mufti salman sahab ki hidaayaat

Download Mufti Salman Sahab Ki Hidaayaat

If you can't read please download the document

Upload: binte-behzad

Post on 18-Dec-2015

220 views

Category:

Documents


3 download

DESCRIPTION

This is a crude transcript of hidayaat given to us by Mufti sahab on the last day of classes.

TRANSCRIPT

1) twwn kaam kernayki zaroorat, 1) istighfar, ( hadithoan kay parhnay kay aadaab, aur in hadithoan ka lihaaz , in kay huqooq laazim huay thay, un kay ada kernay main hum say bohat kotahiyyan hui hain, jo jaan boojh ker hui aur jo jaan boojh ker ui hain) 2) shukr ki adaigi, hadith kay tawr per jo hamain inaamat say nawaza, warna hum to kisi darjay may bhi is kay mustahiq nahi thay, woh hadithain jo nabi kareem SallAllahu alayhi wa Sallam ki zaban e aqdas say jaari huin), 3) azam kerna, ainda ki zindagi may is baat ka azam kay ab hum apni zindagi may bohat sari tabdeeliyan aayengi, ab hmaray sir per Ilm ka taaj rakh diya hai, kyunkay ab hum aam logoan ki tarah nahi hain, aaj kay baad hum koi khila e shara kaam nahi karain gay, ab hum shariyat say sar e moon , baal barabar bhi inhiraaf nahi karayngay. subah say shaam tuk, shaam say subah tuk hamari zindagi sunnat kay mutabiq dhal jaye. woh hadithain hamari zindagiyon may daakhil aur shaamil hoan aur woh hamari zindagi ka hissa bun jayen. 2) hum apnay aap ko khudanakhwasta aalim samajhnay lagayn. ilm ki wajah say takabbur na ho, apnay aap ko saari zindagi taalib e ilm samjhain, is ka faida yeh rahay gay kay ilm ka silsila chalta rahay ga, us talab ki wajah say deen kay ilm may taraqqi hoti rahay gi. ab saari zindagi is track per aap ko chalna hai. 3) kuch sifaat apnay andar payda kernay ki koshish kerayn: (sab say pehlay us ki khitab apnay nafs say hai)a) taqwa (Allah say darna, gunahoan sy bachna, insan Allah ki nafarmani say bach jaye) aur husn e akhlaq jannat may sab say ziyada daakhil honay ka sabab hain, (ustad jee ki taakeed), deen Allah ki nafarmani say bachnay ka naam hai, her qisam kay gunah, chahay woh aqaid may hoan, akhlaqiyat main ho, ibaadaat may hoan, kisi bhi shoba haye zindagi mai hob) husn e akhlaq 4) jahannum may sab say ziyada lay jaanay wala cheez/uzu : zabaan ki khaiti, a) apni zaban ko qaabu may rakhna, b) apnay ghar ko kushaada jaanna, c) gunahon per aansoo bahaana