yamaani se aala tareen sawaal raaz ki...

19
1 Yamaani se aala tareen sawaal – raaz ki baat Sawaal karney waale ne ek behtareen o aala sawaal kiya Ahmed Alhasan alaihis salaam se Kitaab Mutashabihaat se sawaal 180 vol. 4 Sawaal: Shuruu Allah k naam se Jo rahman aur raheem hai mujhey pata chala hai k aap ne Imam e zamaana a.j.t.f ka safeer honay ka daawa kiya hai, aur yeh k aap Imam e zamaana a.j.t.f ko dekh saktey hai. Aur yaqeenan mea aapko ek aesa masla dena chahta hun Jiska jawaab agar aap denge to mea maanunga k aap haq per ho, aur agar naa de sakey to phir samaj lijiyea k Allah s.w.t. ne aapko ghayr liya hai aur aap ne bohhot hee azeem daawa karkey apnay aapko zimmaydaar qaraar karliya hai: 1 st Hadees:

Upload: others

Post on 08-Sep-2019

18 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

1

Yamaani se aala tareen sawaal – raaz ki baat

Sawaal karney waale ne ek behtareen o aala sawaal kiya Ahmed

Alhasan alaihis salaam se

Kitaab Mutashabihaat se sawaal 180 vol. 4

Sawaal:

Shuruu Allah k naam se Jo rahman aur raheem hai

mujhey pata chala hai k aap ne Imam e zamaana a.j.t.f ka safeer

honay ka daawa kiya hai, aur yeh k aap Imam e zamaana a.j.t.f ko

dekh saktey hai. Aur yaqeenan mea aapko ek aesa masla dena

chahta hun Jiska jawaab agar aap denge to mea maanunga k aap haq

per ho, aur agar naa de sakey to phir samaj lijiyea k Allah s.w.t. ne

aapko ghayr liya hai aur aap ne bohhot hee azeem daawa karkey

apnay aapko zimmaydaar qaraar karliya hai:

1st Hadees:

Page 2: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

2

Rivaayat hai k Mujhay Muhammed ibn al Hassan Al safar ne kaha k

unhonay Sunah Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam

ne kaha K “Yaqeenan hamara Masla

Haq hai aur huqooq mea se Haq hai,

Aur zaahir hai Aur zaahir ka baatin hai

Aur ek Raaz hai, Raazoun mea ka Raaz hai, aur uska ek raaz hai,

aur raaz hai jo raaz mea chupa hua hai aur ussey.

2nd Hadees: Hamaara Masla ek raaz hai jo raaz mea hai, aur aesa

raaz jo samaah nahi sakta lekin raaz mea, aur ek raaz jiski buniaad

bhi raaz hai aur chupa hua raaz mea hai.

Phir sawaali ne kaha:

Lehaaza dusri hadeeth k maayene kia hai, uski taweel kia hai, aur

uski jagah kia Allah ki kitaab mea?

Page 3: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

3

Jawaab e Ahmed Alhasan alaihis salaam:

Shuruu Allah K naam se jo rahmaan hai aur kasrat se rehem karne

wala hai

Tamaam taarifayn Allah ki jo aalameen ka rab hai,

Allah rehmat barsaaye Muhammed wa aale Muhammed per Imam

aur Mahdiyeen per

Yeh dono hadees ka sach bohhot azeem hai aur issey koi nahi samaj

sakta siwaaye iskey logoun k (jo k Muhammed wa aale Muhammed

s.a.w.a hai). Lekin mea usmea se kuch samjhaane ki koshish karta

agar Allah hidaayat farmaaye taaakey unkey logoun tak aap pohonch

sakey.

Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya:

Ilm k 27 Huroof hai, jo kuch Nabiyeen leke aaye hai wo 2 Huroof

hai, lehaaza logoun ko kuch pata nahi siwaaye jo kuch iss do hurof

mea hai, lehaaza jab Qaim ka zahoor hoga to apnay saath 25 Huroof

aur leke aayega aur ussey logoun k darmiyaan takseem kareyga aur

wo 2 huroof iskey saath jorheyga, aur iss tarah wo 27 Huroof ko

phaylaayega.

Arabic Ref: Bihar vol. 52 p. 336.

Page 4: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

4

Sach to ye hai ki insaani hasiyyat k hisaab se wo 28 Huroof ka zarf

rakhti hai, jismea se 27 phaylaaye jaayenge jo k pichli hadees mea

bataya gaya. Aur jo bachaa hai wo Aal e Muhammed k liye

makhsoos hai aur inhey iss tarah faraq rakhti hai. aur ye ek raaz hai

jiski buniaad ek raaz hai (jo k 27 huroof mea chupa hua hai) aur ye

ilm hai jo koi nahi sayh sakta siwaaye bheje huye Nabi k, ya

mukharrabeen k, ya uss imaan laaney waaley k jisska imteyhaan

Allah ne le liya ho.

