baab-05 : hazrat ali bin abi talib karramallahu ta’ala waj ... filepage 1 of 27 baab-05 : hazrat...

27
Page 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Qubool-E-Islam Aur Namaz Padhne Me Awwaliyyat Ka Bayan 01/209 “Aik Ansaari Shakhs Aboo Hamzah Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Sab Se Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Imaan Laaye.” Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Hakim Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai. [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3735, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/367, Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/447, Raqam-4663, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/371, Raqam-32106, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/406, Raqam-12151, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/452, Raqam-1102, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/191, Raqam-209.] 02/210 “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Peer Ke Din Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bi‟that Huwi Aur Mangal Ke Din Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.” Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai. [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/640, Raqam-3728, Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, Raqam-4587, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/355, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/191, 192, Raqam-210.] 03/211 “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Sab Se Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.” “Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Is Baare Me Ahl-E-Ilm Ka Ikhtilaaf Hai. Ba‟z Ne Kaha : Sab Se Pahle Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Islam Laaye Aur Baa‟z Ne Kaha : Sab Se Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-KarimSahaba-E-Kiram Islam Laaye Jab Ki Baa‟z Muhaddithin Ka Kahna Hai Ki Mardo‟n Me Sab Se Pahle Islam Laane Waale Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hain Aur Bachcho‟n Me Sab Se Pahle Islam Laane Waale Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-KarimSahaba-E-Kiram Hain Kyun Ki Woh Aanth Baras Kee Umr Me Islam Laaye Aur Aurto‟n Me Sab Se Pahle Musharraf Ba Islam Hone Waali Hazrat Khudayjat-ul-Kubra RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Hain.” [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3734, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/192, Raqam-211.] 04/212 “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya : Hazrat Khudayjah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ke Baa‟d Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Logo‟n Me Sab Se Pahle Islam Laaye.‟ Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Ibn Abi Asim Ne Riwayat Kiya Hai. [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/21, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/193, Raqam-212.]

Upload: others

Post on 01-Sep-2019

9 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 1 of 27

Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib

Fasl-01 : Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Qubool-E-Islam Aur

Namaz Padhne Me Awwaliyyat Ka Bayan

01/209

“Aik Ansaari Shakhs Aboo Hamzah Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Sab Se Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Imaan

Laaye.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Hakim Ne Farmaya Ki Yeh

Hadith Hasan Sahih Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3735, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/367, Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/447, Raqam-4663,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/371, Raqam-32106, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/406, Raqam-12151, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,

22/452, Raqam-1102, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/191, Raqam-209.]

02/210

“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Peer Ke Din Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bi‟that Huwi Aur Mangal Ke Din Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/640, Raqam-3728, Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121, Raqam-4587, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/355,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/191, 192, Raqam-210.]

03/211

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Sab Se

Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Namaz Padhi.”

“Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Hai Ki Is Baare Me Ahl-E-Ilm Ka Ikhtilaaf Hai.

Ba‟z Ne Kaha :

Sab Se Pahle Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Islam Laaye Aur Baa‟z Ne Kaha :

Sab Se Pahle Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-KarimSahaba-E-Kiram Islam Laaye Jab Ki Baa‟z

Muhaddithin Ka Kahna Hai Ki Mardo‟n Me Sab Se Pahle Islam Laane Waale Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhu Hain Aur Bachcho‟n Me Sab Se Pahle Islam Laane Waale Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-KarimSahaba-E-Kiram Hain Kyun Ki Woh Aanth Baras Kee Umr Me Islam Laaye Aur Aurto‟n

Me Sab Se Pahle Musharraf Ba Islam Hone Waali Hazrat Khudayjat-ul-Kubra RadiyAllahu Ta‟ala „Anha

Hain.”

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/642, Raqam-3734, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/192, Raqam-211.]

04/212

“Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya :

Hazrat Khudayjah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ke Baa‟d Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim

Logo‟n Me Sab Se Pahle Islam Laaye.‟

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Ibn Abi Asim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/21,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/193, Raqam-212.]

Page 2: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 2 of 27

05/213

“Hazrat Habba Urani RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu

Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Minbar Par Hanste Huwe Dekha Aur Mein Ne Kabhi Bhi Aap RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhu Ko Us Se Ziyadah Hanste Huwe Nahin Dekha.

Yaha‟n Tak Ki Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ke Daant Nazar Aane Lage.

Phir Aap RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya :

Mujhe Apne Waalid Aboo Talib Ka Qaul Yaad Aa Gaya Tha.

Aik Din Woh Hamare Paas Aaye Jab Ki Mein Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Ke Saath Tha Aur Hum Waadi-E-Nakhlah Me Namaz Ada Kar Rahe They, Pas Unhone Kaha :

Aye Mere Bhatije ! Aap Kya Kar Rahe Hain ?

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aap Ko Islam Kee Da‟wat Dee

To Unhone Kaha : Jo Kuchh Aap Kar Rahe Hain Ya Kah Rahe Hain Us Me Koi Harj Nahin Lekin Aap Kabhi

Bhi (Tajurbe Me) Meri Umr Se Ziyadah Nahin Ho Sakti.

Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Apne Waalid Kee Us Baat Par Hans Deeye Phir

Farmaya : Aye Allah ! Mein Nahin Jaanta Ki Mujhe Se Pahle Is Ummat Ke Kisi Aur Fard Ne Teri Ibadat

Kee Ho Siwaaye Teri Nabi SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke, Yeh Teen-03 Martaba

Farmaya Duhraaya Phir Farmaya :

Tahqiq Mein Ne Aammat-un-NaasKe Namaz Padhne Se Saat-07 Saal Pahle Namaz Ada Kee.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Raqam-776, Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/36, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/193, 194, Raqam-213.]

06/214

“Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Ummat Me Sab

Se Pahle Hawz-E-Kawthar Par Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee

Khidmat Me Haazir Hone Waale Islaam Laane Me Sab Se Awwal Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu

Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Hain.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Aur Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/267, Raqam-35954, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/265, Raqam-6174, Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani,

01/149, Raqam-179, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/31, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/194, Raqam-214.]

Fasl-02 :Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Qurb Aur Maqam Wa

Martabe Ka Bayan

07/215

“Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghazwa-E-Tabook Ke Mauqa Par Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Madinah Me Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Kya Aap Mujhe Aurto‟n Aur Bachchon Me Pichhe Chhod Kar Jaa Rahe Hain ?

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Mere Saath Tumhaari Wohi Nisbat Ho Jo Hazrat Haroon „Alayh-is-

Salam Kee Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Se Thi AlBatta Mere Baa‟d Koi Nabi Nahin Hoga.”

Page 3: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 3 of 27

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai Aur Mazkoorah Alfaaz Imam Muslim Ke Hain.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Raqam-4154, Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-1870, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1608, Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/370, Raqam-6927, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/40,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/195, Raqam-215.]

08/216

“Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Jab Aap SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Baa‟z Maghaazi Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko

Pichhe Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap Ne Mujhe Aurto‟n Aur Bachchon Me Pichhe Chhod Diya Hai ?

To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu

Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Farmaya :

Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Moosa „Alayh-is-Salam Ke Liye

Haroon „Alayh-is-Salam They, AlBatta Mere Baa‟d Koi Nabi Nahin Hoga Aur Ghazwa-E-Khaibar Ke Din Me

Ne Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Yeh Suna Ki Kal Mein Is Shakhs Ko Alam

(Jhanda) Doonga Jo Allah Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa SallamUs Se Muhabbat

Karte Hain, So Hum Sab Is Sa‟adat Ke Husool Ke Intezaar Me They, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ne Famaya :

Ali Ko Mere Paas Bulaaein, Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Laaya Gaya, Us Waqt

Woh Aashoob-E-Chashm Me Mubtala They, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Kee

Aankhon Me Luaab-E-Dahan Daala Aur Unhein Alam (Jhanda) Ata‟ Kiya, Allah Ta‟ala Ne Un Ke Haath Par

Khaybar Fateh Kar Diya Aur Jab Yeh Aayat Naazil Huwi :

“Aap Farma Dijiye Aawo Hum Apne Beto‟n Ko Bulaaein Aur Tum Apne Beto‟n Ko Bulaao.”

To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah,

Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Ajmaeen Ko Bulaaya Aur Kaha :

Aye Allah!

Yeh Mera Kunba Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/196, 197, Raqam-216.]

09/217

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Amar Bin Hind Jamaliyyi Kehte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-

ul-Karim Ne Farmaya :

Agar Mein Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Koi Chiz Mangta To

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Mujhe Ata‟ Farmate Aur Agar Khaamosh Rehta To Bhi

Pehle Mujhe Hee Dete.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/637, Raqam-3722, 3729, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/142, Raqam-8504, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/135,

Raqam-4630, Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/235, Raqam-614, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/197, Raqam-217.]

