khutba -e- nikah · khutba e nikah page | 4 انلامعأ تائيس نم í انسفنأ ررش...

6
KHUTBA E NIKAH Page | 1 www.livequraneverymoment.org Khutba -e- Nikah Khutba e Nikah Masnoon Hai, According To Majority Of Scholars. Khutba Nikah Mustahab Hai, Recommended Hai. Ye Aisi Practice Rahi Jo Sahaba Akram Nikah Ke Waqt Dete Aur Aap Ne Bhi Sikhaya. Ibn Masood Ne Isko Padha To Isi Wajeh Se Iska Naam Khutba e Ibn Masood Ke Naam Se Mashoor Hai. Masnoon Hai ka Kya Matlab Hai? Khutba e Nikah Ke Baghair Bhi Nikah Hojayega, Yaani Ye Khutba Nahi Padha Jayega To Bhi Nikah Hojaayega, Lekin Ye Sahaba Ki Practice Rahi. Ye Bohut Hi Recommended Cheez Hai Ki Nikah Ke Waqt Isko Padha Jaaye. Ye Khutba Koi Bhi Padh Sakta Hai, Ladke Ke Side Se Bhi Koi Padh Sakta Hai, Khud Ladka Padh Sakta Hai. Ye Hamd Aur Teen Aayatein Hai ُ هُ ينِ عَ تْ سَ نَ وُ هُ دَ مْ حَ نِ ِ َ دْ مَ حْ ال نِ إا ومن سيئاتفسنور أن من شرنعوذ با ونستغفره و أعمالناُ هَ دْ حَ وُ ِ إَ هَ لِ إَ ْ نَ أُ دَ هْ شَ أَ وُ هَ لَ يِ ادَ هَ َ فْ لِ لْ ضُ يْ نَ مَ وُ هَ ل لِ ضُ مَ َ فُ ِ هِ دْ هَ يْ نَ م نَ أَ وُ هَ لَ يكِ رَ شَ ُ هُ ولُ سَ رَ وُ هُ دْ بَ ا عً د مَ حُ م

Upload: others

Post on 16-May-2020

54 views

Category:

Documents


8 download

TRANSCRIPT

KHUTBA E NIKAH

Page | 1 www.livequraneverymoment.org

Khutba -e- Nikah

Khutba e Nikah Masnoon Hai, According To Majority Of Scholars. Khutba Nikah Mustahab Hai, Recommended Hai. Ye Aisi Practice

Rahi Jo Sahaba Akram Nikah Ke Waqt Dete Aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Bhi Sikhaya. Ibn Masood Ne Isko Padha To Isi Wajeh Se Iska Naam

Khutba e Ibn Masood Ke Naam Se Mashoor Hai. Masnoon Hai ka Kya Matlab Hai? Khutba e Nikah Ke Baghair Bhi Nikah Hojayega,

Yaani Ye Khutba Nahi Padha Jayega To Bhi Nikah Hojaayega, Lekin Ye Sahaba Ki Practice Rahi. Ye Bohut Hi Recommended Cheez

Hai Ki Nikah Ke Waqt Isko Padha Jaaye. Ye Khutba Koi Bhi Padh Sakta Hai, Ladke Ke Side Se Bhi Koi Padh Sakta Hai, Khud Ladka

Padh Sakta Hai. Ye Hamd Aur Teen Aayatein Hai

نحمده ونستعينه ونستغفره ونعوذ بالل من شرور أنفسنا ومن سيئات إن الحمد لل

وحده أعمالنا فل مضل له ومن يضلل فل هادي له وأشهد أن ل إله إل للا من يهده للا

دا عبده ورسوله ل شريك له وأن محم

KHUTBA E NIKAH

Page | 2 www.livequraneverymoment.org

Tamaam Ta’arifein Allah Keliye Hai Hum Uski Ta’areef Karte Hai Aur Usse Maafi Aur Madad Talb Karte Hai Hum Panah

Maangte Hai Allah Azzawajal Ki Khud Ki Burayiyo Se Aur Tamaam Bure Kaamo Se Jise Bhi Allah Ki Hidayat Mile Usey Usey Koi

Gumrah Nahi Kar Sakta Aur Jisey Allah Ne Gumrah Kiya Usey Koi Hidayat Nahi De Sakta Hum Gawahi Dete Hai Ki Ibadat Ka

Haqdaar Sirf Allah Hai Aur Koi Uska Shareek Nahi Hai Aur Gawahi Dete Hai Ki Mohammad ملسو هيلع هللا ىلص Allah Ta’ala Ke Bande Aur