Jahan tak baakhi k huroof ki baat hai, koi bheje huye nabiyeen, ya

mukharrabeen ya Imaan laaney waaley mea sehne ki taakhat nahi

hai.

Abu Baseer ne sunah k Abaa Abdillah Imam Jaffer As Sadiq alaihis

salaam ne farmaya:

Aye Abu Muhammad, ba khuda, hamaare pass Allah k raazoun mea

se ek raaz hai Allah k ilm mea se ek ilm hai, jissey naa bheje huye

nabi ya mukharrabeen ya koi momin bardaash kar sakta hai, Ba

khuda Allah ne ye kisi ko nahi diya siwaaye hamaare aur uski kisi

ne ibaadat nahi ki siwaaye hamaare, bil yaqeen Allah k raazoun mea

se raaz hamaare pass hai, aur Allah k ilm mea se ilm hamaare pass

Page 5: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

5

hai, Allah ne hamey ussey bataane ka hukum diya hai , to humne

bataaya jo Allah ne bataane ka hukum diya hai, lekin ussey rakhne

ki koi jagah nahi mili, naa hi koi shaks mila ya ussey sambhaalne

waala, lehaaza Allah ne kuch log banaaye uskey liye. Ye log issi

mitthi se khalq huye hai jiss mitthi se Muhammed wa aale

Muhammed khalq huye, aur ussi noor se khalq huye jiss noor se

Muhammed wa aale Muhammed khalq huye. Aur unhey wahi

banaaya jo Muhammed wa aale Muhammed ko banaaya, bass

humney unhey wo sab kuch bataaya jo kuch Allah ne bataaney ka

hukum diya, to wo issey qubool kiye aur bardaash kiye, aur hamaari

yaad unntak pohonchi to unkey dil hamaari hadeesoun ki taraf ruju

huye aur hamey pehchaanney lagey, aur agar unki khilqat ussi tarah

naa hoti to wo ye kabhi bardaash nahi karpaatey.

Arabic Ref: Al Kafi vol. 1 p. 402 hadeeth 5

Aur yeh 28 huroof Chaand k 28 muqaam jaise hai, jismea se 14 (ye

hai):

1) Muhammad 2) Ali 3) Fatima 4) Hassan 5) Hussain 6) Ali 7)

Muhammed 8) Jaffer 9) Musa 10) Ali 11) Muhammed 12) Ali 13)

Hassan 14) Muhammed (Allah unn sab per rehem karey) Aur

Page 6: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

6

(baakhi) 14 mea se 12 Mahdiyeen hai jismea se pehle Mahdi k do

darjey hai, Risaalat aur wilaayat aur 14th Fatima salaam ullah he

alaiha ki beti hai.

Lehaaza pehla Mahdi k do muqaam hai, Risaalat aur wilaayat.

Muqaam e hilaal (decreasing moon) mea se lehaaza wo qamar

(Imam) bhi hai aur hilaal(Mahdi) bhi. Issi wajah se kuch hadeesoun

mea ussey Imam kehker bhi likha gaya hai (yaqeenan saare

mahdiyeen bhi Imam hee hai, lekin yahan dono muqaam ko

samjhaaya jaa raha hai, jaise k kuch hadeesoun mea milta hai k kiss

tarah hamey bataya gaya k Ali O Fatima ki nasal se 12 Imam hai,

mussaf e Fatima mea jaisa likha gaya hai waghaira waghaira)

Beherhaal ye 28 huroof jo k 28 muqaamat hai chaand k jo

Muhammed wa aale Muhammed Imam aur Mahdiyeen hai

Aur jo kuch mahiney mea se bach jaata hai wo ek din Ya ek din aur

aadha din hai jahan chaand ghayeb rehta hai. aur ye din Ya ek din

aur aadha din bhi Wali k muqaam ka mohtaaj hai. Kyun k

Muhammed sirf ek din hai (yaani ek huroof hai) aur ye din, ghaybat

ka din hai, aur who ghayb hai aur mehfooz naam hai, jo k zaahir

Page 7: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

7

nahi kiya gaya tha ussey uski makhlookh per, aur ye ek raaz hai jo

uskey siwaaye koi nahi jaanta.