10/218

“Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghazwa-E-Taa‟if Ke Mauqa Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-

ul-Karim Ko Bulaaya Aur Un Se Shargoshi Kee, Log Khene Lage Aaj Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ne Apne Chachazaad Bhaai Ke Saath Kaafi Der Tak Shargoshi Kee.

Page 4: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 4 of 27

So Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mein Ne Nahin Kee Balki Allah Ne Khud Un Se Shargoshi Kee Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ibn Abi „Asim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki

Yeh Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/639, Raqam-3726, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1321, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/186, Raqam-1756,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/197, 198, Raqam-218.]

11/219

“ Hazrat Aboo Sa‟iyd RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Aye Ali ! Mere Aur Tumhaare Ilaawah Kisi Ke Liye Jaaiz Nahin Ki Haalat-E-Janabat Me Is Masjid Me Rahe.

Imam Ali Bin Mundhir Kehte Hain Ki Mein Ne Zaraar Bin Surad Se Is Ka Ma‟na Puchha To Unhone Farmaya

: Is Se Muraad Masjid Ko BaTaur Raasta Isti‟maal Karna Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Bazzar Aur Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki

Yeh Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/639, Raqam-3727, Bazzar Fi Al-Musnad, 04/36, Raqam-1197, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/311, Raqam-1042,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/65, Raqam-13181, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/198, Raqam-219.]

12/220

“Hazrat Ummi Atiyyah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Lashkar Bheja Us Me Us Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Bhi They Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Haath Utha Kar Duaa Kar Rahe

They Ki Ya Allah !

Mujhe Us Waqt Tak Mout Na Dena Jab Tak Mein Ali Ko (Waapas Ba-Khair Wa Aafiyat) Na Dekh Loo‟n.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Tabarani Ne Bayan Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh

Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/643, Raqam-3737, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/68, Raqam-168, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/48, Raqam-2432,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/609, Raqam-1039, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/199, Raqam-220.]

13/221

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Allah Ta‟ala Aboo Bakr Par Raham Farmaein Us Ne Apni Beti Mere Nikaah Me Dee Aur Mujhe Daar-il-

Hijrah Le Kar Aaye Aur Bilaal Ko Bhi Unhone Apne Maal Se Aazaad Karaaya.

Allah Ta‟ala Umar Par Raham Farmaein Yeh Hamesha Haque Baat Karte Hain Agarche Woh Kadwi Ho Isi

Liye Woh Is Haal Me Hai Ki Un Ka Koi Dost Nahin.

Allah Ta‟ala Usman Par Raham Farmaein.

Is Se Farishte Bhi Haya Karte Hain.

Allah Ta‟ala Ali Par Raham Farmaein.

Ya Allah !

Yeh Jaha‟n Kahin Bhi Ho Haque Us Ke Saath Rahe.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi , Aur Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633, Raqam-3714, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/134, Raqam-4629, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/95,

Raqam-5906, Bazzar Fi Al-Musnad, 03/52, Raqam-806, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01 : 418, Raqam-550, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/199,

200, Raqam-221]

Page 5: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 5 of 27

14/222

“ Hazrat Hubsiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyy-

E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Ali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Mujh Se Hai Aur Mein Ali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Hoo‟n Aur Meri

Taraf Se (Ahad Wa Paymaan Me) Mere Aur Ali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ke Siwa Koi Doosra

(Zimmedaari) Ada Nahin Kar Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ibn Majah Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Kehte Hain Ki

Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3719, Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Raqam-119, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/165, Ibn Abi Shaybah Fi

Al-Musannaf, 06/366, Raqam-32071, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/16, Raqam-3511, Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 03/183, Raqam-1514,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/200, Raqam-222.]

15/223

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ansaar Wa Muhaajirin Ke Darmiyaan Ukhuwwat

Qaaim Kee To Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Rote Huwe Aaye Aur Arz Kiya Ya

RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sahaba-E-Kiram Me Bhaai Chaarah Qaaim Farmaya

Lekin Mujhe Kisi Ka Bhaai Nahin Banaya.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Faraya :

Tum Duniya Wa Aakhirat Me Mere Bhaai Ho.”

Ise Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai

Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3720, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/15, Raqam-4288, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/201,

Raqam-223.]

16/224

“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Aik Martaba Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aik Parinde Ka Gosht Tha, Aap SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Duaa Kee :

Ya Allah! Apni Makhlook Me Se Mahboob Tareen Shakhs Mere Paas Bhej Taa Ki Woh Mere Saath Is

Parinde Ka Gosht Khaaye.

Chunaanche Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Aaye Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ke Saath Woh Gosht Tanaawul Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/636, Raqam-3721, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/146, Raqam-9372, Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-

Asbahan, 03/454, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/201, 202, Raqam-224.]

17/225

“Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Aurto‟n Me Sab Se Ziyadahh Mahboob Apni Saahabzaadi Hazrat Fatimah

RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Thi‟n Aur Mardo‟n Me Se Sab Se Ziyadahh Mahboob Hazrat Ali RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhu They.”

Is Hadith Ko Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith

Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3868, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03 : 168, Raqam-4735, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/130,

Raqam-7258, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/202, Raqam-225.]

Page 6: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 6 of 27

18/226

“Hazrat Jumay‟ Bin Umayr Tamimi RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Apni Khaala Ke

Saath Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa Phir Mein Ne Un Se Puchha :

Logo‟n Mein Koun Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Se

Ziyadahh Mahboob Tha ?

Unhone Farmaya : Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Phir Arz Kiya Gaya Aur Mardo‟n Me Se Koun

Sab Se Zyadah Mahboob Tha ?

Farmaya : Us Ka Khaawind Agarche Mujhe Un Ka Ziyadahh Roze Rakhna Aur Ziyadahh Qayaam Kaarna

Ma‟loom Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh

Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/701, Raqam-3874, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/171, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/202, 203, Raqam-

226.]

19/227

“Hazrat Hanas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Ko Do-02 Mayndhon Kee Qurbani Karte Huwe Dekha To Mein Ne Un Se Puchha Yeh Kya

Hai ?

Unhone Jawab Diya Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujhe

Wasiyyat Farmayi Hai Ki Mein Un Kee Taraf Se Bhi Qurbaani Karun Lihaaza Mein Un Kee Taraf Se

Qurbaani Karta Hoo‟n.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/94, Raqam-2790, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/150, Raqam-1285, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/203,

Raqam-227.]

20/228

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Nujayy RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu

Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Farmaya :

Ki Mein Din-Raat Me Do-02 Dafa‟ Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Kee Bargah Me Haazir Hota.

Jab Mein Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat-E-Aqdas Me Raat Ke Waqt

Haazir Hota (Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Namaz Ada Farma Rahe Hote) To Aap

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam MujheIjaazat Inaayat Farmane Ke Liye Khaanste.”

Is Hadith Ko Imam Nasa‟i Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Nasa’i Fi As-Sunan, 03/12, Raqam-1212, Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1222, Raqam-3708, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/360, Raqam-1136,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/242, Raqam-25676, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/203, 204, Raqam-228.]

21/229

“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Bayan Karti Hain Us Zaat Kee Qasam Jis Ka Mein Halaf

Uthaati Hoo‟n Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Logo‟n Me Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Ahad Ke E‟tibaar Se Sab Se Ziyadah Qarib They.

Woh Bayan Karti Hain Ki Hum Ne Aae Roz Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Kee Iyaadat Kee, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmate Ki Ali (Meri

Iyaadat Ke Liye) Bahut Martaba Aaya Hai.

Aap Bayan Karti Hain Ki Mera Khayaal Hai Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat

Page 7: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 7 of 27

Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Kisi Zaroori Kaam Se Bheja Tha.

Us Ke Baa‟d Jab Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Tashrif Laaye To Mein Ne Samjha

Unhein Shaayad Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Koi

Kaam Hoga So Hum Baahar Aa Gaye Aur Darwaaze Ke Qarib Baith Gaye Aur Me Un Sab Se Ziyadahh

Darwaaze Ke Qarib Thi Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jhuk Gaye Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Se SarGoshi Karne Lage Phir Us Din Ke Baa‟d Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Wisaal Farma Gaye Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Sab Logo‟n

Se Ziyadahh Ahad Ke E‟tibaar Se Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ke Qarib They.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/300, Raqam-26607, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/149, Raqam-4671, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id

Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/112, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/204, 205, Raqam-229.]

