ilm al-limiya (trees rituals & amliyat) part 2

Upload: jasrock143

Post on 04-Jun-2018

298 views

Category:

Documents


6 download

TRANSCRIPT

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    1/51

    ILM AL-LIMIYA (TREES RITUALS & AMLIYAT) PART: 2

    00:04 Kala Jadu No comments

    Ilm Al-limiya kay 1st part mein meinay kuch is ilm ki history kay mutalik likhaaur aab yahan mein aap say kuch ritual aur amliat kay mutalik share karon ga

    jis say aap sub ko malum hojay ga kay ilm Al-limiya kay zariay kistarah amliatkiay jatay hain,Trees yehni Darakhton kay mutalik meinay kafi kuch 1st part mein share kiahai aur aab yahan kuch mazeed knowledge aap say share karta hon,

    Aaj ki modern science nay yeh sabit kardia hai kay trees bhi humari tarah

    jandar hotay hain khatay peetay hain aur onko takleef bhi hoti hai agar onkokata jay, zamana e qadeem kay log aur olma e rohaniat ko is baat ka pehlaysay ilm tha kay trees bhi humari tarah jandar hain aur jistarah insan meinemotional feelings hoti hain jesay khushi mein khush hona, dokh mein dokhihona ya rona, hurt karnay par takleef hona same trees mein bhi emotionalfeelings hoti hain yahan tak kay agar koi insan onsay baatain karay wohbatain sontay aur samajtay bhi hain yeh baat shayad aap ko ajeeb lagaymagar yeh sach aur haqeqat hai, aur kafi logon ko yeh raaz malum hai magar

    jin logon ko malum nahi aur yakin nahi rakhtay is haqeqat ko onkay liay meinyahan kuch pesh karnay jaraha hon:

    http://books-novel.blogspot.in/2013/02/ilm-al-limiya-trees-rituals-amliyat.htmlhttp://books-novel.blogspot.in/search/label/Kala%20Jaduhttp://books-novel.blogspot.in/search/label/Kala%20Jaduhttp://books-novel.blogspot.in/2013/02/ilm-al-limiya-trees-rituals-amliyat.html#comment-formhttp://books-novel.blogspot.in/2013/02/ilm-al-limiya-trees-rituals-amliyat.html#comment-formhttp://books-novel.blogspot.in/2013/02/ilm-al-limiya-trees-rituals-amliyat.html#comment-formhttp://books-novel.blogspot.in/search/label/Kala%20Jaduhttp://books-novel.blogspot.in/2013/02/ilm-al-limiya-trees-rituals-amliyat.html
  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    2/51

    Isitarah ki kai Humaray Nabi pak(s.a.w) ki ahadees hain jis mein darakton nay

    aap(s.a.w) ka hokum mana aur aap(s.a.w) kay bolanay par woh zameen kocheer kar jaron ko ghaseet kar aap(s.a.w) kay pas ay,

    Arabic ki qadeem kitab "Ajaib Al-Makhlokat" mein darakton kay mutalik kafikuch likha hai kuch batain mein yahan share kar raha hon jo meinay urdutarjomay wali book say hasil ki hain woh yeh hain:

    Opar jo totka likha hai yeh aaj bhi gao(village) mein kisan log aksar kartayrehtay hain khud meray apnay gao mein bhi fruits kay darakton par yeh amalkartay hain jis say darakt khof say khob phal denay lag jata hai mein yahankuch images apnay gao ki share kar raha hon:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    3/51

    Opar image mein meray gao kay 2 kisan aak fruit kay darakt par wahi amalkar rahai hain, aak kisan jiskay hath mein kolhari hai woh darakt ko mar karkeh raha hai kay yeh darakt phal theek say nahi deta isliay isay bohat jald katlon ga dosra kisan jo hath bandhay khara hai woh kehta hai kay nahi yehdarakt bohat acha hai yeh zaror is saal phal ziada day ga is saal isay na katomaaf kardo magar kolhari wala kisan kuch zarbay darakt ko mar deta haighusay mein aur yeh zarbay darakt par kuch istarah lagi hoti hain:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    4/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    5/51

    Kisan ki dhamki aur zarbay lagnay say darakt itna khofzada hojata hai kaywoh phal ziada denay lag jata hai, yeh amal arab mein aksar log khajor kaydarakt par kartay thay aur aaj bhi yeh amal kia jata hai,

    opar jo meinay batain aap say share ki aap sub ko yakin agaya hoga kaydarakt mein humari tarah emotions bhi hotay hain aur woh humari bataon kosamajtay bhi hain, ilm limiya jannay walon ko yeh raaz malum hotay hain wohapnay ilm say in darakton say kafi faida letay hain amliat kartay hain, yeh subkistarah hota hai mein kuch yahan aap say share karta hon takay aap ko bhimalum hojay kay ilm limiya kistarah kam karta hai darakton kay amliatkistarah hotay hain,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    6/51

    Akash Bael:

