmaya itni mohlat day do ke ja ker gusul ker lun aur marne ki tayyari ker lun. Main ne kaha mujhey itni ijazat bhi nahi lehaza main nahi ker ne dunga. Pas us borhay aur kamzor shakhs ko ke jis ki umr sa�ar saal se ziada thi aik hi payrahan main nangey sir aur nangey paun ghar se bahir le aya. Jab kuch rasta tey kia to us borhey shakhs per kamzori ghalib agye. Mujhey rehem aya aur main ne inhen apney khachhar per sawar kara dia aur jab main khalifa ke mehel ke darwazey per pohancha to may ne suna ke wo mere walid se keh raha tha ke waay ho tujh

Page 25: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[24]

per aey Rabi! dair hogaye aur tu ab tak nahi aya pas Rabi bahir aya aur jab is ki nigah Imam (AS) per pari aur unhen is halat main dekha to rone laga kiun ke Rabi Imam (AS) ke shion main se tha. Hazrat (AS) ne farmaya: Aey Rabi! Main janta hun ke tu hamari taraf maa’il hay. Itni mohlat de ke may do rakat namaz parh lun aur apney parwardigar se munajat ker lun. Rabi kehne laga jo ap ka dil chahey kejiye aur Mansoor ke pass palat gaya jab ke Mansoor taish o gazab ki halat main israr ker raha tha ke Jafar (AS) ko jaldi hazir karo. Pas Aap (AS) ne do rakat namaz parhi aur danaye raaz se arze niaz ki. Jab Aap (AS) farigh howe to Rabi Aap (AS) ka hath pakar ker aewane qasar main dakhil ho gaya. Aap (AS) ne aewan ke ander dakhil hone ke baad bhi aik dua parhi aur jab Imam (AS) ko qasar ke ander le jaya gaya to Mansoor la’een ke nazar Aap (AS) per pari. Gusse main kehne laga Aey Jafar (AS)! Tum aulade Abbas per apna hasad wa bagawat kam nahi karogey aur un ke mulk ko kharab wa tabah kerne ki jitni chahey koshish ker lo faida nahi hoga. Allah siwaye tumharey hasad aur keenay ke aur kisi cheez main izaafa nahi karega. Hazrat (AS) ne farmaya:

م أعداء اخللق لنا و ما فـعلت شيئا من هذا و لقد كنت يف وال ية بين أمية و أنت تـعلم أ ما بـغيت عل م ال حق هلم يف هذا األمر فـو ا يهم و ال بـلغهم عين سوء مع لكم و أ

أم ري المؤمنني أصنع اآلن هذا و أنت ابن عمي و أمس جفائهم الذي كان يل فكيف ااخللق يب رمحا و أكثرهم عطاء و برا فكيف أفـعل هذ

Page 26: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[25]

Khuda ki qasam jo baa�en tum keh rahey ho in main se koi bhi may ne anjam nahi di. Jab ke tumhay maloom hay ke Bani Umayya jo ke tum logo main hum se aur tum se sab se ziada dushmani rakhtey the aur un ka is khilafat per ra� bhar ka bhi haq na tha may ne un ke zamaney main bhi un ke zulm wa jafa ke bawajood, un per bagawat aur sarkashi nahi ki aur unhen meri janib se koi takleef nahi pohanchi to phir to tum mairay ibne am, mairay chacha ke baitay ho aur logo main rishtedari ke ae�baar se mujh se sab se ziada qareeb ho aur mujhey ata kerne walo main sab se ziada ata kerne waaley aur mairay sath neki kerne walo main sab se ziada neki kerne waaley ho to bhala tumharay sath aesa kiun ker sakta hun.

Pas Mansoor ne kuch dair ke lie sir jhuka lia aur us waqt wo chamrey ke bichhoney per takkiay ka sahara lie betha hua tha aur wo hamesha apni masnad ke nechy talwar rakhta tha pas kehne laga tum jhoot boltey ho aur us ne hath masnad ke neechy kia aur us main se bohat se khutoot nikaley aur Aap (AS) ke samney phenk die aur kehne laga ye tumharey khutoot hain jo Ahle Khurasan ko tum ne likhey hain ke wo meri be’yat tor ker tumhaari be’yat ker lain.

Aap (AS) ne farmaya: Khuda ki qasam ye mujh per bohtan hay aur may ne ye khutoot nahi likhey aur may is kaam ko jaiz aur halal nahi samajhta aur may aap ki ita’at ka mautaqid hun aur may ne to jawani ke aalam

Page 27: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[26]

main ye azam wa iraday nahi kie ab jab ke burhapey ki kamzori mujh per ghalib hay kis tarah ye irada ker sakta hun. Ager chahtey ho to mujhey apney lashkar ke ander qarar do yahan tak ke mujh ko maut ajaye aur mairi maut qareeb bhi achuki hay. Jitna Hazrat (AS) is qisam ki ma’zirat aamaiz kalimat farmatey Mansoor la’een ka gussa barhta jata yahan tak ke us ne aik balisht ke barabar talwar nikal li. Rabi kehta hay ke jab main ne dekha ke Mansoor ne talwar ki taraf hath barhaya main kamp gaya aur mujhey yaqeen ho gaya ke wo Hazrat (AS) ko qatal kar dega. Pas us ne talwar nayam main dakhil kar li aur kehne laga tumhay sharam nahi aa� ke is umr main fitna bapa kerna chahtey ho taake khoon kharaba ho. Hazrat (AS) ne farmaya: Khuda ki qasam Main ne khutoot nahi likhey aur na ye meri tehreer hay aur na hi meri mohr. Ye sirf mujh per bohtan bandha gaya hay. Pas Mansoor ne hath barabar talwar nayam se bahir nikali. Rabi kehta hay hay ke us waqt main ne azam kia ke ager is ne mujhey Hazrat (AS) ke qatal ka hokum dia to main talwar hath main le ker khud Mansoor per hamla kar dunga agerchey ye cheez meri aur meri aulad ki halakat ka sabab baney aur may ne tauba ki us cheez se jo pehly main Hazrat (AS) ke mutaliq irada ker chuka tha. Phir Mansoor ki gazab ki aag bharki aur puri talwar nayam se nikal li aur Hazrat (AS) is ke pass kharey shahadat ke muntazir thay aur musalsal ma’zrat ker rahey thay lekin Mansoor qubool nahi ker raha tha. Phir us ne aik lamhey ke lie sir neechy kia aur kehne laga Aap

Page 28: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[27]

(AS) ne sach kaha. Phir Rabi se kaha: Aey Rabi! etar ki dabia le aao jo mere lie makhsoos hay. Jab may le aya to Hazrat (AS) ko us ne apney qareeb bulaya aur apni masnad per bithaya aur us khushboo se aap (AS) ki reeshe muqaddas ko mau’�ar kia aur kehne laga mera sab se umda ghora le ao aur Jafar (AS) ko us per sawar karo aur unhy das hazar dirhum do aur un ke ghar tak sath ja ker unhy chor aso aur unhay aazad kar do ke chahen to hamarey pass in�hai izzat wa ehtram ke sath rahen ya phir apney jadde buzurgwaar ke taraf madina wapis cheln jayen. Rabi kehta hay ke main khushi ke sath nikla aur mujhey ye sab dekh ker bohat ta’jjub hua. Jab main qasar ke sahan main pohancha to arz ki aey Farzande Rasool (SAWW)! Mujhey bohat ta’jjub hua ke pehly Mansoor ne Ap ke haq main in�hai bura sulook kia lekin aakhir main Aap (AS) ke sath in�hai ehtram ke sath paish aya aur me samajhta hun ke ye us dua ka asar hay ke jo Aap (AS) ne namaz ke baad parhi thi aur wo dusri dua jo aewan ke ander parhi thi. Hazrat (AS) ne farmaya: Han aesa hi hay. Pehly dua to Dua_e-Karb wa Shadaid hay aur dusri wo dua hay jo Rasoole Khuda (SAWW) ne jang Ehzab ke din parhi thi. Hazrat (AS) ne farmaya: Ager mujhey Mansoor ka khauf na hota to main ye maal tujhey day deta lekin tu ne mujh se meri ik zameen khareedna chahi thi jis ke lie tu mujhey das hazar deenar dayna chahta tha lekin main ne wo zameen tujhey nahi baichi thi. Ab wo zameen main ne tujhey hadya kardi. Rabi ne kaha: Yabna Rasool-ul-Allah (SAWW)! Mujhey

Page 29: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[28]

wo namaz ke baad wali dua aur phir jo mahal ke aewan main Aap ne dua parhi thi bas ye do duaen taleem farma den yehi mere haq main Aap (AS) ka ehsan aur naiki hogi mujhey us zameen se koi sarokar nahi. Imam (AS) ne farmaya:

أه عاء و نسلم إ إليك األرض سر معي إىل ل بـيت ال نـرجع يف معروفنا حنن نـنسخك الد المنزل

Hum Ahle Bait jo naiki anjam de detey hain usey wapis nahi lete hum tere lie dua bhi likhen ge aur tujhey zameen bhi dengey mere sath mere ghar chalo. Rabi kehta hay jab main Hazrat (AS) ke sath Aap (AS) ke dolat kuda per pohancha to Aap (AS) ne wo duaen parhi aur may ne likh li aur wo zameen bhi mairay naam likh di. Main ne arz ki aey Farzande Rasool (SAWW) Jab Aap(AS) Mansoor ke pass aye aur Aap (AS) namaz aur dua main mashgool ho gaye aur Mansoor izhar teish o gazab karta raha aur Aap (AS) ke hazir kerne ki taqeed karta tha kion mujhey Aap (AS) main kisi qism ka khauf o izterab nazar nahi aya?! Hazrat (AS) ne farmaya:

عز و جل يف صدري أعظم منه دون خيفته و كان ا خيفة ا

Allah ka khauf na ke khalifa ka. Allah ka khauf mairay dil main khalifa ke khauf se ziada azeem tha.

Rabi kehta hay ke may jab Mansoor ke pass lota aur khalwat hui to may ne kaha ke aey Ameer! Guzishta

Page 30: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[29]

raat may ne ajeeb o gareeb cheezain aap se dekhi hain. Ibteda main sakht gazab ki halat main Jafar bin Mohammad (AS) ko aap ne bulaya aur itney gazab o gusse main aap ko dekha ke kabhi esa gazab main ne aap main nahi dekha tha yahan tak ke aap ne ik balisht talwar bhi nikali aur phir hath ke barabar aur us ke baad puri talwar nangi karli aur us ke baad aap paltey hain aur un ke sath ikram, tazeem, izzat o ehtram se pesh aye hain aur apni makhsoos dibya se unhen itar lagaya hay aur unhen mali atya se bhi nawaza aur mujhey un ki mushayea’t ke lie mamoor kia. Is ka sabab kia hay?! Khalifa ne jawab dia:

ربيع ليس هو مما يـنبغي أن حيدث به و سرته أوىل و ال أحب أن يـبلغ و لد فاطمة وحيك ما حنن فيه و لكن ال أكتمك شيئافـيفخرون و يتيهون بذلك علينا حسبنا عليها السالم

Aey Rabi! Waye ho tujh per. Ye un baton main se nahi jis ke baarey main gu�ugu ki jaye aur us ka chupana is ke bayan kerne se ziada behtar hay aur khabardar ager ye baat Auladr Fa�ma (SA) tak pohanchi. Ager ye baat un tak pohanchi to hum per mazeed fakhar karengey aur hamarey wohi mafakhir jo in ke logo main mash’hoor aur makhlooq ki zuban per mazkoor hain kafi hain lekin may koi raz tum se nahi chupata.