Aur Ali O Fatima ek din hai aur din ka hissa hai, aur Hassan O

Hussain din ka hissa hai jo k barhta hai aur ussi tarah Imam O

Mahdiyeen hai

(yaani jitna zyaada din hoga utni dere uss muqaam per wo Masoom

raheyga. Ab sonchna chahyea aesa kyun hai?)

Aur Din ka hissa (wo hijab hai jo hilta hai {mehraaj ka}) aur wo

Muhammed k liye khola gaya tha issi wajah se sirf ek Din raha

Muhammed k liye.

(yaani k Muhammed K liye ek huroof raha jo k huroof e ghaybat ya

huroof e sabse barha naam e Allah, aur yahee chupaaya hua aur

rakha hua huroof hai. jo k huroof e ghaybat hai jo k sabse barhey

naam ka huroof hai Ya Phir sabse barha sabse barha aur sabse barha

naam jo k HUWA hai

Aur Hadees e Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam hai k Aur unkey

darmiyaan (Allah aur Muhammed k darmiyaan) ek hijab tha jo

chamakdaar or hil raha tha.

Page 8: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

8

Aur yahee saaf raasta hai jo k Allah ne bataya: Beshak humne

tumhare liye fatha ki, ek khuli fatha taake Allah taala tumhari khatir

se tumhaare agle gunahoun ko bakhshde aur pichloun ko aur apni

naemat ko tumper pura kare aur tumko siraat e mustaqeem ki

hidayat fermaaye Quran 48:1-2

Jab Hijaab hatney lagta hai to siwaaye Allah k koi baakhi nahi rehta

aur yahee bakshaayesh hai Agle gunaahoun ki jo k Muhammed k

wajood se hai jo k anaahiyyat aur shaksiyyat se hai. Aur jab hijab

phir se aagaya tab Muhammed apnay wajood per waapas palat gaye

aur ye kuch dere k liye hota hai naa k hamesha k liye agar hamesha

k liye hojaaye to makjhlookh baakhi nahi raheygi kyun Muhammed

hee Makhlookh hai.

Aur lehaaza jab hijaab hat jaaye to sirf aur sirf Allah baakhi raheyga

jo k noor hee noor hai aur usmea koi andhera nahi hai kyun k

andhera hee anaahiyyat hai jo k Muhammed s.a.w.a per maaf kardi

gayi hai aur aapke wajood se uthaali gayi hai. Aur issi wajah se sirf

jo sach hai Ya sabse barha, aur sabse barha aur sabse barha naam Ya

Page 9: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

9

chupa hua aur rakha hua naam Muhammed ko jaan lene k liye

baakhi hai.

Aur jo kuch Aal e Muhammed K liye hai hai wo ek din hai (yaani

chupa hua naam) aur din ka kuch hissa hai (hijab jiska ooper

tazkera kiya gaya), kyun k yeh hijaab unkey liye uthaaya nahi gaya

jaise k Ameerilmomineen alaihis salaam ne kaha: Agar hijaab mere

saamne se hataaya jaaye tab bhi mere yakheen mea izaafa na hoga

Al Manaqib Ibn Shahar Ashwab vol. 1 p. 317.

Aal e Muhammed k liye, din ka kuch hissa (yaani hijaab) kuch k

liye zyaada hai aur kuch k liye kam hai, her Imam k hisaab se (jaise

k pehle bataya gaya k Ali O Fatima k liye kam hai aur Hassan O

Hussain k liye zyaada hai, phir deegar Imaamayn k hisaab se hai,

aur Imam Al Mahdi k liye kam hoga kyun k wo behtar hai deegar

Imaamayn se, siwaaye Ali O Hassan O Hussain se aur Mahdiyeen k

liye aur zyaada raheyga hijab kyun k unka mansab aur kam hai) aur

jaan lo k Imam E Zamaana ki ghaybat unhee k darajaat k hisaab se

hai (huroof aur ek huroof ka hissa yaa youn kahein 1000 saal aur

1000 saal k kuch hissa )

aasmaan se zameen tak k muaamle ki tadbeeri wahi karta hai phir

Page 10: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

10

uss din mea jiski miqdaar tumhaari ginti se hazaar baras ki hogi kul

muaamle ussi ki huzoor mea pesh hoga Quran 32:5

(Ahmed Alhasan ki likhi hui) kitaab Al Tauheed Page 47 se liya

gaya jumla yahan dekhenge. Aur baakhi ka din mahinoun ka jo hai

usmea Chaand nazar nahi aata. Aur wo Allah k saath hai jo k 100

saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki ghaybat

ki tarah hai issi wajah se ghaybat ek din aur din ka kuch hissay k

liye laazim hai taakey uss khoul ki tasdeeq hojaaye.