    Akash bael aak ajeeb bael hai jo darakton ki dushman hoti hai aak bar kisidarakt par yeh chimat jay os darakt ka ark chosti rehti hai jis say darakt kucharsay mein pura complete sokh kar mar jata hai jab is bael ko darakt ka arknahi milta phir yeh apna khud ka ark chosnay lagti hai jis say khud bhi sokhkar mar kar fana hojati hai, kya khob kaha hai is baat par kisi nay kay "NaChain pay ga tu bhi zalim kisi ka khana kharab kar kay".Is ajeeb bael ko akash bael isliay kaha jata hai kay iska taluk zameen saynahi hota na to iski koi jarh hoti hai na patay yeh yellow dhagay ki tarah hotihai aur darakt kay opar he tezi say phelti rehti hai is waja say isay akash baelkaha jata hai, olma e rohaniat kay mutabik is bael mein jinnati asrat hotayhain, yeh darakt mein achanak apnay aap peda hoti hai darakt ko sokha karmar kar phir khud ko mar kar ghom hojati hai, olma e rohaniat nay is bael kaymutalik kafi amliat bhi likhay hain jo humay qadeem arabic books mein miltayhain, yeh bael itni khatarnak hai kay iska chota sa tokra aap lekar kisi haraybharay darakt par dal do to kuch arsay mein pura darakt yellow hojay ga yehzalim bael os lachar darakt ko ahista ahista chos kar sesakti mot day daygi,yeh bael wesay har darakt par cha jati hai magar 2 darakton ki yeh khas

    dushman hai aak kekar ka darakt dosra beri ka darakt, in 2 darakton par yehkhob barhti hai tezi say aur jesay kay mein pehlay bata choka hon is blog kay1st part mein kay beri ka darakt bohat khas aur muqadas hota hai aur agarberi kay darakt par say is bael ko hataya jay to os darakt ki rohaniat os insanki bhi help karti hai jo problems ka shikar hota hai,Mein yahan kuch apni photos akash bael ki share kar raha hon jo meinayapnay gao mein li thi:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    7/51

    Opar image mein kekar kay darakt kay sath mein khara hon aur os darakt kayopar akash bael pheli hoi hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    8/51

    Akash bael darakt ko khushk karnay kay baad khud bhi khushk hojati hai,khushk darakt aur bael ki image yeh hai:

    Ilm limiya jannay walay log isi bael kay zariay darakt say kafi faida othatayhain, agar yeh bael beri kay puranay darakt par ho ya kisi khas sacred daraktpar ho ya aysay darakt par jin mein asrat hon, kaboristan kay darakt ya kisi

    masjid ya mazar kay darakt par to is say kafi kam liay jasaktay hain, jesayagar koi shaks bohat shadeed bimar ho aur oska marz la ilaj ho doctors nay

    jawab day dia ho, to woh shaks apna ilaj aysay khas darakt jis par akash baelpheli ho os say karwa kar theek hosakta hai oska tarika istarah hai kay bimarla ilaj shaks aysay khas sacred darakt kay pas jay jis par akash bael ka kabzaho aur os darakt par hath rakh kar osay istarah kahai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    9/51

    "Mujay malum hai tum is bael ki waja say aziat mein ho, har din tumharay liayaziat bhara hota hai, tum ahista ahista sokh kar khatam hojao gay, mujaymalum hai tum lachar ho kuch kar nahi saktay jis say tum par say yeh bael kamarz dor hosakay, jistarah tum aziat mein ho aur lachar ho, bilkol sameisitarah mein bhi aziat mein hon apnay marz ki waja say har din meray liay

    takleef da hota hai mein bhi tumhari tarah ahista ahista mot kay mo meinjaraha hon, mein bhi tumhari tarah lachar hon apna marz dor nahi kar sakta,magar mujay jo Allah pak nay hathon ki salahiat di hai oski madad say meintum par mojod bael ko hata kar os say tum ko azad kar sakta hon bilkol sameisitarah Allah pak nay tum ko rohaniat say nawaza hai tum apni rohaniat saymeray marz ko dor kar saktay ho, hum dono he aziat mein hain agar humdono aak dosray say tawan karain to hum dono theek hosaktay hain, tummujay meri bimari ko apni rohani salahiat say dor kardo ya mujay dua karo,mein tum say wada karta hon agar mujay shifa mili to mein tum par mojod isbael ko hata kar tum ko is say azad kardon ga tum humaysha haray bharayraho gay aur mein bhi sahat mand rahon ga",is amal say bimar shaks kuch he dino mein theek hona shoro hojata hai,darakt mein mojod rohaniat os shaks ki madad karnay lagti hai, yeh aysatotka hai jisay sadio say logon nay poshida rakha aur aaj bhi ilm limiya jannaywalay log is raaz ko chopatay hain apnay tak he rakhtay hain,Isitarah aur bhi kai kam aysay majbor darakt say liay jatay hain jesay kisi kobimar karna wagayra, iska aak tarika qadeem arabic book mein Abu Al-hassan Qazwini farmatay hain kaboristan mein mojod puranay khas daraktpar akash bael ko dal kar yeh kehna hota hai kay "mein jis maksad kay liay

    tum ko is darakt par dal raha hon woh maksad tum ko pura karna hai" yehkehnay kay baad kuch arsay baad jab os darakt par jay gay to darakt parakash bael phel choki hogi aur phir dushman ka pehna kapra lekar 360 baraak khas wazaif parh kar phonka jata hai phir os kapray kay tokray tokray karkay akash bael ki taron mein on kapray kay tokron ko oljha kar phansa dia

    jata hai phir kuch dino baad jesay jesay darakt sokta jata hai wesay wesaydushman bhi kamzor hota chala jata hai, khana peena chor deta hai, dawai yamedicines bhi asar nahi karti woh shaks itna kamzor hojata hai kay kamzori kiwaja say oth aur bayth bhi nahi pata oski halat kuch istarah hojati hai jo isimage mein hai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    10/51