Phir kehne laga jo koi ghar main mojud hay usey bahir nikal do aur jab makan khali hojaye to mairay pass palat ker aao. Rabi kehta hay jab main palat ker aya to

Page 31: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[30]

keh ne laga ke tere aur mere aur Khuda ke ilawa koi is makan main nahi hain ab ager aik kalma bhi is main se jo main tujhey bata raha hun main ne kisi se sun lia to tujhey aur teri aulad ko qatal ker dunga aur tera maal loot lunga. Phir kehne laga:

Aey Rabi! Jab main ne unhen bulwaya to me un ke qatal per musir tha aur socha tha ke un ka koi uzr qubool nahi krunga aur unka zinda rehna agerchey wo talwar ke sath khurooj na kren, Abdullah bin Hassan aur dusrey khurooj kerne walo se ziada mujh per giran aur sakht hay. Kiun ke main janta hun ke inhen aur in ke aba-o-ajdad ko log Imam samajhtey hain aur unhen wajib-ul-ita’at jantey hain aur tamam dunia se ziada aalim, ziada parhaizgaar aur ziada ba-ikhlaq mantey hain aur Bani Umayya ke zamaney main bhi may un ke halat se ba-khabar tha. Jab main ne pehli martaba un ke qatal ka irada kia aur balisht barabar talwar niyam se nikali to may ne Rasoole Khuda (SAWW) ko apney samney dekha kay wo mere aur un ke darmian ha’il ho gaye. Aap (SAWW) ke hath khuley howe aur asteenen charhi hui thi aur Aap (SAWW) gazab ke aalam main meri taraf dekh rahey the. Main ne us bina per talwar niyam main daal di aur jab main ne dusri martaba irada kia aur ziada talwar niyam se nikali tau main ne dekha ke dubara Huzoor (SAWW) pehli dafa se ziada mere qareeb kharey hain aur ziada gusse main hain aur is tarah Aap (SAWW) meri taraf dekh rahen the ke ager main ne Jafar (AS) ke

Page 32: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[31]

qatal ka irada karta to Aap (AS) mujhey qatal ker detey. Is lie main ne dubara talwar niyam main dakhil ki aur teesri dafa main ne jurrat ki aur main ne kaha ke jinnat ke afa’al hongey aur un ki parwah nahi karni chahiye aur sari talwar main ne niyam se nikali to is dafa dekha ke Aan-Hazrat (SAWW) mere samney hain aur daman samaitay howe asteenen ultey howe aur barhami ki halat main mere itney qareeb the ke nazdeek tha ke apney hath se mujhey pakar len lehaza main us irada se baaz agaya aur un ki izzat o takreem ki. Is ke baad Mansoor ne ik jumla kaha:

و ال جيهل حقهم إال جاهل ال حظ له يف الشريعة هؤالء من بين فاطمة سالم هللا عليهاو ك أن يسمع هذا منك أحد فإ

Aur ye Aulade Fa�ma (SA) hain siwaye jahil shakhs ke koi un ke haq se gafil nahi reh sakta. Alba�a khayal rakhna ke koi bhi ye baat na sunney paye.

Mohammad bin Rabi kehta hay ke mere baap ne mujh se bhi Mansoor ke marne ke baad naqal kia aur main ne ye naqal nahi kia magar Mehdi, Musa o Haroon Aur Mohammad Ameen ke qatal hone ke baad.

Neez Syed Ibne Ta’oos ne mautabir sanad ke sath Safwane Jammal se riwayat ki hay ke Mohammad aur Ibrahim jo ke Abdullah bin Hassan ke bete the, un ke qatal ho jaaney ke baad Ahle Madina main se aik shakhs Mansoor ke pass gaya aur us se kaha: Jafar bin

Page 33: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[32]

Mohammad (AS) ne apney ghulam Mu’ala bin khanees ko bheja hay ke wo shion se maal aur hathiyar jama karey aur wo khalifa per khurooj ka irada rakhtey hain aur Imam Jafar Sadiq (AS) ne Abdullah ke bete Mohammad ki madad bhi inhi jama shuda amwal se ki thi. Ye sun ker Mansoor is qadar aag bagola ho gaya ke qareeb tha ke gusse ke maarey apna hath hi khaa jaye pas us ne apney chacha Dawood bin Ali jo ke Madina ka governor tha, ko likha ke foran Imam (AS) ko Mansoor ke pass bhej de. Dawood bin Ali ne Mansoor ka khat Hazrat (AS) ki khidmat main bheja aur kaha ke kal hi safar ke lie amada hojaye takheer ki gunjaish nahi hay. Safwan kehta hay ke Hazrat (AS) ne Mujhey bulwaya aur farmaya ke hamarey lie Ount hazir karo taake kal Iraq ki taraf chalain aur kharey ho ker Masjid-e-Nabwi (SAWW) main tashreef le gaye aur chand raka’at namaz parhi aur daste dua buland kie aur dua parhi. Dusrey din main Aap (AS) ke lie kuch Ount le aya aur Aap (AS) Iraq ki taraf rawana ho gaye.

Khalifa ke mahal ke darwazey per pohanch ker ijazat chahi aur andar tashreef le gaye. Mansoor pehly to Aap (AS) ke sath izzat o ehtram ke sath pesh aya lekin baad main ataab o sarzanish kerne laga ke main ne suna hay ke Mua’ala Aap (AS) ke lie amwal aur hathiar jama ker raha hay. Hazrat (AS) ne farmaya: Ma’azAllh, Ye mujh per i�ira hay. Mansoor kehne laga Allah ki qasam khaiye ke in tamam cheezon se bari hain. Imam (AS) ne

Page 34: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[33]

farmaya: May Allah ki qasam khata hun. Mansoor ne kaha aese nahi balkey “Talaq” aur “Utaaq” ki qasam (Yani apni zoja ki talaq ki aur apney ghulamo ke azad ho ne ki qasam) khayen. Aap (AS) ne farmaya: Kia tu is baat per razi nahi ke main us Parwardigaar ki qasam khaun jis ke siwa koi Ma’bood nahi aur Mujhey kehta hay ke bida’at ki qasmen khaun?! Mansoor kehne laga: Mujhey fiqah sikha rahen hain? Aap (AS) ne farmaya: Mairay ilawa aur kon hay jis se fiqh li jaye? Mansoor kehne laga: Choriye in baton ko main abh Aap (AS) ko aur us shakhs ko jis ne ye baa�en kahi hain aik jagah ikha�a karta hun taa ke wo Aap (AS) ke samney ye baa�en kahen. Phir kisi ko bhej ker us badbakht shakhs ko bulaya aur Hazrat (AS) ke samney us se pucha. Wo kehne laga han aesa hi hay aur jo kuch main ne kaha hay wo sahi hay. Hazrat (AS) ne us se farmaya: Qasam khaogey? Wo keh ne laga han kiun nahi phir us ne is tarah qasam khaye:

الذي ال إله إال هو الطالب الغالب احلي القيوم و ا

Us Allah ki qasam jis ke siwa koi Ma’bood nahi jo ghalib aaney wala aur hamesha zinda aur qayoom hay.

Hazrat (AS) ne farmaya: qasam khaaney main jaldi na ker jis tarah main kahun us tarah qasam khaa. Mansoor ne kaha jo qasam us ne khaye hay us main kia nuqs hay? Aap (AS) ne farmaya: Khudawand Aalam sahibe haya aur kareem hay aur usey sharam aa� hay ke kisi aese bandey per azab dene main jaldi karey jo us ki

Page 35: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[34]

madah o sanah ke sath us ki qasam khaye. Pas Aap (AS) ne farmaya: Kaho

من حوله و قـوته و أجلأ إىل حويل و قـويت إين لصادق بـر يف ما أقول أبـرأ إىل ا

من حوله و قـوته و أجلأ إىل حويل و قـويت إين لصادق بـر يف ما أقولأبـرأ إىل ا

Main Khuda ki quwwat wa taqat se bezar ho ker apni quwwat aur taqat main dakhil hojaun ke may ne jo kuch kaha us main sachha aur naikokar hun.

Jese hi us shakhs ne ye qasam khana shuru ki us ka kalam abhi khatam bhi nahi hua tha ke jazam main mubtala ho ker zameen per gir para aur mar gaya. Mansoor ye haal dekh ker dar gaya aur kampney laga aur Imam (AS) se mukha�b ho ker kehne laga:

أ مل سر من غد إىل حرم جدك إن اخرتت ذلك و إن اخرتت المقام عند ل عبد ا ال قبلت عليك قـول أحد بـعدها أبدا يف إكرامك و برك فـو ا

Aey Aba-Abdillah (AS)! Kal hi apney jad Rasool-ul- Allah (SAWW) ke haram tashreef le jaye aur ager Aap (AS) chahey to hamarey han mehman rahey aur hum Aap (AS) ke ikram o ehtram main koi kasar nahi chorengey. Allah ki qasam aj ke baad Aap ke mutalliq kisi ki baat per kaan nahi dharun ga.

Syed Ibne Ta’oos (RA) hi riwayat kartey hain ke Mohammad bin Abdullah Iskandari kehta hay ke main

Page 36: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[35]

Abu Jafar dawaniqi ka qareebi dost aur mehrame raaz tha. AIk din main us ke pass gaya to usey bohat magmoom paya. Wo aahain bharta aur andohnaak tha. Main ne kaha Aey Ameer! Ye kesa gour o fikr hay? Kehne laga ke main ne Aulade Fa�ma (SA) main se 100 admi qatal kiye hain lekin abhi bhi un ka syed o sardar aur un ka imam baqi hay jis ke muta’alliq koi chara nahi soojhta. Main ne kaha wo kon hay? Kehne laga Jafar bin Mohammad Sadiq (AS). Main ne kaha:

أمري المؤمنني إنه رجل شغلته العبادة عن طلب الملك و اخلالفة

Aey Ameer! Wo aesa shakhs hay ke jisey Ibadat ki kasrat ne mulk o khilafat ki talab se ghafil ker dia hay.

Ye sun ke Mansoor kehne laga: Main janta hun ke tu us ki Imamat ka ae�qad rakhta hay lekin mulk o saltanat aqeem (banjh) ho� hay aur main ne qasam khaye hay ke aj sham nahi krun ga magar ye ke un ke shar se apney ap ko dur ker ke rahunga.

Ravi kehta hay ke jab main ne us se ye baat suni to zameen mere lie tang ho gaye aur main bohat gamgeen hua. Phir us ne jallad ko bulaya aur kaha ke jab main Abu Abdullah (AS) ko bulaun aur unhen baton main mashgool rakhun aur apney sir se topi utaar ker zameen per rakh dun to un ki gardan ura dena aur ye mere aur tumharey darmian alamat hogi. Phir Mansoor ne usi waqt kisi ko bheja aur Hazrat (AS) ko bulwaya. Jab

Page 37: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[36]

Hazrat (AS) qasar main dakhil howe to main ne dekha Hazrat (AS) apney lab e Mubarak ko harkat de rahen hain aur kuch parh rahen hain. Phir main ne dekha ke khalifa ka qasar is tarah hil raha tha jis tarah koi kash� thathain martey howe darya main daul rahi ho� hay. May ne dekha ke Mansoor jaldi se utha aur sir o paa barehna Hazrat (AS) ke istaqbal ko dora aur us ke badan ke jor hil rahey the aur dant khof ke marey baj rahey the aur kabhi surkh aur kabhi zard ho raha tha. Us ne Hazrat (AS) ko bohat izzat o ehtram ke sath apney takht shahi per bithaya aur do zanu ho ker Aap (AS) ki khidmat main aese beth gaya jis tarah ghulam aaqa ke samney bethta hay aur kehne laga: Aey Farzande Rasool (SAWW)! Is waqt tashreef kiun laye? Farmaya: Tu ne mujhey bulaya to may hazir ho gaya. Kehne laga main ne to Aap (AS) ko nahi bulaya. Qasid se ghal� hui hay. Ab jo tashreef laye hain to jo hajat ho talab kejiye. Hazrat (AS) ne farmaya: Meri hajat ye hay ke zaroorat ke bagair mujhey na bulaya karo. Wo kehne laga aesa hi hoga aur Hazrat (AS) uth ker bahir tashreef le gaye.

Ravi kehta hay main ne Khuda ki hamd o sana ki ke Aap (AS) ko Mansoor se koi aziyyat nahi pohanchi. Hazrat (AS) ke jaaney ke baad Mansoor ne lihaf mangwaya aur so gaya aur adhi raat tak baidar nahi hua aur jab baidar hua to dekha ke may is ke paas betha hun. Kehne laga bahir na jana jab tak may apni namazain ada na kerlun aur tujh se waqia bayan na ker lun. Jab Namaz

Page 38: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[37]

se farigh hua to kehne laga jab main ne Hazrat Sadiq (AS) ko qatal kerne ke lie bulaya aur wo qasar main dakhil howe to main ne dekha ke aik bohat bara azdaha zahir hua aur us ne apna mun khol dia aur us ne apna upper wala Jabra qasar ke uper waaley hissey per aur nechy wala Jabra qasar ke nechy rakha aur apni dum qasar ke gird dali aur faseh zaban main mujh se kaha ke ager Hazrat (AS) ki nisbat kisi burai ka irada kia to tujhey aur tere makan o qasar ko nigal jaun ga. Us wajah se meri aqal pareshan ho gai aur mera badan kampney laga us had tak ke mere dant bajne lagey. Ravi kehta hay ke main ne kaha:

عبد ا أمري وارث علم النيب و جده عليه السالم ليس هذا بعجيب فإن أو عنده من األمساء و الدعوات اليت لو قـرأها على عليه السالم الب المؤمنني علي بن أيب ط

ر و على النهار المضي ء ألظلمالليل المظلم أل

Hazrat (AS) se ye cheezain ajeeb nahi kiun ke Aap (AS) ilme RasooluLLAH (SAWW) ke waris hain aur Aap ke jad Ameer-ul-Momineen Ali ibne Abi Taalib (AS) hain aur Aap (AS) ke pass wo asma aur duain hain ke ager raat ki tareek per parhain to din hojaye aur roshan din per parhain to wo tareek hojaye.

