sawaal-o-jawaab 15-08-2010 met sawaal-o-jawaab 15082010.pdf3: fisq aur fajoor ki tareef farmayain?...

25
http://www.tangali.net Publicatie 115 Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met

Upload: others

Post on 27-Sep-2020

5 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

http://www.tangali.net

Publicatie 115

Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met

Page 2: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

1

Sawaal-0-Jawaab metTaajush Shari'ah Mufti Muhammad

Akhtar Rida Khan al-Qadri

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi Ta'ala wa Barakaatuhu

Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho

agar tumhain Ilm nahin

15th August 2010 (Madina Munawwarah)

Urdu | Roman | English

Page 3: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

2

Question 1: Agar kisi ki namaz e Isha jamat say chooT jayai to kya wowitr wajib jamat say adaa kar sakta hay?

Answer: NahiN masla yai hay k jis nay farz jamat say paRhay isha k kwo witr ki jamat main shareek ho sakta hay aur jis nay farz isha kjamat say nahi paRhay wo witr tanha paRhay.

Download

Question 2: Agar koi umray par makka mukarrama aayai umra kar layab dubara jab umra karna chahay to kya hotel say ehraam baandhsakta hay?

Answer: Baandh sakta hay  laikun a’la hazrat nay yai bataya hay ktan’eem jayai aur tan’eem say ehraam baadnh kar k aayai taa k nau’ esafar aik tarah k safar wo mutahqiq ho jayai ga.

Download Question

3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN?

Answer: Fisq aur fujoor Qur’an e kareem ki istelaah maiN aur ahadeese mubaraka ki istelaah main fisq o fujoor k itlaqaat aam haiN kafirfaasiq aur mubtade'e sabb ko iss ka mafhoom aam hay aur bohatjaghoN par ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay kufr par b fisq ka ittelaaqfarmaya hay aur ahadees maiN b fujoor ka ittelaaq kufr par aayaa hayab urf e ghalib main fisq o fujoor amali ma’siyat ko, aitiqaadi ma’siyatk ilawa jo badd amali hay, iss ko fisq kehtay hain yai urf e ghalib mainab iss ka istemaal kufr k muqabil jo doosray gunaah hain unn par isska istemaal unn k saath khaas ho gya hay.

Download

Question 4: Kya roze may ITR aur Saar par Tel laga Saktey hay?

Answer: Laga saktay hain.

Page 4: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

3

Download

Question 5: Masjid may Jab Naat khawan Naat parhta hay Tou Louguspar Rupay ki noton ki Barish kartey hay kya iss se Masjid kAhetaram barqarar rahega?

Answer: Masjid ka (ehtiraam) mehez iss wajah say k log naat khwaaNpar rupay waghaira ki baarish kartay hain iss wajah say masjid ki bayhurmati ya uss ka ehtiraam jana yai samajh main nahi aataa hayalbatta iss k saath agar shor o shaghab ho awazaiN buland hoN to yaizaroor masjid k ehtiraam k khilaaf hay albatta naat e paak k dauraanyai munasib nahi hay k log noToN ki baarish karaiN aur uss mainajeeb ajeeb tareeqay logoN nay nikaalay haiN main nay yai daikha knaat khwaaN nay naat shuru ki aur aik shakhs nay apnay paas sayrupay nikaalay aur aik nay doosray k haath main doosray nay teesrayk haath maiN iss tareeqay say chain bana kar k aur beech main jo logbaithay huay hain unn ka halqa toR kar k log aatay hain aur jis saynaat ki kaifiat main b hazal waqe’ hota hay aur naat k sun’nay mainsami’een k liay b hazal waqaa’e hota hay agar uss ki khidmat hi karnahay naat khwaaN ki to yai ho sakta hay k rupay nikal kar k alag rakhdaiN ya jabb wo naat paRh lay to uss ko nazrana day daiN yai namunaasib hay jis tareeqay say aaj yai riwaaj chal paRa hay masjidmain agar ho ga to iss k saath kuch bay tauriyaaN aur shor o shaghabiss wajah say yai masjid k ehtiraam k khilaaf b ma’aloom hota hay.

Download

Question 6: Aik barri Aayat jesay Aayat al Kursi ya Aayat e Madaina,Agar aik rak'at mein iss mein ka baaz parrha aur doosri mein baaz toujaiz hay jub kay har rak'at mein jitna parrha ba qadar teen aayat kayho. Iss mein Aayat e Madaina se kia Muraad hay?

Answer: Ghaliban aayat mujhay yaad nahi aa rahi hay

Page 5: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

4

[Surah al Baqarah : 228]

yai aayat hay.

Download

Question 7: Sonay ke Zewrat ki Zakat ka Hisaab aaj jo Zewrat kakhareednay ka Market rate hay uss se lagaya jaega ya Khaam Sonay kiQeemat se?

Answer: Jo aaj ka bhao hay uss k hisaab say lagay ga.

Download

Question 8: Sadqa e Fitr ki miqdar aik Sa'a ka wazan 351 rupay bharaur Nisf Sa'a ka 175 rupay athanni bhar . Fi Zaman iss ki Maaliyatkitni hogi?

Answer: Iss ki maaliyat iss waqt kuch yaad nahi hay aur ghaliban joishtihaar hamaray haan say nikalta hay uss main do kilo 45 gram isska wazan bataya gaya hay ab iss ki itni miqdaar ho ya iss k ki jomaliyat ho jo qeemat hay wo sadqa kar day.

Download

Question 9: Kch loug Jannat al Baqee Sharif mein ziarat ki garz sejanay se mana kartay hain aur wajah ye batatay hain k wahan kaeequboor par ub raasta bana dia gaya hay iss liye wahan na jana chahiye.Rahnumai farmaen!