22/230

“Hazrat Usaamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ja‟far Aur Hazrat

Ali Aur Hazrat Zayd Bin Haarisah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Aik Din Ikatthey Huwe To Hazrat Ja‟far

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyadahh Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Mahboob Hoo‟n Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-

Karim Ne Farmaya Ki Mein Tumm Sab Se Ziyadah Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ko Mahboob Hoo‟n Aur Hazrat Zayd RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum

Sab Se Ziyadahh Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Pyaara Hoo‟n

Phir Unhone Kaha Chalo Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke

Khidmat-E-Aqdas Me Chalte Hain Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Puchhte Hain

Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Se Ziyadahh Pyaara Koun Hai ?

Usaamah Bin Zayd Kehte Hain Pas Woh Teenon Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Se Ijaazat Talab Karne Ke Liye Haazir Huwe To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Ne Farmaya :

Dekho Yeh Koun Hai ?

Mein Ne Arz Kiya :

Ja‟far Ali Aur Zayd Bin Haarisah Hain.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Un Ko Ijaazat Do Phir Woh Daakhil Huwe Aur Kehne Lage :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Sab Ziyadahh Mahboob Koun Hai ?

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Fatimah, Unhone Arz Kiya :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Hum Ne Mardo‟n Ke Baare Arz Kiya Hai To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Ne Farmaya : Aye Ja‟far !

Tumhari Khilqat Meri Khilqat Se Mushaabah Hai Aur Mere Khulq Tumhaare Khulq Se Mushaabah Hain Aur

Too Mujh Se Aur Mere Shajarah Nasab Se Hai, Aye Ali !

Too Mera Daamaad Aur Mere Do Beto‟n Ka Baap Hai Aur Mein Tujh Se Hoo‟n Aur Too Mujh Se Hai Aur

Aye Zayd ! Too Mera Ghulaam Aur Mujh Se Aur Meri Taraf Se Hai Aur Tamam Qaum Se Too Mujhe

Pasandidah Hai.”

Page 8: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 8 of 27

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/204, Raqam-21825, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/239, Raqam-4957, Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-

Mukhtarah, 04/151, Raqam-1369, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/274, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/205, 206,

Raqam-230.]

23/231

“Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kisi Ko Soorah Tawbah De Kar Bheja Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Us Ke Pichhe Bheja Pas

Unhone Woh Soorah Us Se Le Lee.

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Is Soorah Ko Siwaaye Us Aadami Ke Jo Mujh Me Se Hai Aur Mein Us Se Hoo‟n Koi Aur Nahin Le Jaa

Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/207, Raqam-231.]

24/232

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Logo‟n Ne Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ke Baare Me Koi Shikaayat Kee.

To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamaare Darmiyaan Khade

Huwe Aur Khutba Irshaad Farmaya.

Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna :

Aye Logo‟n !

Ali Kee Shikaayat Na Karo, Allah Kee Qasam Woh Allah Kee Zaat Me Yaa Allah Ke Raaste Me Bahot Sakht

Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh

Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/86, Raqam-11835, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/144, Raqam-4654, Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-

Nabawiyyah, 06/08, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/207, 208, Raqam-232.]

25/233

“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki BeShak Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jab Naaraazgi Ke Aalam Me Hote To Hum Me Se Aap

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Siwaaye Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-

ul-Karim Ke Kisi Ko Kalaam Karne Kee Jur‟aat Na Hoti Thi.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad

Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/318, Raqam-4314, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/141, Raqam-4647, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id

Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/116, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/208, Raqam-233.]

26/234

“Hazrat Aboo Rafi‟ RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Aik Jagah Bheja,

Jab Woh Waapas Tashrif Laaye To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Se Farmaya :

Allah Ta‟ala, Us Ka Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Jibra‟il Tum Se Raazi Hain.”

Page 9: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 9 of 27

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Raqam-946, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/208, Raqam-234.]

Fasl-03 :Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Ahl-E-Bayt-E-Rasool

SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Se Hone Ka Bayan

27/235

“Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayat-E-Mubahila :

“Aap Farma De‟n Aawo Hum Apne Beto‟n Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beto‟n Ko Bulaao.”

Naazil Huwi To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali,

Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain „Alayhim-us-Salam Ko Bulaaya, Phir Farmaya :

Ya Allah ! Yeh Mere Ahl-E-Bait Hain.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Yeh

Hadith Hasan Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqam-2999, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724, Nasa’i Fi As-Sunan-

ul-Kubra, 05/107, Raqam-8399, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/163, Raqam-4719, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/63, Raqam-13169,

13170, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/209, Raqam-235.]

28/236

“Hazrat Safiyyah Binte Shaybah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aaishah RadiyAllahu

Ta‟ala „Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Subah Ke Waqt Is Haal Me Baahar Tashrif Laaye Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne

Aik Chaadar Odh Rakhi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawon Ke Naqsh Bane Huwe They.

Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Aaye To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Farma Liya, Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Aaye

Aur Un Ke Saath Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Saiyyidah Fatimah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Aa‟in To

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhine Bhi Chaadar Me Daakhil Farma Liya.

Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Aayat-E-Mubaraka Padhi :

Aye Ahl-E-Ahl-E-Bait ! Allah To Yahi Chaaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah) Kee Aaludgi Door Kar De Aur

Tumhein Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-36102, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/672,

Raqam-1149, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/159, Raqam-4707, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149, Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678,

Raqam-1271, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/210, Raqam-236.]

29/237

“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Chheh-06 Maah Tak Huzoor Nabiyy-

E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Yeh Ma‟mook Raha Ki Jab Namaz-E-Fazr Ke

Liye Nikle To Hazrat Fatimah Salam-ul-Allah „Alayha Ke Darwaazah Ke Paas Se Guzarte Huwe Farmate :

Aye Ahl-E-Bait ! Namaz Kaa‟im Karo (Aur Phir Yeh Aayat-E-Mubaraka Padhte: )

“Aye Ahl-E-Bait! Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludgi Door Kar De Aur Tum Khoob

Paak Wa Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai Niz Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh

Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/352, Raqam-3206, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/259, 285, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/761, Raqam-

Page 10: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 10 of 27

1340, 1341, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/172, Raqam-4748, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32272, Shaybani Fi Al-Ahad

Wa’l-Mathani, 05/360, Raqam-2953, Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/367, Raqam-12223, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/211, Raqam-237.]

30/238

“Parwardah-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salama RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Hazrat Umme Salama RadiyAllahu

Ta‟ala „Anha Ke Ghar Me Yeh Aayat Mubarak “Aye Ahl-E-Bait !

Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa

Saaf Kar De” Naazil Huwi.

To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Ko Bulaaya Aur Aik Chaadar Me Dhaanp Liya.

Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ke Pichhe They, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi

Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya :

Ilaahi !

Yeh Meri Ahl-E-Bait Hain, In Se Har Aaloodgi Ko Door Kar De Aur Inhein Khoob Paak Wa Saaf Farma De.‟

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, Raqam-3205, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/663, Raqam-3787, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/587, Raqam-994, Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/451, Raqam-3558, Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/158, Raqam-

4705, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/54, Raqam-2668, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/211, 212, Raqam-238.]

31/239

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farman-E-Khudawandi :

“Aye Ahl-E-Bait !

Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De.”

Ke Baare Me Kaha Hai Ki Yeh Aayat Mubarak Panjatan Ke Haque Me Naazil Huwi.

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat

Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Ke Haque Me.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne Aur Ibn Abi Hayyan Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/380, Raqam-3456, Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/231, Raqam-375, Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin

Bi-Asbahan, 03/384, Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/278, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/212, 213, Raqam-239.]

32/240

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Marwi Hai Ki Jab Yeh Aayat Naazil Huwi :

Aye Mahboob !

Farma Dijiye Ki Mein Tum Se Sirf Apni Qaraabat Ke Saath Muhabbat Ka Sawaal Karta Hoo‟n.”

To Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn Ne Arz Kiya :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap Ke Qaraabat Waale Koun Hai Jin Kee Muhabbat Hum Par Waajib Ho Gayi Hai ?

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Ali, Fatimah, Aur Un Ke Dono‟n Bete (Hasan Aur Husain).”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2641, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/168,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/213, Raqam-240.]

33/241

“Hazrat Aboo Barzah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Page 11: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 11 of 27

Aadmi Ke Dono‟n Qadam Us Waqt Tak Agle Jaha‟n Me Nahin Padte Jab Tak Ki Us Se Chaar-04 Chizo‟n Ke

Baare Sawaal Na Kar Liya Jaaye, Us Ke Jism Ke Baare Me Ki Us Ne Use Kis Tarah Ke Aamaal Me Bosidah

Kiya ?