Rasool Hai Aur Allah Apni Salamati Bheje Apne Aakhri Nabi Par Aur Unke Ahl O Ayal Par Aur Unke Sahaba Par

Surah Aale Imran Ayat – 102

ها يأ ين ٱ ي ٱءامنوا لذ قوا ٱ تذ سلمون ۦحقذ تقاته للذ نتم م

١٠٢ول تموتنذ إلذ وأ

Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Daro Allah Se Jaise Ke Haq Hai Usse Darne Ka Aur Na Tum Marna Is Haal Me Ke Tum Musalman Ho

Surah Nisa Ayat- 1

ها يأ ٱ نلذاس ٱ ي يٱربذكم تذقوا و لذ ا ونساءا ن نذفس وحدة وخلق منها زوجها وبثذ منهما رجالا كثريا ٱخلقكم م ٱ تذقوا يٱ للذ ٱو ۦتساءلون به لذ رحام

إنذ ل

ٱ اكن عليكم ر للذ ١ قيباAye Logo Daro Allah Se Jo Rab Hai tumhara, Jisne Paida Kiya Tumko Ek Nafs Se,Aur Paid a Kiya Usse Tumhara Joda Aur Phaila Diya Un Dono Se

Bohut Saare Mard Aur Bohut Saari Aurtein Aur Daro Allah Se Wo Zaat ,Tum Sawal Karte Ho Saath Uske Aur Rehmi Rishton Ke Baare Me Bhi Daro

Beshak Allah Ta’ala Tumhaare Upar Nigehbaan Hai

Surah Al Ahzab 70-71

ها يأ ين ٱ ي ٱءامنوا لذ ٱ تذقوا ا للذ عملكم ويغفر لكم ذنوبكم ومن يطع يصلح ٧٠وقولوا قولا سديدا

ٱلكم أ ٧١فقد فاز فوزا عظيما ۥورسول للذ

KHUTBA E NIKAH

Page | 3 www.livequraneverymoment.org

Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Daro Allah Se Aur Kaho Baat Durust, Wo Durust Kardega Tumhaare Maamle Aur Baqshdega Tumhare Liye Tumhare

Maamle Ko Aur Jo Koi Ita’at Karega Allah Ki Aur Rasool Ki Toh Tahqeeq Usne Kaamyaabi Paali, Bohut Badi Kaamyaabi

. Khutba e Nikah Ke Waqt Ye Teen Aayaton Ko Choose Kiya Gaya Hai Aur In Teen Aayaton Me Chaar Dafa Taqwe Ka Zikr

Hai. Inhi Teen Aayaton Ko Specifically Choose Kyun Kiya Gaya Hai? Isme Kya Yaad Dihaani Hai Aur Kya Taleem Hamare Liye Hai?

Sabse Pehle Hamd Tamaam Tarifein Aur Shukr Allah Ta’ala Keliye Hai. Nikah Ek Contract Hai, Isko Karne Se Pehle Allah Ta’ala Ko

Yaad Karna Chahiye Allah Ke Ehkamat Ko Yaad Karna Chahiye Aur Allah Se Darte Hue Sab Kaam Karna Hai. Shaadi Ke Mauqon Par

Ye Ayatein Isliye Choose Ki Gayi Hai Kyun Ke Iski Shuruat, Balke Saari Zindagi Allah Ke Ahkamat Par Chalna Hai, Iski Depth Ko

Samajhna Hai.

Yahan Pe Hum نحمده Hamd Aur Sana Ke Saath Shuru Kar Rahe Hai . Ye Khushi Ka Mauqa Hai Shaadi Ka Mauqa Hai, Ye Khushiإن الحمد لل

Mujhe Mere Rab Ne Ata Ki Hai Phir ونستعينه Hum Uski Madad Maangte Hai , Kyun ? Kyun Ke Isme Ek Naya Safar, Isme Har Naye

Modh Par, Har Marhale Par, Har Zimmedaari Par Allah Ki Madad Chahiye Aur Allah Ki Madad Ke Bina Ek Successful Life, Ek

Successful Aakhirat Nahi Hosakti.