Pas chand dino ke baad main ne Mansoor se ijazat chahi ke Hazrat (AS) ki ziarat ke lie jaun to is ne mujhey ijazat dedi aur inkaar nahi kia. Jab main Aap (AS) ki khidmat main hazir hua to us dua ki is�daa ki jo Aap (AS)

Page 39: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[38]

ne Mansoor ke qasar main dakhil hotey howe parhi thi ke mujhey taleem den aur Hazrat ne meri iltemas ko qubool farmaya.

Chathi Fasal: Imam Jafar Sadiq (AS) ki Shahadat.

Imam Jafar Sadiq (AS) ne Mah-e-Shawal (148 hijri) main un zehar aaloda angoroon ki wajah se shahadat paye Jo Mansoor ne Hazrat (AS) ko khilaye thay aur shahadat ke waqt Aap (AS) ki uma-e-mubarak pensath (65) saal thi aur Kutube mau’tabarah main ye tayyun nahi ke mahe shawwal ki konsi tareekh thi alba�a kitab Jannat-ul-Khulood ke muallif jo ke us ilm ke mahir aur mutakhassis hain ne Mah-e-Shawal ki pachees (25) tareekh kahi hay aur aik qoul hay ke peer (Monday) ke din pandara (15) rajab ko wafat paye.

Mishkat-ul-Anwaar main hay ke Aap (AS) ke marzul-maut ki halat main aik sahabi Aap (AS) ki khidmat main hazir hua us ne dekha ke Hazrat (AS) itney lagar hogaye hain goya siwaye Aap (AS) ke sire nazneen ke kuch baqi nahi raha to wo shakhs rone laga. Hazrat (AS) ne farmaya kiun ro rahey ho? Us ne kaha ke may kese girya na karun jab ke Aap (AS) ko is halat main dekh raha hun Aap (AS) ne farmaya Aesa na karo kiun ke:

Page 40: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[39]

ال يـقضي له بقضاء إال كان خريا له إن أغناه كان خريا له و إن ابـتاله كان خري إن -ا له المقاري قـرض و إن و إن ملكه ما بني المشرق و المغرب كان خريا له ] كان ض ملقارض [

. للمؤمن كل خري خريا له و يف قضاء ا

Allah Momin ke haq main koi faisla nahi karta magar ye ke wo us ke haq main behtar hota hay aur usi main us ke lie khair o bhalai ho� hay pas ager usey beniyaz ker de to us ke lie behtar aur ager usey kisi bala aur musibat main mubtala ker de to us main bhi usi ki bhalai ho� hay aur usey mashriq se maghrib ke darmian jo kuch hay un sab ka malik bana de to us ke lie behtar aur ager us ke aa’zaa wa jawareh kainchi se kaat diye jaye tab bhi us ke lie behtar hay aur momin ke lie Allah ki har qaza main usi ki behtari hay.

Sheikh Toosi (RA) ne Hazrat Imam Jafar-e- Sadiq (AS) ki kaneez Saleema se riwayat ki hay ke wo keh� hain: Main Aap (AS) ke eh�zaar ke waqt Aap (AS) ke pass thi jab ke Aap (AS) per gashi ki kaifiat tari thi. Jab Aap (AS) ko gashi se afaqa hua to farmaya ke Hassan bin Ali bin Hussain bin Ali bin Abi Taalib (AS) A�as ko sa�ar(70) ashrafian daido. Saleema keh� hay May ne arz ki:

لش فرةأ تـعطي رجال محل عليك

Kia Aap (AS) aese shakhs ko ataa farma rahey hain ke jis ne chari ke sath Aap (AS) per hamla kia tha aur wo chahta tha ke Aap (AS) ko qatal ker de?

Page 41: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[40]

Imam (AS) ne farmaya:

تـعا عت قـول ن قـلت بـلى قال أ ما مس وحيك أ ما تـقرءين القرآ و الذين يصلون ما أمر ىل ام و خيافون سوء احلساب به أن يوصل و خيشون ر .ا

Waay ho tujh per kia tu ne Quran nahi parha? Kaneez ne kaha: Kiun nahi. Farmaya: Kia tu ne Allah ka ye qoul nahi suna: Aur wo log un logo se rishta qaaim rakhtey hain jin se Allah ne rishta nibhaney ka hukum dia hay aur baray hisab ka khof rakhtey hain. Phir farmaya:

سالمة إن ◌عم ، توجد من مسرية رحيها، و إن رحيها ل ا، و طيب اجلنة و طيبه خلق ا، و ال قاطع رحم.ألفي عام، و ال د رحيها عاق جي

Aey Saleema Khudawand Aalam ne bahisht ko khalq kia aur usey khushboodar banaya aur us ki khushboo ko pakeeza kia aur Baishak us ki khushboo do hazar saal ke fasley se songhi ja sak� hay laikin uski khushboo maa baap ka na farman aur qata e rahami kerne wala nahi songh sakay ga.

Sheikh Kulaini (RA) ne Imam Musa (AS) se riwayat ki hay ke:

انت و يف قميص من قمصه و عمامة ك كان حيرم فيهما ني شطويني إين كفنت أيب يف ثـوب ربعني دينارا لو كان اليوم لساوى أربـعمائة عليهما السالم لعلي بن احلسني و يف بـرد اشرتيـته

دينار.

Page 42: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[41]

May ne apney walide girami ko do misri parchon main kafan dia ke jin main Aap (AS) ehram bandhtey thay aur Aap (AS) ke pairahano main se aik perahan main aur us amamay main jo Imam Zain-ul-Abideen (AS) se Aap ko mila tha aur aik yamni chadar ke jo Aap (AS) ne chalees (40) deenar main khareedi thi, jo ager aj ho� to chaar so (400) deenar ki thi.

Neez Sheikh Sudooq ne Abu Baseer se riwayat ki hay ke wo kahtey hain ke main Umme Hameeda, Kaneeze Hazrat Imam Sadiq (AS), ki khidmat main Imam (AS) ki taziyyat ke lie gaya to wo mukhdara ronay lagi aur may bhi un ke ronay se ronay laga. Us ke baad farmaya: Aey Abu Mohammad! Ager tu Hazrat (AS) ko mout ke waqt dekhta to tujhay aik amre ajeeb nazar aata. (Aur wo ye ke) Aap (AS) ne aankhen kholin aur farmaya: Har us shakhs ko jama karo jis ki mujh se qarabat hay (mere rishtaidaro ko). Umme Hamida keh� hain ke hum ne Imam (AS) ke rishtedaron main se kisi ko nahi chora magar us ko Imam (AS) ki khidmat main hazir ker dia pas Imam (AS) nay un ki janib nigah ki aur farmaya:

لصالة.إن شفاعتنا ال تـنال مستخفا

Beshak hamari shifa’at us shakhs ko nahi pohanchaigi jo namaz ko haqeer aur be-wuqa’t samajhta ho.

Esa bin Da’ab se riwayat hay ke jab Hazrat Sadiq (AS) ke jisame nazineen ko charpaie per rakha gaya aur

Page 43: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[42]

unhen Baqie’ ki taraf dafan kerne ke lie le chaley to Abu Hurairae Ajali, alal ae’laan Ahlaybait (AS) ke shua’ra main shumar hota thay, nay ye sha’r kahay:

عاتق على كاهل من حامليه و أقول و قد راحوا به حيملونه علياء شاهق رأس من ثبرياثـوى ما ذا حتملون إىل الثـرى رون أ تد

و أوىل كان فـوق المفارق غداة حثى احلاثون فـوق ضرحيه تـرا

“May ne kaha jab wo usey kandhon per utha ker layja rahey thay, tum jantey bhi ho ke kisey qabar ki taraf lay ja rahey ho? Wo Sabeer (Makka aur Arafa ke darmian bara pahaar) hay, jo bulandi se gira hay, ke Subha ke waqt mi� dalnay waalay us qabar par mi� daal rahey the, halankey wo mi� (apnay) sar o per par daalney ki ziada layiq thi.”

Riwayat hui hay ke aik shakhs Abu Jafar nami jo ke Ahle Khurasan ka qasid tha, ahle Khurasan se kuch log us ke pass jama howe aur us shakhs say khuwahish ki ke kuch maal o mataa’ aur kuch sawalat aur mashwaray darkar hain, jinhen Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki khidmat main pohncha de, un ke jawabat le aye aur maal Imam (AS) ke hawaley ker de. Abu jafar wo maal aur sawalat lay kar chala. Jab Koofay main dakhil hua to us ne wahan qayam kia aur Hazrat Ameer-ul-Momineen (AS) ki qabar ki ziarat ke lie gaya. Us ne dekha ke qabar ke aik taraf aik buzurg baithay hain aur aik guroh ne unhey halqey main lia hua hay. Jab wo ziarat se farigh howa to us ne chaha

Page 44: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[43]

ke ja ker daikhay ke ye kon log hain. Us ne daikha ke wo fuqha e shia hain aur us buzurg se fiqh ke masail sun rahey hain. Un logo se is nay pocha, ye buzurg kon hain? Wo kehne lagey ke Abu Hamza Sumali hain. Wo kehta hay ke may un ke pass baith gaya. Isi asna main aik arabi dakhil huwa aur kehne laga main Madina se aarha hun aur Jafar bin Mohammad (AS) wafat paa chukey hain. Ye suntey hi Abu Hamza Sumali ki cheekh nikal gaye aur unho ne (gam ke maarey) apney dono hath zameen per maarey. Phir aa’rabi se pucha ke kia tu ne suna hay ke Imam (AS) ne kisi ko apna wasi muqarar kia hay? Wo kehne laga Aap (AS) ne apney baitay Abdullah aur dusrey bete Musa Kazim (AS) aur Khalifa Mansoor ko wasi qarar dia hay. Ye sun ker Abu Hamza kehne lagey:

الذي مل يضلنا دل على الصغري و من على الكبري و يمسرت األمر العظ احلمد

Tamam tareefain us Allah ke lie hain ke jis ne humey gumrah nahi kia. Chotay per rehnumai ki aur barey per ehsan kia aur aik azeem amr ko parda main rakha.

Ye keh ker foran Ameer ul Momineen (AS) ki qabar ki taraf lapkay aur namaz parhney main mashgool hogaye aur hum bhi namaz parhne lagey. Phir Abu Jafar kehta hay ke main un ke pass gaya aur kaha ke ye chand fiqrey jo ap ne kahey hain mere lie in ki tashreeh keejiay. Abu Hamza ne us ki tashreeh ki, jis ka ma-hasal ye hay ke Mansoor ko wasi qarar daina zahir hay ke taqayya ke tour per hay taa ke Aap (AS) ke wasi ko qatal na karey

Page 45: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[44]

aur chotey baitay ka zikar, jo ke Imam Musa Kazim (AS) hain baray baitay ke sath, jo ke Abdullah hain is lie hay takay logo ko maloom hojay ke Abdullah imamat ke qabil nahi kiunke bara beta ager badan aur deen main naqis na ho to us ko Imam hona chahiay, lekin Abdullah badan ke lehaz se feel paa (hathi jese paun) hay aur us ka deen bhi naqis hay aur wo ehkam e shariyat se bhi jahil hay. Warna ager us main koi nuqs na ho, to usi per ik�fa kartey, pas yahan se main samjha hun ke Aap (AS) ke baad Imam barhaq Imam Musa Kazim (AS) hain aur baqion ka tazkira maslihatan farmaya hay.