Aur Us Kee Umr Ke Baare Me Ki Kis Haal Me Use Khatm Kiya ?

Aur Us Ke Maal Ke Baare Me Ki Us Ne Yeh Kaha‟n Se Kamaaya Aur Kaha‟n Kharch Kiya ?

Aur Ahl-E-Bait Kee Muhabbat Ke Baare Me ?

Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap Kee (Ya‟ni Ahl-E-Bait Kee) Muhabbat Kee Kya Alaamat Hai ?

To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apna Dast-E-Aqdas Hazrat Ali KarramAllahu

Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ke Shaane Par Maara (Ki Yeh Muhabbat Kee Alaamat Hai).”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/348, Raqam-2191, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/346,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/213, 214, Raqam-241.]

Fasl-04 :Farman-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jis Ka Mein

Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai

34/242

“Hazrat Shu‟bah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu, Salamah Bin Kuhayl Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aboo

Tufayl Se Suna Ki Aboo Sarihah….. Ya Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma…. Se Marwi Hai

(Hazrat Shu‟bah Ko Raawi Ke Muta‟alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n, Us Ka Ali Mawla Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

Shu‟bah Ne Is Hadith Ko Maymoon Aboo Abd-ul-Allah Se, Unhone Zayd Bin Arqam Se Aur Unhone Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633, Raqam-3713, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Raqam-5071, 5096,

د ث هذا روي وق حدي سي عن ال ب ن ح نادة ب ي ج تب ف ك ية ال ,Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/134, Raqam-4652, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir : اآلت

12/78, Raqam-12593, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 602, Raqam-1359, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/608, Raqam-32946,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/77, 144, Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/343, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/451,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, د ث هذا روي وق حدي ضا ال ر عن أي ن جاب هلل ب بد ي ع تب ف ك ية ال -Ibn Abi ‘Asim Fi As .أآلت

Sunnah, : 602, Raqam-1355, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Raqam-32072, د ث هذا روي وق حدي وب عن ال صاري اي ي األن تب ف ك ية ال : أآلتIbn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 602, Raqam-1354, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, Raqam-4052, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229,

Raqam-348, د ث هذا روي وق حدي دة عن ال ري ي ب تب ف ك ية ال ي ,Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqam-20388, Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir : أالت

01 : 71, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/143, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 601, Raqam-1353, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah,

05/457, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/602, Raqam-32904, د ث هذا روي وق حدي ك عن ال ن مال رث ب ي حوي تب ف ك ية ال ي -Tabarani Fi Al : أالت

Mu’jam-ul-Kabir, 19/252, Raqam-646, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45 : 177, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,

09/106, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/215, 216, Raqam-242.]

35/243

“Hazrat Imran Bin Hasayn RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Aik Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

BeShak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Us Se Hoo‟n Aur Mere Baa‟d Woh Har Musalman Ka Wali Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmed Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Kaha Hai Ki Yeh

Hadith Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/632, Raqam-3712, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/373, Raqam-6929,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/119, Raqam-4579, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Raqam-8474, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,

06/372, 373, Raqam-32121, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/293, Raqam-355, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/128, Raqam-265,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/216, 217, Raqam-243.]

36/244

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Rasool-E-Akram SallAllahu

Page 12: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 12 of 27

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hijjat-ul-Wada‟ Se Waapas Tashrif Laaye To Ghadir Khum Par Qiyaam

Farmaya.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Saaebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga

Diye Gaye Phir Farmaya :

“Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Lunga.

Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do² Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo‟n, Jo Aik Dusare Se Badh Kar

Ahmiyyat Kee Haamil Hain.

Aik Allah Kee Kitab Aur Doosri Meri Itrat.

Ab Dekhna Ye Hai Ki Mere Baa‟d Tum In Dono‟n Ke Saath Kya Sulook Rawa Rakhte Ho Aur Yeh Dono‟n

Aik Dusare Se Juda Na Hongi, Yaha‟n Tak Ki Hawz(-E-Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.”

Phir Farmaya : BeShak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo‟n.

Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah !

Jo Ise (Ali Ko) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Bhi Adaawat

Rakh.”

Is Hadith Ko Imam Nasa‟i Aur Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Faraya Ki Yeh

Hadith Sahih Hai.

– [Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Raqam-8148, 8464, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/109, Raqam-4576, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-

Kabir, 05/166, Raqam-4969, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/217, 218, Raqam-244.]

37/245

“Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala Alayhi Wa Aalihi Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Kee Teen³ Khaslatein Aisi

Bataayi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Aik Ka Bhi Haamil Hota To Woh Mujhe Surkh Oont Se Ziyaadah

Mahboob Hoti.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne (Aik Mouqa‟ Par) Irshad Farmaya :

Ali Mere Liye Isi Tarah Hain Jaise Haroon „Alayh-is-Salam Moosa „Alayh-is-Salam Ke Liye They, (Woh

Nabi They) Magar Mere Baa‟d Koi Nabi Nahin.

Aur Farmaya :

Mein Aaj Us Shakhs Ko Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mohabbat Karta Hai Aur Allah

Aur Us Ka Rasool Us Se Mohabbat Karte Hain.

(Raawi Kahte Hain Ki) Mein Ne Huzoor SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko (Is Mouka Par)

Ye Farmate Huwe Bhi Suna :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai.

Is Hadith Ko Imam Nasa‟i Aur Imam Shahsi Ne Riwayat Kiya Hai.

Aur Aik Riwayat Me Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya

: Aagaah Raho!

BeShak Allah Mera Wali Hai Aur Mein Har Momin Ka Wali Hoo‟n, Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali

Mawla Hai.”(01)

Is Hadith Ko Imam Hisam-ud-Deen Hidni Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, : 33, 34, 88, Raqam-10, 80, Shashi Fi Al-Musnad,

01/165, 166, Raqam-106, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/88, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 15/163, Raqam-36496, (1)Hisam-ud-

Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/608, Raqam-32945, Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 04/328, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/218,

219, Raqam-245.]

38/246

“Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-

Page 13: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 13 of 27

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ye Farmate Huwe Suna :

Jis Ka Mein Wali Hoo‟n Us Ka Ali Wali Hai Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ko (Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se) Ye Farmate Huwe Suna :

Tum Mere Liye Isi Tarah Ho Jaise Haaroon „Alayh-is-Salam Ko Moosa „Alayh-is-Salam Ke Liye They,

Magar Mere Baa‟d Koi Nabi Nahin, Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko

(Ghazwa-E-Khaybar Ke Mouka‟ Par) Ye Bhi Farmate Huwe Suna :

Mein Aaj Us Shakhs Ko Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mohabbat Karta Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Aur Imam Nasa‟i Khasa‟is Ali Bin Abi Talib Me Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/45, Raqam-121, Nasa’i Fi Khasais-E-Amir-ul-Mominin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, : 32, 33,

Raqam-91, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/219, 220, Raqam-246.]

39/247

“Hazrat Bara‟ Bin Aazib RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ne Raaste Me Aik Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Bajama‟at (Qaayim Karne) Ka

Hukm Diya, Us Ke Ba‟d Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya :

Kya Mein Momin Kee Jaano‟n Se Qarib Tar Nahin Hoo‟n ?

Unhone Jawaab Diya : Kyun Nahin !

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo‟n ?

Unhone Jawab Diya : Kyoon Nahin !

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Pas Yah (Ali) Har Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n.

Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Bhi Adaawat

Rakh.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Raqam-116, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/220, 221, Raqam-247.]

40/248

“Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Ke Saath Yaman Ke Ghazwah Me Sheerkat Kee Jis Me Mujhe Aap Se Kuchh Shikwa

Huwa.

Jab Mein Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Waapas

Aaya To Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Zikr Karte Huwe Un Ke Baare Me Tanqis Kee.

Mein Ne Dekha Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Chehra-E-Mubarak Mutaghayyir

Ho Gaya Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

“Aye Buraydah! Kya Mein Mominin Kee Jaanon Se Qarib Tar Nahin Hoo‟n?”

To Mein Ne Arz Kiya : Kyun Nahin, Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam !

Us Par Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmed, Imam Nasa‟i, Imam Hakim Aur Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai Aur

Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Sahih Hai.

– [Ahmad Bin Hanba Fi Al-Musnad, 05/347, Raqam-22995, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/130, Raqam-8465, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn,

03/110, Raqam-4578, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/221, Raqam-248.]

Page 14: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 14 of 27

41/249

“Hazrat Maymoon Aboo Abd-il-Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhu Ko Ye Kahte Huwe Suna :

Hum Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Aik Waadi…. Jise

Wadi-E-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utare.

