57.hayaat un nabi sal'lal'lahu alaihi wasallam · aur allah se mu‟aafi maangte aur...

13
Page 1 of 13 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM AL-AAYAAT-UL-QUR‟ANIYYAH 1. Phir Us Din Kya Haal Hoga Jab Hum Har Ummat Se Aik Gawaah Laaenge Aur (Aye Habib!) Hum Aap Ko Un Par Gawaah Laaenge Al-Nisa‟, 04 : 41, 2. “Aur Hum Ne Koi Paighambar Nahin Bheja Magar Is Liye Ki Allah Ke Hukm Se Us Kee Itaa‟at Kee Jaae Aur (Aye Habib!) Agar Woh Log Jab Apni Jaano‟n Par Zulm Kar Bethe They Aap Kee Khidmat Me Haazir Ho Jaate Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte To Woh (Is Waseela Aur Shafaa‟at Kee Bina Par ) Zaroor Allah Ko Tauba Qubool Farmaane Waala Nihaayat Mehrbaan Paate Al-Nisa‟, 04 : 64, 3. “Aur (Dar Haqiqat Baat Yeh Hai Ki) Allah Kee Yeh Shaan Nahin Ki Un Par Azaab Farmaae Dar Haala‟n Ki (Aye Habibe Mukarram) Aap Bhi Un Me (Maujood) Ho‟n, Aur Na Hee Allah Aisi Haalat Me Un Par Azaab Farmaane Waala Hai Ki Woh (Us Se) Maghfirat Talab Kar Rahe Ho‟n Al-Anfal, 08 : 33 4. “Aur (Yeh) Woh Din Hoga (Jab) Hum Har Ummat Me Unhin Me Se Khud Un Par Aik Gawaah Uthaaenge Aur (Aye Habibe Mukarram!) Hum Aap Ko Un Sab (Ummato‟n Aur Paighambaro‟n) Par Gawaah Bana Kar Laaenge, Aur Hum Ne Aap Par Woh Azeem Kitaab Naazil Farmaayi Hai Jo Har Cheez Ka Bada Waazeh Bayaan Hai Musalmaano‟n Ke Liye Hidaayat Aur Rahmat Aur Bashaarat Hai Al-Nahl, 16 : 89 5. “Yeh Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Momino‟n Ke Saath Un Kee Jaano‟n Se Ziyaada Qareeb Aur Haqdaar Hain Aur Aap Kee Azwaaje(Mutahhraat) Un Kee Maaein Hain.” Al-Ahzab, 33 : 06 6. “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Maare Jaaein UnheinnMat Kaha Karo Ki Yeh Murda Hain, (Woh Murda Nahin) Balki Zinda Hain Lekin Tumhein (Un Kee Zindagi Ka) Shu‟oor Nahin Al-Baqarah, 02 : 154 7. “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Qatl Kiye Jaaein Unhein Hargiz Murda Khayaal (Bhi) Na Karna, Balki Woh Apne Rabb Ke Huzoor Zinda Hain Unhein (Jannat Kee Ne‟mato‟n Ka) Rizq Diya Jaata HaiWoh (Hayaate Jaawidaani Kee) Un (Ne‟mato‟n) Par Farhaa‟n Wa Shaadaa‟n Rehte Hain Jo Allah Ne Unhein Apne Fadl Se Ata Farma Rakkhi Hain Aur Apne Un Pichhlo‟n Se Bhi Jo (Taa Haal) Un Se Nahin Mil Sake (Unhein Imaan Aur Taa‟at Kee Raah Par Dekh Kar) Khush Hote Hain Ki Un Par Bhi Koi Khauf Hoga Aur Na Woh Ranzeeda Honge

Upload: others

Post on 05-Oct-2020

1 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 1 of 13

57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM

AL-AAYAAT-UL-QUR‟ANIYYAH

1. Phir Us Din Kya Haal Hoga Jab Hum Har Ummat Se Aik Gawaah Laaenge Aur (Aye Habib!) Hum Aap Ko Un

Par Gawaah Laaenge

Al-Nisa‟, 04 : 41,

2. “Aur Hum Ne Koi Paighambar Nahin Bheja Magar Is Liye Ki Allah Ke Hukm Se Us Kee Itaa‟at Kee Jaae Aur

(Aye Habib!) Agar Woh Log Jab Apni Jaano‟n Par Zulm Kar Bethe They Aap Kee Khidmat Me Haazir Ho Jaate

Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye

Maghfirat Talab Karte To Woh (Is Waseela Aur Shafaa‟at Kee Bina Par) Zaroor Allah Ko Tauba Qubool

Farmaane Waala Nihaayat Mehrbaan Paate

Al-Nisa‟, 04 : 64,

3. “Aur (Dar Haqiqat Baat Yeh Hai Ki) Allah Kee Yeh Shaan Nahin Ki Un Par Azaab Farmaae Dar Haala‟n Ki

(Aye Habibe Mukarram) Aap Bhi Un Me (Maujood) Ho‟n, Aur Na Hee Allah Aisi Haalat Me Un Par Azaab

Farmaane Waala Hai Ki Woh (Us Se) Maghfirat Talab Kar Rahe Ho‟n

Al-Anfal, 08 : 33

4. “Aur (Yeh) Woh Din Hoga (Jab) Hum Har Ummat Me Unhin Me Se Khud Un Par Aik Gawaah Uthaaenge Aur

(Aye Habibe Mukarram!) Hum Aap Ko Un Sab (Ummato‟n Aur Paighambaro‟n) Par Gawaah Bana Kar Laaenge,

Aur Hum Ne Aap Par Woh Azeem Kitaab Naazil Farmaayi Hai Jo Har Cheez Ka Bada Waazeh Bayaan Hai

Musalmaano‟n Ke Liye Hidaayat Aur Rahmat Aur Bashaarat Hai

Al-Nahl, 16 : 89

5. “Yeh Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Momino‟n Ke Saath Un Kee Jaano‟n

Se Ziyaada Qareeb Aur Haqdaar Hain Aur Aap Kee Azwaaje(Mutahhraat) Un Kee Maaein Hain.”