Answer: JahaN par nya raaasta nikala gya ho to fuqaha yai farmatayhaiN k qabristan main jo nya rasta nikala gya hay uss main guzarnaharaam hay, iss liay k qabristan Mazana e qabr hay khasoosan puranaqabristan aor basaa auqaat qabraiN imtidaad e zamana say qabroN kaasaar muntariz ho jatay hain miTT jatay haiN to uss main mazmoonbi zann e ghalib yai hay k wahan par qabr ho gi ab uss main jo raastanikala gya wo raasta nikalna jaaez nahi hay aor iss main mazmoon bizann e ghalib yai hay k qabr par pair paRay ga agar qabrustan mainjanay ki soorat yai ho k qabroN ko phalaaNg kar k jata ho ya qabr parpair paRta ho to yai qat’an naa jaaez o haraam hay aisay hi jo purana

Page 6: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

5

qabrustan tha uss main nya raasta nikala gya uss main b mazmoon bizann e ghalib hay iss liay fuqahaa nay mana’ farmaya jahan par aisamazmoon hay gumaan hay wo baqi shareef ka qabrustan ho ya koijagah ho wahan wohi hukm hay unn ka mana’ karna bajaa hay andarjanay ki koi zaroorat nahi hay aadmi khaas uss hissay say k jahan parqabraiN nahi haiN aur raasta nahi nikala gya wahan par khaRay hokar wo FATIHA aur SALAM waghaira arz kar sakta hay.

Download

Question 10: Haram-e-Kaba Sharif mein Namaz parrhtay waqt nazarJaa-e-Sajda par honi chahiye ya Kaaba Sharif par?

Answer: Namaz paRhnay ka adab yai hi hay k khaashi’een ki tarah saynamaz paRhay aur khaashi’een ki namaz yehi hay k jaa e sajda parnazar jamaa kar k wo namaz paRhay ka’baa masjood alaih hay wojehet e sajda hay aur sajda haqeeqatan ALLAH tabaraka wa ta’alaa kohay aur namaz ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki ibadat hay aur namaz kayai adab hay aur yai adab jo hay mutlaq hay iss main kisi jagah ki aurkhasoosan mahal ki koi qaid nahi hay ka’bay main b namaz ka yehiadab hay jo khashi’een ki namaz jis tareeqay say paRhi jatai hay wahanb wo ussi tareeqay say paRhay ga.

Download

Question 11: ek peer sahab kahte hai ke qayamat ke din ek giroh aisahoga jisko ALLAH TA'ALA sirf ache aamal (yani logo se bhalai karnepar) ki buniyaad par jannat mein dakhil farma dega chahe woh kisi bhimazhab ka ho. kia ye durust hay?

Answer: Yai na darust hay ! amal ki bunyaad aur uss ka mussaHeH woIMAN hay aur iman ki jan HUZOOR SARWAR E AALAMSALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMMA kimuhabbat aur wo jo kuch lay kar aayai. muhabbat ka ma’naa yai nahihay aur hamaiN iss muhabbat main b hamm ko ALLAH tabaraka wata’alaa nay hamari marzi par nahi choRa balkay muhabbat ka ma’nayai hay k aadmi ki khwahish e nafs aur uss dil aur uss ki marzi sabkuch HUZOOR SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WATA’ALA ALAIHE WASSALLAMMA k deen k tabe’ ho jayai Huzur nayfarmaya:

Page 7: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

6

Tum main say koi musalman nahi ho sakta jabb takk k uss ki hawa auruss ki khawahish meray laayai huay deen k tabe’ na ho jaey.

to peer sahib ka y ai kehna mehez bay bunyaad hay aur logoN ko bayIMAN ban’nay ki da’wat hay.

Download

Question 12: kya peer ki ijazat k baghair mureed ko koi wazifa nahipadhna chahiye?

Answer: Wazeefay main yai hay k uss ki ijazat jo uss ka a’amil hay yajo ma’moolaat e aamaa ka aamil hay aur wo jam’e shara’et hay aura’alim ba a’mal aur parhaiz k sath ittebaa’ e shara’ k saath koi amalkarta hay uss say uss ki ijazat laina yai ma’moolaat e mashaaekh mainma’mool hay aur iss ka faiz hota hay. Jab koi a’amil a’alim e ba a’malbazurg ya sacha aamil uss amal ki ijazat daita hay to uss main barkataur faiz hota hay iss ki asal jo hay wo QUR’AN e kareem ka yai qaulhay … Allah nay farmaya ….

Hazrat e ADAM alaihe issalam jab unn say khata e ijtihaadi hui koigunaah nahi hua tha ALLAh tabaraka wa ta’ala ki hikmat e baligha naychah k wo jannat main na rahaiN aur apnay qadoom e maimanatnazoom say dunia ko barkat dain aur dunia ko mamoon farmayaiN kunn k tashreef laanay say ambia aulia aur HUZOOR E SARWAR EAALAM SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALAALAIHE WASSALLAMA khaas kar, tashreef laayaiN gae aur zameenunn k qadmoN say aabaad ho gi. Iss hikmat ka yai taqazaa hua kADAMA ala nbiyyina wa alaa salaat o tasleem ab uss manzil say auruss jagah say aap door kar diya gaey to aap ghamgeen rahay ALLAHtabaraka wa ta’alaa ki baargah main inabat jo tauba ka aik darja ea’alaa hay uss darjay par unn say kio gunaah nahi hua tha ALLAHtabaraka wa ta’alaa ki marzi chahnay k liay wo inabat kartay rahay aurtauba kartay rahay yahan takk k ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay unnko kuch kalimaat sikhaa diay jo unhoN nay kahay to unn ki taubaqabool hui aur unn ko mazeed e qurb hasil hua to ALLAH nay ussi kihikayat ki hay (arabi) “ ADAM nay apnay r abb say kalimaat seekh liayto ALLAH nay unn ki tauba qabool ki ” ulama farmatay hain k koi bamal hay uss main uss ka aamil hay uss ki ijazat say agar kia jayai touss maiN qabooliyat ki ummeed b hoti hay aur barkat b hoti hay.