    aur jab darakt akash bael ki waja say pura sokh kar khatam hojata hai to wohinsan bhi bilkol kamzor hokar mar jata hai, agar on kapray kay tokron ko osdarakt aur akash bael kay soknay say pehlay nikal dia jay aur bael ko bhi osdarakt say hata dia jay to os shaks ki zindagi bach sakti hai, yeh amal bohatkhatarnak hai kuch logon ko is ilm ki malumat to hai magar woh os wazaif kitalash mein rehtay hain jo cloth par parh kar phonka jata hai isi khas wazaifkay asar say akash bael ki rohaniat ya moakil oska kam karnay par majborhojatay hain aur yahi cheez aysay na ahal logon say chopai jati hai takay koikisi mazlom ya bay gunnah par istarah ka amal na karsakay,Woh aurat jis par sakt bandish ki waja say oski shaadi na hoti ho rishtay ana

    band hogay hon, ya aysa shaks jis par bandish ki waja say job na milti ho, harkisam ki bandish dor karnay ka tarika yeh hai kay kisi beri ka darakt jo veeran

    jaga par ho aur os darakt par akash bael ka kabza ho os darakt par raat kaywaqat jakar bael ko darakt par say achi tarah hata kar darakt ko os say bilkolazad kar day phir darakt kay pas ghosal karay aur pehnay hoay kapray wahinotar kar dosray new kapray pehan kar ghar ajay, is amal kay kuch dino baadhar kisam ki bandish dor hojay gi,

    Arabic ki ak qadeem kitab mein qazi saad farmatay hain kay qaid e na haqkay shikar ka qaidi jo bay gunnah ho aur qaid mein ho oskay liay aysay sehraidarakt ko talash kia jay jis par akash bael ka kabza ho aur os darakt par jakarwazaif parhai aur darakt ko os qaidi ka mazi wa hal istarah bayan karay jesayadalat mein judge say kehtay hain aur phir yeh kahai kay agar qaidi azadhogaya to mein bhi tum ko akash bael ki qaid say azad kardon ga osay tumpar saaf kar kay phir khamoshi say wapis ajay theek 40 dino baad yeh amalapna asar dikhana shoro kar deta hai aur qaidi azad hojata hai,

    Akash bael aur bhi kai kamo mein use hoti hai jaysay muktalif amraz ya bimariki shifa kay liay, oska tarika yeh hai kay Allah pak ka nam lekar akash bael

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    11/51

    kay 3 ya 7 tar lay kar inhai kisi kekar kay darakt par dal day akash bael kaykhas wazaif ko 110 bar parh kar taron par phonk day aur phir is amal kay 3months baad os darakt par jakar dekhay to woh pura darakt akash bael sayghira hua milay ga, os darakt mein say hasb e zarorat akash bael ki taron kolay yeh aysay marizon kay liay shifa hai jo sehri ya jaadu kay asrat ki waja say

    tarah tarah kay la ilaj amraz ka shikar hojatay hain, aysa mariz jo sehar zadaho aur la ilaj hochoka ho charon taraf say mayous wa nakam hokar mot kayintazar mein ho aysay sehar zada mariz kay ilaj ka tarika istarah hai kayakash bael ko saaya mein khushk kar ka lain aur oska powder bana lay aur ispowder ko loban kay sath mix kar kay mariz ko iski dhoni denay say tamamkisam ka sehar wa jaado khatam hojata hai, sehar sata ay mariz kay liaytariak e kamil sabit hoga, mein aksar aysay amal karta rehta hon mera yehazmoda amal hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    12/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    13/51

    Husband aur wife jin kay darmian humaysha jhagra rehta ho, muhabatkhatam hogai ho, baat divorce tak pohanch gai ho jis say masoom bachon kafuture kharab hota ho to istarah ki problems mein bhi akash bael kay zariayhusband aur wife mein muhabat peda ki jasakti hai onka ghar tabha honaysay bachaya jasakta hai, iska tarika istarah hai kay akash bael jo darakt parho osay ghor say daykhain onkay tar 2 tarah say phelay hoay hon gay, aaktarah kay tar to bilkol seedhay left aur right ya opar neechay hon gay jab kay2nd kisam kay tar pej dar pej phelay hoay nazar ay ghay on mein 2 tara apasmein milay hoay hon gay, in khas taron ko lekar saaya mein khushk kar kaypowder bana lay aur akash bael ka khas wazaif os par 52 bar parh kar

    phonkay phir 1 week kay doran yeh powder kisi khanay ki chez mein 3 barkhila denay say husband aur wife mein shadeed muhabat peda hojay gi wohaak dosray kay bina reh bhi nahi pay gay aur onka tabha hota ghar bach jayga, apas mein milay hoay twin akash bael kay tar istarah hotay hain:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    14/51

    Akash bael aak jinnati asrat rakhnay wali khas bael hai iskay aur bhi kai amliathain jo sub yahan share karna munsib nahi mein aksar is khas bael saymuktalif kisam kay amliat karta rehta hon jis say kafi logon ko faida pohanchahai aur onko shifa mili hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    15/51