Al-Ahzab, 33 : 06

6. “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Maare Jaaein UnheinnMat Kaha Karo Ki Yeh Murda Hain, (Woh Murda

Nahin) Balki Zinda Hain Lekin Tumhein (Un Kee Zindagi Ka) Shu‟oor Nahin

Al-Baqarah, 02 : 154

7. “Aur Jo Log Allah Kee Raah Me Qatl Kiye Jaaein Unhein Hargiz Murda Khayaal (Bhi) Na Karna, Balki Woh

Apne Rabb Ke Huzoor Zinda Hain Unhein (Jannat Kee Ne‟mato‟n Ka) Rizq Diya Jaata Hai Woh (Hayaate

Jaawidaani Kee) Un (Ne‟mato‟n) Par Farhaa‟n Wa Shaadaa‟n Rehte Hain Jo Allah Ne Unhein Apne Fadl Se Ata

Farma Rakkhi Hain Aur Apne Un Pichhlo‟n Se Bhi Jo (Taa Haal) Un Se Nahin Mil Sake (Unhein Imaan Aur Taa‟at

Kee Raah Par Dekh Kar) Khush Hote Hain Ki Un Par Bhi Koi Khauf Hoga Aur Na Woh Ranzeeda Honge

Page 2: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 2 of 13

Aali Imran, 03 : 169_170

Al-Ahaadith-un-Nabawiyyah

1. “Hazrat Aws Bin Aws RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhaare Dinio‟n Me Se Jumu‟ah Ka Din Sab Se Behtar Hai

Is Din Hazrat Aadam „Alayh-is-Salam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paa‟i Aur Isi Din Soor Phunka

Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Duroor Bheja Karo Kyun Ki

Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn

Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa‟d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Kyaa

Aap Ka Jasade Mubaarak Khaak Me Nahin Mil Chuka Hoga? Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ne Farmaya : (Nahin Aisa Nahin Hai) Allah Ta‟ala Ne Zameen Par Ambiya-E-Kiram(„Alayhim-us-Salam) Ke

Jismo‟n Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahunchaana) Haraam Farma Diya Hai.”

“Aik Riwaayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-

o-Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo‟n Ko Khaae.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Nasa‟i, Ibn Majah, Darimi, Ahmad Ibn Khuzaymah Aur Ibn Hibban Ne Riwayat

Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa‟it Par Sahih Hai Aur Imam Wadiyashi

Ne Bhi Farmaya : Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Aur Imam Asqalani Ne Farmaya : Ise Imam

Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Imam Ajlooni Ne Farmaya : Ise Imam Bayahqi Ne Jayyad Sanad Ke

Saath Riwaayat Kiya Hai. Allama Ibn Kathir Ne Farmaya : Ise Imam Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban, Daraqutni Aur

Nawawi Ne Al-Adhkar Me Sahih Qaraar Diya Hai.

– [Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqam-1047, Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqam-1531. Nasa‟i Fi As-Sunan, 03/91, Raqam-1374, Nasa‟i Fi As-Sunan Al-

Kubra, 01/519, Raqam-1666, Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqam-1085, Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqam-1572, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,

04/08, Raqam-16207, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8697, Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqam-1733, 1734, Ibn Hibban Fi As-

Sahih, 03/190, Raqam-910, Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqam-1029, Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqam-3485, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Awsat,

05/97, Raqam-4780, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 01/261, Raqam-589. Bayhaqui Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqam-634, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-

Kubra, 03/248, Raqam-5789, Bayhaqui Fi Shu‟ab-ul-Iman, 03/109, Raqam-3029, Jahdami Fi Fadl Al-Salah „Ala Al-Nabi 01/37 ,ملسو هيلع هللا ىلص, Raqam-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqam-661, Ibn Hajar „Asqalani Fi Fat‟h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370, Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa‟,

01/190, Raqam-501, Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr‟an Al-Azim, 03/515,

2. “Hazart Aboo Darda‟ RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Jumu‟ah Ke Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo, Yeh

Yawme Mas‟hood (Ya‟ni Meri Baargah Me Firishto‟n Kee Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Farishte

(Khusoosi Taur Par Kathrat Se Meri Baargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai

To Us Ke Faarigh Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. Hazrat Aboo Darda‟

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah!) Aur Aap Ke Wisaal Ke

Baa‟d (Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Haa‟n (Meri Zaahiri)

Wafaat Ke Baa‟d Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) Allah Ta‟ala Ne Zameen Ke Liye

Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam Ke Jismo‟n Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Pas Allah Ta‟ala Ka Nabi

Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”

Page 3: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 3 of 13

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Sahih Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Ne Farmaya : Is Imam

Ibn Majah Ne Jayyid Isanaad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai Aur Imam Manaawi Ne Bayaan Kiya Ki Imam Damiri

Ne Farmaya : Is Ke Rijaal Thiqaat Hain. Imam Ajlooni Ne Bhi Ise Hadithe Hasan Kaha Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/524, Raqam-1637. Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 10/328, Raqam-2582,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr‟an Al-Azim, 03/515, Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr‟an Al-Azim, 04/493, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/87, Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa‟,

01/190, Raqam-501.

3. “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta‟ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :

(Meri Ummat Me Se Koi Shakhs) Aisa Nahi Jo Mujh Par Salam Bheje Magar Allah Ta‟ala Ne Mujh Par Meri Rooh

Waapas Lauta Dee Huwee Hai Yaha‟n Tak Ki Mein Har Salam Karne Waale Ke Salam Ka Jawab Deta Hoo‟n.”

– [Aboo Dawood As-sunan, 02/218, Raqam-2041, Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/527, Raqam-10867, Tabarani Al-Mu‟jam-ul-Awsat, 03/262, Raqam-3092,

9329, Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 05/245, Raqam-10050, & Shuab-ul-Iman, 02/217, Raqam-5181, 4161,

Ibn Rahawayh Al-Musnad, 01/453, Raqam-526, Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/326, Raqam-2573,

Haythami Majma„-uz-Zawa‟id, 10/162.]

4. “Hazart Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Me‟raj Kee Shab Mein Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya,

(Aur Haddaab Kee Aik Riwaayat Ke Mutaabiq) Surkh Teele Ke Paas Se Mera Guzar Huwa (To Meine Dekha Ki)

Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Apni Qabr Me Khade Masroofe Salaat They.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa‟i, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1845, Raqam-2375, Nasa’i Fi As-Sunan, 03/215, Raqam-161_1632, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/419, Raqam-1328

5. “Hazart Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam Apni Apni Qabro‟n Me

Hayaat Hain Aur Namaz Bhi Padhte Hain.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Ya‟ala, Ibn Adi, Bayhaqi Aur Daylami Ne Thiqah Raawiyo‟n Se Bayan Kiya Hai. Aur

Imam Ibn Adi Ne Farmaya : Is Hadith Kee Sanad Me Koi Naqs Nahin Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya :

Imam Aboo Ya‟la Ke Rijaal Thiqaat Hain. Aur Allama Shawkani Ne Farmaya : Ise Imam Bayhaqi Ne Sahih Qaraar

Diya Hai Aur Hayaate Ambiya „Alayhim-us-Salam Par Unhone Aik Juz‟an (Sahih Ahadith Kee Mukhtasar See

Kitaab) Bhi Taalif Kee Hai. Isi Tarah Imam Zurqani Ne Bhi Farmaya Ki Imam Bayhaqi Ne Hayaate Ambiya

„Alayhim-us-Salam Par Aik Nihaayat Lateef Kitaab Taalif Kee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhu Kee Marfoo‟a Riwaayat Isnaade Sahih Ke Saath Bayaan Kee Hain.