Page 8: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

7

Download

Question 13: Kya Aurat ke awaz mein Audio naat sharif sun shaktehai?

Answer: Aurat ki awaz b aurat hay

yai fuqaha e kiraam tamam kitaboN main azaan waghaira main yaijuziya maujood hay k aurat ki awaz b aurat hay lehaza aurat ko yaijaaez nahi hay k wo apni awaz ghair maharim ko sunayai iss liay uss kiawaz ka sun’na jaaez nahi hay !!!

Download

Question 14: kya hum zakath kai paisai sai quran shariff kharid kar kaimasjid mai aur madrasa mai dai sakthai hain?

Answer: Zakat k paisay say QURA’N e azeem k nuskhoN ko masjid yamadrassay main daina yai baghair heela e shara’ee jaaez nahi hay auragar iss taur par wo QURA’N k nuskhay zakat k paisay say rakhwayaito zakat adaa nahi ho gi agar kisi nay apni zakat ki raqam kisi ko di haywo uss ka wakeel hay to wakeel k iss tasarruf say moakkal ki zakaatadaa nahi hui aur wakeel par taawaan lazim hay k utni raqam womawakkil ko wapis karay aur yai soorat k zakat ki raqam say heela karlia kisi faqeer e muslim ko day dia aur uss say kaha iss raqam sayfalaaN naik kaam kia jayai ga maslan QURA’N e azeem k nuskhay wokhareed k masjid ya madrassay main rakhwayai jayaiN gae aur wokahay k mujhay manzoor hay to iss taur par zakat adaa ho jayai gi aurfaqeer ko uss k sawab milay ga aur jis nay uss ko iss ki talqeen ki uss koiss ki talqeen ka aur faqeer k amal ka sawab milay ga

Download

Question 15: Saya-e jumla mashaikh ya khhuda ham par rahe.rahamfarma ale rahma ke waste. Iss mai Aale Rahma se kia murad hay?

Answer: Aal e ReHmaaN huzoor e mufti azam hind a’ala hazrat kchoTay sahib zaday huzoor e mufti e azam hind ka laqab hay jo

Page 9: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

8

ghaliban khatim ul akabir hazrat abu hussain shah ahmed e noorirehmatullah  e  ta’alaa  alaih  nay  unn  ko  dia  tha  aur  jabb  aap  6maheenay k thay to aap tashreef laayai aur unn ko bay’et kia aur unnko khilafat di aal e rehmaaN say hazrat e mufti azam hind muraadhaiN.

Download

Question 16: Mau'tariz aur Mukhalif Aetraz kartay hain k Hazrat T.V.Video aur Tasaweer aur Inn Khurafat k Hami Afrad aur Tanzeemon kbohat Khilaf hain magar khud Hazrat hi k Khulafa aur MurideenBagair kisi Shara'ee Uzar ya Hukoomati Dabao k TV par aatay hain yaVideo wa Tasaweer banwatay hain. Hazrat unn par bhi Sarzanishfarmaen!

Answer: Khud meray muta’liq to yai sawal kaha gyaALHAMDULILLAH na to main TV par aataa hooN na maiN videobanwata hooN aur internet ka yai programme hay meri tasweer kbaghair nashr hota hay… khulafa aur mureedeen agar yai kaam kartayhain to unn ko yai hidayat hay k wo TV par aanay say parhaiz karaiNaur video k programoN say parhaiz karaiN aur apni tasweer kashi sayijtinaab karaiN. Jaan daar ki tasweer kashi haraam ashadd e haraamhay wo koi karay mera khaleefa ho ya mera mureed ho ya meraykhandan ka koi fard ho maiN uss say raazi nahi !!!

Download

Question 17: Agar hum apne marhoomeen ki qabron mai phoolcharhaatey hain ya qabr main pani daaltey hai tau kya isse murde kofaida pohnchta hai? Is Ama ki asl kya hai?

Answer: ÷ss amal ki asal wo hay k bukhaari main aur doosri hadees kikitaboN main yai hadees hay k HUZOOR E SARWAR E AALAMSARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHEWASSALLAMA do qabroN say aap ka guzar hua aur huzoor nay unndono qabroN k baaray main yai farmaya k inn main say aik shakhs thajo chughli khata tha logoN ki shikayat lay k jata tha aur logon kiburaaee karta tha aur bay ja chughl khori karta tha aur aik wo tha jopaishaab ki cheeNToN say nahi bachta tha bukhari main (

) yai riwayat hay k jabb wo paishab karta tha to parday kaehtimam nahi karta tha aur iss ki parwa nahi karta tha k uss ka satrkhulay aur log uss ko daikhaiN yaani kashf e aurat ka murtakib hota

Page 10: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

9

tha, aur aik riwayat main yai hay k ( ) “yai paishab kicheeNToN say nahi bachta tha” to hazoor nay farmaya k yai dononmurday apni qabr main inn ko azaab dia jaa raha hay aur kisi baRibaat main inn ka azaab nahi hay aisi baat nahi hay k jis say bachna innk ooper dushwar tha baat to kabeera thi kabeera gunah tha laikin isssay bach saktay thay laikin iss say bachay nahi to HUZOOR ESARWAR E AALAM SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKAWA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMA nay aik Tehni li aur uss ko aadhaaadha kar dia aur aik Tehni aik qabr par laga di aur doosri Tehnidoosri qabr par laga di aur farmaya k ummeed hay iss baat ki k jabbtakk yai TehniaaN tarr rahaiN gi khushk na hoNgi ALLAHtabaraka wa ta’alaa unn say azab main takhfeef farma dega. aur nabika yai kehna ummeed hay yai hamaray tumharay kehnay k taur parnahi hay balkay uss nabi ka kehna yai khuda ka kehna hay ALLAHfarmata hay ( ) to wahan tawajjeeh tehqeeq k liay hay to yahan nabika kehna b tehqeeq k liay hay yehi nahi matlab k ummeed hi nahibalkay yaqeen hay k main nay rakh di Tehni ab inn par say azab uThgaya.