Pas Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me

Jama‟at Karwaayi.

Phir Hamein Khutba Diya, Us Haal Me Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Liye Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

“Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar

Hoo‟n?” Logo‟n Ne Kaha : Kyoo‟n Nahin!

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah!

Too Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakh Jo Ise Dost Rakhe.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Bayhaqui Ne Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kbir, 05/195, Raqam-5068,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/222, Raqam-249.]

42/250

“(Khud) Hazrat Ali „Alayh-is-Salam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghadir Khum Ke Din Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Fi Hanbal Ne Al-Musnad , 01/152, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/448, Raqam-6878, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/705,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, : 604 Raqam-1369, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/161, 162, 163, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah,

04/171, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/77, 168, Raqam-32950, 36511, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/223, Raqam-250.]

43/251

“Aboo Is‟haq Se Marwi Hai, Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Sa‟iyd Bin Wahab Ko Ye Kahte Huwe Suna :

Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Logo‟n Se Qasam Lee Jis Par Paanch-05 Chheh-06

Sahaba Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ne Farmaya Tha :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/366, Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, :90, Raqam-

83, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/598, 599, Raqam-1021, Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/105, Raqam-479, Bayhaqui Fi As-

Sunan-ul-Kubra, 05/131, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/160, Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah,

03/127, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/223, 224, Raqam-251.]

44/252

“Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apni Chacha Ke Baton Se Farmaya :

Tum Me Se Koun Duniya Wa Aakhirat Me Mere Saath Dosti Karega ?

Raawi Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Us Waqt Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Baithey Huwe They, Sab Ne Inkaar Kar Diya To Hazrat Ali

Page 15: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 15 of 27

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :

Mein Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Duniya Wa Aakhirat Me Dosti Karunga,

Is Par Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Aye Ali Too Duniya Wa Aakhirat Me Mera Dost Hai.

Raawi Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aap

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Aage Un Me Se Aik Aadami Kee Taraf Badhe Aur

Farmaya : Tum Me Se Duniya Wa Aakhirat Me Mere Saath Koun Dosti Karega ?

To Us Ne Bhi Inkaar Kar Diya.

Raawi Bayan Karte Hain Ki Is Par Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Kaha :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Mein Aap Ke Saath Duniya Wa Aakhirat Me Dosti Karunga To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Aye Ali ! Too Duniya Wa Aakhirat Me Mera Dost Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmde, Abn Abi Aasim Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/143, Raqam-4652, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah,

02/603, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/199, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/224, 225, Raqam-252.]

45/253

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Athaarah-18 Dhu-„l-Hijjah Ko

Rozah Rakkha Us Ke Liye Saath-60 Mahino‟n Ke Rozo‟n Ka Sawaab Likha Jaayega, Aur Ye Ghadir Khum

Ka Din Tha Jab Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya :

Kya Mein Mu‟mineen Ka Wali Nahin Hoo‟n?

Unhone Ne Arz Kiyaa :

Kyoo‟n Nahin, Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam !

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n, Us Ka Ali Mawla Hai.

Is Par Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Farmaya :

Mubarak Ho !

Aye Ibn Abi Talib!

Aap Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Thahre.

(Is Mouqa Par) Allah Ta‟ala Ne Ye Aayat Naazil Farmayi :

Aaj Mein Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.”

Is Hadith Ko Imam Ahmed, Ibn Abi Shaybah Aur Tabarani Ne Mazkoorah Alfaaz Ke Saath Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/281, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Raqam-12167, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/324,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/290, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/176, 177, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464,

Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir, 11/139, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/225, 226, Raqam-253.]

46/254

“Hazrat Yazid Bin Umar Bin Mooriq Riwayat Karte Hain Ki Aik Mouqa Par Mein Shaam Me Tha Jab Hazrat

Umar Bin Abdul Aziz RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Logo‟n Ko Nawaaz Rahe They.

Pas Mein Un Ke Paas Aaya, Unhone Mujh Se Puchha Ki Aap Kis Qabile Se Hain?

Mein Ne Kaha : Quraish Se.

Unhone Puchha Ki Quraish Kee Kis (Shaakh) Se ?

Mein Ne Kaha : Bani Hashim Se.

Unhone Puchha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se ?

Raawi Kahte Hain Ki Mein Khaamosh Raha.

Page 16: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 16 of 27

Unhone (Phir) Puchha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se ?

Mein Ne Kaha : Mawla Ali (Ke Khandan Se).

Unhone Puchha Ki Ali Koun Hai ? Mein Khaamosh Raha.

Raawi Kahte Hain Ki Unhone Mere Seene Par Haath Rakkha Aur Kaha :

“Ba-Khuda ! Mein Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Ghulam Hoo‟n.”

Aur Phir Kaha Ki Mujhe BeShumar Logo‟n Ne Bayan Kiya Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ye Farmate Huwe Suna :

“Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai.”

Phir Muzaahim Se Puchha Ki Is Qabil Ke Logo‟n Ko Kitna De Rahe Ho?

To Us Ne Jawaab Diya : Sau-100 Ya Do Sau-200 Dirham.

Is Par Unhone Farmaya :

Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Kee Qaraabat Kee Wajah Se Unhein

Pachaas-50 Dinar Ziyaadah Do, Aur Ibn Abi Dawood Ki Riwayat Ke Mutabiq Saath-60 Dinar Esaafi Dene Ki

Hidayat Kee, Aur (Un Se Mukhaatib Ho Kar) Farmaya :

Aap Apne Shaher Tashrif Le Jaayein, Aap Ke Paas Aap Ke Qabile Ke Logo‟n Ke Baraabar Hissah Pahunch

Jaayeinga.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Nu‟aym Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabqat-ul-Asfiya’, 05/364, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 48/233, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-

Kabir, 69/127, Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 06/427, 428, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/226, 227, Raqam-254.]

47/255

“Amr Dhi Murr Aur Zayd Bin Arqam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghadir Khum Ke Maqaam Par Khutba Farmaya :

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ka Mein Mawla Hoo‟n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah!

Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakh, Aur Jo Is

Kee Nusrat Kare Us Kee Too Nusrat Farma, Aur Jo Is Kee Iaanat Kare Too Use Iaanat Farma.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/192, Raqam-5059, Nasa’i Fi Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-

Karim, : 100, 101, Raqam-96, Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/170, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/609, Raqam-32946

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, 106, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/227, 228, Raqam-255.]

48/256

“Hazrat Ibn Buraydah Apne Waalid Se Aik Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Un Logo‟n Ko Kya Hoga Jo Ali Kee Shaan Me Gustkahi Karte Hain !

(Jaan Lo) Jo Ali Kee Gustaakhi Karta Hai Woh Meri Gustakhi Karta Hai Aur Jo Ali Se Juda Huwa Woh Mujh

Se Juda Ho Gaya.

BeShak Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo‟n, Us Kee Takhliq Meri Mitti Se Huwi Hai Aur Meri Takhliq

Ibrahim Kee Mitti Se, Aur Mein Ibrahim Se Afzal Hoo‟n.

Hum Me Se Baa‟z Baal‟z Kee Awlaad Hain, Allah Ta‟ala Yeh Saari Baatein Sun‟ne Aur Jaan Ne Waala

Hai……….Woh Mere Baa‟d Tum Sab Ka Wali Hai.

(Buraydah Bayan Karte Hain Ki) Mein Ne Kaha :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Kuchh Waqt Inaayat Farmayein Aur Apna Haath Badhaaein, Mein Tajdid-E-Islam Kee Bay‟at Karna Chahta

Hoo‟n, (Aur) Mein Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Juda Na Huwa Yaha‟n Tak Ki

Mein Ne Islam Par (Do Baarah) Bay‟at Kar Lee.”

Page 17: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 17 of 27

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/162, 163, Raqam-6085, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/128,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/228, 229, Raqam-256.]

49/257

“Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jo Mujh Par Imaan Laaya Aur Meri Tasdiq Kee Use Mein Wilayat-E-Ali Kee Wasiyat Karta Hoo‟n, Jis Ne

Use Wali Jaana Us Ne Mujhe Wali Jaana Aur Jis Ne Mujh Wali Jaana Us Ne Allah Ko Wali Jaana, Aur Jis Ne

Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Mohabbat Kee Us Ne Mujh Se Mohabbat Kee, Aur Jis Ne

Mujh Se Mohabbat Kee Us Ne Allah Se Mohabbat Kee, Aur Jis Ne Ali Se Bughz Rakha Us Ne Mujh Se

Bughz Rakha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakha Us Ne Allah Se Bughz Rakha.”