Ye lafz (Ahmed) agar iss dunia mea aajaye to woh adl o insaaf

kareyga ahle haq aur ahle baatil k darmiyaan. To ye ek shirt hai

insaaf ki ye ek waada hai Allah ka Nabiyeen se Rasooloun se aur

wasiyeen se. ye lafz hee Qaim hai aur uskey saath aaney waali saza

hai. Woh apnay saath 28 huroofoun ka ilm laayega taakey 27

huroofoun ko logoun mea phaylaaya jaaye taakey wo jaanle k wo

aakhri huroof ko jaan nahi saktey (jo k Ahlebait alaihis salaam k liye

makhsoos hai) ya yeh k wo haq ko aur zaat ko jaan nahi saktey.

(kyun k haq ko jaan lene se aajiz rehna hee ek wajah hai khud ko

jaan-ne se aajiz rehne ki, jo k Allah hai aur yahee mukammal

jaankari hai. Aur anaahiyyat hee hijab hai jo k rooh ko benaqaab

Page 11: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

11

karti hai. Aur apnay aapko qibla banaaney se pehle ye zaroori hai k

Makhlookh mea Allah ko Jaan le jo k Rasool hai ya Imaamayn hai

aur Insaan ki had 27 huroof hee hai kyun k wo aal e Muhammed ki

haqeeqat ko tak nahi jaan saktey lekin her insaan uski koshish aur

haisiyyat ki hisaab se.

Aur QAIM (Ahmed ) ko aana hoga jab aakhri din k kuch hissey k

khatam honay per kyun k poora din mukammil honay per baarva

qayaam kareyga, lehaaza Ahmad uski aamad ki tayyari k liye hai aur

wahi hai jo laanatiyoun ko sazaa dega aur takht ki tayyari kareyga

baarve k liye taake Allah s.w.t jiss waqt chaahta hai uss waqt per

Aap a.j.t.f aa sakey jo k Allah k mahiney ka aakhri din hai jo aakhri

zamaane mea hai. Ye aakhri din chupey huye naam se miltha jultha

hua hai (jo k sabse barha aur sabse barha aur sabse barha naam hai

jo k ghaybat e Imam hai jaisa k pehle kaha gaya)

Ye din aur din ka kuch hissa ek raaz hai jo k ghaybat ki haqeeqat

hai aur woh vauv hai HUWA ka. aur jo HAA hai HUWA ka wo 28

huroof hai jo kisi ko nahi pata siwaaye Aal e Muhammed k, to jo

jaan lena hai wo sabse barha aur sabse barha aur sabse barha naam

hai jo 72 huroof hai (72 kyun ?)

Page 12: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

12

Abaa Abdullah Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaya:

Sabse barha aur sabse barha aur sabse barha naam Allah ka 73

letters ka hai, aur hamaare pass 72 letters hai aur ek huroof Allah k

pass hai (chupa hua) jissey usne ilm e ghayb mea rakha hai

Al Kafi vol. 1 p. 230.

Aur 72 huroof jo hai wo 28 huroof ka baatin hai taakey abd ko pata

chal jaaye k wo nahi jaan sakta uss baakhi k huroof k bina (ya

baakhi k din k bina, Ya chupay huye naam k bina, ya chupay huye

huroof k bina sab ek hee baat hai). To jo kuch bach jaayega wo jaan

lene se aajizi hai, kyun k agar hum Muhammed k shuruu k teen

huroof (“Meem” “Ha” “Meem”) ko jaan lete to bina “Daal” ko

jaaney to kia hum keh saktey k hum Muhammed Ko Jaan Liye? ya k

Muhammed ko nahi jaaney? lekin jo tumhay maalum hai wo huroof

hai naam k, aur naam jaana nahi jaa sakta siwaaye uskey saare

huroof k zariyea. (lehaaza Allah ka sabse barha naam nahi jaana jaa

sakta kyun k Aal e Muhammed ko 73 mea se 72 ka ilm hai jo k

sabse barha aur sabse barha aur sabse barha naam hai. 72 baatin hai

28 huroof ka jo k HAA ha HUWA ka aur vauv chupa hua ghaybe

hai jo k, jo nahi dikhta usmea chupa hua hai.

Page 13: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

13

Jawaab ka agla hissab Allegories (kitaab e AHMAD AL HASSAN

a.s) Mea se.