Download

Question 18: Holland mein iss august mein Isha ka waqt raat 12 bajayhota hay. Ulama-e-Holland ne Awaamun Naas ki haalat madde nazarrakthei huwai Saahibain ke qaul ko ikhtiyaar kiya. Kya baqaa-e-sunnat(tarawieh) aur namazo ki taraf bulane kil liye (umume-balwa)saahibain k qaul ko ikhityaar kar saktay hain ya nahin?

Answer: Nahi yai bohat sakht jur’at hay aur ham hanafi haiN hamyousafi ya sha’bani nahi haiN aur hamaray nazdeek imam e azam knazdeek waqt nahi hota hay aisay waqt main namaz paRhna k jis waqtmain shakk ho k abhi daakhil nahi hua iss ki ijazat nahi hay.

Download

Question 19: Aik muqarrir sahib ne kaha k jis k paas halal khaana naho aur wo marr raha ho aur Haram Khana available hay tou uss parfarz hay k iss hadd tuk khaa lay k jaan bach jaey. Agar na khaya touHaram Maut marega. Hazrat kia farmatay hain?

Answer: Yai to sahi baat hay agar koi halaal ghiza aisi muyassar nahihay jiss say uss ki jaan bach sakay aur koi sha’e haraam maujood hay tojabb sachi sachi zaroorat ho k jaan janay ka andaisha ho to iss qadar

Page 11: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

10

k jis say Rufad e ramaq ho jayai aik luqma ya do luqma k jis k zaree’aysay uss ki jaan bach sakti hay wo uss par khana jo hay farz hay yahanpar uss ko yai ikhtiyaar nahi hay na khaayai balkay agar nahi khayai gaaur jaan day day ga to iss soorat main yai khud kushi ka murtakib hoga uss par farz hay k baqadr Sadd e ramaq apni jaan bachanay k liayjis qadr say jaan bach sakti hay wo khaa lay

zarooraat jo haiN wo haram cheezoN ko mubaah kar daiti haiN aur

zaroorat k liay mubah hay wo ussi miqdaar par rahay ga jitni miqdarki zaroorat hay warna khwahish say khana aur hadd say zyada guzarnajaaez nahi hay.

Download

Question 20: Aik shakhs ki bohat si Qaza Namazin baqi hain. Ub wosirf Farz Namaz parrhta hay aur Sunnaton ki Jaga Qaza-e-Umriparrhta hay. Kia aisa karna theek hay?

Answer: Theek hay uss ko yai hukm hay k takhmeena aik laga lay aisajis main namzaiN kam na reh jayai agar baRh jayaiN to koi harj nahihay laikin namazaiN aisi na reh jayaiN k takmeenay say baahir hoNaur wo qazaa parhnay say reh jayaiN aur unn main jis qadr mumkinho namzoN ko jald qaza kar lay aur uss main aik takhfeef yai b hay kaur qaza namazoN ki to koi sunnat hay nahi aur yai takhfeef, agarbohat zyada namazaiN hain to sunnat e moa’kida na choRay nawafilchoR sakta hay.

Download

Question 21: AlaHazrat se mutaliq kisi ne kaha k AlaHazrat ne Chaandki Scientific Calculation ko mau'tamad kaha hay aur isi tarha MuftiShariful Haq Amjadi Sahib k baaray mein bhi bataya k unhoun ne aisisoorat mein jub matla abar aalood ho aur chaand ki scientific report hok aaj hi chaand hay tou wo qabil e aetimad hay. Rahnumai farmaen?

Answer: jinhoN nay a’alaa hazrat k mutaliq aisa kaha hay fatawa

Page 12: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

11

razvia main aik risala nahi balkay muta’adid risalay uss k khilaaf haiNaor hamaray ulama yai tasreeh farmatay haiN k hamaray nazdeekikhtilaaf e mutale’aa mo’tabar nahi hay aur doosri baat yai k hisaab koAllama Imam TAQI UD DIN subuki nay qata’ee bataya yai unn kamunfarid  qaul  hay  shafa’ee  hanafi  koi  b  faqeeh  fuqaha  emutaqaddimeen main unn ka iss masla main ham khyal aur mawafiqnahi hay yai khud unn ka apna aik khyaal hay a’alaa hazrat nay usskhyala ko muqarar nahi rakha balkay yai farmaya

“huzoor ay farmaya k chand daikh kar roza rakho aur chand daikh kareid karo aur agar matla’a abr aalood ho aur chaand dikhaaee na day tosha’baan ki iddat ya sha’ban ki takeed yai ittefaaqi hay to maheenay kiiddat jo hay wo poori karo aur 30 ki ginti poori karo.

Download

Question 22: Jeddah k session main Hazrat se sawal huwa tha k"badmazhabi hadd-e-Kufr ko pohanchnay kay baray main kuch tafseelfarma dein".. kia Tahir-ul-Qadri ki badmazhabi Had-e-Kufr kopohanch chuki hai?

Answer: Tahir ul qadiri k mukhtalif byanat aur uss ki kitab firqaparasti ka khatma kion kar mumkin hay ya firq parasti ka khatma ussmain bohat saray maqaalaat aur kalimaat aur ibarataiN kufriamaujood haiN jin ka khulasa yai hay k uss k nazdeek sarkar nay 72 ya73 firqoN main kisi ko nijat ka paimana nahi dia to iss taur par uss kqual say yai laazim aayaa k na ahlesunnat naaji ahi haiN aur doosray bnaji nahi haiN aur yai kehta hay k jitnay firqay hain sunni aur ghairsunni unn main ta’beeri aur tashreehi ikhtilaaf hay aur baaqi sab aikhain aur uss k ilawa bohat saaray uss k kufriyat haiN deed o shuneedwaghaira maiN aur doosri kitaboN main aur internet par uss k aqwaalaur aur uss actions uss k k kalimaat sab available haiN wahan say aapja kar k inn ki ma’loomaat kar saktay hain lehaza uss ki bad mazhabihadd e kufr takk pohanchnay maiN koi shakk nahin.