“Imam Asqalani Fat‟h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam

Ke Apni Qabro‟n Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Aik Khoobsoorat Kitab Likhee Hai

Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ki Yeh Hadith Bhi Waarid Kee Hai Ki Ambiya-E-Kiram

„Alayhim-us-Salam Apni Qabro‟n Me (Hayaate Zaahiri Kee Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte

Hain. Yeh Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke

Raawiyo‟n Me Se Hain. Unhone Mustalim Bin Sa‟iyd Se Riwayat Kee Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhein

Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibn Hibban Ne Yeh Hadith Hajjaaj Aswad Se Riwayat Kee Hai Aur Wo Ibn Abi

Page 4: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 4 of 13

Ziyad Al-Basari Hain Aur Unhein Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Thiqah Qaraar Diya Hai. Imam Ibne Mu‟iyn Ne

Bhi Hazrat Thabit Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Imam Aboo Ya‟la Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yeh

Hadith Riwayat Kee Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Kee Takhreej Kee Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar

Diya Hai.(01)

[Aboo Ya‟la Fi Al-Musnad, 06/147, Raqam-3425, Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 01/119, Raqam-403, Ibn Hajar „Asqalani Fi Fat‟h-ul-Bari Sharh Sahih Al-

Bukhari,06/487, Ibn Hajar „Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/175, 246, Raqam-787, 1033, Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 08/211,

Suyoot Sharah Sunan An-Nasa‟i, 04/110, Azim Abadi Fi „Awn-ul-Ma‟boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 06/19, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/184,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 05/178, ,Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani „Ala Muwatta‟ Imam Malik, 04/357 ملسو هيلع هللا ىلص

(01) Dhakarahu Al-„Asqalani Fi Fat‟h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/487,

6. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoot Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Shabe Me‟raaj Meri Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Se

Mulaaqaat Huwi. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat

Moosa „Alayh-is-Salam Ka Wasf Yoo‟n Bayaan Farmaya : Woh Duble Patle, Daraaz Qad, Ghunghriyaale Baalo‟n

Waale Aise Aadami Hain Jaise Qabila-E-Shanoo‟ah Ke Log. Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ne Farmaya : Meri Hazrat Isa „Alayh-is-Salam Se Bhi Mulaaqaat Huwi. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Ka Hulya Bayaan Farmaya Ki Yeh Darmiyaana Qad, Surkh Rang

Waale (Aur Aise Tar-o-Taaza Hain) Goya Abhi Hamaam Se (Naha Kar) Nikle Hain Aur Mein Hazrat Ibrahim

„Alayh-is-Salam Se Bhi Mila Aur Mein Un Kee Saari Aulaad Me Sab Se Ziyaada Un Se Mushaabeh Hoo‟n.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1269, Raqam-3254,Muslim Fi As-Sahih, 01/154, Raqam-168,

7. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Hazrat Isa Bin Maryam „Alayh-is-Salam Aadil Haakim Aur Munsif

Imam Ke Taur Par Zaroor Utrenge. Woh Fauri Taur Par Hajj Ya Umrah Ua Dono‟n Kee Niyyat Se Chal Padenge

Aur Meri Qabr Par Zaroor Aaeinge, Mujhe Salaam Karenge Aur Mein Unhein Zaroor Jawaab Dunga. Hazrat Aboo

Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne (Raawi Se) Farmaya : Aye Mere Bhateeje! Agar Aap Ko Un Kee Ziyaarat

Kee Sa‟aadat Haasil Ho To Un Se Arz Karna Ki Aboo Hurayrah Ne Aap Kee Khidmat Me Salaam Arz Kiya Hai.

Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Asakir Aur Mutaqqi Hindi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Is

Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/651, Raqam-4162,Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 47/493,Hindi Fi Kanz-ul-„Ummal, 14/146, Raqam-38851,

8. “Hazart Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : (Shabe Me‟raj) Mein Ne Khud Ko Hateeme Ka‟ba Me Paaya Aur

Quraysh Mujh Se Safare Me‟raj Ke Baare Me Sawaalaat Kar Rahe They. Unhone Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Kee

Kuch Cheejein Poochhi‟n Jinhein Mein Ne (Yaad‟ Daast Me) Mehfooz Nahin Rakkha Tha Jis Kee Waj‟h Se Mein

Utna Pareshaan Huwa Ki Us Se Pehle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huwa Tha, Tab Allah Ta‟ala Ne Bayt-ul-Maqdis

Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya. Woh Mujh Se Bayt-ul-Maqadis Ke Muta‟alliq Jo Bhi Cheej Poochhte Mein

Page 5: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 5 of 13

(Dekh Dekh Kar) Unhein Bataata Chala Gaya Aur Mein Ne Khud Ko Ambiya‟ Kee Aik Jama‟at Me Paaya. Meine

Dekha Ki Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They, Aur Woh Qabila-E-Shanoo‟ah Ke Logo‟n

Kee Tarah Ghunghriyaale Baalo‟n Waale They Aur Phir Hazrat Isaa Bin Maryam „Alayh-is-Salam Khade Masroofe

Salaat They Aur Urwah Bin Mas‟ood Thaqafi Un Se Bohat Mushaabeh Hain, Aur Phir Hazrat Ibrahim „Alayh-is-

Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Tumhaare Aaqa (Ya‟ni Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Un Ke Saath Sab Se Ziyaada Mushaabeh Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Mein

Ne Un Sab Ambiya‟ „Alayh-is-Salam Kee Imaamat Karaa‟i. Jab Mein Namaz Se Faarig Huwa To Mujhe Aik Kehne

Waale Ne Kaha : Yeh Maalik Hai Jo Jahannam Ke Daaroga Hain, Inhein Salam Keejie. Pas Mein Un Kee Taraf

Mutawajjeh Huwa To Unhone (Mujh Se) Pahle Mujhe Salam Kiya.”