Phir Imam ne kaha:

Jaanlo k Mahdi bhi ek nishaani hai aur ek muqarrar kiya gaya waqt

hai aur inkey aakhri (yaani 12th Mahdi) k saath duniaawi zindagi

khatam hojaayegi aur Rajat shuruu hojaayegi (Ahmad shuruaat hai

rajat ki taraf barhney ki) aur phir uskey baad Hisaab kitaab ka din

hai jo k sabse barha hai.

log tumse hilaal (chaand) k baare mea daryaaft karte hai, kehdo k

wo aadmiyon k liye aur hajj k liye waqt bataane ka aala hai, aur ye

nayki nahi hai k tum gharoun mea unke pichwaade ki taraf se aao

lekin nayki uski hai jo taqwaa karey, aur gharoun mea unke

daraazoun se aao, aur Allah se daro taa k tum falaa paao Quran

2:189

Aur Hadeeth e raaz bohhot hee maamuli lafzoun mea hai jiskey

kayyi saarey maayinay hai, aur raaz Aal e Muhammed Hai kyun k

wahi makhlookh se hijaab mea hai inhey koi nahi jaanta siwaaye

Allah s.w.t. k aur wahi pehla raaz hai darajaat ki bulandiyoun mea

aur makhlookh mea ye ek raaz hai.

Page 14: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

14

Aur jahan tak Raaz mea ka raaz ki baat hai wo roohani anaahiyyat

hai jo k Allah hai ya uskey 99 siffat hai.

Aur jahan tak Raazoun mea ka raazoun mea ka raaz ki baat hai jo

hadeesoun mea bayaan nahi kiya gaya, kyun k ye un alaihis salaam

se hijaab kiya gaya aur ye un alaihis salaam ka masla nahi hai. Ya

sabse barha sabse barha sabse barha naam hai jisko HUWA kaha

gaya jo k uski haqeeqat o rooh hai jo k ussi ko pata hai.

Lehaaza who hee ek raaz hai, aur unka masla (ilm aur unko jaan

lena) ek raazoun mea k raaz se jurha hua hai (jo k Allah ki ruhaani

anaahiyyat hai aur wahi Allah ka raaz hai) aur wahi raaz hai jo k

raaz mea chupa hua hai jo k haqeeqatan raaz nahi balkey

makhlookh k liye raaz hai. Aur Muhammed wa aale Muhammed aur

wo makhlookh se hai jissey chupa hua nahi hai lekin ussi se chupa

hua hai aur ye hijab jo k khaalikh aur makhlookh k darmiyaan hai

wahi Nabi o Rasool O mukharrabeen hai aur wo momin jiska

imteyhaan liya gaya ho.

To ab ye baat saaf hai k woh (Aal e Muhammed) ek raaz hai raaz k

andar, Aur Raaz hai raaz k andar aur aesa raaz jo samjha nahi jaa

sakta lekin raaz k zariyea, yaani k jissey nahi samjha jaa sakta lekin

Page 15: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

15

siwaaye ek raaz k jo Nabi hai Rasool hai mukharrabeen hai ya phir

wo momin jiska imteyhaan liya gaya ho.

Lehaaza

“Muhammed”

ek hijaab hai khuda ki zaat aur Aal e Muhammed k darmiyaan, aur

“Zaat e Aal e Muhammed”

ek hijab hai Rasool Aur Muhammed Aur Allah k darmiyaan

Aur Nabiyeen, Rasool, aur mukharrabeen aur wo momin jiska

imteyhaan liya gaya ek hijab hai jo makhlookh aur AAL e

Muhammed k darmiyaan hai.

Aur jahan tak iss hadees ka muqaam Allah ki kitaab mea hai wo ye

hai. To kia ye Quran mea ghour nahi kartey ya phir unkey diloun

per taaley parhey huye hai QURAN 47:24

Tamaam taarifayn Allah hee ki hai.

Ahmed AlHasan

Page 16: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

16

واهتدى آمن من على السالم :

وبركاته هللا ورحمة عليكم السالم.. الرحيم الرحمن هللا بسم

أمر لك أعرض واني األرض، في( هللا بقية) لـ والسفارة والمشاهدة الرؤية تدعي انك بلغني فقد.. بعد أما

عظيما ، أمرا طلبت وأنك عليك، مطلع هللا أن فاعلم الجواب، في توفق لم وإن أصبت، فقد أجبت فإن

عظيما أمرا نفسك وكل فت .