Download

Question 23: when performing gusl for janaza, can we use rubber latexgloves? and can we use soap with fragrance?

Page 13: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

12

Answer: No objection to this if you wear rubber latex gloves and youcan use a soap made by any islamic country. Khushboo agar hay ussmain koi essence ya kisi naa paak cheez ki aamezish nahi hay aurislami kaarkhanay ka bana hua hay to uss m ain koi harj nahi hay.

Download

Question 24: I wanted to know the procedure for talaq according tothe shariah?

Answer: Talaq ka to procedure yai hay k

QURA’N e kareem nay saaf farmaya k “talaq jo shara’ee talaq hay joALLAH aur RASOOL k qanoon main talaq hay wo yai hay k aik ya dotalaq sahih lafz say aisay period main jis main uss nay sohbat na ki hoday, haiz ki halat main hamal ki haalat main talaq na day aur aik talaqday, ya do talaq day ya iddat guzarnay day

ab talaq dainay k baad iddat k andar agar chahta hay to aurat kobhalaee k saath rok lay yaani raj'at kar lay zaban say keh day k mainnay iss say raj'at kia iss ko apnay nikah main ya fa’el say kisi action kzaree’ay say wo apnay nikah main wapis lay lay aur mustahab yai hay kdo parhaiz gaar namazioN k saamnay yai keh day k main nay apni biwisay raj'at ki usay apnay nikah main wapis lia aur agar nahi wapis karnachahta hay raj'at nahi karna chahta hay to iddat guzarnay day aur jabbiddat guzar jayai gi to aurat aazaad ho gi jis say niakh jaaez hay uss saynikah kar lay gi. teen talaq aik majlis main daina ya aik lafz main talaqdaina k main nay teen talaq di ya youN kehay k main nay talaq di, mainnay talaq di, main nay talaq di yai naa jaaez o gunah hay agar che dayga to talaq paR jayai gi magar aurat aisi haram ho gi k phir bay halaalaaiss k liay kabhi halaal na ho gi.

Download

Question 25: Agar kisi ko Qarz diya ho to unn paison par zakat wajibho gi kya?

Answer: Uss par zakat hay jabb k wo qarz zinda ho yaani wo maqrooz

Page 14: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

13

say wo qarz lay sakta hay aur uss par shahadat aur gawah uss nay karliay haiN aur madyoon jo hay wo uss say qarz laina aasaan hay aur wouss say lay sakta hay agar qarz na lay iss taur par to uss main yai hay kjabb takk uss k paas raha zakat uss par saal ba saal wajib ho gi aur usski adaa’egi jabb wajib ho gi jabb k poora qarz ya ya ba qadr e khums enisaab, nisaab ka paanchwaaN hissa ussay jab mil jayai ga to uss kiadaaegi uss par wajib ho gi.

Download

Question 26: Jeddah k session mein Hazrat ne farmaya tha k Aetijar kma'ni hain Topi ka Nazar Aana. Aur Allama Amjad Ali Aazmi Sahib kFatawa mein Aetijar k maani sar ka khula hona hay aur AlaHazrat nebhi Fatawa Razawiyya Sharif mein yahi farmaya hay. Iski wazahatfarma dein!

Answer: A’alaa hazrat nay fatwa razvia maiN kahaN yai farmaya hayuss ka hawala dijiay. Aetijaar k ma’naa yehi haiN jo main nay batayaiaur Tahtavi alal Maraqi aur doosri kitaboN main aetijaar ki tafseeryehi batayi gaee hay

k aetijar yai hay k imama apnay sarr k gird lapaiT lay bass yahan sayaetijar ki tareef poori ho gaee

k sarr k gird imama lipTay to yai uss ki tafseer hay k jabb sarr k girdimama ghumayai ga ab yai sarr ka hissa iamamay say khula reh jayaiga yaani sarr k hissay par imama nahi ho ga ab sarr k hissay parimama na hona aur gird e sarr imama lapaiT laina yehi ahtijaar hay.Tahtawi al al-Maraqi main issi liay yai farmaya k yai murad k tafseerhay jo sharah nay kaha aur uss say murad yai hay k iss ka paich jo haybeech sarr par na ho aur imamay say wo khula hua ho ab khwaa Topisarr par ho ya Topi na ho agar Topi na ho to yai musalmanoN mainraaej nahi hay musalmaanoN maiN jo sarkar k zamanay say joimamay ki sunnat chali aa rahi hay wo ye hay k

hamaray darmiyan aur mushtikeen k darmiyan farq yai hay k hamarayimamay TopioN par hotay hain aur mushrikeen k hindu’oN waghairak jo haiN unn k imamay wo baghair Topi k hotay hain ab

Page 15: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

14

agar Topi nahi hay to yai doosri karahat hay aur Topi hay aur imamagird e sarr lapaiT lia aur beech main khula raha to yahan par bhi

sadiq hay yai ahtijar k ma’ana sadiq aa rahay haiN lehazayai karahat tehreemi hay !!!

Download

Question 27: Kia kisi Mazhabi TV Channel ko Zakat ya Fitra dia jasakta hay? Mazeed kisi aisi Mazhabi Jama'at ya Tehreek ko Zakat yaFitra ki Raqm di ja sakti hay jin k BadMazhabon se ta'alluqat hon?

Answer: Mazhabi TV channel , meray nazdeek to samajh maiN nahiaataa hay k kon sa TV channel mazhabi hay aur kon sa ghair e mazhabihay aur tasweer kashi aur tasweer ki numaaesh ki jati hay uss say koichannel mazhabi nahi rehta aur koi programme mazhabi nahi rehtayai deen ko tamasha banaana hay aur zakat aur fitra waghaira, sadqate wajiba ka masla pehlay byan ho chuka hay k uss ka masraf faqeer emuslim hay TV channel ya madarsay ya masjid ya qabristan uss kamasraf nahin hay.