    Yeh to hoi baat akash bael walay darakhton ki aab mein kuch aur darakhton

    kay amliat aap say share karta hon,

    The Twin Trees:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    16/51

    Twin trees(jorwa darakt) yehni aysay darakt jis kay 2 tanay aak sath zameensay niklay hoay hon aur apas mein milay hoay hon aysay jorwa darakt amal ehob ya muhabat kay amliat mein use kiay jatay hain, yeh twin trees yehni

    jorwa darakt male aur female hotay hain aysay darakhton mein bhi kafi asrathotay hain, mein in type kay jorwa darakhton ka aak amal yahan share karraha hon:Qadeem arabic book "Akhbar Rohaniat" mein hakim Abu Abdullah TaibMuhammad bin Ali Abas kami aur kitab "Al-Sehar wa Al-Bayan" mein Jelan

    Atras farmatay hain kay amal e hob wa taskheer kay amal kay liay planetsmashtari wa zohra kay karaan al-sadeen mein sonay ya peetal ki aak balshit

    http://www.blogger.com/blogger.g?blogID=4191379337914067000
  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    17/51

    bhar lambi mazbot kisam ki nail taiyar ki jay aur osay 2 shakha ya koi jorwatwin darakt talash kar kay on darakt kay beech mein woh nail gar day, is amalkay baad intazar kia jay jab dobara yahi same waqat mashtari aur zohra ka ayto os nail ko darakt say nikal lay aur is nail ko sunbhal kar rakhay yeh hob aurmuhabat kay har kisam kay amliat mein use hosakti hai, jesay mehbob ki

    voodoo doll bana kar os par yeh nail laga kar aysi jaga dafan karay doll kojahan aag humaysha jalti rehti ho, is amal say ba hokam e khuda aamil kamatlob jahan bhi jis hal mein bhi hoga amal kay asrat say oskay dil meinapnay talib ki muhabat ki aak aysi aag jal othay gi kay jo osay pagal wamajnon kar kay rakh day gi aur os waqat tak chain mehsos nahi karay ga jabtak talib kay pas deewana hazir na hojay ga, olma e rohaniat likhtay hain kayyeh amal bila shak wa shoba dorast hai aur aysa akseer al-asar hai kay aamilkay matlob ko khuwa sari dunia oskay talib kay khilaf jo kuch chahai kahai ospar kisi kisam ka koi asar nahi hoga balkay waqat guzarnay kay sath wohapnay talib ki muhabat ka aysa mariz ban jay ga kay talib ki judai oski mot ban

    jay gi,kitab akhbar e rohaniat kay mutabik jab zer e zameen dafan apnay matlob kidoll wahan say okhar kar nail nikal day ga aur doll pani mein baha day ga tab

    jakar iskay asrat khatam hongay,Yeh amal mera bhi azmoda hai meray nazdeek yeh amal bohat power rakhtahai aur nail sirf voodoo doll mein he nahi aur bhi kai maksad mein use ki jatihai jesay husband wife ka apas mein humaysha jhagra rehta ho jis saymasoom bachon aur ghar kay dosray afrad ka sukon barbad hogaya ho,khushal ghar tabah honay laga ho to aysay ghar mein agar yeh nail dafan

    kardi jay khas kar wahan jahan husband wife ka bedroom hoto is amal kayasrat say dono mia biwi mein shadeed muhabat peda hojati hai, aur bhi kaitarah kay amliat is khas nail kay hain jo yahan batana munasib nahi, meinkuch apni images yahan share kar raha hon jis say aap ko malum hoga kayyeh amal kistarah kia jata hai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    18/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    19/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    20/51

    Yeh Twin Trees meray gao(village) mein mojod hai, nail laganay say pehlaydarakt ko dhamki bhi di jati hai kay: "mein jis maksad aur kam kay liaytumharay pas aya ho woh kam tum ko karna hai agar tum nay na kia mera

    kam to jistarah mein tanha hon aur tarap raha hon apnay mehbob kay liayisitarah tum dono ko bhi kat kar juda aur tanha kardon ga". is dhamki sayamal apna asar bohat tezi say dikhanay lagta hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    21/51

    Nail ka size itna hona chahehai jo opar image mein meray hath par rakhi hai,

    Nail ko twin trees kay bilkol centre mein lagaya jata hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    22/51

    Twin trees ka yeh amal mera fvt hai aur yeh khas nail aur bhi kai maksadmein use ki jati hai,

    Haunted Trees:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    23/51

    Aysay Darakht jis par saaya ho, jinnati ya asayb kay asrat hon on daraktonpar bhi kafi amliat hotay hain aysay amliat bohat dhian aur ahtiat say kiay

    jatay hain in amliat mein bohat risk hota hai, aysay amliat mein kabhi bhi kuch

    bhi hosakta hai, aysay amliat karnay mein aamil physically aur mentaly strongho tabhi woh kamiab hosakta hai, mein yahan kuch is type kay darakt kaymutalik share karta hon,Kaboristano mein kafi darakt hotay hain jin mein asay asrat hotay hain magarziada tar on kaboristano mein jo kafi qadeem ho aur kisi veeran jaga par ho

    jahan logon ka ana jana bohat kam rehta ho, aysay kaboritan mein agar aapjay gay to wahan kafi darakt to aap ko milay gay magar aak darakt aysa hoga

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    24/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    25/51