Sheikh Kulaini (RA), Sheikh Toosi (RA) aur Ibne Shehr Ashob ne Abu Ayyub Jozi se riwayat ki hay ke wo kehta hay ke aik raat Mansoor dawaniqi ne mujhey bulaya. Jab us ke pass pohancha to main ne daikha ke wo kursi per betha hay aur us kay samney shama rakhi hui hay aur us ke hath main aik khat hay aur wo usay parh raha hay. Jab main ne salam kia to us ne wo khat meri taraf phainkha aur rone laga aur kehne laga ye Mohammad bin Suleman ka khat hay, aur us ne Jafar bin Mohammad (AS) ki wafat ki khabar likhi hay, pas us ne teen martaba kaha راجعون هو هللا aur kehne laga Jafar (AS) jaisa shakhs kaha mil sakta hay, aur phir kehne laga us ko likho ke ager unho ne kisi aik shakhs ko khushoosi tour per apna wasi muqarar kia hay to usey bula ker qatal ker do. Chand dino ke baad khat ka jawab aya ke unho ne panch(5) afrad ko apna wasi qarar dia hay. (1)

Page 46: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[45]

Khalifa Mansoor, (2) Mohammad bin Sulemaan (Wali e Madina), (3), (4) Apney do (2) baiton Abdullah aur Musa Kazim (AS) aur Musa (AS) ki walida Hameeda ko. Jab Mansoor ne khat parha to kehne laga, in afrad ko qatal nahi kia ja sakta.

Allama Majlisi (RA) farmatey hain ke Hazrat ko ilm e Imamat se maloom tha ke Mansoor aisa irada karey ga lehaza Aap (AS) ne is jama’at ko wasiat main shareek qarar dia aur pehly Mansoor ka hi naam likha aur ba�ni tour per Imam Musa Kazim (AS) ko wasiat ke sath makhsoos kia aur isi wasiyyat se Ahle ilm jantey the ke wisayat o Imamat Hazrat (AS) ke sath makhsoos hay, jese ke Abu Hamza ki riwayat se jo guzar gaye hay maloom ho chuka hay.

Page 47: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 48: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 49: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[48]

Sathwi Fasal: Imam Jafar Sadiq (AS) ki Aulad ka Tazkira.

Sheikh Mufeed (RA) farmatey hain ke Hazrat Imam Jafar Sadiq (AS) ki das (10) auladien thi. Jin main se Ismael, Abdullah aur Umme Farwah, in teeno ki walida Fa�ma bint Hussain bin Ali bin Hussain bin Ali bin Abi Taalib (AS) thi aur Imam Musa-e-Kazim (AS), Is’haaq aur Mohammad ki walida aik kaneez thi. Abbas, Ali, Asma aur Fa�ma, ye mukhtalif kaneezon se they.

1. Ismael bin Jafar (AS)

Ismael tamam bhaion main sab se barey the aur Imam Sadiq (AS) un se bohat Muhabbat aur shafqat o Meharbani farmatey thay. Shion ka aik guroh ka khayal tha ke Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke baad Ismael hi amr-e-khilafat o Imamat per fa’iz hain chunke wo Hazrat ke barey bete hain aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki un se mohabbat wa eh�ram bhi bohat ziada tha. Lekin chatay Imam ki hayat main hi Madina ki aik bas� jisey Areez kaha jata hay, wahan Ismael is dare-e-fani se kooch kar gaye. Log kandho per utha ker un ka janaza Madina main le aye aur unhen Baqi main dafan ker dia gaya.

Sheikh Mufeed mazeed farmatey hain ke Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne Janab Ismael ki maut per shiddat ke sath girya wa zari farmaya aur barey dukh aur gam ka

Page 50: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[49]

izhar kia aur bagair jootey aur rida ke Ismael ke janazey ke aagay aagay ja rahay the aur chand dafa hokum dia ke un ki chaarpai zameen per rakh do aur bar bar mayyat ke qareeb ja ker us ka chehra khol ker us ki taraf dekhty thay. Is kaam se Aap (AS) ka maqsad ye tha ke Ismael ki wafat ka maamla sab logo per wazeh hojaye aur un logo ka shuba door hojaye jo Ismael ki hayat aur aur baap ke baad khilafat ke qaa’il hain.

Muallif kehta hain ke is mazmoon ki bohat si ahadees hain jesa ke Sheikh Sudooq (RA) ne riwayat ki hay ke Hazrat Sadiq (AS) ne Saeed bin Abdullah eeraj se farmaya:

لت جبهته و ذقـنه و أمرت به و هو مسجى أن يكشف عن وجهه فـقب اعيل لما مات إمس م أ حنره مث أمرت به فـغطي مث قـلت اكشفوا عنه فـقبلت أيضا جبهته و ذقـنه و حنره مث مر

ل مث دخلت عليه و قد كفن فـقلت اكشفوا عن وجهه فـقبلت جبهته فـغطوه مث أمرت به فـغسي شي و ذقـنه و حنره و عوذته مث قـلت درجوه فـقلت لقرآن .ء عوذته قال

Jab Ismael ki wafat hui to main ne kaha ke us ke chehra per se kapra hatao. Jab us ka chehra khol dia gaya to main ne us ki peshani, thori aur gaaley per bosa dia. Phir kaha ke us ka mun chupa do. Dubara main ne us ke chehrey se kapra hatwaya aur us ki peshani, thori aur gaaley ko bosa dia. Phir mairay kehne se usey dhamp dia gaya aur gusul dia gaya. Jab gusul dene se farigh howe to may us ke qareeb gaya, may dekha ke usey kafan dia ja chuka hay. Main ne kaha is ka chehra kafan se bahir

Page 51: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[50]

nikalo. Phir may ne us ki peshani, thori aur gaaley ko bosa dia aur usey taweez kia phir main ne kaha isey kafan main chupa do. Ravi kehta hay main ne pucha ke kis cheez se usey taweez kia gaya? Farmaya: Quran se.

Aur riwayat hay ke Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne Janab Ismael ke kafan ke atraf main likha hay:

. ال إله يشهد أن إمساعيل إال ا

Ismael gawahi deta hay ke koi Ma’bood nahi siwaye Allah ke.

Isi tarah aik riwayat main naqal hua ke Aap (AS) ne apney Shia ko bulaya aur usey tees deenar diye aur kaha ke Ismael ki niyabat main haj anjam do aur tamam manasik-e-haj ko anjam do aur jab tum ye kaam ker lo ge to tumharey liye sawab ke no (9) juz hongay aur Ismael ke lie aik (1) juz.

Almukhtasir ye ke Sheikh Mufeed (RA) farmatey hain ke jab Ismael ki wafat hui to jin logo ka ae�qaad ye tha ke baap ki wafat ke ba’d Ismael Imam hongay wo us aqeeda se munharif ho gaye siwaye shaaz o nadir logo ke jo dur rehty the aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke khawas aur riwayat naqal kerne walo main se nahi the wo is aqeeda per baqi rahey aur Ismael ke hayat ke qaa’il howe aur jab Imam (AS) ne shahadat paye to kuch log Hazrat Imam Musa Kazim (AS) ki Imamat ke qaa’il

Page 52: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[51]

howe aur baqi do (2) firqon main bat gaye aik firqa ye kehne laga Ismael Imam the aur un ke baad imamat un ke bete Mohammad bin Ismael ki taraf muntaqil hui hay aur imamat Ismael ke baad akhri zamaney tak Ismael ki nasal main hay. Dusra guroh wo kehne laga ke Ismael zinda hay aur ye bohat thorey log hain jin ka ye guman hay.

2. Abdullah bin Jafar (AS)

Abdullah bin Jafar (AS), Ismael ke baad apney sab bhaion se bara tha aur Imam Jafar Sadiq (AS) ke nazdeek is ki koi khaas qadar o manzilat nahi thi aur ae�qaad main bhi apney walid buzurgwaar ki mukhalifat ke sath muttahim tha aur kaha gaya hay ke hashwiya mazhab ke logo se mail jol rakhta tha aur marjaii mazhab ki taraf maa’il tha aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki wafat ke baad us ne dawa-e-Imamat kia aur Imamat per us ki daleel umr main bara hona bhi tha. Isi lie Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke as’hab ki aik jamat ne pehly is ka i�ebaa kia aur jab us ka imtehan lia to us se dastbardar ho gaye aur us ke bhai Imam Musa Kazim (AS) ki imamat ki taraf rujoo kia chunkey bohat se baraheen wa dalail wazeh Imam Musa Kazim (AS) se daikh chukey the. Alba�a kuch thorey se log is ae�qaad per baqi rahey aur Imamat-e-Abdullah ko ikh�ar kia jinhen fat’hiyya kehtey hain aur ye laqab unhen is lie mila chunkey wo Abdullah ki imamat ke qaa’il thay aur Abdullah ka paun hathi ki

Page 53: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[52]

tarah tha (Jisey arabi main لرجل افطح ا kaha jata hay) baaz kehtey hain ke unhen fat’hiyya is lie kehtey hain chunkey unhen Abdullah ki imamat ki taraf bulanay waaley shakhs ka nam Abdullah bin fateeh tha.

Qutub-e-Rawandi ne Mufazzil bin Umr se riwayat ki hay ke jab Hazrat Sadiq (AS) ki wafat hui to Aap ke bete Abdullah A�ahi ne Imamat ka dawa kia. Imam Musa Kazim (AS) ne hukum dia ke ghar main bohat si lakrian la ker ghar ke wast main rakhi jaye aur kisi ko bahija key Abdullah ko bula laye. Jis waqt Abdullah Aap (AS) ke ghar main dakhil howe, Ahle Imamia ke naamwar afraad wahan mojood thay. Jab Abdullah aaker beth gaya to Imam (AS) ne hukum dia ke in lakrion main aag laga di jaye. Lakrian jalney lagi aur logo ko is ka sabab maloom nahi tha. Yahan tak ke tamam lakrian jaltey howe angaron main tabdeel ho gaye pas Imam Musa Kazim (AS) uthey aur libaas samait ja ker un angaron ke darmian beth gaye aur logo ki taraf rukh ker ke aik sa’at tak baa�en kartey rahey aur phir kharey ho gaye aur apney kaprey jhaar ker apni jagah wapis agaye aur apney bhai Abdullah se farmaya:

مام بـعد أبيك فاجلس يف ذلك المجلس إن كنت تـزعم أنك اإل

Ager tum apney walid ke baad Imam ho to ja ker usi jagah main beth jao jahan main betha tha. Wo log kehtey hain ke hum ne dekha ke Abdullah ka rang urh

Page 54: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[53]

gaya aur khara ho gaya jab ke us ki aba zameen per khinch� ja rahi thi aur wo Hazrat ke ghar se bahir chala gaya.

Abdullah Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki Shahadat ke sa�ar(70) din zinda reh ker wafat paa gaya. Riwayat hay ke Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne Imam Musa Kazim (AS) se farmaya:

مامة بـعدي و يدعي جملسي سيجلس أخاك إن بين بكلمة فإنه أول أهلي فال تـنازعه اإل حلوقا يب.

Aey mairay azeez baitay! anqareeb tumhara bhai meri jagah per bethey ga aur mairay baad imamat ka dawa karega. Is maamla main us se bilkul jhagra na karna kiunke mairay Ahl o ayaal main wo pehla shakhs hoga jo mujh se mulhiq hoga.

3. Is’haaq bin Jafar (AS)

Is’haaq bin Jafar (AS) Ahle fazal-o-sahib-o- taqwa aur Ibadat guzaro main se thay aur logon ne un se Aaima At’haar (AS) ki ahadees bhi naqal ki hain aur Ibne Kasib jab un say hadees naqal karta to kehta ke mujh se hadees bayan ki Siqa, Razi (Ba-ae�maad aur pasandeeda shakhs) Is’haaq bin Jafar (AS) ne. Is’haaq apney bhai Imam Musa bin Jafar (AS) ki Imamat ke qaa’il the aur unho ne apney walid se apney bhai Musa bin Jafar (AS) ki imamat per nas ki riwayat bhi ki hay aur Sahibe

Page 55: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[54]

Umdat-ul-Talib ne kaha hay ke wo Rasoole Khuda (SAWW) se ziada shabahat rakhtey the aur un ki walida aur Imam Musa Kazim (AS) ki walida aik hi thi. Janab Is’haaq bohat barey muhaddis thay. Aik guroh ne un ki imamat ka dawa kia hay aur un hi ki nasal se Mohammad, Hussain aur Hassan hain.

Muallif farmatey hain ke Bani Zehra ka nasab Is’haaq bin Jafar per muntahi hota hay. Jo ke halb main aik ba-azmat khandaan tha unhen main se hay Abu-al-Makarim Hamza bin Ali bin Zohra Halabi aalim, fazil, Jaleel, sahibe tasaneef hain jinhon ne ilme kalam wa imamat aur fiqh o nahw main kahin kitabain ta’leef ki hain.