Download

Question 28: Kisi aisi mazhabi jamat ya tehreek ko zakat ya fitray kiraqam di jaa sakti hay jin k badmazhaboN say ta’luqaat ho?

Answer: Zakat aur fitray ki adaaegi k silsilay main yai sawal mukarrarrhay uss ka to baar haa bata dia gya k uss ki mustahiq na koi jamat hayna koi idara hay aur na masjid hay na madarsa hay wo mazhabi ho yawo jamat khalis mazhabi ho ya kisi bad mazhab say ho attach ho taaluqrakhti ho uss ka masraf jamat waghaira nahi hay uss ka masraf faqeer emuslim hay agar heela kar k agar wo raqam kisi ko day di gaee to zakatadaa ho jayai gi albatta yai aur baat hay k koi tehreek ya jamat jo badmazhaboN say taaluqaat jis k haiN wo iss laaeq nahi hayk uss ki imdad aur ae’aanat aur khasoosan zar e zakat say ki jayai yaisakht bay ja hay !!

Download

Question 29: Agar syed ladki ki shadi shiekh ladke se ho jaye to kyaladki ka nasab qatam ho jayega aur wo syed ki jagah shiekh ho jayegi

Page 16: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

15

Answer: Nahi iss say to nasab khatam honay ki koi baat nahi hay woapnay nasab par rahay gi aur syed zadi ka nikah agar shiekh say kardia aur shiekh aam taur par wo araboN main quresh khandan haiNfarooqi siddiqi usmani ya ‘alavi unn main say kisi say kar di to isssoorat main arab quresh haiN wo aik doosray k kafoo haiN nikahsaHiH uss wajah say wo laRki syedoN main di gaee iss bina par syednahi ho jayai gi.

Download

Question 30: kya palang par gadde k upar namaz padh sakte hain?

Answer: Gadday k ooper namaz paRhnay k liay shart yai hay k gaddaagar hard hay aur paishani sajday main jamm jayai gi to uss sooratmain namaz paRh saktay hain aur namaz adaa ho jayai gi warna agarwo itna narm hay k paishaani nahi jamti hay to namaz nahi ho gi.

Download

Question 31: Agar koi palang k upar namaz padh raha ho to uskesamne se guzar sakte hai ya nahin?

Answer: Saamnay say guzarnay ka yehi hay k agar uss k a’azaa  jopalang par namaz paRh raha hay guzarnay walay k agar muhaazi haiNto uss soorat main agar uss ki moza e sajood jahaN takk uss ki nazarpohanchti hay khashieen ki tarah agar namaz paRhta hay to jahaNtakk uss ki nazar pohanchti hay to uss hadd takk uss k saamnay sayguzarna jaaez nahi hay aur agar wo zyada ooncha hay aur uss k a’azaaiss k a’azaa k muhaazi nahi haiN to guzar sakta hay.

Download

Question 32: Sonay, Chandi ya Foriegn Currency par Zakat uss kiqeemat-e-khareeb k mutabiq deni hogi ya current market value kmutabiq?

Answer: Current market k mutabiq.

Page 17: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

16

Download

Question 33: Namaz-e-Janazah k liye Wuzu ki Zaroorat hay?

Answer: Wuzu behter hay aur agar namaz e janaza tayyaar hay wuzumain masroof ho ga to nahi milay gi to tayammum b kar sakta hay aurnamaz e janaza main shareek ho sakta hay iss liay k namaz e janazahaqeeqatan yai namaz nahi hay balkay mayyit k liay dua hay !!!

Download

Question 34: Aallah hoo ka jo Zikr kia jata hay... Iss k kia Ma'ini hain?

Answer: ALLAH hu k zikr k kya ma’na haiN yai to ajeeb sawal hay.ALLAH ism e jalalat hay Mujtama'e sifaat e kamal ALLAH tabarakawa ta’alaa k liay yai ism khaas hay aur haqeeqatan ya majazan yai kisiaur ko yai naam kisi aur k liay bolna aur itlaq karna yai naa jaaez hayab iss say kya poochna chahtay hain saael meri samajh main nahiaayaa.

Download

Question 35: mein ne bachpan mein apni Chachi ka Doodh piya hayya'ni wo meri Raza'i maa(n) hay. Kia mein Unki Beti se Shadi karsakta hun?

Answer: Nahi iss soorat main jabb aap nay chachi ka doodh pia hay toaap ki raza’ee maaN ho gaee to uss ki beti aap ki raza’ee behen ho gaee

nasabi aur khoon k rishtoN say jo rishtay haram hain wo doodh krishaty b uss say haraam haiN.

Download

Question 36: Kia Aurat Auraton ki Jama'at karwa sakti hay aur ImamBan sakti hay?

Answer: Naa jaaez hay , makrooh e tehreemi hay !!!

Page 18: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

17

Download

Question 37: Kia Khawateen apnay Ghar pae Eidain ki Namaz parrhsakti hain?

Answer: Iss ki ijazat nahin.

Download

Question 38: Aaj kal Aetikaf k Doraan Masajid mein T.V. bhi rakhajata jis mein Mazhabi Programs chalaey jatay hain jin meinBayHayaee, BudNigahi ya Moseeqi nahin hoti tou Aetikaf mein iss kiijazat hay aur kia Aetikaf par iss se koi farq aaega?

Answer: Naa aetikaaf maiN iss ki jazat hay aur na hi kisi aur sooratmain iss ki ijazat hay aur yai deeni programme hain hi nahi deen kotamasha banaana hay TV ka istemaal aur khasoosan masjid main yaizyada haraam aur ashadd e haraam hay.

Download

Question 39: Mein Paint (Colouring) ka kaam karta hun. HamarayIlaqay mein BadMazhabon ki Masjid hay aur wo chahtay hain k meinwahan Naya Paint karun aur wo mujhe usski Ujrat dengay. Kia yemeray liye Jaiz hay?