Is Hadith Ko Imam Daylami, Muttaqui Hindi, Ibn Asaskir Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/429, Raqam-1751, Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45 : 181, 182, Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal,

11/611, Raqam-32958, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, 109, ال ي رواه : وق بران ط ن، ال نادي س إ ب

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/229, Raqam-257.]

Fasl-05 :Hubb-E-Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hubb-E-Mustafa SallAllahu

Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Bughz-E-Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-

Karim Bughz-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hone Ka Bayan

50/258

“Hazrat Zirr (Bin Hubaysh) RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Ne Farmaya :

Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Dane Ko Phaada (Aur Us Se Anaaz Aur Nabaataat Ugaaye) Aur Jis Ne

Jaandaaro‟n Ko Paida Kiya, Huzoor Nabi-E-Ummi SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Mujh

Se Ahd Hai Ki Mujh Se Sirf Momin Hee Muhabbat Karega Aur Sirf Munaaifq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa‟i Aur Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 01/86, Raqam-78, Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/367, Raqam-6924, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/47, Raqam-8153, Ibn Abi

Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/365, Raqam-32064, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/250, Raqam-291, Bazzar Fi Al-Musnad, 02/182, Raqam-560,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1325, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/230, Raqam-258.]

51/259

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Riwaya Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujh Se Ahd Farmaya :

Momin Hee Tujh Se Muhabbat Karega Aur Koi Munaafiq Hee Tujh Se Bughz Rakhega.

Adi Bin Saabit RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Ki Mein Us Zamaane Ke Logo‟n Me Se Hoo‟n Jin

Ke Liye Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Duaa Farmayi Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/643, Raqam-3736, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/231, Raqam-259.]

52/260

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Hum Ansaar Log, Munaafiqin Ko

Un Ke Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ke Saath Bughz Kee Wajah Se Pehchaante They.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

Page 18: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 18 of 27

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqam-3717, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/295, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-

Sahabah,/231, Raqam-260.]

53/261

“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaya Karte They Ki Koi Munafiq Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Se Muhabbat Nahin Kar Sakta Aur Koi Momin Is Se Bughz Nahin Rakh Sakta.”

Ise Imam Tirmidhi Aur Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Yeh Hadith

Hasan Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqam-3717, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/362, Raqam-6931, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/375, Raqam-886,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/231, 232, Raqam-261.]

54/262

“Hazrat Abd-il-Allah Jadali RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Hazrat Umme Salama

RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Unhone Mujhe Farmaya :

Kya Tum Logo‟n Me Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Gaali Dee

Jaati Hai ?

Mein Ne Kaha : Allah Kee Panaah Ya Mein Ne Kaha :

Allah Kee Zaat Paak Hai Ya Isi Tarah Ka Koi Kalma Kaha To Unhone Kaha Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Jo Ali Ko Gaali Deta

Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai.”

Is Hadith Ko Imam Nasa‟i, Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/133, Raqam-8476, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/323, Raqam-26791, Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn,

03/130, Raqam-4615, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/130, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/232, Raqam-262.]

55/263

“Hazrat Ibn Abi Mulaykah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Ahl-E-Shaam Se Aik Shakhs

Aaya Aur Us Ne Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Ke Haa‟n Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Bura Bhala Kaha, Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhuma Ne Us Ko Aisa Kehne Se Mana‟ Kiya Aur Farmaya :

Aye Allah Ke Dushman Too Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko

Taklif Dee Hai.

(Phir Yeh Aayat Padhi: )

“BeShak Woh Log Jo Allah Aur Us Ke Rasool Ko Taklif Dete Hain Allah Tabarak Wa Ta‟ala Duniya Wa

Aakhirat Me Un Par La‟nat Bhejta Hai Aur Allah Ne Un Ke Liye Aik Zillat Aamez Azaab Tayyar Rakha Hai.”

Phir Farmaya :

Agar Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam (Zaahiran Bhi) Hayaat Hote

To Yaqinan (Too Is Baat Ke Zariye) Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aziyyat Ka

Baais Banta.

Is Hadith Ko ImamHakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/121, 122, Raqam-4618, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/232, 233, Raqam-263.]

56/264

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Kee Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Meri (Ya‟ni Ali Kee) Taraf Dekh Kar Farmaya :

Aye Ali ! Too Duniya Wa Aakhirat Me Sardaar Hai.

Tera Mehboob Mera Mehboob Hai Aur Mera Mehboob Allah Ka Mehboob Hai Aur Tera Dushman Mera

Page 19: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 19 of 27

Dushman Hai Aur Mera Dushman Allah Ka Dushman Hai Aur Us Ke Liye Barbaadi Hai Jo Mere Baa‟d

Tumhaare Saath Bughz Rakhe.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/138, Raqam-4640, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/325, Raqam-8325, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-

Sahabah,/233, 234, Raqam-264.]

57/265

“Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-

Karim Ke Liye Farmate Huwe Suna (Aye Ali) Mubarakbad Ho Use Jo Tujh Se Muhabbat Karta Hai Aur Teri

Tasdiq Karta Hai Aur Halaakat Ho Us Ke Liye Jo Tujh Se Bughz Rakhata Hai Aur Tujhe Jhutlaata Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Hai Aur Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-

Isnad Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/145, Raqam-4657, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/178, 179, Raqam-1602, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat,

02/337, Raqam-2157, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/234, Raqam-265.]

58/266

“Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Farmaya :

Tujh Se Muhabbat Karne Waala Mujh Se Muhabbat Karne Waala Hai Aur Tujh Se Bughz Rakhne Waala

Mujh Se Bughz Rakhne Waala Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/239, Raqam-6097, Bazzar Fi Al-Musnad, 06/488, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/316, Raqam-8304,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/234, 235, Raqam-266.]

Fasl-06 :Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Ilmi Maqam Wa Martabe Ka

Bayan

59/267

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mein Hikmat Ka Ghar Hoo‟n Aur Ali Us Ka Darwazah Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmdhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/637, Raqam-3723, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/634, Raqam-1081, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa

Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/64, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/236, Raqam-267.]

60/268

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujhe Yaman Kee Taraf Qaazi Bana Kar Bheja.

Mein Arz Guzaar Huwa :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Aap Mujhe Bhej Rahe Hain Jab Ki Mein Nau Umr Hoo‟n Aur Faisla Karne Ka Bhi Mujhe Ilm Nahin.

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

BeShak Allah Ta‟ala Anqarib Tumhaare Dil Ko Hidayat Ata‟ Kar Dega Aur Tumhaari Zabaan Us Par Qaaim

Kar Dega.

Jab Bhi Fariqayn Tumhaare Saamne Baith Jaaein To Jaldi Se Faisla Na Karna Jab Tak Doosare Kee Baat Na

Page 20: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 20 of 27

Sun Lo Jaise Tum Ne Pehle Kee Suni Thi.

Yeh TariqeKaar Tumhaare Liye Faisle Ko Waazeh Kar Dega.

Aap Bayaan Karte Hain Ki Us Duaa Ke Baa‟d Mein Kabhi Bhi Faisla Karne Me Shak Me Nahin Pada.”

Is Hadith Ko Imam Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/301, Raqam-3582, Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/774, Raqam-2310, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/116, Raqam-8417,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/83, Raqam-636, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 10/86, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/236, 237, Raqam-

268.]

61/269

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mein Ilm Ka Shahr Hoo‟n Aur Ali Us Ka Darwaazah Hai.

Lihaaza Jo Us Shahr Me Daakhil Hona Chaahta Hai Use Chaahiye Ki Woh Us Darwaaze Se Aaye.”

I Is Hadith Ko Imam Hakimm Ne Riwayat Kiya Hai Aur Farmaya Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/137, Raqam-4637, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/44, Raqam-106,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/237, Raqam-269.]

62/270

“Hazrat Aboo Is‟haaq RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Abd-ul-Allah RadiyAllahu

Ta‟ala „Anhu Farmaya Karte They

Ahl-E-Madinah Me Se Sab Se Achchha Faisla Farmane Waala Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/145, Raqam-4656, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/338, Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 08/167,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/237, 238, Raqam-270.]

63/271

“Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Farmaya :

Mein Qur‟an Kee Har Aayat Ke Baare Me Jaanta Hoo‟n Ki Woh Kis Ke Baare, Kis Jagah Par Naazil Huwi

BeShak Mere Rab Ne Mujhe Bahut Ziyadahh Samajh Waala Dil Aur Faseeh Zabaan Ata Farmayi Hai.”