    Jab mein os darakt kay qareeb gaya to mujay mehsos honay laga kay koichez mujay ghoor rahi hai meinay jab opar dekha to wahan bara owl bethamujay ghoor raha tha, os darakt par har woh ilamat ya symbols mujaydekhnay ko milay jo aak asayb zada ya jinnati darakt mein hotay hain aurmeray andar josh peda hogaya kay mein jald say jald os darakt ki rohaniat kotaskheer karon aur mein apnay kam mein lag gaya,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    26/51

    Meinay os darakt par apna ritual karna start kia aur sub say pehlay hisar apnabanaya apni protection kay liay takay meray aur darakt ki rohaniat kaydarmian bahir ki koi dosri shaitani taqat invole na hosakay ya kaboristan meinmojod koi bad rooh attack na kar sakay, hisar karnay kay baad mein raathonay ka wait karnay laga,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    27/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    28/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    29/51

    Raat kay waqat meinay wahan aag jala kar dhoni ki aur apna amal karnashoro kia, kafi rikawatay bhi pesh ai magar apna amal complete kar lia aurdarakt ki rohaniat ko taskheer kia,

    Sari raat amal karnay kay baad jab subha honay lagi soraj nikalna shoro huato meinay apna ritual complete kia aur phir kaboritan mein tamam ahal e

    kaboor ki roohon kay sawab kay liay dua ki aur onsay maafi mangi kayanjanay mein muj say koi galti hoi ho ya onko meri taraf say koi takleef hoi hoto mujay maaf karday,Jab koi shaks istarah ka koi amal, ritual ya chila kaboristan mein karta hai towoh shaks amliat say farikh hokar kaboristan say bahir nikalta hai to koi roohoskay peechay peechay oskay qadmo par qadam rakhtay hoay chali aati haiaur jab woh kaboristan say nikal kar apnay ghar jata hai to woh ghar tak

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    30/51

    pohanch jati hai aur os shaks kay sath kafi problems honay lagti hai, agar wohshaks is baat ka ilm rakhta hai to woh os rooh ko control mein kar kaytaskheer kar leta hai aur apnay maksad mein use karta hai, istarah kay amliatbohat khatarnak hotay hain kafi risk othana parta hai isliay insan ko aysayamal bohat dhian aur khyal say karnay chahehai,

    Sacred Trees:

    Masjid, Mazaron ya muqadas jagaon par bhi kuch khas darakt hotay hain joapnay andar rohani asrat rakhtay hain, in darakhton ki rohaniat ko invoke karkay onkay zariay bhi kafi kam liay jatay hain, mein aksar in muqadas sacred

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    31/51

    trees ki rohaniat ko taskheer kar kay onkay zariay kafi logon ki problems solvekarta rehta hon, yahan mein kuch images in sacred trees ki share kar rahahon jo mutalik mazaro ki hain,

    Opar image mein jo darakt hai woh kafi qadeem hai aur yeh sacred darakthyderabad mein Hazrat Makki shah al-ashabi ki mazar mein hai, yeh darakthar kisam kay jaadu kay asrat, saaya, asyabi ya jinnati asrat ko khatamkarnay ki salahiat rakhta hai, is darakt kay zariay kafi la ilaj mariz theek hoayhain,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    32/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    33/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    34/51

    Yeh images bhi bohat khas sacred tree ki hai jo Hala city kay nazdek meinHazrat Shah Abdul Latif Bhitai ki mazar par hai,yeh khas darakt bhi logon kihar kisam ki problems ko apnay andar absorb karnay ki salahiat rakhta hai, la

    ilaj bimari kay mariz jin par shaitani asrat ya jaadu ki waja say tarah tarah kibimaria peda hojati hain ya onki life mein har tarah ki bandish par jati hai wohlog os mazar par jakar is darakt mein pehna hua dhaaga band detay hain,kuch log apnay pehnay hoay kapray ki pati kat kar woh band detay hainaurtay apnay duppatay ka tokra kat kar bandh deti hain, to koi mannat kaydhagay bandhta hai, aap images dekh kar samaj ghay hongay kay log is

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    35/51

    darakt kay asrat ko kitna ziada mantay hain, is sacred tree ki rohaniat nay haros shaks ki problem solve ki hai jo oskay pas madad mangnay ata hai,

    Jhar phonk kay zariay Amraz ko Jharna:

    Bimaria zindagi ka hisa hain har insan apni zindagi mein bimar hota rehta haiaur doctors say ilaj karwa kar medicines kha kar dheek hojata hai yeh to hoijismani bimaria isitarah rohani bimari bhi hoti hain jinka ilaj doctors yamedicines nahi kar sakti, yeh bimaria jaadu kay asrat ya "JHARAP" say hotihain, agar insan in rohani bimario ko kisi achay aamil ya rohani doctor say ilajkarwata hai to theek hojata hai aur agar iskay ilaj mein dayr hogai to insan jaldmot kay mo mein chala jata hai, aab mein aap ko batata hon kay Jharap kyahoti hai,Jharap means saaya lagna, insan jab na paki ki halat mein kisi sacred pak

    jaga par jata hai to osay jharap lag jati hai, isitarah kaboristano mein hasi

    mazak karna ya mazaro mein bay adabi karnay say bhi jharap hojati hai,jharap jab insan ko lagti hai to is say insan ko tarah tarah ki bimaria lag jatihain jo theek honay ka nam nahi leti isitarah job mein problems ya shaadimein rikawat ya phir on insan par har tarah ki bandish par jati hai jis kam meinhath dalay ga woh kam humaysha olta hota rahai ga,Shehar ya cities mein rehnay walay logon say ziada woh log jo gao(villages)mein rehtay hain woh aksar jharap ka shikar hotay hain aur woh log is baat kosamajtay bhi hain aur doctors say ziada woh jhar phonk karnay walon paryakin rakhtay hain aur woh onkay zariay theek bhi hojatay hain, gao walay logakhir kuo ziada tar jharap ka shikar hotay hain onki waja mein batata hon,