Answer: Bad mazhaboN ki masjid hay paishay k taur par to yai jaaezpaisha hay laikin agar bad mazhaboN ki ujrat say aur unn ki mazdoorisay unn ka mazdoor ban’nay say ehtiraaz kar sakta hay to ehtiraazkaray iss liay k bad mazhaboN say mua’milat bhi jaaez nahin hay.

Download

Question 40: Aaj kal flavour mila huwa miswaak milta hai lemon, mintwagera tou rozay ke halat me iss miswaak ka istemaal kar saktay hain?

Answer: Iss main yai hay k durr e mukhtar main farmaya kisi cheez ka

Page 19: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

18

rozay ki halat main chakhna makrooh hay aur yahan karahat tehreeminahi hay tanzeehi hay yaani yai khilaaf e aula hay aur iss ka ma’aalmagar iss say rozay par koi asar nahi paRay ga albatta behtar yai hay kiss say bachay !!!

Download

Question 41: Kia Ulti (Qay) aanay se Roza toot jata hay?

Answer: Agar munh bhar qay aayi aur kuch wo zabt na kar saka aurkuch uss k halaq main wapis ho gaee to roza chala gya ba shart yai kuss ko rozay daar hona yaad ho.

Download

Question 42: Kia pooray 29 ya 30 din ki taraweeh aik hi masjid meinaik hi Imam k Peechay parrhna zaroori ya mustahab ya mukhtalifmasajid mein ada kar saktay hain?

Answer: Mukhtalif masajid maiN ada karnay ki kya zaroorat hay auruss main kya hikmat aur kya maslehat hay agar aap kisi mahallay krehnay walay hain to aap k liay aap k masjid e muhalla maiN jotaraweeh qaaem hay aur imam jame’ sharaa’et e imamat hay aur wosaHiH ul qira’at hay aur saHiH ul taHarat hay aur masaael e namazsay waqif hay aur makharij waghaira saHiH adaa karta hay to koiwajah nahi hay k choR kar k alag alag jayaiN albatta kisi zaroorat kibina par aap gaey to mukhtalif masajid main aap paRh saktay haiN.

Download

Question 43: Umrah k liye Hukumat ki taraf se Pabundi hay k 40 saalse kam single lougon ko VISA nahin milega magar loug ya tou khudkisi na kisi k jhoot mein Mehram ban kar VISA le letay hain ya groupwalay kisi ka jhoota mehram bana detay hain. Kia aisi soorat meinUmrah karna jaiz hoga?

Answer: Umrah jaaez hay iss say umrah k jawaz par koi asar nahipaRta albatta dhoka daina aur jhoot bolna uss ka irtikaab jaaez nahihay.

Page 20: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

19

Download

Question 44: 3-5-6 aur 10 Roza Taraweeh ka kia hukm hay?

Answer: Kam say kam 3 din main khatam hona chahiyai a’alaa hazratnay yai farmaya aur uss main b shart yai hay k saHiH ul qiraattasHeeH ul makharij k saath aur tajweed k saath paRhay aur saarayalfaaz shuru say lay kar aakhir tak sab masmoo’ hoN adaa hoN to yaikam say kam teen din aur 5 aur 6 aur 10 aur zyada b ho sakta hay auryai jo logoN nay nikala hay k aik hi roz main khatam kartay hain to issmain b yai hay k agar wo itni jaldi uss nay paRha k ya’lamoon aurta’lamoon  k  siwa  kuch  pata  nahi  chalta  to  iss  soorat main ussshabeenay ka kya poocha jayai wo taraweeh aur wo namaz asalan ho ginahin.

Download

Question 45: Our imam says recite once surah Fatiha and 3 thimessurah ikhlaas to do isaa lay sawaab and then he recites surah Fatihaand ikhlaas with loud voice . Please tell us if we should recite surahFatiha and ikhlaas at the same time as he is reciting or should welisten to his recitation please give the answer in Urdu.

Answer: Agar imam nay yai kaha k eesaal e sawab k liay soora eFATIHA paRhiay aur teen teen martaba soora e ikhlaas paRhiay to isssoorat main agar uss nay qira’at awaz say shuru kar di to uss sooratmain farz hay k uss ki qira’at ko sunaiN aur uss ki qira’at k dauraankhamosh rahaiN uss k baad aap apni qira’at uss k faarigh honay kbaad aahista aahista paRh saktay haiN.

Download

Question 46: AGAR MAL PER QBZA KEA BAGER SALE KARDI TOAAMDANI HALAL HOGI YA HARAM?

Answer: Maal e bae’ ki sehat k liay k jis cheez ko baich raha hay wo ussk qabzay main ho aur ghair e maqbooz ki bae’y say hadees main mana’farmaya gya hay aur amadani k halal ya haram honay maiN kutb efiqah main iss ki tafseel hay jo sar e dast mujhay mustehzar nahi hay

Page 21: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

20

bahar e shariat waghaira ka mutaalia’ kar k ma’loom kia jayai aur agarbae’y Mab'ee uss k qabzay main nahi tha uss soorat main wo samanyehi samajh main aataa hay k wo saman uss ko naa jaaez hay jabb takk wo uss par qabza na kara day wo saman uss ko jaaez nahi ho sakta.

Download

Question 47: Can I work with the on to whom I am engaged?

Answer: Kaam ki kya no’iyyat hay?

Download

Question 48: Can a husband and wife stay away for 2 years far awayafter marriage?

Answer: Husband aur wife ka alehda alehda rehna wo b saal do saal kliay agar baghair kisi majboori k hay to yai acha nahi hay aur baazhalaat main yai sakht muzir hay aur agar iss main koi hajat e shara’eyaya zaroorat hay to uss k aitibaar say hukm badal jayai ga agar womajboor hay rehnay par maslan uss ka karobar ya rozgaar waheen parhay aur wo biwi ko apnay saath nahi rakh sakta to iss soorat mainijazat hay.