Ise Imam Muslim Aur Nasa’i Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 01/156, Raqam-178,Nasa‟i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/455, Raqam-11480,

9. “Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna, Us Waqt Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat Yusoof „Alayhim-us-Salam Ke Awsaaf Bayaan Kar Rahe They Jab Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein (Me‟raaj Kee Raat) Teesre Aasmaan Par Dekha. Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam : Mein Ne Aik Aise Shakhs Ko Dekha Jis Kee Soorat Chaudhwi‟n Raat Ke

Chaand Kee Tarah Thi. Pas Mein Ne Pucha : Aye Jibra‟il! Yeh Kaun Hain? Unhone Arz Kiya : Yeh Aap Ke Bhaai

Hazrat Yusoof „Alayh-is-Salam Hain. Ibn Is‟haq Kehte Hain : Allah Ta‟ala Ne Hazrat Yusoof „Alayh-is-Salam Ko

Woh Husn-o-Ro‟b Ata Kar Rakkha Tha Jo Aalamin Me Se Aap Se Pehle Aur Na Aap Ke Baa‟d Kisi Ko Ata Kiya

Gaya. Yaha‟n Tak Ki Kaha Jaata Tha Ki Allah Ta‟ala Kee Qasam! Mein Yeh Jaanta Hoo‟n Ki Hazrat Yusoof

„Alayh-is-Salam Ko Poore Husn Ka Aadha Hissa Aur Dusra Aadha Hissa (Tamaam Dunya Ke) Logo‟n Ko Ata

Huwa.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Ibn Qutaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/623, Raqam-4087,Ibn Qutaybah Fi Tawilu Mukhtalif-il-Hadith, 01/321,

10. “Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Goya Mein(Us Waqt Bhi) Hazrat Moosa Bin Imran

„Alayh-is-Salam Ko Us Waadi Me Do Qitwaani Chaadaro‟n Me Haalate Ihraam Dekh Raha Hoo‟n.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani, Aboo Ya‟la Aur Aboo Nu‟aym Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Aur Haythami

Ne Farmaya : Us kee Isnaad Hasan Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 10/142, Raqam-10225, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Awsat, 06/308, Raqam-6487, Aboo Ya‟la Fi Al-Musnad, 09/27, Raqam-5093,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/118, Raqam-1740, Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 03/221,

Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 08/204,

11. “Hazrat Abd-il-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Waadi-E-Azraq Kee Taraf Tashreef Laae Aur Daryaaft Farmaya :

Yeh Kya Hai? Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah!) Yeh

Page 6: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 6 of 13

Waadi-E-Azraq Hai. To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Goya Ki Mein Moosa

Bin Imran „Alayh-is-Salam Kee Taraf Dekh Raha Hoo‟n Ki Woh Us Waadi Me Allah Ta‟ala Kee Kibriyaa‟i Bayaan

Karte Huwe Utar Rahe Hain. Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aik Pahaadi Raaste Kee

Taraf Tashreef Laae To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Daryaaft Farmaaya : Yeh Kaunsa

Pahaadi Raasta Daudta Hai? Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn Ne Arz Kiya : Yeh

Fula‟n Fula‟n Pahaadi Raasta Hai. To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Goya

Mein Hazrat Yoonus Bin Matta „Alayh-is-Salam Ko Srkh Ghunghriyaale Baalo‟n Waali Oontni Par Baitha Huwa

Dekh Raha Ho‟n. Us Oontni Kee Lagaam Khajoor Kee Hai Chhaal Kee Hai Aur Aap Talbiyah Keh Rahe Hain Aur

Aap Ne Oon Ka Jubba Zebe Tan Kiya Huwa Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim, Ibn Hibban, Aboo Nu‟aym, Aboo Awanah Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam

Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Imam Muslim Kee Sharaa‟it Par Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/373, 638, Raqam-3313, 4123, Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/103, Raqam-6219, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 12/159, Raqam-

12756, Aboo Nu‟aym Fi Hilyat-ul-Awliya‟ Wa Tabaqat-ul-Asfiya‟, 02/421, Aboo „Awanah Fi Al-Musnad, 02/421, Raqam-3682

12. “Hazrat Abd-il-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayaan Karte Hain Ki Rawha‟ Kee Raaste Par

Sattar Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam Hajj Kee Gharaz Se Guzar Rahe Hain Jo Oon Ke Kapde Zebe Tan Kiye

Huwe They Aur Masjide Khayf Me Sattar Ambiyya‟ „Alayhim-us-Salam Ne Namaaz Ada Kee.”

Is Hadith Ko Imam Hakim, Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya : Is Ke

Rijaal Thiqah Hain.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/653, Raqam-4169, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 12/474, Raqam-13525, Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/177, Raqam-9618,

Fakihi Fi Akhbar Makkah Fi Qadim Al-Dahr Wa Hadithih, 04/266, Raqam-2594, Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 03/297,

13. “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Masjide Khayf Me Sattar Ambiya-E-Kiram „Alayhim-

us-Salam Ne Namaaz Ada Kee Jin Me Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Bhi Shaamil They, Goya Mein (Us Waqt Bhi)

Un Kee Taraf Dekh Raha Hoo‟n Aur Un Par Do Qitwaani Chaadarein Thi‟n Aur Haalate Ihraam Me Qabila-E-

Shanuwwah Ke Oonto‟n Me Se Aik Oont Par Sawaar They Jis Kee Nakel Khajoor Kee Chhaal Kee Thi Jis Kee Do

Rassiya‟n Thi‟n.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani, Aboo Nu‟aym Aur Fakihi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya : Is Ke

Rijaal Thiqaat Hain.

[Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 11/452, Raqam-12283, Aboo Nu‟aym Fi Hilyat-ul-Awliya‟ Wa Tabaqat-ul-Asfiya‟, 02/10, Ibn „Adi Fi Al-Kamil Fi Du‟afa‟-ir-

Rijal, 06/58, Fakihi Fi Akhbar Makkah Fi Qadim Al-Dahr Wa Hadithih, 04/266, Raqam-2593, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/392, Raqam-3740,

Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 03/221, 297

14. “Hazrat Ammar Bin Yasir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta‟ala Ne Meri Qabr Par Aik Firishta Muqarrar

Kiya Huwa Hai, Jise Allah Ta‟ala Ne Tamam Makhlooq Kee Aawaazein Sun Ne (Aur Samajhne) Kee Quwwat Ata‟

Page 7: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 7 of 13

Farma‟i Hai, Pas Roze Qiyaamat Tak Jo Bhi Mujh Par Duroor Padhega, Woh Firishta Aur Durood Padhne Waale

Ka Naam Aur Us Ke Waalid Ka Naam Mujhe Pahunchaaega, Aur Arz Karega : Ya RasoolAllah! Fula‟n Bin Fula‟n

Ne Aap Par Duroor Bheja Hai.”

Is Hadith Ko Imam Bazzar Aur Bukhari Ne “At-Tarikh Al-Kabir” Me Aur Mundhir Ne Bhi Riwayat Kiya Hai.

Imam Haythami Ne Farmaya : Is Kee Sanad Me Ibn Himyariy Raawi Ko Mein Nahin Jaanta, Is Ke Ilaawa Tamaam

Rijaal Sahih Hadith Ke Rijaal Hain.