Muallif farmatey hain ke Is’haaq bin Jafar (AS) ki zoja Aalia Mokhddira Nafeesa binte Hassan bin Zaid bin Hassan bin Ali bin Abi Talib (AS) hain jin ki shaan wa jalalat main ye baat mash’hoor hay ke is mukaddira ki qabr ke pass dua qubool ho� hay aur Imam Shfaii ne un se hadees li hay. Syed Momin Shablanji ne Noor-ul-Absaar main aur sSeikh Mohammad Sabban ne Asa’af-ur-Ragibeen main naqal kia hay ke Sayyeda Nafeesa (145 Hijri) Makka main paida hui aur Madina main Ibadat o zohad ke sath nash o numa payi, din ko roza rakh� aur raatain Ibadat main basar kar� aur sahib maal o manal thi, apahij o beemaron aur aam logo per ehsan o inaam kar� thi, aur tees (30) Haj kiay ke jin main se aksar paa piada thay.

Page 56: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[55]

4. Mohammad bin Jafar (AS)

Mohammad bin Jafar (AS) ko us ke husn o jamal aur wajahat o kamal ki wajah se Deebaj kehtey the aur wo marde sakhi aur shuja tha aur talwar le kar khurooj kerne main Zaidiyya ke sath muawafiq tha aur Mamoon ke zamaney main (199 Hijri) Madina main khurooj kia aur us ne logo ko apni baia’t ke lie dawat di. Ahle Madina unhay momineen ka ameer mantey huwey us ki baia’t ki aur ye marde qawi aur abid the aur hamaisha aik din roza rakhtey aur aik din nahi aur wo jab ghar se nikaltay to wapis na lau�ay magar apna libas kisi barahna ko pahna aatay thay aur har roz aik gosfand apney mehmano ke lie zibah karta tha.

Wo Makkay ki taraf gaya aur talibeen ke sath mil ker, ke jin main Hussain bin Hassan A�ah, Mohammad bin Suleman bin Dawood bin Hassan Musanna, Mohammad bin Hassan maroof Bil-Saleek, Ali bin Hussain bin Zaid aur Ali bin Jafar bin Mohammad thay. Haroon bin Musyyab se jange azeem ki aur jab bohat se aadmi Haroon ke lashkar main se qatal ho gaye to wo lashkar Jang se dastbardar hua aur Haroon bin Musayyab ne Hazrat Ali bin Musa Raza (AS) ko paigham rasan ke tor per Mohammad bin Jafar (AS) ke pass bhaija aur usey Sulha ki dawat di. Mohammad bin Jafar (AS) ne sulah se inkaar kia aur jang ke lie aamada ho gaya, to Haroon ne lashkar bhaija yahan tak ke us ne Mohammad

Page 57: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[56]

ka talibeen ke sath us pahar main, ke jis main unho ne par’ao dala tha mohasira ker lia aur teen din tak mohasira raha. Jis ki wajah se un ka pani aur khana khatam ho gaya. Mohammad ke sathi us se dastbardar ho ker us se juda ho gaye aur majburan Mohammad rida aur naalain pehn ker Haroon bin Musayyab ke khaima main chala gaya aur us se apney ashaab ki aman chahi. Us ne inhen amaan dedi. Aik dusri riwayat main Haroon ki jagah Eisa Jalodi ka zikar hay. Khulasa ye ke Talibeen ko qaid ker ke aesi mehmilon main ke jin ke nechy koi gadda nahi tha, sawar ker ke Khurasan bhaij dia. Jab Khurasan main dakhil howe to Mamoon ne Mohammad bin Jafar (AS) ki Izzat o tauqeer ki aur inaam se bhi nawaza aur wo Mamoon ke pass hi raha yahan tak kay Khurasan main wafat payi aur Mamoon us ki tashii e Janaza ke lie bahir aya aur us ka janaza utha ker qabar tak le gaya aur khud us per namaze janaza parhi aur lehad main litaya pas qabar se bahir aya aur tawaqqof kia yahan tak ke usey dafan kia gaya. Baaz logo ne kaha: Aey Ameer! Aj Aap ne apney aap ko thakawat main daal dia behtar hay ke aap sawar ho ker ghar tashreef le jaye. Kehne laga: Ye maira rishtedaar hay ke ab do (2) saal hogay hain is rishtedari ko munqata’ howe. Phir Mohammad ke qarz ada kiay jo ke tees (30) hazar deenar ke qareeb thay.

Tareek-e-Qum main manqool hay ke Mohammad Deebaj ne Jurjaan main us waqt wafat pai, jab (203 Hijri)

Page 58: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[57]

main Iraq ki taraf ja raha tha. Aur Mamoon ne us ki namaz-e-janaza parhaye aur Jurjaan main usey dafan kia aur Abdullah bin Hassan bin Abdullah bin Abbas bin Ali ibne Abi Talib (AS) aur baqi Alawiyyeen ne Mamoon ka is wajah se shukria ada kia. Muallif farmatey hain ke mujh tak ye baat pohchain hay ke Abul Qasim Ismael bin Iebaad ne (374 Hijri) main us ki qabar per imarat banwaye thi.

Sheikh Sudooq (RA) ne Hazrat Abdul Azeem Hasani se, Unho ne apney Jadde Amjad Ali bin Hasan bin Zaid bin Hasan bin Ali ibne Abi Talib (AS) se riwayat ki hay ke wo kehtey hain ke mujh se Abdullah bin Mohammad bin Jafar (AS) ne apney baap se, unho ne apney Jadde Buzurgwaar Imam Jafar-e-Sadiq (AS) se hadees bayan ki ke Imam Mohammad Baqir (AS) ne apni aulad ko jama kia aur un main un ka Chacha Zaid bin Ali (AS) bhi shareek tha. Us waqt Aap (AS) ne un ke samney aik kitab nikal ke jo Ameer-ul-Momineen ke hath ki likhi hui aur Rasoole Khuda (SAWW) ki likhwaei hui thi ke jis main hadees Loh-e-Asmani likhi hui thi ke jis main Ousia wa Paighambar ki tasreeh maujood thi. Us riwayat ke aakhir main Hazrat Abdul Azeem ne farmaya:

ه ع لمحمد بن العجب كل العجب ذا و ليه السالم يـقول هك جعفر و خروجه إذ مسع أ حيكيه.

Page 59: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[58]

Tajjub aur bohat tajjub hay Mohammad bin Jafar (AS) ke khurooj kernay per bawujood is ke ke us ne Hadees-e-loh apney baap se suni thi aur khud usey bayan bhi kia hay.

5. Abbas bin Jafar (AS)

Abbas bin Jafar (AS) aik mard-e-Jaleel aur fazil wa aqalmand shakhs thay.

6. Ali bin Jafar (AS)

Ali bin Jafar (AS) Syed Jaleel-ul-Qadar, Azeem-us-Shaan, Shadeed-ul-Wara (In�hai Parhezgaar), Aalim-e-Kabeer, Masomeen ki Ahadees ko naqal kerne waley aur Sahib-e-Fazl shakhs the aur Imam Mohammad Taqi (AS) balkey sahib umda Talib ke qoul ke mutabiq Imam Ali Naqi (AS) ke zamaney tak zinda rahey aur Hazrat (AS) ke zamaney main wafat pai aur hamesha apney bhai Imam Musa Kazim (AS) ke sath wabista rahey aur Anjanab se maalim-e- deen akhaz kiye aur inhei ki barakaat main se hay Kitab-e-Masail-e-Ali bin Jafar (AS), Jo dastaras main hay, Jisay Allama Majlisi (RA) ne bihar ki chothi jild main naqal kia hay. Khulasa ye ke Aap ki jalalat, shaan is se ziada hay ke yahan bayan ho sakey aur tamam Ulama-e-Rijaal me in ki bohat tareef ki hay.

Sheikh Kashi (RA) kehtey hain ke aik dafa aik tabeeb chahta tha ke Imam Mohammad Taqi (AS) ka

Page 60: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[59]

fasad kholay, jab is ne nishtar Aap (AS) ke qareeb kiya taakay rag kaatey to Ali bin Jafar (AS) nazdeek aay aur kaha:

ة احلديد يب سيدي يـبدأين لي قـبلك كون حد

Ke Aey Aqa pehly meri fasd kholay, jab nishtar ki taizi aur hiddat mujh per asar karegi to Aap (AS) ko takaleef nahi daiga. Jab Hazrat (AS) janay kay lie kharay howe to Ali bin Jafar (AS) uthey aur Hazrat (AS) ke jootay seedhay kerke aap ke samnay rakhay, halankey Ali bin Jafar (AS) us waqt san raseeda buzurg thay aur Imam Mohammad Taqi (AS) ki jawani ki ib�da thi.

Sheikh Kulayni (RA) ne Mohammad bin Hasan bin Ammar se riwayat ki hay jis nay das (10) saal tak Madina main Ali bin Jafar (AS) ki khidmat main raha aur un se wo ahaadees akhaz kerta tha jo unho ne apney bhai Hazrat Abul Hasan Imam Musa Kazim (AS) se suni thi aur main unhain likhta tha. Aik dafa main un ki khidmat main tha kay Imam Mohammad Taqi (AS) Masjid-e-Nabawi (SAWW) main dakhil howe. Jesay hi Ali bin Jafar (AS) ki nigah Hazrat (AS) per pari to be-ikh�ar apni jagah se kharey ho gaye aur joota pehny aur rida daaley bagair Hazrat (AS) ki taraf dorain aur un ke hathon ke bosay lie aur un ki tazeem o takreem ki. Imam Jawwad (AS) ne farmaya: Aey mere chacha kay baitay! Khuda Aap per reham karey. Aap baith jain, Ali bin Jafar (AS) ne jawab main kaha: Aey mere Syed o Aaqa! Main kis tarah beth

Page 61: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[60]

jaun jab ke Aap (AS) abhi kharey hain. Pas Ali bin Jafar (AS) Hazrat (AS) ki khidmat se rukhsat howay aur apni majlis main aakar bethay to un ke sathiyon ne unhay sarzanish ki aur kehnay lagey ke Aap is tarah in ke sath sulook kartey hain jab ke Aap un ke baap kay bhi chacha hain. Ye sun ker Ali bin Jafar (AS) ne kaha:

ل هذه الشيبة و أهل هذا ا عز و جل و قـبض على حليته مل يـؤه لفىت و اسكتوا إذا كان ا مم له عبد.وضعه حيث وضعه أنكر فضله نـعوذ ا تـقولون بل أ

Khamosh hojao aur apni reesh-e-mubarak ko pakra aur kaha ke jab Khudawande Aalam ne Mujhey is darhi ke bawujood Imamat ka Ahal nahi banaya aur us naujawan ko imamat ka Aahl qarar dia hay aur Imamat ko wahan per rakha jahan rakhna chahiye tha to kia main us ke fazal ka inkar karun?! Main Khuda se panah mangta hun us cheez se jo tum kehty ho balkay main to us ka ghulam hun.

Muallif farmatey hain ke in do (2) hadeeson se maloom hota hay ke ye buzurgwaar kis qadar apney zamaney ke Imam ki marifat rakhtey thay. Pas yehi in ke fazal aur sharf ke lie kafi hay. Un buzurgwaar ki qabar mushtaba hay ke aya Qum main hay ya Muqam-e-Areez main jo Madina se aik farsakh per hay aur un ki milkiyyat aur un ki aulad ki jay-e- reehaish thi aur hum ne Hadyat-uz-Zaireen main jo kuch us muqam se mutalliq hay, usey bayan kia hay, wahan rujooh kia jaye.

Page 62: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 63: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 64: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[63]

7. Ali Areezi

Sahib-e-Roza-tu-Shohada ne likha hay ke Ali Areezi ke jin ki Kunyat Abul Hasan thi, Ye buzurg aalim thay. Bachpan main baap se juda ho gaye aur apnay bhai Imam Musa Kazim (AS) se ilm seekha aur un ki nisbat Areez ki taraf hay aur wo aik dehat hay, Madina se chaar (4) meel ke faslay per aur un ki kahin auladien hain jinhen Areezion kaha jata hay aur un ki nasal chaar (4) beton se hay Mohammad, Ahmed Sha’rani, Hasan aur Jafar.