Download

Question 49: How many rakats to be offered in taraweeh namaz?

Answer: 20 Rak'ats!

Download

Question 50: Buray aur drawnay Khwabon se bachnay k liye koiWazeefa ya Amal Inayat farmaen.

Answer: Ayat ul KURSI paRhain harr namaz k baad aur sotay waqtaur chaaroN QUL harr namaz k baad aur sotay waqt paRhain INNSHAA ALLAH bad khawabi nahin ho gi.

Page 22: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

21

Download

Question 51: Mein Foriegn Exchange ka Business karna chahta hun.Iss ka tareeqa kch yun hay k mein 1000 dollar khareedunga phr jubuski qeemat barrh jaegi tou usay bech dunga jis se mujhe munafahoga aur ye bhi ho sakta hay k uski raqam gir jaey tou nuqsan ka bhiandesha hay. Kia ye tareeqa-e-tijarat Jaiz hay?

Answer: Agar yai tareeqa aisa hay jaisa k aaj kal share waghairakhareedtay hain k share khareedta hay aadmi aur foran uss ki valuekam ho jatai hay aur kabhi zero ho jati hay to yai mukhatirat bil maalaur joo’ay ki soorat hay aur yai naa jaaez hay agar iss main aisa nahihota aur aam halaat main uss ko nafay ki ummeed hay aur uss ka maalde value nahi hoga aur waqt e zaroorat jab mauqa aayai ga munasib touss ko wo achi qeemat par baich sakta hay to iss soorat main yai tijaratjaaez hay !!!

Download

Question 52: ek qabristan hay CHRISTIANS ka jismay 60 saalo se koibhi dafan nahi kiya gaya uskey k bazu may MUSLMANO ka QabristanHay jo full ho chukka Hay kiya musalman ye christen ka qabristankharid sakhtey hay uar musalman dafan kar sakhtey hain?

Answer: To uss ko khareed saktay hain khali jaghoN pay apnaymurday dafan kar saktay hain aur jo doosri jaghoN par unn ki qabroNki hurmat nahi hay to agar wo haddiyaaN gall saRR gaee haiN aurbilkul boseeda ho gya hay to wahan b unn ko apnay murday dafan karsaktay hain agar unn ki haDDiyaan waghaira nazar aayaiN to unn kohaTaa daiN !!!

Download

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah

DUA

ABDUL RAZZAQUE QADRI, SHAHIDA BANO, LADMUHAMMAD, MUHAMMAD ZEESHAN, MUHAMMAH

Page 23: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

22

HUSAIN AUR UDAIPUR K TAMAM SUNNI MUSALMANO KLIYE IMAN KI SALAMTI KI DUA AUR SARKAR MEIN INNSAB KA SALAM.Wareed Khan k Walidain ki Sehat aur Umar-e-Daraz k liyeKhusoosi DUAMy Sister Farzana Kazi is your Mureed and she is having KidneyProblem since last 2 Years. Please make DUA for her Health andspeedy recovery.Obaid ReHman ki Hamsheera aur Syeda Iqra Mohsin ki SunniSahih ul Aqeeda Rishtay k liye Dua farma dein.Syed Adan Qadri k liye Halal Tayyab aur Ba Barkat Rozgar k liyeDUA farma dein.meri dadi ki tabiyat bahot zyada aleel hai jo u.p me hai huzur apdua farma deinMai ek bussiness start karna chahta hoon, achi tarah se halalrozi kamane k liye dua kijiye.Mein Enginner hun aur Bay Rozgar hun. Halal aur Ba BarkatRozagra k liye DUA farma dein.Meri Behan k liye Nayk Suleh Nareena Aulad k liye DUA farmadein.MERI TABIYAT HAMESA KHARAB RAHETI HAI MUJE NINDBAHUT ATI HAI NAMAZ ME SUSTI BAHUT HAI BARAEKARAM KOI WAZIFA BATAYEN OR MERE LIYE KHAS DUAKARDE KE MERI TABIYAT ACHHI HO JAEY.DUA farmaen k Walidain k Farmabardari Naseeb ho.Exams mein achay Numebers se Kamyabi k liye DUA farma deinShafiq Razawi Sahib k liye Sehat ki DUAHaji Abdur Raheem Khan ki Sehatyabi k liye DUAMUHAMMAD KALEEM k Waalidain k liye DUA.Nahid Akhtar ki Shadi k liye DUA farmaen.Namaz-e-Panj Waqta ki Pabandi k liye DUA farma dein. merido behno (sisters) key liye accha sunni sahihul aqeeda ladkeymil jayein jin sey unki shaadi kar di jayey. Merey walidain iswajah sey bahut pareeshan hain.Syed Amjad Faheem k liye Halal Tayyab Rozgar ki DUA farmadein.Hazrat Mawlana Qazi Abdur RaHim k liye Fatiha Khwani.

Bay'at:

Bareerah BakhtawarNaazma BiFatima Zohra Ayeshabi

Page 24: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees

www.tangali.net 17 augustus 2010

23

Sana AfshanKubra BibiSyeda Iqra MohsinMuhamamd Anees Abdul GhaniIrshad AhmadAbdur RaHmanMuhammad YasirBismaAzeemaMuhammad SumairKaneez Fatima

Taalib:

Muhammad SaleemMuhammad BilalSaira SaleemSafiya Saleem AabidaSaleem Amjad Jawed

Download

* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composingmein agar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se bareehain. Choonkay ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour parAnjaam detay hain jis mein Galati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koiGalati nazar aaey tou [email protected] par muttala'faramen. JazakALLAH Kher!

Page 25: Sawaal-o-Jawaab 15-08-2010 met Sawaal-o-Jawaab 15082010.pdf3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN? Answer:€Fisq€aur€fujoor€Qur’an€e€kareem€ki€istelaah€maiN€aur€ahadees