    Sahi Bukhari sharif mein Nabi pak(s.a.w) ki hadees hai kay aap(s.a.w) naymana farmaya hai zameen par banay bilo(hole) mein peeshab karnay say kuokay bilo mein aksar jinnat rehtay hain aur gao mein kheeton par jaga jaga bilbanay hotay hain aur gao kay logon ko yeh baat malum nahi hoti aur woh onbilo mein peeshab kartay hain aur jharap ka shikar hojatay hain, isitarah neharya khara pani jahan ghas aur poday lagay hotay hain wahan bhi peeshabkarnay say aysa hota hai aur aysay pani kay opar say phaland kar guzarnaysay bhi jharap hojati hai iski aak hadees mein yahan share kar raha hon:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    36/51

    Isitarah gao(villages) mein jaga jaga jharion kay jhand hotay hain wahan bhiaksar jinnat ka basera hota hai wahan bhi peeshab karnay say jharap lag jatihai, aak dosri hadees mein yahan share karta hon:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    37/51

    Istarah ki kai Ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay mana farmaya haikay mosalman aysi jagaon par janay say ahtiat karay warna onko jharap kayasrat lag jatay hain, aur aysi jagahai aksar gao ya deehat wagayra mein hotihain aur wahan kay rehnay walay aksar jharap ki waja say bimar rehtay hain,Jharap kay asrat ko dor karnay kay wesay to kai tarikay hotay hain magarmeray nazdeek ziada asar wala woh hai jo kisi sacred darakt ki subz shak yaneem kay darakt ki subz shak say jhar ki jay, mein aksar isi tarikay say gaomein mojod logon par honay wali jharap kay asrat dor karta rehta hon, kuchimages mein apni yahan share kar raha hon jis mein aak gao kay kisan kimein jhar phonk kar raha hon jo jharap ka shikar hai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    38/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    39/51

    Hisar bananay kay baad neem ya kisi sacred tree ki sabz shak say khaswazaif parhtay hoay jharap kay asrat ko khatam kia jata hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    40/51

    Mein istarah aur isi tarahkay kai muktalif tarikon say gao kay kisan logon kailaj karta rehta hon, neem ki sabz shak mein yeh ability hoti hai kay wohistarah kay asrat apnay andar absorb kar leti hai, aur bhi kai darakt meinaysay asrat hotay hain jo boray asrat apnay andar khinchay ki salahiatrakhtay hain jistarah magnet iron ko apni tarah khinchta hai, aak hadees bhiyahan share kar raha hon jis mein Nabi pak(s.a.w) nay aak darakt ki shak kay2 tokray kar kay 2 kabaron kay opar laga dia aur farmaya kay in shakon kaykhushk honay tak kabaron mein hota azab kam hojay ga,

    Aaj ki modern science nay bhi yeh sabit kardia hai kay darakt apnay andarnegative rays absorb kartay hain aur insan apna ziada tar waqat electriccheezon kay darmian guzarta hai insan ka othna bethna yahan tak kay harkam electricity ya current kay beech hota hai jis say insan ki body meinharmful rays jati hain jis say insan mein sosti aur zehan kafi stress mein rehtahai aur jismani ya mind problems barhnay lagti hai, scientists nay is problem

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    41/51

    ka hal yeh bataya hai kay ghar mein garden ka hona zarori hai ya payr podaymojod hon takay yeh harmful rays apnay andar absorb kar sakain, yeh baatscience ko aaj malum hoi hai magar zamana e qadeem say log is mokhfi ilmsay wakif rahai hain,Jharap kay asrat say muktalif amraz logon ko hojatay hain aur jharap kay

    shikar logon ko humaysha raat ko ya sotay waqat problems kafi hoti hain, inamraz mein aak marz e kabos hai is marz ya bimari mein insan jab raat kosojata hai to achanak oska dam ghotta mehsos honay lagta hai jesay koi bharichez seenay par bethi ho ya kabi aysa feel hota hai jesay koi oska gala dabaraha ho jab oski ankh kholti hai to samnay osay khofnak shikal ka jinnat yachurail dikhai deti hai woh hilnay ki koshish karta hai magar apna jism hilanahi pata, cheekhna ya shor karna chahata hai magar awaz nahi nikal patiyeh kayfiat kuch time rehti hai phir aysa feel hota hai jesay jism mein achanak

    jan wapis agai ho aur woh shaks darr ki waja say cheekhnay lagta hai idharodhar dekhnay lag jata hai magar woh jinnat ghom hojata hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    42/51