Aanthwi Fasal: Hazrat Sadiq (AS) Ke Chand Buzurg As’haab Ka Tazkira

1. Aban bin Taglub:

Aban bin Taglub Koofa ke rehnay waley aur aal Bakr bin Wa’il se hain aur siqa wa jaleel-ul -qadar shakhsiat hain. Majalis-ul-Momineen main hady ke Aban Qari-eQuran aur Quran Majeed ki tamam qiraaton ko un ke dala’il ke sath jantey thay aur un ki aik alag qirat bhi hay jo Qurra ke darmian mash’hoor hay aur ilme Tafseer, Hadees, Fiqh, Lugat aur nahw main apney zamaney ke ustaad thay aur Kitabe Ibne Dawood main mazkoor hay ke inho ne teen hazar ahadees Imam Sadiq (AS) se hifz ki hain aur un ki bohat si tasaneef hain maslan Tafseer-e- Gareeb ul Quran, Kitabe Fazail, Kitabe Ahwale Siffeen

Page 65: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[64]

aur deegar is qisam ki aur kitabien aur “khulasa” ma mazkoor hay ke Abaan hamaray ashaab ke darmian siqa, jaleel ul qadar aur azeem ul martabat hain. Imam Zain ul Abideen (AS), Imam Mohammad Baqir (AS) aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki sohbat ka sharaf hasil kia aur un Hazrat ki khaas tawajuh se faizyab ho.

Hazrat Imam Mohammad Baqir (AS) ne un se farmaya:

.ن يـرى يف شيعيت مثلكفإين أحب أ الناس مسجد المدينة و أفت يف جلس ا

Masjid-e-Nabwi main beth jao aur logo ko fatwa do. Main pasand karta hun ke hamarey shion ke darmian tum jaisy ashkhaas ko dekha jaye.

Aur dosri riwayat main Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne Aban se farmaya:

أن يـروا يف شيعتنا مثلك. ينة فإين أحبجالس أهل المد

Ahle Madina ke sath munazira karo main pasand karta hun ke tum jesa shakhs hamarey shion main dekha jaye.

Aban ne Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke zamaney main wafat pai. Jab Aap (AS) ko Aban ki wafat ki khabar mili to Aap (AS) ne un ke lie duain rehmat ki aur qasam khaa ker farmaya:

ن. لقد أوجع قـليب موت أ أما و ا

Page 66: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[65]

Allah ki qasam Aban ki maut nay mairay dil ko takaleef o dard main mub�la ker dia hay.

Aban ki wafat (141 Hijri) main hui aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne unhain un ki wafat ki khabar di thi. Sheikh Najjashi (RA) ne riwayat ki hay ke jab Aban Madina main jata to log us se hadees sunnay aur masail ka is�fada ker ne ke liye hujoom ki soorat main Masjid main dakhil hotey aur siwaye Masjis ke us sutoon ke, ke jisey Aban ke lie khaali chor detey the aur dusri koi jagah khali nahi reh� thi.

Aur isi tarag Abdur Rehman bin Hajjaj se riwayat ki hay. Wo kehta hay ke aik din main Aban ki majlis main tha ke aik shakhs darwazey se aya aur us ne pocha ke aey Abu Saeed! Mujhey batao Rasoolallah (SAWW) ke ashaab main se kitney afrad ne Hazrat Ameer ul Momineen (AS) ka sath dia? Aban kehne lagay goya tu Ali (AS) ki fazilat ashaab Rasool (SAWW) ki buniyad per parakhna chahta ho, jinhon ne Ameer ul Momineen (AS) ka sath dia? Wo shakhs kehne laga mera maqsad to yehi hay. To Aban ne kaha:

ال إ م ه ل ض ا ف ن فـ ر ا ع م هللا و ه إ م ه اع ب ت

Khuda ki qasam hum Sahaba ko sahibe fazilat hi nahi samajhtey magar unhen jinho ne Ameer ul Momineen ki i�bah ki.

Page 67: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[66]

2. Ishaaq bin Ammar Serafi Koofi

Ishaaq bin Ammar Serafi Koofi jo Imam Sadiq (AS) aur Imam Musa Kazim (AS) ke ashaab main se tha, Ulama-e-Rijaal ne us ke haq main kaha hay ke wo hamarey asahaab ka sheikh aur siqa hay aur us ke bhai Younus, Yousuf aur Ismael shion ka aik buzurg khandaan hay aur us ke bhateejay Ali, Basheer aur Ismael ke bete sahibaan-e-hadees ki naamwar shakhsiaat main se the aur riwayat hay ke Imam Jafar Sadiq (AS) jab Ishaaq aur Ismael, Ammar ke do (2) beton ko daikhty to farmatey:

نـيا و اآلخرة يـعين و قد جيمعهما ألقـوام الد

Khudawand Aalam kabhi kuch logo ke lie dunia aur aakhirat ko jama ker deta hay.

Aur Ammar bin Hayyan se riwayat hay wo kehta hay ke jab main ne Hazrat Sadiq (AS) ko apney bete Ismael ka mere sath naiki aur ehsan kerna bataya to farmaya main usey dost rakhta tha aur ab mujhey us se ziada mohabbat ho gaye hay.

Mukhtasir ye ke ulamay-e-rijaal, Sheikh Toosi (RA) ki kitab Alfahrist main sarahat ki wajah se Ishaaq ko fatehi-ul-mazhab samajhtey thay aur us wajah se uski hadees ko moassiq shumar kartey the. Yahan tak ke nobat Sheikh Bahai (RA) tak pohanchi to unho ne Ishaaq bin Ammar nam ke do (2) afrad qarar diye. Jin main se

Page 68: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[67]

aik Imami siqa jo Rijal-e-Najjashi main aur dosra fatahi siqa jo Rijal-e-Sheikh main hay aur un dono main farq in ke jad ke naam se qarar dia hay. Ishaaq bin Ammar bin Hayyan ko Imami kehty hain aur Ishaaq bin Ammar bin Musa ko fatahi kehty hain. Lehaza sanad main is farq ki taraf rujooh kia jaye taakay maloom ho ke un main se kon hay aur phir ulama ka amal isi per raha. Allama Tabatabai Behr-ul-Uloom (RA) ke zamaney tak un buzurgwaar ne aese qarain talash kerlie jin se Ishaaq bin Ammar aik hi shakhs sabit hota hay aur wo bhi siqa aur Imami mazhab hay aur hamarey Sheikh Allama Noori (RA) nay bhi isi qoul ko ikh�ar kia hay. WALLAH O Aalam.

3. Burair bin Muawiyah A’jali

Burair bin Muawiyah Ajali jin ki kunyat Abul Qasim hay, Aaima (AS) ke ashaab main mash’hoor fuqaha main se siqa wa jaleel ul qadar shakhsiyyat thay. Imam Mohammad Baqir (AS) aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke khaas ashaab main se the aur Aaima-e-Masoomeen (AS) ke nazdeek khaas muqam wa martaba rakhtey the. Burair bin Muawiyah Ashaab-e- Ijmaa’ main se aik hain.

Imam Sadiq (AS) ne farmaya:

د األرض و أعالم معاوية و ليث بن البخرتي الدين أربـعة: حممد بن مسلم و بـريد بن أو المرادي و زرارة بن أعني.

Page 69: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[68]

Zameen ke autad (Sutoon) aur deen ke ulama chaar (4) afraad hain:

1) Mohammad bin Muslim 2) Burair bin Muawiyah 3) Lais bin bakhtari Muradi 4) Zurarah bin Aa’yun

AIk aur hadees main un afrad ke haq main farmaya:

دق هؤالء السابقون السابقون أولئك الم لص لقسط هؤالء القوالون .ون قرب هؤالء القوامون

Ye afrad adal qaaim kerne waley, bohat ziada sach kehne waley, yehi sabqat kerne waley sabiqoon hain aur yehi Allah ke muqarribeen main se hain.

Aur neez farmaya:

ر المخبتني جلنة بـريد بن بش معاوية بصري ليث بن البخرتي المرادي و حممد العجلي و أ على حالله و حرامه، لو ال هؤالء انـقطع ر بن مسلم و زرارة، أربـعة جنباء أمناء ا ت آ

.النبوة و اندرست

Mukhbiteen (Chup ker deen ki khidmat kerne walon) ko bahisht ki basharat do aur in chaar (4) afrad ke naam liay. Phir farmaya ye chaar (4) aadmi Nujaba (ba-fazal o ba-sharafat) hain. Allah ke halal o haram per Allah ke ameen hain. Ager ye na ho to aasaar nabuwwat munqateh hojatey aur shariyyat nabood hoja�.

Page 70: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[69]

In ki wafat (150 Hijri) main waqay hui. Allah un per reham farmaye aur un ka beta Qasim bin Yazeed bhi siqa aur Hazrat Sadiq (AS) ke ravion main se hay.

4. Abu Hamza Sumali

Abu Hamza Sumali ka ism-e-girami Sabit bin Deenar hay. Siqa wa Jaleel ul qadar, Zuhaad Shazan se riwayat hay ke wo kehta hay ke may ne aik siqa se suna, wo kahtay hay ke may ne Imam Raza (AS) ko farmatay howe suna:

احلسني و أربـعة علي بن أنه خدم مناأبو محزة الثمايل يف زمانه كسلمان يف زمانه، و ذلك بن جعفر عليهم السالم، و يونس حممد بن علي و جعفر بن حممد و بـرهة من عصر موسى

يف زمانه. يف زمانه كسلمان الفارسي

Abu Hamza Sumali apnay zamanay main isi tarah thay jese Salman-e-Mohammadi apnay zamaney main aur ye is wajah se hay ke Abu Hamza ne hum main se chaar (4) afrad ki khidmat ki hay, Ali bin Hussain, Mohammad bin Ali, Jafar bin Mohammad (AS) aur kuch zamana Musa bin Jafar (AS) ki. Aur Younus bhi apnay zamanay ke Salman thay.

Aur riwayat hay kay aik dafa Imam Jafar-e-Sadiq (AS) nay Abu Hamza ko bulaya, jab hazir howe to un se farmaya: إذا رأيـتك ألسرتيح إين Main jab tujhay daikhta hun aram wa sukoon mehsoos karta hun.

Page 71: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[70]

In ki wafat (150 Hijri) main waqay hui. Un ki beemari ke dino may Abu Baseer, Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki khidmat main aay to Hazrat (AS) nay Abu Hamza kay halaat pochay. Abu Baseer ne kaha wo beemar hain farmaya:

فأقـرأه مين السالم و أعلمه أنه ميوت يف شهر كذا يف يـوم كذا إذا رجعت إليه

Jab wapis jao to meri taraf se usey salam pohanchana aur ye bhi kehna ke falan maah, falan din tumhaari wafat hogi.

May ne arz ki qurban jaaon Khuda janta hay ke hum Abu Hamza se uns rakhtey hain aur wo Aap (AS) ke shion main se hay. Farmaya: sach kehty ho lekin jo kuch hamarey pass hay wo tumharey lie behtar hay. Main ne arz ki kia Aap (AS) ke shia Aap (AS) ke sath hon ge? Farmaya:

و نبيه و تـوقى الذنوب، فإذا هو فـعل كان معنا يف درجتنا راقب إن هو خاف ا

Agar wo Allah ka khof rakhain aur us ke Nabi ka pass karen aur gunahon se bachain Pas jab is per amal karen to hamarey sath hamarey martaba per hongay.

Syed Abdul Kareem bin Taoos ne Farahat-ul-gari’ main riwayat ki hay ke Imam Zain-ul- Abideen (AS) Koofa tashreef lay to Masjid-e- Koofa main tashreef lay gay aur masjid main Abu Hamza mojood thay jo ke zohhaad wa

Page 72: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[71]

Mashaaikh-e-Koofa main se thay. Pas Hazrat (AS) ne do (2) rakat namaz parhi. Abu Hamza ne kaha ke main ne is se ziada umda lahja nahi suna tha. Main qareeb gaya taake sunon Aap (AS) kia keh rahey hain. May ne suna ke keh rahay hain:

قـرار بوحدانيتك األشياء إليكد أطعتك يف أحب فإين ق قد عصيتك كان إهلي إن اإل

Aey Ma’bood! Agerchay main ne teri ma’siyat ki lekin is cheez main teri ita’at bhi ki jo tere nazdeek sab se ziada mehboob hay aur wo teri wehdaniat ka iqrar hay. Ye mash’hoor dua hay. Phir Aap (AS) uth ker chaley gaye. Abu Hamza kehtey hay ke may Manake Koofa tak un ke peechy gaya aur wo aesi jagah thi ke jahan log ount bithatey thay. Wahan aik siyah ghulam tha jis ke pass aik ount aur ountni thi. May ne us se pucha: Aey shakhs! Ye has� kon hain? To us ne kaha: Kia un ki shakal o soorat aur mahasine mubarak tujh per makhfi hain?! Ye Ali bin Hussain (AS) hain. Abu Hamza kehty hain ke may ne khud ko un ke qadmo per gira dia aur un ke bosay lie to Aap (AS) ne apney hath se mera sir buland kia aur farmaya:

عز و جل ا يكون السجود محزة إمن أ .ال

Aesa na karo kion ke sajda Khuda ke ilawa kisi ke lie nahi jachta. Main ne arz ki aey Farzande Rasool (SAWW)! Aap (AS) ka ana kese hua? Farmaya:

Page 73: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[72]

ما رأيت و لو علم الناس ما فيه من الفضل ألتـوه و لو حبوا

Us cheez ke lie jo tu ne dekhi hay (Yani Masjid-e- Koofa main namaz parhney ke lie) Ager logo ko is ki fazeelat maloom hojaye to wo us ki taraf aye agerchay unhain bachon ki tarah ghutno ke bal chal ker ana parey.