Ise Imam Aboo Nu‟aym Aur Ibn Abi Sa‟d Ne Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/68, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/338,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/238, Raqam-271.]

Fasl-07 :Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Jami’ Sifaat Aur Manaqib

Ka Bayan

64/272

“Hazrat Aboo Haazim Hazrat Sahl Bin Sa‟d RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Aboo Turaab Se Badh Kar Koi Naam Mehboob Na Tha, Jab

Unhein Aboo Turaab Ke Naam Se Bulaaya Jaata To Woh Khush Hote They.

Raawi Ne Un Se Kaha :

Hamein Woh Waaqia Sunaaye Ki Aap KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ka Naam Aboo Turaab Kaise

Rakha Gaya :

Unhone Farmaya : Aik Din Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat

Fatimah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ke Ghar Tashrif Laaye To Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-

Karim Ghar Me Nahin They, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Page 21: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 21 of 27

Tumhaara Chachaazaad Kaha‟n Hai ?

Arz Kiya : Mere Aur Un Ke Darmiyan Kuchh Baat Ho Gayi Jis Par Woh Khafa Ho Kar Baahar Chale Gaye

Aur Ghar Par Qayloola Bhi Nahin Kiya.

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kisi Shakhs Se Farmaya :

Jaao Talaash Karo Woh Kaha‟n Hai ?

Us Shakhs Ne Aa Kar Khabar Dee Ki Woh Masjid Me So Rahe Hain.

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Ke Paas Tashrif Le Gaye, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Dekha

Ki Woh Lete Huwe Hain Jab Ki Un Kee Chaadar Un Ke Pehloo Se Neeche Geer Gayi Thi Aur Un Ke Jism

Par Mitti Lag Gayi Thi, Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Apne

Haath Mubarak Se Woh Mitti Jhaadte Jaate Aur Farmate Jaate :

Aye Aboo Turaab ! Utho, Aye Aboo Turaab Utho.”

Yeh Hadith Muttafaque Alay Hai Aur Mazkoorah Alfaaz Imam Muslim Ke Hain.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 01/169, Raqam-430, Bukhari Fi As-Sahih, 05/2316, Raqam-5924, Muslim Fi As-Sahih, 04/1874, Raqam-2409, Hakim Fi Al-

Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 01/211, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/442, Raqam-4137, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/239, 240, Raqam-272.]

65/273

“Hazrat Salamah Bin Akwa‟ RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala

Waj‟hah-ul-Karim Aashoob-E-Chashm Kee Takleef Ke Baa‟is Ma‟raqa-E-Khaybar Ke Liye (Ba-Waqt-E-

Rawaangi) Mustafwi Lashkar Me Shaamil Na Ho Sake.

Pas Unhone Socha Ki Mein Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se

Peechhe Reh GayaHoo‟n, Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Nikle Aur Huzoor Nabiyy-

E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Jaa Mile.

Jab Woh Shab Aayi Jis Kee Subah Ko Allah Ta‟ala Ne Fateh Ata Farmayi To Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Kal Mein Alam (Jhanda) Aise Shakhs Ko Dunga Ya Kal Alam Woh Shakhs Pakdega Jis Se Allah Aur Us Ka

Rasool Muhabbat Karte Hain Ya Farmaya Ki Jo Allah Ta‟ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Se Muhabbat Karta Hai, Allah Ta‟ala Us Ke Haatho‟n Khaybar Kee Fateh Se Nawaazega.

Phir Achaanak Hum Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Dekha, Hala‟n Ki Hamein Un

Ke Aane Kee Tawaqqu‟ Na Thi.

Pas Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Alam Unhein Ata Farmaya

Aur Allah Ta‟ala Ne Un Ke Haatho‟n Fateh Nasib Farmayi.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1357, Raqam-3499, Bukhari Fi As-Sahih, 04/1542, Raqam-3972, Bukhari Fi As-Sahih, 03/1086, Raqam-2812, Muslim Fi As-

Sahih, 04/1872, Raqam-2407, Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqam-12837, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/240, 241, Raqam-273.]

66/274

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ke

Darwaaze Ke Siwa Masjid Me Khulne Waale Tamam Darwraaze Band Karne Ka Hukm Diya.”

Is Hadith Ko Imam Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/641, Raqam-3732, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/115, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-

Sahabah,/241, Raqam-274.]

67/275

“Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala

Page 22: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 22 of 27

„Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ne Masjid Ke Tamam Darwaaze Band Kar Diye Siwaaye Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-

Karim Ke Darwaaze Ke Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Ali Haalat-E-Janaabat Me Bhi Masjid Me Daakhil Ho Sakta Hai.

Kyun Ki Yahi Us Ka Raasta Hai Aur Us Ke Alaawah Us Ke Ghar Ka Koi Aur Raasta Nahin Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Raqam-3062, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/241, 242, Raqam-275.]

68/276

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Zamaane Me Kaha Karte They Ki Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tamam Logo‟n Se Afzal Hain Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ke Baa‟d Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Aur Phir Hazrat Umar

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Aur Yeh Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko Teen-03

Khasklatein Ata Kee Gayi Hain.

Un Me Se Agar Aik Bhi Mujhe Mil Jaati To Yeh Mujhe Surkh Qimti Oonton Ke Milne Se Ziyadahh Mahboob

Hai.

(Aur Woh Teen-03 Khaslatein Yeh Hain) Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Ne Un Ka Nikaah Apni Saahabzaadi Se Kiya Jis Se Un Kee Aulaad Huwi Aur Doosari Yeh Ki

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Masjid-E-Nabawi Kee Taraf

Khulne Waale Tamam Darwaaze Band Karwa Diye Magar Un Ka Darwaaza Masjid Me Raha Aur Teesari

Yeh Ki Un Ko Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Khaybar Ke Din

Alam Ata Farmaya.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/26, Raqam-4797, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/567, Raqam-955, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id

Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/120, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/242, 243, Raqam-276.]

69/277

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Sab‟a Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne

Aik Din Hamein Khutba Diya Aur Farmaya :

Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Daane Ko Phaada Aur Makhlooqaat Ko Zindagi Ata Farmaayi Yeh Daadhi Zaroor

BilZaroor Khoon Se Khizaab Kee Jaaegi (Ya‟ni Meri Daadhi Mere Sar Ke Khoon Se Surkh Ho Jaaegi) Raawi

Bayaan Karte Hain Ki Logo‟n Ke Kaha :

Pas Aap Hamein Bata De‟n Woh Koun Hai ?

Hum Us Kee Nasl Meeta Denge.

Aap KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Farmaya :

Mein Tumhein Allah Kee Qasam Deta Hoo‟n Ki Mere Qaatil Ke Ilaawah Kisi Ko Qatal Na Kiya Jaaye.

Logo‟n Ne Kaha Agar Aap Yeh Jaante Hain To Kisi Ko Khalifah Muqarrar Kar De‟n, Aap Ne Farmaya :

Nahin Lekin Mein Tumhein Woh Chiz Sonpta Hoo‟n Jo Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Tumhein Sonpi (Ya‟ni Baa-Hum Mushaawarat Se Khalifah Muqarrar Karu).”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/156, Raqam-1340, Bazzar Fi Al-Musnad, 03/92, Raqam-871, Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/213, Raqam-

595, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/243, Raqam-277.]

70/278

“Hazrat Abd-il-Allah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

Page 23: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 23 of 27

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Farmaya

: Kya Too Raazi Nahin Ki Mein Ne Tera Nikaah Ummat Me Sab Se Pehle Islam Laane Waale, Sab Se

Ziyadahh Ilm Waale Aur Sab Se Ziyadahh Burd Baar Shakhs Se Kiya Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/26, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/229, Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, Raqam-32924, 32925,

Suyooti Fi Jam’-ul-Jawami’, Raqam-4273, 4274, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/244, Raqam-278.]

71/279

“Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Paas Sardaar-E-Arab Ko Bulaao.

Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala Alayka Wa Sallam !

Kya Aap Arab Ke Sardaar Nahin ?

Farmaya : Mein Tamam Aulaad-E-Aadam Ka Sardaar Hoo‟n Aur Ali Arab Ke Sardaar Hain.”

Is Hadith Ko Imam Haakim Aur Aboo Nu‟aym Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/134, Raqam-4626, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/63, Haythami Fi Majma’-uz-

Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/244, Raqam-279.]