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    43/51

    apnay jism ko hila bhi na pati na he onki awaz nikal pati hai aysa onko feelhota hai jesay jism coma mein chala gaya hai jism say jan nikal choki hai sirf 2his onki kam karti hain dekhna aur mehsos karna, onko yeh tak feel hota haisex kay doran intercourse bhi horaha hai, yeh kabos ka marz ziada tarkunwari larkio ko hota hai, agar iska ilaj apnay time par na hua to larki pagal

    hojati hai ya sokh kar hadio kay dhanchay ki tarah banti chali jati hai, jharapkay asrat bohat khatarnak sabit hosaktay hain mard aur aurat dono kay liayisliay jab bhi insan ko aysi koi problem peda hona shoro hoto foran kisi achayaamil say apna ilaj karwa lay jo ilm janta ho jhar phonk karta ho,

    Um Al-Sobian:Mardon aur aurton ko kistarah jharap lagti hai oskay mutalik meinay kuchdetails opar share ki hain, isitarah masoom chotay bachon ko bhi aksar jharaplag jati hai, parents humaysha apnay bachon ka khyal rakhain onko aysi

    jagaon par mat janay day jahan kaboristan ho ya aysay darakt jahan boray

    asrat hon aur raat kay waqat bachon ko ghar say bahir na nikalnay day na heonko ghar ki chahaton par akayla janay dia jay, kafi Nabi pak(s.a.w) kiahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay raat kay waqat bachon ko gharonsay nikalnaypar mana farmaya hai, aak hadees mein yahan share kar raha hon:

    Insano par muktalif kisam kay shaitani jinnat mokay ki talash mein hotay hainaur moka miltay he attack kartay hain, mardon par attack karnay walay jinnatalag hotay hain, aurton par attack karnay walay alag jo onsay sex kartay hainaur bachon par attack karnay walay jinnat alag type kay hotay hain, bachonpar ziada tar aak churail(witch) attack karti hai jisay arabic mein Um Al-Sobianaur hindi mein osay Mata kehtay hain, jab bachay par um al-sobian attack

    karti hai to bachay ko dast aur oltia hona shoro hojati hai jo kafi ilaj karnay kayba wajod yeh bimari theek nahi hoti aur bacha itna kamzor hojata hai kayankhain andar ko dhans jati hai, woh hadio ka dhancha sa ban jata hai osaysokhay ki bimari lag jati hai is image ki tarah:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    44/51

    Rohani ilm rakhnay walay log bachay ko dekhtay he samaj jatay hain kay

    bachay par um al-sobian ka attack hua hai, oski aak khas ilamat hoti hai jissay malum par jata hai, agar bachay ka sahi time par jhar phonk say ilaj hotahai to yeh asrat khatam hojatay hain aur bacha bilkol theek aur healthy hojatahai, agar bacha is bimari kay last stage mein agaya aur sokh kar hadio kadhancha sa ban gaya to phir ilaj oska nahi hopata aur bacha mot kay mo meinchala jata hai, Um Al-sobian churail har saal kai bachon ko isitarah chos karmar dalti hai, aak hadees jo isi churail kay mutalik hai share kar raha hon:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    45/51

    Isitarah ki aur bhi kai rawayat aur ahadees hain jis mein is churail kay mutalikkafi kuch bataya gaya hai mein inshAllah apnay next blog jo jinnat kay mutalik

    hoga os mein share karon ga,Aak kisa um al-sobian ka jo hazrat sulayman(a.s) say mansob hai yahanshare kar raha hon:

    Arabic ki Qadeem kitab "Mojarbat e Imam Seoti" mein hazrat imam jalaluddinabdul rehman seoti mein Hazrat sulayman(a.s) aur Um al-sobian ka wakiaistarah likha hai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    46/51

    Hazrat Jibrael Ameen say rawait hai kay jab Hazrat Sulayman(a.s) ko tamamsarkash wa sharir jinnat wa shaitano kay qaid karnay ka hokam hua to

    zameen wa asman kay tamam lashkar hazrat sulayman(a.s) ki khidmat meinhazir hoay magar Um al-sobian na ai, jinnat wa shiateen kay lashkaro nayhazrat sulayman(a.s) ki khidmat mein arz ki "ya sayedna! kya aap nay um al-sobian ko aman day di hai halankay aap ki umat mein jo takleef wa mosibathai sub oski taraf say hai", Hazrat sulayman(a.s) nay hokam dia kay oskoforan hazir karo, um al-sobian ko zanjeero mein jakray hoay hazir ki gai, jabHazrat sulayman(a.s) nay osko dekha to awal Allah pak kay agay sajda kiaphir kaha "Ay Malona! meinay tuj say ziada kisi ko haybatnak wa khatarnaknahi dekha, batao tera nam kya hai aur kya kam karti hai", magar um al-sobian nay koi jawab na dia, itnay mein hazrat Jibrael(a.s) nazil hoay aur kaha

    "ay sulayman(a.s) is malhona ko aag say jala do aur oski raakh ko hawa meinora do", phir woh malhona boli "ya sayedi tuj ko khuda ki kasam hai mujayaag ka azab na dejiay mein aap ko apna nam aur kam batati hon aur kahamera nam Ahmata bin hamta hai aur meri koniat um al-sobian hai meinzameen wa asman kay darmian hawa mein rehti hon, mein abad gharon kokhali wa veeran kar deti ho, kabaron ko abad kar deti hon, masoom bachonko mar deti hon, baron ko kisam kisam kay amraz wa mosibat, fikar wa fakaymein mobtala kar deti hon, aurton ki godh ko aulad say khali kar deti hon,tajiro ko tijarat mein noksan dalwati hon, har aak kisam ki bimari phelati hon,kheeton ko tabha kar deti hon aur pani ko kam kar deti hon, Hazratsulayman(a.s) nay os say pocha kay ay malhona tu mardon, aurton aurmasoom bachon ko kistarah pakar leti hai aur pani wa khayti ko kistarah kamkarti hai? osnay kaha ya Nabi Allah mein mard wa aurton ko kha jati hon aurbachon ki hadia choor karti hon, onka gosht kha jati hon, onka khoon pee jatihon aur onki mao ki godhon ko khali kar deti hon aur aurton aur bachon meinsay onko chonti hon jinki ankhain bari aur siah hon, chehra tandorosti ki wajasay surkh ho, yeh baat sunnay kay baad Hazrat sulayman(a.s) nay kaha "ay