“Aboo Shaykh Ibn Hayyan Kee Riwaayat Ke Alfaaz Yoo‟n Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Tabarak Wa Ta‟ala Ka Aik Firishta Hai, Jise Allah Ta‟ala

Ne Tamam Makhlooqaat Kee Aawaaz Sun Ne (Aur Samajhne) Kee Quwwat Ata Farmaa‟i Hai, Pas Woh Firishta

Mere Wisaal Ke Baa‟d Meri Qabr Par Qiyaamat Tak Khada Rahega. Pas Meri Ummat Me Se Jo Shakhs Bhi Mujh

Par Duroor Bhejega, Woh Firishta Us Ka Naam Aur Us Ke Baap Ka Naam Lega Aur Kahega : Ya Muhammad!

(Mere Aaqa!) Fula‟n Shakhs Ne Aap Kee Khidmat Me Duroor Bheja Hai. Pas Allah Ta‟ala Us Shakhs Par Har Aik

Durood Ke Badle Me Das Rahmatein Baazil Farmaaega.”

[Bazzar Fi Al-Musnad, 04/255, Raqam-1425, 1426, Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 06/416, Raqam-2831, Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 02/762, Raqam-01,

Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 10/162

15. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Chaahiye Ki

Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Salam Arz Kare Aur

(Is Ke Baa‟d) Yeh Kehe : Aye Allah! Mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De. Aur Jab Masjid Se Baahar

Nikle To Tab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Salaam

Arz Kare Aur (Is Ke Baa‟d) Kahe : Aye Mere Allah! Mujhe Shaytaan Mardood Se Bacha.”

“Aur Aik Riwaayat Ke Mutaabiq Farmaya : Use Chaahiye Ki Woh (Salaam Arz Karne Ke Baa‟d) Kahe : Aye

Allah! Mujhe Shaytaan Mardood Se Dur Rakkh.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah, Nasa‟i Aur Bukhari Ne „At-Tarikh Al-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai. Aur Imam

Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Imam Bukhari Aur Muslim Kee Shara‟it Par Sahih Hai. Imam Kinani Ne Farmaya

: Is Hadith Kee Sanad Sahih Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/254, Raqam-773,Nasa‟i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/27, Raqam-9918, Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 01/159, Raqam-470,Hakim Fi

Al-Mustadrak, 01/325, Raqam-747, Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa‟id Ibn Majah, 01/97, Raqam-293,

16. “Hazrat Muhammad Bin Abd-ir-Rahman RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin

Salam RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Jab Kabhi Masjid Me Daakhil Hote They, To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Salaam Bhejte Aur Phir Kehte : “هم اف تح ل أب واب رحتک Aye Allah! Mujh) ”الل

Par Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De) Aur Jab Masjid Se Baahar Nikalte To Tab Bhi Huzoor Nabiyye Akram

Page 8: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 8 of 13

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Salaam Bhejte Aur Phir Shaytaan Mardood Se Panaah

Maangte (Un Ka Yeh Amal Huzoor SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Wisaal Mubaarak Ke Baa‟d

Hamesha Huwa Karta Tha).”

Is Hadith Ko Imam Ibn Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqam-3416,

17. “Aik Riwaayat Me Hazrat Alqamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayaan Karte Hain Ki Jab Woh Masjid Me

Daakhil Hote They, To Kehte They : “لم عليک أي ها النب ورحة ا الس وب رکاته صلی اهللا د صلى هللا ت عاىل عليه وآله وسلمهللا وم لءکته علی مم ” (Aye

Nabiyye Mohtashim! Aap Par Salaamati Ho Aur Allah Ta‟ala Kee Rahmat Aur Barkaat Ho‟n, (Hamesha) Allah

Ta‟ala Kee Taraf Se Rahmat Aur Us Ke Firishto‟n Kee Taraf Se Bhi Muhammad Mustafa SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Par Duroor Wa Barakaat Ho‟n.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqam-3417,

18. “Aik Riwaayat Me Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai, Woh Bayaan Karte

Hain Ki Mein Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Ke Saath Chal Raha Tha Ki Un Kee

Taang Sun Ho Gayi Aur Woh Baith Gaye, Phir Unhein Kisi Ne Kaha Ki Logo‟n Me Se Jo Aap Ko Sab Se Ziyaada

Mahboob Hai, Us Ka Zikr Karo. To Unhone Kaha : Ya Muhammadah! (Aye Muhammad SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam!) Un Ka Yeh Kehna Tha Ki Woh (Theek Ho Gaye Aur) Uth Kar Chalne Lage.”

Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqam-964, Ibn Ja‟d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqam-2539, Ibn Sa‟d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154, Ibn Sunni Fi „Amal-ul-

Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqam-169

19. “Aik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Ke Paas Baithe Kisi

Shakhs Kee Taang Sun Ho Gayi To Unhone Us Shakhs Se Farmaya : Logo‟n Me Se Jo Tumhein Sab Se Ziyaada

Mahboob Hai, Us Ka Zikr Karo, To Us Shakhs Ne Ya Muhammad (SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam)

Ka Na‟ra Lagaaya To Usi Waqt Us Ke Paao‟n Ka Sun Hona Jaata Raha.”

Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqam-964, Ibn Ja‟d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqam-2539, Ibn Sa‟d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi „Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqam-170

20. “Aik Riwaayat me Hazrat Haytham Bin Hanash RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai, Unhone Bayaan Kiya

Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Ke Paas They Ki Aik Aadami Kee Taang Sun Ho

Gayi, To Us Se Kisi Shakhs Ne Kaha : Logo‟n Me Se Jo Shakhs Tujhe Sab Se Ziyaada Mahboob Hai, Us Ka Zikr

Page 9: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 9 of 13

Kar, To Us Ne Kaha : Ya Muhammad SallAllahu „Alayka Wa Sallam. Raawi Bayaan Karte Hain : Pas Woh Shakhs

Yoo‟n Uth Khada Huwa Goya Baandhi Huwi Rassi Se Aazaad Ho Kar Musta‟id Ho Gaya Ho.”

Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqam-964, Ibn Ja‟d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqam-2539, Ibn Sa‟d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi „Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqam-172

21. “Hazrat Maalik Daar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhu Ke Zamaana Me Log Qaht Saali Me Mubtala Ho Gaye To Aik Sahaabi Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qabre At‟har Par Haazir Huwe Aur Arz Kiya : Ya

RasoolAllah! Aap (Allah Ta‟ala Se) Apni Ummat Ke Liye Seraabi Kee Du‟aa Farmaaein Kyoo‟n Ki Woh (Qaht

Saali Ke Baa‟th) Tabaah Ho Gayi Hai To Khaab Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Us Sahabi Ke Paas Tashreef Laae Aur Farmaya : Umar Ke Paas Jaao Use Mera Salaam Kaho Aur Use

Bataao Ki Tum Seraab Kiye Jaaoge Aur Umar Se(Yeh Bhi) Keh Do Ki (Dushman Tumhaari Jaan Lene Ke Dar Pe

Hain Un Se) Hoshiyaar Raho, Hoshiyaar Raho. Phir Woh Sahabi Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ke Paas

Aae Aur Unhein Khabar Dee To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ro Pade Aur Kaha : Aye Allah! Mein

Kotaahi Nahin Karta Magar Yeh Ki Koi Kaam Mere Bas Me Na Rahe.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Aur Bayhaqi “Dala‟il-un-Nabuwwah” Me Riwayat Kiya Hai. Imam Ibn

Kathir Ne Farmaya : Is Kee Isnaad Sahih Hai. Imam Asqalani Ne Bhi Farmaya : Imam Ibn Abi Shaybah Ne Ise

Isnaade Sahih Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/356, Raqam-32002, Bayhaqi Fi Dala‟il-un-Nubuwwah, 07/47, Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti‟ab, 03/1149,

Subki Fi Shifa‟ Al-Saqam Fi Ziyarah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah „Ala Man Ankra Al-Ziyarah,/130, Hindi Fi Kanz-ul-„Ummal, 08/431,

Ibn Taymiyyah Fi Iqtida‟ Al-Sirat Al-Mustaqim Mukhalafat As‟hab-il-Jahim,/373, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/167,

Ibn Hajar „Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 03/484

22. “Hazrat Dawud Bin Abi Saalih RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Riwaayat Karte Hain Ki Aik Roz (Khalifa-E-Waqt)

Marwaan Aaya Aur Us Ne Dekha Ki Aik Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Kee Qabre Anwar Par Apna Chehra Rakkhe Huwe Khada Hai, To Us Aadami Se Kaha : Kya To Jaanta Hai

Ki Kya Kar Raha Hai? Jab Us Shakhs Ne Marwaan Kee Taraf Rukh Kiya To Woh (Sahabi-E-Rasool) Hazrat Aboo

Ayyoob Ansari RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu They, Unhone (Jawaab Me) Farmaya : Haa‟n (Mein Jaanta Hoo‟n Ki)

Mein RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Huwa, Kisi

Patthar Ke Paas Nahin Aaya. (Aik Riwaayat Ke Alfaaz Hain, Mein Kisi Be His Aur Be Jaan Shai Ke Paas Nahin

Aaya.) Mein Ne Rasoole Khuda SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmaate Suna : Din Par

Mat Row Jab Us Ka Wali Us Ka Ahl Ho, Haa‟n Din Par Us Waqt Row Jab Us Ka Wali Naa Ahl Ho.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Sahih-ul-

Isnad Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/422, Raqam-23632, Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/560, Raqam-8571, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Kabir, 04/158, Raqam-3999,

Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Awsat, 01/94, Raqam-284, Tabarani Fi Al-Mu‟jam-ul-Awsat, 09/144, Raqam-9366, Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 57/249, 250,

Subki Fi Shifa‟ Al-Saqam Fi Ziyarah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah „Ala Man Ankra Al-Ziyarah,/113, Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-

Fawa‟id,05/245, Hindi Fi Kanz-ul-„Ummal, 06/88, Raqam-14967,

Page 10: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 10 of 13

23. “Hazrat Amr Bin Maymoon Awdi RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Aap Ne Bayan Kiya : Mein

Dekha Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne (Bawaqte Wisaal Apne Saahibzaade Se) Farmaya : Aye Abd-

ul-Allah Bin Umar! Umm-il-Mu‟minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ke Paas Jaao Aur Arz

Karo Ki Umar Bin Khattab Aap Ko Salaam Kehta Hai Aur Arz Karta Hai Ki Mujhe Mere Dono‟n Rufaqa‟ Ke Sath

(Rawza-E-Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me) Dafn Hone Kee Ijaazat Dee Jaae. Hazrat

Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Ne Jab Umm-il-Mu‟minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu

Ta‟ala „Anha Kee Khidmat Me Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Kee Yeh Darkhaast Pesh Kee To Hazrat

Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ne Farmaya : Woh Jaga Mein Apne Liye Rakhna Chaahti Thi Lekin Aaj

Mein Unhen (Ya‟ni Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ko) Apni Zaat Par Tarjeeh Deti Hoo‟n. Jab Hazrat

Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Waapas Gaye To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne

Un Se Daryaaft Farmaya : Kya Khabar Laae Ho? Unhone Arz Kiya : Aye Amir Al-Mu‟minin! Umm-il-Mu‟minin Ne

Aap Ke Liye Ijaazat De Dee Hai, To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya : Us (Mutabarrak-o-

Muqaddas) Maqaam Se Ziyaada Mere Liye (Bataure Aakhiri Aaraamgaah) Koi Jaga Ahm Nahin Thi. So Jab Mera

Wisaal Ho Jaae To Mujhe Utha Kar Waha‟n Le Jaana Aur Salaam Arz Karna. Phir Arz Karna (Aaqa!) Umar Bin

Khattab Ijazaat Chaahta Hai. Agar Mujhe Ijaazat Mil Jaae To Waha‟n Dafn Kar Dena Warna Mujhe Aam

Musalmano‟n Ke Qabristaan Me Le Jaa Kar Dafn Kar Dena.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 01/469, Raqam-1328, Bukhari Fi As-Sahih, 03/1353_1355, Raqam-3497, Wa Nahwuhu Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/34,

Raqam-11858, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/435, Raqam-436, Raqam-37059, 37074,

24. “Hazrat Aaiqshah Siddiqa RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Bayaan Karti Hain Ki Jab Mein Us Hujra Mubarak Me

Daakhil Huwi Jaha‟n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Mere

Waalid(Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu) Madfoon Hain To Mein Parde Ka Kapda Utaar Deti

Thi Aur Kehti Thi : Be Shak Waha‟n Mere Khaawind Aur Mere Walid Hain (Jin Se Parda Zaroori Nahin Hota)

Lekin Jab Waha‟n Un Ke Saath Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bhi Madfoon Ho Gaye To Mein Waha‟n

Hazrat Umar Se Haya‟ Kee Khaatir Mukammal Hijaab Me Daakhil Hoti Thi.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Bukhari

Muslim Kee Shart Par Sahih Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya : Is Ke Rijaal Sahih Hadith Ke Rijaal Hain.