72/280

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Ali Ke Chehre Ko Takna Ibaadat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/152, Raqam-4682, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/76, Raqam-10006, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws,

04/294, Raqam-6865, An Muaz Bin Jabal Wa Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/58, ال ثمي، ق ي ه قه أل ن وث بان اب ال و ح يم ق ق ت س م

ث حدي [.Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/244, 245, Raqam-280 . ال

73/281

“Hazrat Hubayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Imam Husain Bin Ali RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhuma Ne Hamein Khutba Diya Aur Farmaya :

Guzishtah Kal Tum Se Woh Hasti Juda Ho Gayi Hai Jin Se Na To Guzishtah Log Ilm Me Sabqat Le Sake Aur

Na Hee Baa‟d Me Aane Waale Un Ke Martaba-E-Ilmi Ko Paa Sakenge, Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Un Ko Apna Alam De Kar Bhejte They Aur Jibra‟il „Alayh-is-Salam

Aap Kee Daaein Taraf Aur Mika‟il „Alayh-is-Salam Aap Kee Baaein Taraf Hote They Aur Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Fateh Hone Tak Woh Aap Ke Saath Rehte They.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/199, Raqam-1719, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/336, Raqam-2155,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/245, Raqam-281.]

74/282

“Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko

Aboo Turaab (Mitti Ka Baap) Kee Kuniyat Se Nawaaza.

Pas Yeh Kunniyat Unhein Sab Kuniyaton Se Ziyadahh Mahboob Thi.”

Is Hadith Ko Imam Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Bazzar Fi Al-Musnad, 04/248, Raqam-1417, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/101, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-

Sahabah,/245, 246, Raqam-282.]

Page 24: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 24 of 27

75/283

“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Bayan Fatmati Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Ki Ali Aur Qur‟an Ka Choli

Daaman Ka Saath Hai.

Yeh Dono‟n Kabhi Bhi Juda Nahin Honge Yaha‟n Tak Ki Mere Paas Hawz-E-Kawsar Par (Ikatthey)

Aaeinge.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/135, Raqam-4880, Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/255, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-

Fawa’id, 09/134, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/246, Raqam-283.]

76/284

“Hazrat Jaabir Bin Abd-il-Allah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Mein Ne

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :

Log Juda-Juda Nasab Se Ta‟lluq Rakhte Hain Jab Ki Mein Aur Ali Aik Hee Nasab Se Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/263, Raqam-1651, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/303, Raqam-6888, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa

Manba’-ul-Fawa’id, 09/100, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/246, Raqam-284.]

77/285

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Sabqat Le Jaane Waale Teen-03 Hain.

Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Kee Taraf (Un Par Imaan Laa Kar) Sabqat Le Jaane Waale Hazrat Yoosha‟a

Bin Noon Hain, Hazrat Isaa „Alayh-is-Salam Kee Taraf Sabqat Le Jaane Waale Saahib Yaasin Hain Aur

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Taraf Sabqat Le Jaane Waale

Ali Bin Abi Talib Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/93, Raqam-11152, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/287, Raqam-285.]

78/286

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta‟ala „Anha

Se Farmaya :

Yeh Ali Bin Abi Talib Hai Is Ka Gosht Mera Gosht Hai Aur Is Ka Khoon Mera Khoon Hai Aur Yeh Mere

Liye Aise Hai Jaise Hazrat Moosa „Alayh-is-Salam Ke Liye Hazrat Haroon „Alayh-is-Salam Magar Yeh Ki

Mere Baa‟d Koi Nabi Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Bayan Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/18, Raqam-12341, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/111,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/247, Raqam-286.]

79/287

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Akim RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Allah Ta‟ala Ne Shab-E-Me‟araj Wahiy Ke

Zariye Mujhe Ali Kee Teen-03 Sifaat Kee Khabar Dee Yeh Ki Woh Tamam Momin Ke Sardaar Hain,

Muttaqin Ke Imam Hain Aur (Qayamat Ke Roz) Noorani Chehre Waalo‟n Ke Qaa‟id Honge.”

Page 25: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 25 of 27

Is Hadith Ko ImamTabarani Ne Bayan Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/88, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/248, Raqam-287.]

80/288

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Yeh

Aayat :

نإ﴿ الحات وعملوا آمنوا الذين حمن سيجعل الص ودا﴾ لهمالر

Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Kee Shaan Me Utari Hai Aur Farmaya :

Is Se Muraad Momineen Ke Dilo‟n Me (Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim) Kee Muhabbat

Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqam-5514, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/125,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/248, Raqam-288.]

81/289

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaya :

Allah Ta‟ala Ne Mujhe Hukm Diya Hai Ki Mein Fatimah Nikah Ali Se Karu‟n.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/204, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir

Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/215, Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/174, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/248, 249, Raqam-289.]

82/290

“Hazrat Aboo Tufayl RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tashrif Laaye To Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim

Mitti Par So Rahe They.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Too Sab Momin Me Se Aboo Turaab (Mitti Ka Baap) Ka Ziyadahh Haque Daar Hai Too Aboo Turaab Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/237, Raqam-775, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/101,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/249, Raqam-290.]

83/291

“Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Ghazwa-E-Khaybar Ke Roz Hazrat Ali

KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ne Qil‟a-E-Khaybar Ka Darwaazah Utha Liya Yaha‟n Tak Ki

Musalman Qil‟a Par Chadh Gaye Aur Use Fateh Kar Liya Aur Yeh Aazmoodah Baat Hai Ki Us Darwaazeh

Ko Chaalis-40 Aadami Mil Kar Uthaate They.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/374, Raqam-32139, Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 07/478, Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/438, Raqam-1168,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/137, Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah, 04/306,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/249, Raqam-291.]

84/292

“Hazrat Taliq Bin Muhamaad RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Me Hazrat Imran Bin

Husain RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ko Dekha Ki Woh Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ko

Tik-Tiki Baandh Kar Dekh Rahe They.

Kisi Ne Un Se Puchha Ki Aap Aisa Kyun Kar Rahe Hain ?

Page 26: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 26 of 27

Unhone Jawaab Diya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Kee Taraf Dekhna Bhi

Ibaadat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/109, Raqam-207, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/109,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/250, Raqam-292.]

85/293

“Hazrat Aamir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Byan Karte Hain Ki Hazrat Ali Bin Abi Talib Aur Fadl Bin Abbas

Aur Asaamah Bin Zayd RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ghusl Diya Jab Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Ghusl De Rahe They To Kehte They :

Ya RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam!

Mere Maa-Baap Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Qurbaan Ho‟n !

Aap Wisaal Farma Kar Aur Zindah Reh Kar Dono‟n Haalato‟n Me Paakizah They.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Sa‟d Ne Bayan Kiya Hai.

– [Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/277, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/250, Raqam-293.]

86/294

“Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Hazrat Ali Ka Zikr Bhi Ibaadat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Daylamin Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/244, Raqam-1351, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/251, Raqam-294.]

87/295

“Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Apne Waalid Hazrat Aboo Bakr

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ko Dekha Ki Woh Kasrat Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim

Ke Chehre Ko Dekha Karte.

Pas Mein Ne Aap Se Puchha : Aye Abba Jaan !

Kya Wajah Hai Ki Aap Kasrat Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Ke Chehre Kee Taraf

Takte Rehte Hain ?

Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Jawab Diya : Aye Meri Beti !

Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmate Huwe Suna Hai

Ki Ali Ke Chehre Ko Takna Bhi Ibaadat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Asakir Ne Bayan Kiya Hai.

– [Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 42/355, Zamakhshari Fi Al-Mukhtasaru Min Kitab-il-Muwafaqati Bayna Ahl-ul-Bayti Wa’s-Sahabah, : 14,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/251, Raqam-295.]

88/296

“Hazrat Anas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Masjid Me Tashrif Farma They Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-

ul-Karim Se Farmaya :

Yeh Jibra‟il Amin „Alayh-is-Salam Hain Jo Mujhe Khabar De Rahe Hain Ki Allah Ta‟ala Ne Fatimah Se

Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai.

Page 27: Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj ... filePage 1 of 27 Baab-05 : Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Manaqib Fasl-01 : Hazrat

Page 27 of 27

Aur Tumhaare Nikaah Par (Malaa-E-Aa‟la) Me Chaalis Hazaar-40.000 Firishto‟n Ko Gawaah Ke Taur Par

Majlise Nikaah Me Sharik Kiya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya :

Un Par Moti Aur Yaqoot Nichhaawar Karo, Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyo‟n Aur

Yaaqootin Se Thaal Bharne Lagi‟n.

Jinhein (Taqrib-E-Nikaah Me Shirkat Karne Waale) Firishte Qayamat Tak Aik Doosre Ko BaTaure Taha‟if

Dete Rahenge.”

Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/146, Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, :

72, 73, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/251, 252, Raqam-296.]