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    47/51

    malhona aysi bad kirdario kay hotay hoay tu chahati hai mein tujay azab nadon, mein tuj ko zameen kay satway tabkay mein qaid kardon ga aur tuj partanba galwa don ga aur tujay sakht azab don ga aur peenay ko peep don ga",osnay kaha ya nabi Allah mujay aysa sakt azab na dejiay mein aap ko chandahad wa amal batati hon jo shaks is ahad ya amal ko karay ga mein oski hadi

    wa gosht, jism wa baal har aak ayza say nikal jaya karon gi phir wapis na ayakaron gi na os makan mein kabhi dakhil hongi, Ya Nabi Allah aap apni umatkay har fard ko keh day kay is ilm ko jo mein aap ko batanay jarahi hon apnaypas rakhay woh har bala wa mosbiat say mehfoz rahai ga,aur mein kasam khati hon Allah pak ki mein jiskay pas yeh ahad ya amal hogamein os say humaysha dor raha karo gi,um al-sobian nay woh 7 ahad hazrat sulayman(a.s) ko bata diay jo "7 Ahad eSulaymani" kay nam say pukaray jatay hain, jhar phonk kay doran isi kasamnamay ya 7 ahad ko parha jata hai jis say bachay par mojod um al-sobian kayasrat khatam hojata hain,Mein gao(village) mein mojod bachon ka aksar ilaj jhar phonk say karta rehtahon jin par um al-sobian kay asrat hotay hain, yahan mein kuch images aurdetail share kar raha hon kay yeh ritual kistarah kia jata hai:

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    48/51

    Bachay par mojod kuch khas ilamat dekhnay kay baad malum hojay kaybachay par um al-sobian kay asrat hain to aysay bachay ko pyar say relax karkay batain kartay aur hasi mazak kartay hoay apnay pas betha lay takay osaykoi khof ya darr mehsos na ho jhar phonk kay amal ko dekh kar, jab bachabataon mein gol mil jay friendly hojay aur relax feel karay darr aur khof oska

    dor hojay then yeh ritual start karna chahehai, woh ahad aur wazaif aurkasam namay jo hazrat Sulayman(a.s) say mansob hain woh parhnaychahehai aur neem ki subz shak paton wali lekar os say saray jisam parbachay kay phayr kar jhara jay aur ankhain band kar kay yeh tasawar kia jaykay kala sa smoke bachay ki body say nikal kar neem kay paton mein absorbhota jaraha hai phir osay hath ka jhatka day kar jharay aur tasawar karay kay

    jharnay say smoke jhar kar ghom hota jaraha hai,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    49/51

    Jharnay kay pehlay aur baad mein neem ki subz shak ko loban, gogal yaoudh ki dhoni di jati hai takay jo boray asrat os mein hon woh sub nikal karwoh shak bilkol pak hojay,

    Dhooni denay kay baad is neem ki shak ko ghar kay bahir darwazay partaang detay hain sath mein lemon aur mirch kay sath takay ghar ka hisarbana rahai koi dosri shaitani taqat akar rikawat na kar sakay,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    50/51

    4 din ya 7 dino tak isitarah neem ki shak, lemon aur mirch ko taang kay rakhajata hai aur is ghar mein kisi na pak aurat ya larki jisay mahwari ya periodshon janay nahi dia jata na he os aurat ko jo pregnant ho aur bachon ko bhi

    wahan janay say roka jata hai kuo kay um al-sobian mariz bachay say nikalkar on par attack kar sakti hai, isliay bohat ahtiat ki jati hai amal kay 4 ya 7dino tak oskay baad aamil wahan akar neem ki khushk shak aur lemon,mircho ko kisi nehar ya daria mein dalta hai aur um al-sobian ko alwida kehtahai wahi sulaymani ahad aur kasam namay parh kar,

  • 8/13/2019 Ilm Al-limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part 2

    51/51

    Lemons mein bhi yeh taseer hai kay yeh jahan hongay wahan jinnat nahi ayghay jinko iska ilm hai woh shops mein gharon mein aksar rakha kartay hain,iski aak rawait yahan share kar raha hon:

    Ilm Al-Limiya ka yeh 2nd part mein yahin tak pura karta hon, inshAllah iskay3rd part mein jario botio, herbs aur roots kay mutalik bohat kuch share karonga,Khuda na Khuwasta aap kay sath ya aap ki family ya friends kay sath spiritualproblems hon jesay jaadu kay asrat, jharap kay asrat wagayra to aap muj saykabhi bhi rabta kar kay in asrat ko khatam karwa saktay hain meray is numberpar call ya sms kar kay: 03003799165.

    Mola Aap sub ko sada khush wa abad rakhay(ameen).