Phir Farmaya: Kiya mairay sath chal ker mere Jadde buzurgwaar Ali ibne Abi Talib (AS) ki ziarat karna chahtey ho? Main ne arz ki jee han. Pas Aap (AS) sawar howe aur main Aap (AS) ke naqa ke saya main chal raha tha aur Aap (AS) mujh se baatain kartey jaatey thay. Yahan tak ke hum Grii tak pohanchey aur wo safaid jagah thi ke jis ki roshni chamak� thi. Pas Aap (AS) apney naqa se utrey. Apney dono taraf ke rukhsaron ko us zameen per rakha aur farmaya:

محزة هذا قرب جدي علي بن أيب طالب رة أوهلا السالم على اسم عليه السالم أ مث زاره بز الرضي و نور وجهه الم إىل الكوف ء مث ودعه و مضى إىل ال ضيا ةمدينة و رجعت أ

Aey Abu Hamza! Ye mairay Jad Ali ibne Abi Talib (AS) ki qabar hay phir Hazrat (AS) ne wo ziarat parhi jis ki ib�da ye hay ke:

الرضي و ء نور وجهه المضي السالم على اسم ا

phir us qabare mutahhar se rukhsat howe aur Aap (AS) Madina ki taraf chaley gaye aur may Koofa ki taraf laut aya.

Page 74: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[73]

5. Hamran bin Aa’yun Shaibani

Hamran bin Aa’yun Shaibani ke bhai jo ke Imam Mohammad Baqir (AS) aur Imam Jafar-e- Sadiq (AS) ke khaas ashaab main shumar hotey thay. Jin ke baarey main Imam Mohammad Baqir (AS) ne farmaya:

نـيا و اآلخرة أنت لنا شيعة يف الد

Tu dunia wa aakhirat main hamarey shion main se hay.

Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne un ki maut kay baad farmaya: اؤمن م هللا و ات م Khuda ki qasam wo halat-e-ieman main mara hay.

Riwayat hui hay ke jis waqt Zurara jawani ke aalam main the jab ke abhi un ki darhi bhi nahi aye thi, Hijaz ki taraf gaye aur Maidane Mina main Hazrat Imam Baqir (AS) ka khaima dekha. Jab khaimay main dakhil howe to dekha is khaima ke atraaf main kuch log bethey hain aur sadre majlis khali chor rakhi hay aur aik shakhs us ke aik konay main betha hijamat karwa raha hay. Main ne dil main kaha ke yehi Hazrat Baqir (AS) hon ge. Main un ki taraf gaya aur salam kia. Unho ne salam ka jawab dia. Main un ke samney beth gaya aur hajam bhi un ke sir ke peechy tha. Farmaya: Aa’yun ki aulad main se ho? Main ne arz ki jee han. Main Zurara, Aa’yun ka beta hun. Farmaya: Tujhay shabahat ki wajah se main ne pehchana hay. Phir farmaya: Hamaran haj ke lie aya

Page 75: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[74]

hay? Main ne arz ki nahi alba�a Aap (AS) ko salam bheja hay. Farmaya:

دثت احلكم إنه من المؤمنني حقا ال يـرجع أبدا، إذا لقيته فأقرئه مين السالم! و قل له مل ح ث حتدثه و أشباهه مبثل هذا احلديث ون ال بن عتيبة عين أن األوصياء حمد

Wo haqeeqi momineen main se hay, jo kabhi apney ieman se nahi paltega. Jab us se molaqat karo to mera salam usey pohanchana aur us se kehna kiun to nay Hakam bin Utaba se meri taraf ye hadees bayan ki hay ke Malaik Osiya se baa�en kartey hain? Hakam aur is jese logo ko aesi ahadees na batao.

Dosri riwayat main hay ke Imam Jafar-e- Sadiq (AS) ne Bukair bin Aa’yun se Hamran ke halat puchey. Bukair ne arz ki ke Hamran is saal haj kay lie nahi aya agerchay usey bohat shauq tha ke Aap (AS) ki khidmat main hazir ho. Lekin us ne Aap (AS) ki khidmat main salam kaha hay. Hazrat (AS) ne farmaya: Tujh per aur us per salam ho. Phir farmaya:

ال ختربهمحران مؤمن من أهل اجلنة، ال يـرب أبدا ال و ا و ا

Hamran momin hay aur Ahle Jannat main se hay jo kabhi shak main mub�la nahi hua, Allah ki qasam kabhi nahi. Lekin us ko ye baat na batana.

Khulasa ye ke Hamran ki madah main bohat si riwayat hain aur Hasan bin Ali Yaqteen ne apney

Page 76: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[75]

mashaikh se riwayat ki hay ke Hamran, Zurara, Abdul Malik, Bukair aur Abdur Rehman, Aa’yun ke ye tamam baitay sahi aqeeda per baqi rahey aur un main se chaar (4) afraad ne Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke zamaney main wafat pai aur Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke ashaab main se thay aur Zurara Imam Musa Kazim (AS) ke zamaney tak zinda rahey aur un se mulaqat bhi ki aur kaha gaya hay ke Hamraan ka shumar tabieen main hota hay. Is wajah se ke wo Abu Tufail Aamir bin Wasila se riwayat karta hay aur wo ashaabe Rasool (SAWW) main se aakhri shakhs hay ke jis ne ashaabe Rasool (SAWW) main se sab se akhir main wafat paye.

Riwayat hay ke Hamran jab ashaab ke sath beth’ta to musalsal Aale Mohammad (SAWW) se riwayat bayan karta. Pas wo Aale Mohammad (SAWW) ke ilawa kisi aur se koi cheez bayan kartey to un ko Ahlebait (AS) ki Ahadees ki taraf paltata aur teen martaba aesa karta ager wo is haal per baqi rehtay to wahan se uth khara hota aur chala jata.

6. Zurara bin Aa’yun Shibaani

Zarara bin Aayun Shibaani jin ki jalalat e shaan aur azeem manzilat is se ziada hay ke bayan ho sakey. Un main ilm, fazal, dianat, aur wasaqat jesi tamam sifaat jama thi. Sadiqain (AS) ke khaas ashaab main se the aur ye wohi hain ke Younus bin Ammar ne jin se baray main Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki khidmat main hadees naqal ki

Page 77: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[76]

hay ke jo us ne Hazrat Baqir (AS) se naqal ki thi to Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne farmaya:

.أما ما رواه زرارة عن أيب جعفر عليه السالم فال جيوز يل رده

Jo kuch Zurara ne Imam Baqir (AS) se riwayat ki hay ja’iz nahi ke hum usey rad Karen.

Aur riwayat hay ke Imam Sadiq (AS) ne Faiz bin Mukhtar se farmaya:

ذا اجلالس و أومى إىل رجل من أصحابه فسألت أصحابـنا عنه فإذا أردت حبديثنا فـعليك . فـقالوا زرارة بن أعني

Jab hamari hadees hasil kerna chaho to us bethey howay shakhs se akhaz karo aur Aap (AS) ne apney ashaab main se aik shakhs ki taraf ishara kia. Faiz kehta hay jab main ne us shakhs ke baarey main pucha to kaha ye Zuara hay.

Aur Hazrat (AS) hi se marwi hay ke Zurara ke mutaaliq farmaya:

.و ال زرارة لظننت أن أحاديث أيب عليه السالم ستذهب ل

Ager Zurara na hotay to mujhey guman tha ke mere walid (Imam Baqir (AS)) ki Ahadees zaya hoja�.

Neez riwayat hay ke aik dafa Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ne Zurara se farmaya:

Page 78: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[77]

و زرارة إن امسك يف أسامي أهل اجلنة بغري ألف، قـلت نـعم جعلت فداك امسي عبد ربه لكين لقبت بزرارة.

Aey Zurara! Tumhara naam Ahle bahisht main Alif ke bagair hay. Kehne laga Jee han. Aap (AS) per qurban jaun. Mera naam Abdurabaih hay lekin Zurara ke sath mulaqqib hua hun.

Aur Zurara se naqal hua hay:

حلرف من جعفر بن حممد عليهما الس .أمسع و ا الم من الفتيا فأزداد به إميا

Deeni Masail main aik harf jo Jafar bin Mohammad (AS) se sunta hun to mere eiman main izaafa hojata hay.

Aur Ibne Abi Umair se jo ke fuzlaye shia main se hay, manqool hay ke aik dafa us ne Jameel bin Durraj se kaha jo ke Aaazime fuqaha wa Muhaddiseene Shia main se hay, ke aap ka dars kitna acha hay aur aap ki majlis kitni zaiba hay. Ye sun ker Jameel bin durraz ne kaha ke han lekin Khuda ki qasam ke hum Zurara ke dars main aese baith’tay the ke jese �fle maktab muallim ke pass betha ho.

Abu Galib Zarari ne jab apney potay Mohammad bin Abdullah ke lie aik khat likha to farmaya ke riwayat hui hay ke Zurara waseem wa jaseem shakhs aur nihayat ghaura tha aur jab Namaze Juma ke lie jata to us ke sir per topi aur peshani per sajda ka nishan hota, hath main

Page 79: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[78]

asa rakhta tha aur log us ki hashmat o azmat ka lehaz rakhtey the, log saf basta ho ker us ka husn, haibat aur jamal dekhty aur jadal o mukhasimat, ilme kalam main mukammal im�az rakhta tha aur kisi shakhs main ye qudrat nahi thi ke usey munazray main maghloob karey magar ye ke kasrate Ibadat nay usey munazira kerne se rok dia tha aur mutakallimeene shia us ki shagirdi ki lari main the. Sa�ar (70) ya nawway (90) saal zinda raha aur Aaale Aa’yun ke bohat fazail hain aur jo kuch un ke haq main riwayat hua hay us se ziada hay ke tumharey lie likhun.

Muallif kehta hain ke Zurara ki wafat Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki wafat ke do (2) mahiney ya us se kam arsay ke baad hui aur Zurara Hazrat (AS) ki wafat ke waqt beemar the aur isi beemari main rehlat ki. RahamAllah alaih.

Maloom rahey ke Aa’yun ka gharana bara buzurgwaar khandan hay aur un main se aksar afrad Ahle hadees wa fiqh wa kalam thay. Un se usool, tasaneef aur riwayat bohat naqal hui hain. Aur Zurara ki kai Auladain thi ke jin main se Raumi aur Abdullah bhi hain jo dono siqa rawion main se hain aur Hassan wa Hussain hain ke jin ke haq main Hazrat Sadiq (AS) ne dua ki aur farmaya:

و كألمها و رعامها و حفظهما بصالح أبيهما كما حفظ الغالمني أحاطهما ا

Page 80: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[79]

Khuda un dono ka ehata karey aur un dono ka nigehbaan wa muhafiz ho. Aur Allah un dono ki hifazat karey un ke baap ki achai ki wajah se ke jis tarah un ke baap ne un do bachon ki hifazat ki hay.

Aur Zurara ke bhai Hamran, Bukair, Abdur Rehman, aur Abdul Malik sab jaleel us shan thay. Hamran kay halat to guzar chukey hain aur Bukair wohi hay ke jisey Imam Sadiq (AS) ne in alfaz main yaad farmaya: Khuda Bukair tum per reham karey. Neez riwayat hay ke Bukair ki wafat ke baad Hazrat ne farmaya: Khuda ki qasam Khudawand Aalam ne usey us manzilat main utara hay jo us ke Rasool (SAWW) aur Ameer ul Momineen (AS) ke darmian hay aur us ki aulad dar aulad Ahle hadees hain aur Anjanab ke lie Shehre Damaygaan ke bahir buqaa’ aur mazar mash’hoor hay aur Abdur Rehman bin Aay’un wohi hay ke mashaikh ne us ki is�qamat ki gawahi di hay aur Abdul Malik bin Aay’un wohi hay ke Hazrat Sadiq (AS) ne us ke lie dua e rehmat ki aur Madina main apney ashaab ke sath ja ker us ki qabar ki ziarat ki hay aur Abdul Malik nujoom janta tha aur us ka beta Zarees bin Malik siqa rawion main se hay.