Aur Imam Zarkashi Ne Farmaya : Yeh Hadith Bukhari Wa Muslim Kee Shart Par Sahih Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/202, Raqam-25701, Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/63, Raqam-4402, Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/08, Raqam-6721,

Zarkashi Fi Al-Ijabah Lamma Istadrakat‟hu „Aishah,/68, Raqam-68, Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 08/26,

Haythami Fi Majma‟-uz-Zawa‟id Wa Manba‟-ul-Fawa‟id, 09/37

25. “Hazrat Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Aap Ne Bayaan Farmaya :

Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Mujhe Apne

Sarhaane Bithaaya Aur Farmaya : Aye Ali! Jab Mein Faut Ho Jaau‟n To Aap Khud Mujhe Apne In Haatho‟n Se

Ghusl Dena Jin Haatho‟n Se Aap Ne RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ghusl Diya

Page 11: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 11 of 13

Tha Aur Mujhe (Bhi Wohi) Khushbu Lagaana Aur (Meri Mayyit) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ke Rawza-E-Aqdas Ke Paas Le Jaana Agar Tum Dekho Ki (Khud Bakhud) Darwaaza Khol

Diya Gaya Hai To Mujhe Waha‟n Dafn Kar Dena Warna Waapas Laa Kar Aam Musalmaano‟n Ke Qabristaan Me

Dafn Kar Dena Us Waqt Tak Jab Allah Ta‟ala Apne Bando‟n Ke Darmiyaan Faisla Na Farma De (Ya‟ni Qiyaamat

Na Aa Jaae. Aur Phir Un Kee Khaahish Ke Mutaabiq Hee) Unhein Ghusl Aur(Mutabarrak Khushbu Waala) Kafan

Diya Gaya Aur (Hazrat Ali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Ki) Sab Se Pehle Mein Ne Rawza-E-Rasool

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Darwaaze Par Pahunch Kar Ijaazat Talab Kee Aur Arz Kiya :

Ya RasoolAllah! Yeh Aboo Bakr Hain Jo Andar Aane Kee Ijaazat Chaahte Hain? Phir Mein Ne Dekha ki Rawza-E-

Aqdas Ka Darwaza (Khud Bakhud) Khul Gaya Aur Mein Ne Suna Ki Koi Kehne Waala Keh Raha Hai. Habib Ko

Us Ke Habib Ke Haa‟n Daakhil Kar Do. Be Shak Habib Bhi Mulaqate Habib Ke Liye Mushtaaq Hai.”

Ise Imam Ibn Asakir Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 30/436, Suyooti Fi Khasa‟is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa‟is Al-Habib, 02/492,

26. “Hazrat aboo Is‟haq Qurasi RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayaan Karte Hain Ki Yaha‟n Madinah Munawwarah

Me Hamaare Paas Aik Aadami Tha Jab Woh Koi Aisi Buraa‟i Dekhta Jise Woh Apne Haath Se Rokne Kee Taaqat

Nahin Rakhta Tha To Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qabre

Anwar Ke Paas Aata Aur (Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Yoo‟n) Arz Karta :

“Aye (Sarware Do „Aalam) Saahibe Qabr! (Aur Apni Quboor Me Aaraam Farma) Aap Ke Dono‟n Rufaqa‟! Aur

Ayr Hamaare Madadgaar (Aur Hamaare Aqqa-o-Mawla) Kaash Aap Hamaari(Haalate Zaar Par) Nazare Karam

Farmaein.”

Is Hadith Ko Imam Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bayhaqi Fi Shu‟ab-ul-Iman, 03/495, Raqam-4177,

27. “Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Hee Riwaayat Hai Aap Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Se Rooh-ul-Qudus (Jibra‟il) Ne Kalaam

Kiya Ho, Zameen Us Ka Jism Nahin Khaaegi.”

Ise Imam Jahdami, Ibn Al-Qayyim Ne Riwaayat Kiya Hai. Hafiz Ibn Kathir Ne Kaha Hai : Yeh Hadith Mursal

Hasan Hai.

“Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Hee Riwaayat Hai Aap Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Se Rooh-ul-Qudus Ne Kalaam Kiya Ho, Zameen

Ko Us Ka Gosht Khaane Kee Ijaazat Nahin Dee Ga‟i.”

Ise Imam Maqrizi Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.

Page 12: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 12 of 13

۞ “Allama Shurunbulali Ne Apni Kitab “Noor-ul-Iydah” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ziyaarat Kee Fasl Qaa‟im Kee Hai Jis Me Unhone Farmaya : Muhaqqiqin Ke

Nazdeek Yeh Amr Tai Shudah Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Hayaat Hain, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko (Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Kee Shaan Ke Laa‟iq) Rizq Diya Jaata Hai Aur Aap Jumla Halaawato‟n Aur Ibaadaat Se Mustafeed

Hote Hain. Farq Sirf Yrh Hai Un Logo‟n Kee Nigaaho‟n Se Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ojhal Hain Jo Maqaamaate Aaliya Se Qaasir Hain.”(01)

– [Jahdami Fi Fadl Al-Salat „Ala An-Nabi SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam,/38, Raqam-23, Ibn Qayyim Fi Jala‟ Al-Afham Fi Al-Salat Wa Al-Salm

„Ala Khayr Al-Anam,/41, Raqam-59, Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr‟an Al-Azim, 03/515, Sakhawi Fi Al-Qawl Al-Badi‟ Fi Al-Salah „Ala Al-Habib Al-Shafi‟,/169,

Maqrizi Fi Imta‟ Al-Asma‟ Bi-Ma Lil-Nabi Min Al-Ahwal Wa Al-Amwal Wa Al-Hafadah Wa Al-Mata‟,10/306, Suyooti Fi Khasa‟is Al-Kubra Aw Kifayah At-

Talib Al-Labib Fi Khasa‟is Al-Habib, 02/280, Suyooti Fi Ad-Durr Al-Manthoor Fi At-Tafsir Al-Ma‟thoor, 01/87, (01) Dhakarahu Al-Shurunbulali Fi Noor-ul-

Iydah Wa Najat-ul-Arwah,/391,

28. “Hazrat Sa‟iyd Bin Abd-il-Aziz RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwaayat Hai Ki Jab Ayyame Harrah (Jin Dino‟n

Yazeed Ne Madinah Munawwarah Par Hamla Karwaaya Tha) Ka Waaqe‟a Pesh Aaya To Huzoor Nabiyye Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Masjid Me Teen Din Tak Adhaan Aur Iqaamat Nahin Kee Gayi

Aur Hazrat Sa‟iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne (Jo Ki Jalil-ul-Qadr Taabe‟iy Hain Unhone Masjide

Nabawi SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Panaah Lee Huwi Thi Aur Unhone Teen Din Tak)

Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Woh Namaaz Ka Waqt Nahin Jaante Thety Magar Aik Dheemi See Aawaaz Ke Zari‟e

Jo Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qabre Anwar Se Sunte They.