الظاهر وهو الحق، وحق الحق أمرنا إن( : )ع) الصادق عن الصفار الحسن بن محمد عن بلغنا أنه اعلم

أمرنا( : )ع)وعنه ،(بالسر مقنع وسر المستسر وسر السر وسر السر وهو الباطن، وباطن الظاهر وباطن

تأويلهما؟ وما الحديثين؟ معنى فما ،(بسر مقنع وسر سر على وسر سر اال يفيده ال وسر مستسر سر

هللا؟ كتاب في موضوعهما وأين

وبركاته هللا ورحمة عليكم والسالم دعواك، صدق وأثبت حجتك أوضح .

الرحيم الرحمن هللا بسم: الجواب

والمهديين األئمة محمد وآل محمد على هللا وصلى ، العالمين رب هلل والحمد

لعل منها، شيئا لك أبي ن ولكني ،(ع( )محمد آل وهم: )أهلها إال يحتملها وال عظيمة، الحديثين هذين حقيقة

البيان هذا من وأهله الحق ومعرفة الهداية لك يكتب هللا .

الناس يعرف فلم حرفان الرسل به جاءت ما فجميع حرفا وعشرون سبعة العلم: )قال( ع) هللا عبد أبي عن

إليها ضم و الناس في فبثها حرفا والعشرين الخمسة أخرج قائمنا قام فإذا الحرفين غير اليوم حتى

408( )]حرفا وعشرين سبعة يبثها حتى الحرفين ]).

كما( وعشرون سبعة) منها ينشر( حرفا وعشرون ثمانية) هو معرفته لإلنسان الممكن العلم أن الحقيقة

بالسبعة أي بالسر، المقنع المستسر سرهم وهو ،(ع) محمد آل به اختص ما فهو الباقي أما الرواية، في

لإليمان قلبه هللا امتحن مؤمن أو مقرب ملك أو مرسل نبي إال يتحمله ال الذي العلم وهي والعشرين، .

هللا امتحن مؤمن وال مقرب ملك وال مرسل نبي يتحمله فال ،(والعشرين الثمانية) من الباقي الحرف أما

هللا، سر من سرا وهللا عندنا إن محمد أبا يا( : )ع) هللا عبد أبو قال: قال بصير، أبي عن. لإليمان قلبه

ما وهللا لإليمان، قلبه هللا امتحن مؤمن وال مرسل نبي وال مقرب ملك يحتمله ما وهللا هللا، علم من وعلما

أمرنا هللا، علم من وعلما هللا سر من سرا عندنا وإن غيرنا أحدا بذلك استعبد وال غيرنا أحدا ذلك هللا كلف

حتى يحتملونه حمالة وال أهال وال موضعا له نجد فلم بتبليغه، أمرنا ما وجل عز هللا عن فبلغنا بتبليغه، هللا

Page 17: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

17

محمدا منه هللا خلق نور ومن( ع) وذريته وآله محمد منها خلق طينة من خلقوا ، أقواما لذلك هللا خلق

فقبلوه بتبليغه، امرنا ما هللا عن فبلغنا وذريته، محمدا منها صنع التي رحمته بفضل وصنعهم وذريته

فلوال وحديثنا، معرفتنا إلى قلوبهم فمالت ذكرنا وبلغهم[ واحتملوه فقبلوه عنا ذلك فبلغهم] ذلك واحتملوا

احتملوه ما وهللا ال كذلك، كانوا لما هذا من خلقوا أنهم .

قلوبهم ونفرت ذلك من واشمأزوا بلغناهم كما نبلغهم أن فأمرنا والنار، لجهنم أقواما خلق هللا إن: قال ثم

هللا أطلق ثم ذلك، وأنساهم قلوبهم على هللا فطبع كذاب، ساحر وقالوا به وكذبوا يحتملوه ولم علينا وردوه

ذلك ولوال طاعته وأهل أوليائه عن دفعا ذلك ليكون ، منكرة وقلوبهم به ينطقون فهم الحق، ببعض لسانهم

واستروا عنه بالكف هللا أمر عمن فاكتموا والكتمان، والستر عنهم بالكف فأمرنا أرضه، في هللا عبد ما

عنه والكتمان بالستر هللا أمر عمن .

مماتهم ومماتنا محياهم محيانا فاجعل قليلون لشرذمة هؤالء إن اللهم( : )ع) وقال وبكى يده رفع ثم: قال

محمد على هللا وصلى أرضك في أبدا تعبد لم بهم أفجعتنا إن فانك بهم، فتفجعنا لك عدوا عليهم تسلط وال

409( )]تسليما وسلم وآله ]).

