112 sawaal 0 jawaab 01082010

21
http://www.tangali.net Publicatie 112 Sawaal-o-Jawaab 01-08-2010 met

Upload: prof-mohamed-juzoef-tangali-phd

Post on 21-Jul-2016

295 views

Category:

Documents


16 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

http://www.tangali.net

Publicatie 112

Sawaal-o-Jawaab 01-08-2010 met

Page 2: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

1

Sawaal-0-Jawaab metTaajush Shari'ah Mufti Muhammad

Akhtar Rida Khan al-Qadri

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi Ta'ala wa Barakaatuhu

Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho

agar tumhain Ilm nahin

1st August 2010 [ Jeddah - Hijaz alMuqaddas ]

Urdu | Roman | English

Page 3: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

2

Question 1: Hazrat e Hawwa Radi ALLAHU Ta’alaa Anha ka Ism eGiraami kis nay rakha kya khud Adam Alaihis Salato wat Tasleemnay ya ALLAH Tabarak wa Ta’ala ki taraf say Ilqaa hua?

Answer: Iss silsilay main sar e dast mujhay kuch yaad nahi hayInshaALLAH kitab ki maraaji’at ki agar fursat hui aglay session mainiss ka jawab hosakay ga !!!

Download

Question 2: Agar kisi kaafir ko islam ki taraf raaghib karna hay aurussay QURA’N ki taleem aur QURA’N sikhanay kay liay QURA’Npaak daina paray to kya dia jaa sakta hay ???

Answer: QURA’N e paak dainay ki soorat jo farz ki gaee hay wo merisamajh say bala tarr hay QURA’N e kareem ko aur uss k mataleeb aurmafaheem ko tarjamay kay zariyay say samajh laina yai awam toawam dars e nizami main achi dastaras rakhnay walay talabaa aurulamaa  ka  b  kaam  nahi  hay  aur  uss  k  liay  mustanad  aa’imma  etafaseer ki taraf ruju’  laazim hay phir yai tarajim aaj kal availablehain urdu zaban main siwayai kanzul eemaan jo huzur e a’alaa hazratazeem ul barkat maulana shah ahmad raza khan qadri barakaatirehmatullahi ta’alaa alaih ka tarjuma hay uss k ilawa kisi tarjumay parbharosa nahi balkay main youN kahoon bohat kay bhut saaray tarajimmain aisi baatain jo ALLAH aur Rasool k liay naa zaiba hainunn k laa’eq nahi unn k shaayaaN nahi unn tarajim main yai baatainmaujood haiN kanzul eemaan hi wo tarjuma hay jis main mazhab esalaf jo aayaat e mutshabihaat main jo salaf ka mash’hoor mazhabhay uss ki ria’yat b ki hay aur aqeeda e ahlesunnat ki hifazat b ki hayaur ALLAh aur RASOOL ka adab kamal darjay byan kia hay yaani jisqadar mumkin hay unn ka adab malhooz rakha hay to tarjumoN ka toyai haal hay aur angraizi kay tarjumay to main nay kuch jabb mujhayenglish say kuch touch hua aaj say taqreeban 20 baras pehlay southafrica say jabb main wapis aayaa to main nay baaz tarajimangraizi k daikhay us ka bhi yeh haal hay k wo QURA’N kareem kmafaheem aur matalib ko sahi taur par ada karnay say qaasir hain aurunn ka b wohi haal jo doosroN(urdu) k tarjumoN ka haal hay k bohatjagah par ALLAH aur RASOOL ka adab malhooz nahi rakhagya aur QURA’N ka sahi taur par tajuma na ho saka aur tarjuma kibina par main yai kaisay keh dooN k uss ki base par musalman bkama haqqu hu QURA’N e kareem k matalib o mafahim samajhnaysay qaasir hain to aik kafir ko kis taur par yai tarjumay convince karsaktay hain reh gya baghair tarjumay k madan e QURA’N e kareem to