Phir Unhone Is Ka Ma‟na Bhi Bayaan Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Darimi Aur Khatib Tabrizi Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Darimi Fi As-Sunan, 01/56, Raqam-93, Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqam-5951, Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/291, Raqam-4029

“Aur Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hee Se Marwi Aik Riwaayat Me Hai Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne

Farmaya : Kisi Namaz Ka Waqt Bhi Aisa Nahin Aaya Ki Mein Ne (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee) Qabre Anwar Se Adhaan Kee Aawaaz Na Suni Ho.”

Ise Imam Aboo Nu‟aym Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Aboo Nu‟aym Fi Dala‟il-un-Nubuwwah,/496, Suyooti Fi Khasa‟is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa‟is Al-Habib, 02/280,

Suyooti Fi Al-Hawi Li-‟l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I‟rab Wa Sa‟ir Al-Funun, 02/266,

Maqrizi Fi Imta‟ Al-Asma‟ Bi-Ma Lil-Nabi Min Al-Ahwal Wa Al-Amwal Wa Al-Hafadah Wa Al-Mata‟, 14/615, Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah,

07/365, Abd-ul-Haque Ad-Dihlawi Fi Jazb-ul-Quloob Ila Diyar-il-Mahboob,/44

“Aur Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hee Se Marwi Hai Ki Farmaya : Jab Namaz Ka Waqt Aata To Mein Aap

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qabre Anwar Kee Jaanib Se Adhaan Kee Awaaz Sunta Tha.”

Ise Ibn Sa‟d Ne Riwaayat Kiya Hai.

“Un Hee Se Marwi Hai Ki Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya : Mein Ayyame Harrah Ke Dauraan

Musalsal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qabre Anwar Se Adhaan Aur

Iqaamat Kee Awaaz Sunta Raha, Yaha‟n Tak Ki Logo‟n (Ke Haalaat Ma‟mool Kee Kee Soorate Haal Par Waapas

Laut Aae (Ya‟ni Masjide Nabawi Me Baa Qaa‟eda Adhaan-o-Iqaamat Shuroo‟ Ho Ga‟i).”

Page 13: 57.HAYAAT UN NABI SAL'LAL'LAHU ALAIHI WASALLAM · Aur Allah Se Mu‟aafi Maangte Aur Rasool(SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam) Bhi Un Ke Liye Maghfirat Talab Karte

Page 13 of 13

Ise Imam Maqrizi Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.

– [Ibn Sa‟d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 05/132, Suyooti Fi Al-Rasa‟il Al-Tis‟,/238_239, Suyooti Fi Al-Hawi Li-‟l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-

Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I‟rab Wa Sa‟ir Al-Funun, 02/266, Suyooti Fi Khasa‟is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa‟is Al-Habib,

02/281, Maqrizi Fi Imta‟ Al-Asma‟ Bi-Ma Lil-Nabi Min Al-Ahwal Wa Al-Amwal Wa Al-Hafadah Wa Al-Mata‟, 14/616, Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-

Ladunniyyah, 07/365,

29. “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Riwaayat Kiya Hai Ki Jab Walid Bin Abd-il-Malik Ke Zamaane

Me (Hujra-E-Mubarak Kee) Deewaan Un (Logo‟n) Par Giri To Aik Qadam Zaahir Huwa. Log Dar Gaye Aur

Samjhe Ki Shaayad Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Qadam

Mubarak Hai. Unhein Pehchaan Ne Waala Koi Na Mila Yaha‟n Tak Ki Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu

Ne (Pehchaan Liya Aur) Kaha : Khuda Kee Qasam, Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ka Qadam Mubarak Nahin Balki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ka Qadam Hai.”

Ise Imam Bukhari Aur Ibn Sa‟d Ne Riwayat Kiya Hai.

Mulla Ali Qari Ne Apni Kitaab “Jam‟a Al-Wasa‟il Fi Sharh Al-Masha‟il” Me Farmaya : Be Shak Kisi“ ملسو هيلع هللا ىلص

Ne Yeh Nahin Kaha Ki Un Kee Qabrein Un Ke Jismo‟n Se Khaali Hain Aur Un Kee Arwaah Ka Un Ke Ajsaam Se

Koi Ta‟alluq Nahin Aur Jo Koi Un Par Salaam Pesh Karta Hai Woh Use Nahin Sunte. To Aisa Hee Ambiya‟ Ke

Baare Me Aaya Hai Ki Be Shak Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam Talbiyah Kehte Hain Aur Hajj Karte Hain,

Aur Hamaare Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Liye To Yeh Karaamaat

Badarja-E-Awla Saabit Hain.”(01)

-Aur Imam Qustalani Ne “Al-Mawahib” Me Famaya : Be Shak Yeh Saabit Ho Chuka Hai Ki Ambiya-E“ ملسو هيلع هللا ىلص

Kiram „Alayhim-us-Salam Hajj Karte Hain Aur Talbiyah Kehte Hain. Agar Yeh Kaha Jaae Ki Woh Wafaat Paa

Chuke Hain Aur Ukhrawi Ghar Me Hain Na Ki Daar-il-Amal Me To Is Baat Ka Jawaab Yeh Hai Ki Un Ka Haal

Shohada‟ Kee Tarah Balki Un Se Bhi Afzal Hai. Jab Shohda‟a Apne Rabb Ke Haa‟n Zinda Hain Aur Unhein (Un

Kee Shaan Ke Laa‟iq) Rizq Diya Jaata Hai, To Agar Ambiya-E-Kiram „Alayhim-us-Salam Hajj Karein Aur Namaaz

Padhein To Us Me Kya Ba‟iyd Hai!”(02)

Allama Muhammad Anwar Shah Kashmiri ne Kaha : Jaan Lo! Hum Pehle Hayaat-E-Ambiya‟ Aur“ ملسو هيلع هللا ىلص

Hayaate Shohada‟ Ke Muta‟alliq Bahth Kar Chuke Hain, Jis Ka Maa Haasil Yeh Hai Ki Un Ke Zinda Hone Ka

Matlab Yeh Hai Ki Woh Zindo‟n Jaise Af‟aal Baja Laate Hain, Aur Reh Gayi‟n Arwaah, Woh To Tamaam Kee

Tamaam (Barzakh Me) Zinda Hain Agarche Woh Kaafiro‟n Kee Arwaah Hee Kyun Na Ho‟n.”(03)

– [Bukhari Fi As-Sahih, 01/468, Raqam-1326, Ibn Sa‟d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/368, (01) Dhakarahu Al-Mulla „Ali Al-Qari Fi Jam‟a Al-Wasa‟il Fi Sharh

Al-Shama‟il, 02/300, (02) Dhakarahu Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 02/695, Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 07/365_366,

(03) Dhakarahu Anwar Shah Al-Kashmiri Fi Fayd Al-Bari, 03/425,