في( محمد وآل محمد هم) قمرا عشر أربعة القمر، منازل عدد على هي حرفا والعشرون الثمانية وهذه

ومحمد وعلي وموسى وجعفر ومحمد وعلي والحسين والحسن وفاطمة وعلي محمد: )األمة هذه أول

االثنا المهديون وهم) األمة هذه آخر في محمد آل هم هالال عشر وأربعة ،((ع) ومحمد والحسن وعلي

القمر منازل من منزلين أي ،(والوالية الرسالة: مقاما: )وألولهم(( ع) المهدي اإلمام ولد من عشر

األئمة من الروايات بعض في عد ولهذا األهلة، ومن األقمار من فيكون( األهلة) .

علي، ولد ومن( ص) هللا رسول من محدث كلهم( ع) محمد آل من اإلمام عشر االثنا( : )ع) جعفر أبو قال

410( )]الوالدان هما السالم عليهما وعلي هللا ورسول ]).

يديها وبين السالم عليها فاطمة على دخلت: )قال األنصاري، هللا عبد بن جابر عن( ع) جعفر أبي وعن

منهم وثالثة محمد منهم ثالثة( ع) القائم أخرهم عشر اثني فعددت ولدها، من األوصياء أسماء فيه لوح

411( )]علي ]).

وصيا ، عشر اثني بعده من وجعل واإلنس الجن إلى( ص) محمدا أرسل هللا إن: )قال ،(ع) جعفر أبي وعن

سنة على( ص) محمد بعد من الذين واألوصياء سنة، به جرت وصي وكل بقي من ومنهم سبق من منهم

412( )]المسيح سنة على( ع) المؤمنين أمير وكان عشر، اثني وكانوا عيسى، أوصياء ]).

ولد من األئمة ثم وحسين حسن منهم إماما عشر اثنا نحن: )يقول( ع) جعفر أبا سمعت: قال زرارة، عن

413(( )]ع) الحسين ]).

األرض زر علي يا وأنت ولدي من عشر واثني إني( : ص) هللا رسول قال: )قال ،(ع) جعفر أبي وعن

األرض ساخت ولدي من عشر االثنا ذهب فإذا بأهلها، تسيخ أن األرض هللا أوتد بنا وجبالها، أوتادها يعني

414( )]ينظروا ولم بأهلها ]).

Page 18: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

18

مفهمون، محدثون، نجباء، نقيبا ، عشر اثنا ولدي من( : ص) هللا رسول قال: )قال ،(ع) جعفر أبي وعن

415( )]جورا ملئت كما عدال يمألها بالحق القائم أخرهم ]).

ثمانية فهذه. هللا شاء إن وتنشر وقتها، يحين عندما التوحيد سورة تفسير في تفصيله ستجد منزل ويبقى

ع) محمد وآل محمد عدد وعلى العلم، حروف عدد على منـزال وعشرون ).

،(ثالثون أو وعشرون تسعة فالشهر) القمر فيه يغيب يوم، وبعض يوم أو يوم فهو الشهر من تبقى ما أما

فقط يوم( ص) لمحمد فهو الولي، مقام بحسب الحرف وبعض حرف أو حرف أي يوم وبعض يوم أو ويوم

لالئمة وهكذا اليوم بعض يزداد والحسين وللحسن يوم وبعض يوم السالم عليهما وفاطمة ولعلي

ع) والمهديين ).

سره وهو خلقه، إلى سبحانه منه يخرج لم الذي المخزون، المكنون االسم هو الغيبة يوم اليوم وهذا

وتعالى سبحانه هو إال يعلمه ال. وتعالى سبحانه .

أو الغيبة،( حرف) يوم إال له يعد فلم( ص) لمحمد وفتح ،(يخفق الذي الحجاب: )فهو اليوم بعض أما

األعظم األعظم األعظم االسم أو وتعالى، سبحانه عنده المخزون المكنون وهو األعظم، االسم من حرف .

مقامك، هو هذا أي - محمد يا مكانك له فقال موقفا جبرائيل فأوقفه( : )ع) الصادق عن الحديث وفي

ما موقفا وقفت فلقد -( ص) مقامه إلى بالعروج له فأشار النبي مقام إلى الوصول يستطيع ال فجبرائيل

رب أنا قدوس سبوح يقول: قال. يصلي وكيف جبرائيل يا: فقال. يصلي ربك إن نبي، وال قط ملك وقفه

قوسين قاب هللا قال كما وكان( ع) قال عفوك، عفوك اللهم: فقال. غضبي رحمتي سبقت والروح المالئكة

حجاب بينهما وكان( : ع) قال. رأسها إلى أس تها بين ما( : ع) قال أدنى؟ أو قوسين قاب وما: قيل أدنى أو

نور من هللا شاء ما إلى اإلبرة سم مثل في فنظر زبرجد( : ع) قال وقد إال أعلمه وال ويخفق، يتألأل

416…( )] وتعالى تبارك هللا فقال العظمة، ]).