7. Safwan bin Mehran Jammal Asadi Koofi

Safwan bin Mehran Jammal Asadi Koofi jis ki kunyat Abu Mohammad hay wo bhi siqa aur Jaleel ul qadar hay. Hazrat Sadiq (AS) se riwayat hay ke us ne apna eiman o

Page 81: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[80]

ae�qaad Aaima (AS) ke baarey main Aap (AS) ke samney paish kia aur Hazrat (AS) ne us ka ae�qaad sunnay ke baad us ke haq main ye dua farmaye: RahamakAllah (Allah tujh per rehem farmaye) aur ye wohi hay ke jis ne apney ount Haroon Rasheed ko safar ke lie kiray per diye thay. Jab Imam Mosa Kazim (AS) ki khidmat main hazir hua to Hazrat (AS) ne farmaya: Teri har cheez achi hay siwaye teri aik cheez ke aur kiraya per us shakhs ko ount daina yani Haroon ko. Arz ki may ne safare ma’siyat wa lah wa lahab ke lie kiraye per nahi diye, balkey Makka ke rasta ke lie kiraye per die hain aur main khud bhi nahi tha balkey mera ghulam, Muaawiya un ke sath tha wohi un ko laykar gaya tha. Farmaya kiya tera kiraya un ke zimmay nahi tha? Arz kia kiun nahi. Farmaya: Kia tu un ki zindagi us waqt tal nahi chahta tha jab tak tera kiraya ada na karen? Kehne laga jee han. Pas farmaya:

هم و من كان منهم فـهو ورد النارفمن أحب بـقاءهم فـهو من

Jo un ki zindagi chahey wo un main se hay aur jo un main se ho wo un ke sath jahanum ki aag main dakhil hoga.

Safwan gaya aur apney sab ount bech diye. Haroon ko jab ye baat maloom hui to us se kehne laga ager tera husne sohbat na hota to me tujhey qatal ker deta.

Page 82: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[81]

Aur ye wohi Safwan hain jinho ne Ziarat e Arbaeen e Imam Hussain (AS), Hazrat Jafar-e-Sadiq (AS) se riwayat ki hay aur Ziarat e Warisa aur Dua e Alqama Maroofa jo Ziarat e Ashoora ke baad parhtey hain wo bhi inho ne Hazrat (AS) se naqal ki hay aur ye Safwan kahin dafa Hazrat Sadiq (AS) ko Madina se Koofa le ker aya hay aur Anjanab (AS) ke sath Ziarat Ameer ul Momineen (AS) se musharaf hua hay aur Hazrat (AS) ki qabar se achi tarah se mu�ala’ tha aur Kamil uz Ziarat main hay ke bees (20) sal barabar is turbat e mutahhar ki ziarat ke lie jata raha aur Hazrat (AS) ke qareeb apni namaz ada karta.

Safwan bin Mehran hi Siqa, Jaleel, Faqeeh, Nabeel, Sheikh ut Taa’ifa, Imamia Abu Abdullah Safwani ke jade amjad hain ke jis ne Saifuddula Hamadani ke samney Qazi e mosil ke sath imamat ke baarey main mubahila kia tha, jab Qazi us majlis se utha to usey bukhar ho gaya aur mubahila main jo hath us ne buland kia tha wo siyah ho gaya aur us per waram agaya aur dusrey din margaya.

8. Abdullah bin Abi Yafoor

Abdullah bin Abi Ya’foor siqa aur bohat jaleel ul qadar ashaabe aaimma aur Sadiqain (AS) ke hawarion main shumar hotey hain aur Hazrat Imam Sadiq (AS) ke pasandeeda afrad main se the aur Hazrat (AS) un se razi thay kiunke Hazrat (AS) ke maqam o ita’at aur im�saale

Page 83: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[82]

amr aur Hazrat (AS) ke qoul ko qubool kerne main bohat sabit qadam thay, jesa ke riwayat hay ke aik dafa Hazrat (AS) se arz ki: Khuda ki qasam! Ager Aap (AS) aik anar ke do (2) tukrey ker dain aur ke ye aadha halal hay aur aadha haram to main gawahi dunga ke jisey Aap (AS) ne halal kaha hay wo halal aur jisey Aap (AS) ne haram kaha hay wo haram hay. Ye sun ker Hazrat (AS) ne do (2) dafa farmaya: Khuda tujh per rehmat nazil karey.

Aur riwayat hay je Hazrat (AS) ne farmaya:

بن عليه فينا إال عبد ا أيب يـعفور.ما أحد أدى إلينا ما افرتض ا

Main ne koi aesa shakhs nahi paya jo meri wasiat qubool aur mairay amr aur hukum ki ita’at karey ga magar Abdullah bin Yafoor.

Aur ye wohi Shakhs hain ke jis ne apna deen Hazrat Sadiq (AS) ke samney pesh kia aur ye wohi hay ke jis ko Aap (AS) ne salam bhaija aur usey sach bolney aur amanat ada kerne ki wasiat ki hay. Behrhaal Hazrat Sadiq (AS) ke zamaney main ta’oon ke saal wafat paye aur us ki wafat ke baad Hazrat Sadiq (AS) ne Mufazzal bin Umr ko khat likha ke jo sara ka sara tareef aur Abdullah bin Yafoor ke pasandeeda hone se mutaalliq tha. Aaisay kalimat ke sath jo us ke itney jaleel us shan hone per dalalat kartey hain ke jis se aqal hairan hay, un kalimat main se kuch ye hain:

Page 84: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[83]

على روحه حممود األثر و رسوله قبض صلوات ا مشكور السعي مغفورا له مرحوما برضا ا صلی هللا عليه وآله و إمامه عنه، فوالديت وسلم ما كان يف عصر أحد أطوع من رسول ا

مامه منه ه إىل جنته و لرسوله و إل إليه برمحته و صري .، فما زال كذلك حىت قـبضه ا

Ibne Ya’foor ki rooh qabz ho chuki. Allah ki rehmat us ke shamil haal ho, jiske asaar qabil e tareef hain. Us ki koshish shukriya ki mustahiq hay. Usey baksh dia gaya aur us per rehem kia gaya. Wo Allah, us ke Rasool (SAWW) aur us ke Imam (AS) ki raza ke sath is dunia se gaya hay. Mujhey apney Rasool (SAWW) ki aulad hone ki qasam! Hamarey zamaney main us se ziada Khuda, us ke Rasool (SAWW) aur Imam ki ita’at kerne wala koi nahi tha. Pas wo isi tarah raha yahantak ke Khudawand Aalam ne apni rehmat se us ki rooh apni taraf qabz karli aur apni jannat ki taraf usey le gaya.

Khatima

Muallif farmatey hain ke munasib maloom hota hay ke ashaab e Hazrat Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ke halat ke zail main ye riwayat naqal karun aur is baab ko is riwayat per khatam karun. Manqool hay ke Hazrat Sadiq (AS) ka aik ghulam tha. Jab Hazrat (AS) sawar ho ker masjid jaatey to wo ghulam Aap (AS) ke hamrah hota aur jab Aap (AS) khachhar se payada ho ker masjid main dakhil hotey to wo ghulam us khachhar ki nigahbani karta yahantak ke Hazrat (AS) wapis lot’tay. I�faqan aik din wo ghulam masjid ke darwazey per betha tha aur

Page 85: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[84]

khachhar ki nigahbani ker raha tha ke Ahl e Khurasan ke chand musafir afrad main se aik ne us taraf rukh kerke kaha: Aey ghulam! kia tu chahta hay ke apney Aaqa Hazrat Sadiq (AS) se khuwahish karey ke wo mujhey teri jagah per qarar den aur main un ka ghulam hoker teri jagah per rahon aur main apna maal tujhey dedun aur mairay pass har qism ka bohat sa maal hay. Tu ja aur wo maal apney lie wusool kerle aur may teri jagah per reh jaun? Ghulam ne kaha main apney Aaqa se ye khuwahish kerta hun. Pas wo Hazrat Imam Jafar-e-Sadiq (AS) ki khidmat main hazir hua aur arz ki Aap (AS) per qurban jaun, jis taweel arsey tak main ne Aap (AS) ki khidmat ki hay wo Aap (AS) jantey hain. To ager Khuda koi khair mujh tak pohanchaye to Aap (AS) usey mana krengey? Farmaya: wo cheezain apni taraf se dunga aur apney gair se mana karunga.

Pas ghulam ne us mard e Khurasani ka waqia Hazrat (AS) se bayan kia. Hazrat (AS) ne farmaya: Ager tu hamari khidmat se be-ragbat hogaya hay aur wo shakhs hamari khidmat ki taraf ragib, to hum usey qubool kartey hain aur tujhey us ki jagah bhej detey hain. Jab ghulam ne pusht pheri to Hazrat (AS) ne usey bulaya aur farmaya ke teri taweel khidmat ki wajah se jo tu ne hamari ki hay tujhey aik nasihat karta hun phir tu apney kaam main mukhtar hay aur wo nasihat ye hay ke jab qayamat ka din hoga to Rasoole Khuda (SAWW) Noor e Khuda ke sath chimtay kharay howe honge aur Ameer ul

Page 86: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

[85]

Momineen (AS) wabasta ho ge Rasoole Khuda (SAWW) ke sath aur Aaimma (AS) wabasta hoge Ameer ul Momineen (AS) se aur hamarey shia hamarey sath chimtay howe honge. Pas wo dakhil ho ge us jagah ke jis main hum dakhil honge.

Ghulam ne jab ye suna to arz ki ke main Aap (AS) ki khidmat main rahunga aur main aakhirat ko dunya per tarjeeh deta hun aur ye keh ker us mard ke pass gaya. Us mard e Khurasani ne kaha aey ghulam! to Hazrat Sadiq (AS) ki khidmat se us kaifiat main nahi aya ke jis kaifiat main Aap (AS) ki khidmat main gaya tha?! Ghulam ne Hazrat (AS) ka kalam us ke samney naqal kia aur usey Hazrat (AS) ki khidmat main le gaya. Aap (AS) ne us ki wila aur mohabbat ko qubool farmaya aur hukum dia ke ghulam ko so (100) ashrafian di jayen.

Ye faqeer Abbas Qummi Hazrat (AS) ki khidmat main arz karta hay ke aey mairay Aaqa o Mola jab se main ne hosh sambhala hay khud ko Aap (AS) ke darwazey per daikha hay aur apney gosht o post ki parwarish Aap (AS) ki naimat e Kuda se ki hay. Raja e wasiq aur umeed e sadiq hay ke Aap (AS) is aakhri umr main meri nigahbani farmain ge aur apney us darwazey se mujhey dur nahi farmayain ge aur main zaban e zillat o i�iqar ke sath hamaisha arz guzar rahunga.

Page 87: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 88: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 89: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 90: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 91: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 92: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 93: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 94: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 95: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 96: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 97: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 98: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 99: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 100: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 101: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

A Project of GIT

Page 102: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

DD MM YY FEMALEMALE

Seerat-E-ImamJaffer Sadiq (AS)

Registra�on Form

Name:

Address:

Father/Husband Name:

Age:

Mobile No.: Email:

Gender:

Name:

Father/Husband Name:

Date of Receiving: C.Name:

May nay Kitabchay may diye gaye qawaid o zawabit ko parhliya hai aur In per aamal Karo’nga/Karo’ngi

Signature of Candidate Signature of Guardian

FOR OFFICE USE

Note:1. Nataij kay ailaan kay baad diye gaey waqt tak inamaat wasool na kiye gaey to idara zimmedaar na hoga2. Inamaat wusool karnay kay liye is SLIP ka lana lazmi hay.

Page 103: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 104: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

Jawab Nama

Page 105: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green

Han Nahi

30 40

Page 106: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green
Page 107: Gohar e Hikmat - publications.greenislandtrust.org filetarghib e mutalia’ ka ye silsila bhi aisi hi aik cho si koshish hay takay qoum main shouq e mutala’ ujagar kiya jaey. Green