Kyun? Kyun Ke Hum Allah Se Maafi Maangte Hai, Sab Kaam Agar Hum Allah Ta’ala Ke Ehkamat Ke Mutabiq Bhi Kare To Bhi ونستغفره

Kahin Na Kahin, Koi Na Koi Chook Reh Jaati Hai, Kami Kotahi Hojaati Hai. Aap ملسو هيلع هللا ىلص Jinke Agle Pichle Gunah Maaf Hogaye The Wo Bhi

Din Me 70 Se Zyaada Baar Maafi Maangte The Phir Hamara Kya Rawayya Hona Chahiye, Aur Khass Taur Se Shaadi Ke Mauqe Par,

Shaadi Ki Preparation Me Hamari Ibadatein Kis Tarah Ki Direction Me Jaarahi Hai, Hamari Namazein Etc.. Jitna Bhi Hum Maamla

Karle, Log Jab Jama Hote Hai, Milte Hai Toh Kahin Na Kahin Oonch Neech Hojaati Hai, Ye Saari Cheezon Se Naake Ehtiyat Karna

Balke Inse Maafi Bhi Maangna Hai.

KHUTBA E NIKAH

Page | 4 www.livequraneverymoment.org

Aur Hum Panah Chahte Hai Allah Ta’ala Se Apne Nafs Ke Sharr Se Aur Bure Aamal Se. Kyun? Kyun ونعوذ بالل من شرور أنفسنا ومن سيئات أعمالنا

Ke Nafs Ka Sharr Hamare Ander Hai, Jaise Hasad Hai, Negative Thinking Hai, Jhoot Hai , Takabbur Hai, Ye Hamare Ander Se Aati Hai

Toh Phir Kya Hota Hai Miya Biwi Ka Rishta Hota Hai To Ek Azdawaji Zindagi Me Ek Doosre Ke Saath Compromise Nahi Karte, Kyun

Ke Hamara Nafs Beech Me Aata Hai Isliye Yahan Par Beginning Me Hi Nafs Ke Sharr Se Jo Hai Panah Maangi Ja Rahi Hai Taake Aage

Jaake Kisi Ka Bhi Haq Ada Karne Me Ye Nafs Beech Me Na Aaye Aur Ek Doosre Ke Huqooq Bina Rukawat Ke Is Sharr Ke Bina Ada

Kiye Jaaye.

فل مضل له ومن يضلل فل هادي له Agar Hidayat Nahi Maangenge To Nahi Milti Hai. Hidayat Maangne Se Allah Ta’ala Hidayat Dedete من يهده للا

Hai. Aur Sahi Raasta , Sahi Guidance , Duniya Me Bhi Miljaati Hai Aur Aakhirat Me Bhi Miljaati Hai Aur Jo Nahi Maangte Hidayat

Wo Gumrah Rehte Hai Duniya Me Bhi Aakhirat Me Bhi Isiliye Sabse Important Cheez Hidayat Maangi Jaarahi Hai Ke Allah Ta’ala

Hidayat Ata Karde Taake Hum Apni Zindagi Me Shuruaat Karsake, Har Modh Par Aap Madad Bhi Kariye Aur Hidayat Bhi Kariye.

Ab Uske Baad Kalimah Shadad Hai وحده ل شريك له وأن دا عبده ورسوله وأشهد أن ل إله إل للا محم

Tamaam Ta’arifein Allah Keliye Kyun? Allah Ta’ala Hi Ek Ilaah Hai, Allah Ko Hi Jawab Dena Hai To Allah Ke Saamne Khade Hona

Hai , Lautke Allah Ke Paas Jaana Hai To Zindagi Ka Har Marhala , Har Amal Jo Hai Allah Ke Ehkamaat Ke Mutabiq Karna Hai,

Second Part Me Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Apna Rasool Maanna Hair Aur Maan Rahe Hai Aur Iqraar Ho Raha Hai Kyun? Kyun Ke Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki

Zindagi Me Wo Kaise Maamle Karte Apni Azwaji Zindagi Me Kaise Rehte The Biwiyon Ke Saath Kya Sulook Karte The Wo

Hamare Liye Example The Unko Hamare Liye Example Set Karte Hue Apni Aage Ki Zindagi Guzaarna Hai. Surah Aale Imran Ayat

102 Me ها يين ٱ يأ ٱءامنوا لذ ٱ تذقوا للذ Ab Yahan Par Beginning Me Taqwa Iqtiyaar Karo , Daro Allah Se Bataya Hai. Taqwa Hai Allah Se

KHUTBA E NIKAH

Page | 5 www.livequraneverymoment.org

Darna Aur Mohabbat Karna. Allah Ke Darr Se Tamaam Bure Kaamo Se Bach Jaate Hai, Aur Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam

Karna. Ye Taqwa Jo Hai Isi Mohabbat Isi Darr Ke Saath Apne Tamaam Maamlaat Ko Deal Karna Hai. Phir Allah Ta’ala Aage

Batate Hai قذ تقاته ح Jaise Haq Hai Usse Darne Ka. Agar Waaqe Hum Uska Haq Ada Kar Rahe Hai Taqwe Ka Toh Yahan Sawaal

Karna Hai Taqwe Ke Level Ko, Itna Badhana Hai Jaise Ke Haq Hai Uska سلمون نتم م Aur Na Tum Marna Is Haal Me Keول تموتنذ إلذ وأ

Tum Musalmaan Ho. Aisa Kyun Kaha Jaraha Hai? Yahan Kyun Ke Nayi Zindagi Shuru Ho Rahi Hai, Dil Jo Hai Apne Spouse Ki

Mohabbat Me Bhar Jaayega Aisa Na Ho Ke Is Mohabbat Me Allah Ko Bhoolo Hamesha Hamesha Keliye Allah Ta’ala Ke

Musalmaan Bankar Raho Allah Ko Supurd Karke Apni Zindagi Jiyo Ek Doosre Ki Mohabbat Me Allah Ta’ala Ko Mat Bhoolo -Aye

Logo Daro Allah Se Jo Us Zaat Se Yaani Adam A.S Se Adam A.S Ki Biwi Ko Banaya Aur Phir Phailadiye Undono Se Mard Aur

Aurtein Bohut Se. Yahan Pe Bataya Ja Raha Hai Ke Mard Aur Aurat Ko Dono Ko Ek Jaan Se Banaya Gaya Hai. Phir Ek Doosre Ki

Respect Karo Aur Khaas Taur Se Aurton Ke Baare Me Hai Ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Husne Sulook Ka Maamla Kaha, Kaha Jaa Raha Hai Ke

Wo Bhi Tumhaari Tarah Insaan Hai. Usse Narmi Aur Raham Ka Maamla Kare. Dono Ek Jaan Se Hai To Dono Ek Doosre Ke Saath

Acchai Se Maamla Kare. Phir Daro Allah Se Wo Zaat Tum Sawal Karte Ho Rishte Daariyon Ke Baare Me Daro, Rishte Daariyan

Mat Kaato. Yahan Bataya Jaraha Hai Ki Naye Rishte Bante Hai Toh Naye Rishton Ko Acchai Se Baandho, Naye Rishton Ko Acche

Se Jodo Naye Rishton Ki Chakkar Me Puraane Rishton Ko Mat Bhoolo. Rishte Todna Bohut Bada gunah Hai, Kabira Gunaho Me

Se Hai. Purane Rishton Keliye Naye Rishte Mat Todo Aur Naye Rishton Ke liye Puraane Rishte Mat Todo. Naye Rishte Jo Judh

Rahe Hai Unko Ehsaan Ke Saath, Khoobsurti Ke Saath Jodo

KHUTBA E NIKAH

Page | 6 www.livequraneverymoment.org

Aage Ki Aayat Kya Hai -Aye Logo Jo Imaan Laaye Ho Kaho Baat Durust Durust Yaani Dhoke Se Naye Rishte Nahi Bante. Adl Ki Insaaf

Ki Aur Seedhi Baat Jo Hai Karo, Koi Jhoot Mat Kaho, Koi Dhoka Mat Diyo. Miya Biwi Ka Rishta Ek Trust Ke Upar Hota Hai, Durust

Baat Karo, Jhoot, Tedi Medi, Upar Neeche Ki Baat Karke Ek Doosre Ko Dhoka Mat Do Aur Hamesha Jab Bhi Koi Baat Karo Insaaf Ki

Baat Karo. Aisa Karoge To Tumhaare Aamal Ko Durust Kardenge, Tumhaare Maamlon Ko Durust Kardenge Tumhaare Gunah Baqsh

Denge Aur Jo Koi Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Ita’at Karega Allah Ke Ehkamat Se Apni Zindagi Guzaarega Aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki Zindagi Ko

Example Banakar Apni Zindagi Set Karega Usko Bohut Badi Kaamyaabi Milgayi. Duniya Ki Kaamyaabi Bohut Choti Hai Magar

Aakhirat Ki Kaamyabi Badi Hai.

Nikah Jab Hojata Hai To Dulha Dulhan Ko Congratulate Karne

Keliye Aap - ملسو هيلع هللا ىلص Ne Dua Sikhaayi Hai