لك ليغفر * مبينا فتحا لك فتحنا إن ا: ﴿تعالى قال( ص) لمحمد المبين الفتح هو وهذا ذنبك من تقد م ما للا

ر وما هللا إال يبقى ال آن وفي يخفق فالحجاب ،[(417﴾ )]مستقيما صراطا ويهديك عليك نعمته ويتم تأخ

تفسير اقرأ) والشخصية األنا ألنه( ص) محمد بقاء مع الباقي الذنب غفران هو وهذا القهار، الواحد

المبين الفتح مسألة لك لتتوضح والمتشابهات الفاتحة ).

،(ص) لمحمد المغفور الذنب هي الظلمة ألن فيه؛ ظلمة ال نور إال يبقى ال هللا، إال يبقى ال الفتح عند إذن،

األعظم االسم) أو والحقيقة الكنه إال ،(ص) لمحمد يبقى ال وبهذا ،(ص) وجوده صفحة عن المرفوع أي

يوم محمد آلل ويبقى. الحرف أو الغيبة يوم أو سبحانه عنده المخزون المكنون االسم أو( األعظم األعظم

ازددت لما الغطاء لي كشف لو( : )ع) المؤمنين أمير قال لهم، يكشف لم الحجاب هذا ألن يوم؛ وبعض

والمرتبة المقام بحسب ويقل يزداد اليوم بعض( ع) محمد آلل وبالنسبة[(. 418( )] يقينا .

Page 19: Yamaani se aala tareen sawaal raaz ki baatyamaani.org/attachments/Raaz-ki-baat-Aala-tareen-sawaal-Ahmed-Alhasan-se.pdf · saal jo k 1000 ka ek hissa hai. aur wahi Imam Al Mahdi ki

19

األلف وبعض سنة ألف أي يوم، وبعض يوم أي مقامه، بحسب تكون( ع) المهدي اإلمام غيبة أن واعلم

ا سنة ألف مقداره كان يوم في إليه يعرج ثم األرض إلى الس ماء من األمر يدب ر : ﴿سنة ﴾ تعدون مم

[(419 ]).

عالم ويبدأ الجسماني، العالم هذا يختم فبآخرهم وميقاتها، الساعة عالمات هم المهديين أن أيضا واعلم

من البيوت تأتوا بأن البر وليس والحج للن اس مواقيت هي قل األهل ة عن يسألونك : ﴿القيامة ثم الرجعة

وات قوا أبوابها من البيوت وأتوا ات قى من البر ولكن ظهورها 420﴾ )]تفلحون لعل كم للا ]).

ألنهم ؛(ع) محمد آل هم والسر كثيرة، معان بها اريد يسيرة كلمات فهو ،(الكلم جوامع) من السر وحديث

مراتب في حقيقي سر أول فهم وتعالى، سبحانه هللا إال المعرفة تمام يعرفهم فال الخلق عن محجوبون

الخلق في السر وهم الصعود، .

الحديث؛ في يذكر لم وهو - السر سر سر أما. الحسنى األسماء أو هللا أو اإللهية الذات فهو السر سر أما

والحقيقة الكنه أو( هو: )األعظم األعظم األعظم االسم فهو - أمرهم وليس ،(ع) عنهم محجوب ألنه .

أو القناع وهذا بالسر، مقنع سر أيضا وهم ،(هللا) السر بسر متعلق( ومعرفتهم علمهم) وأمرهم السر، فهم

محمد وآل لمحمد بالنسبة أما الخلق، لسائر نسبة سر هو بل الخلق، في حقيقيا سرا ليس األخير السر

األنبياء: هو السر وهذا الخلق، وبين بينهم والحجاب قناعهم، هو بل بسر، ليس فهو الخلق من وهم

مستسر، وسر سر في سر( ع) أنهم تبين فقد الممتحنون، والمؤمنون المقربون والمالئكة والمرسلون

والمؤمنون المقربون والمالئكة والمرسلون األنبياء وهم سر، إال يعرفه ال أي: )سر إال يفيده ال وسر

.(الممتحنون

والمؤمنون المقربون والمالئكة والمرسلون األنبياء وهم بسر، محتجب سر أي) بسر، مقنع وسر

.(الممتحنون

والحمد[(. 421﴾)]أقفالها قلوب على أم القرآن يتدب رون أفال﴿ :تعالى قال فقد هللا، كتاب في موضعهما أما

وحده هلل .