Page 4: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

3

wo arabi main hay ghair e arabi uss ko kaisay samjhay ga aur agar koiarabi daan haay ya arabi bolnay wala hay to uss k liay b jabb takk kmustanad tafaseer na hoN to QURA’N e kareem ka samajhna  isszamanay main balkay sahaba e kiram ridwan ullah e tabaraka wata’ala alaihim ajma’een k zamana e barkat fishan k baad yai kisi k liaymumkin na thaa aaj to zamana e hilaak hay kisi k liay mumkin nahihay to kon si soorat hay k kaafir ko QURA’N e kareem dia jayai uss koyai  soorat  to  meray  zehen  main  nahi  aati  hay  albatta  QURA’N  ekareem ki taleemat pehlay khoob unn ta’leemaat ko samajh kar auruss ki performance par aur uss ki adaaegi par qudrat rakhnay k baadwo taaleemaat kaafir ko sunaayi jayaiN taa k unn taaleemaat say womuta’sir ho aur ISLAM laayai yai soorat meray nazdeek mutta’yyinhay aur wo soorat jo saael nay poochi hay wo banti hi n ahi haylehaaza iss silsilay main mera jawab yehi hay k kafir ko QURA’N ekareem iss soorat main daina jaiz nahi hay .

Download

Question 3: Sarkar e Kareem Alaihis Salatu wat Tasleem ka saya emubarak nahi hay iss ka hawala ataa farma dijiay.

Answer: A’alaa Hazrat Azeem ul Barakat Radi Allahu Tabaraka waTa’alaa Anhu nay

1.2.3.

Inn  teen  risalon  main  iss  ki  tehqeeq  farmayi  hay  aur  muta’didhadeesoN say iss ko sabit kia hay k huzoor sarwar e alam ka saya emubarak chand ki roshni main aur sooraj ki dhoop main nazar nahiaataa thaa aur naseem-u-riyaad may allama shahab ud din khafajinay aur baaz tafaseer main aur shifa main khud sahib e qazi riyaz nayis ki Tashreeh farmae hay aur Naseem ur Riyaaz main mujhay yaishaer yaad aatay hain jo kisi nay kahay aur khoob kahay

[Naseem ar-Riyadh, Vol 3, Page 282]

Page 5: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

4

Matlab yai k huzoor e Sarwar e Alam SallAllaho Tabaraka wa Ta’alaAlaihi wa Sallamaa ka saya e Mubarak chandni may aur dhoop mainjaisa k ulama nay bataya na daikha gya iss par ta’jjub hay aur sarkarki zaat e mubaraka uss main to bohat saaray mo’jizat hain. Aur bhutsaari ta’jjub ki baatain hain aur ta’jjub youn hay kay huzoor ka sayatu nahi hay laikin saya-e-karam kay neechay sari dunya pal rahi hay.

Download

Question 4: Angraizi main sms kartay waqt bismillah shareef yaquran ki aayat angraizi main likhi jati hay kya yai jaaez hay aurbaishtar waqt ya sms delete kar diay jatay hain iss ka kya hukm hay?

Answer: BISMILLAH b QURAN E KAREEM k aik aayat hay jo ayat emustaqilla hay aur kisi soorat k wo taabe’ nahi hay aur uss k ilawa joaayaat hain unn main yai hukm hay k QURAN e kareem ki kitabatmain ghair e arabi zaban main QURAN KREEM likhnay ki ijazat nahihay aur khud arabi zaban main yai ijazat nahi hay jis taur par chahoQURAN E KAREEM ki aayat likh lo balkay rasm e USMANI hazratusman radi allahu tabaraka wa ta’ala anhu nay jis rasm ul khat parQURAN E KAREEM ki kitabat karwaaee uss k zamanay main jis rasmul khat par likh gya aur mukhtalif shehroN maiN aur mukhtalif bilaadmain koi QURAN E KAREEM mushtahir hua aur aaj tak wohichala aa raha hay uss ka itteba’ jo hay musannifeen jo fan e QIRATmain tasbeeb famatay hain wo yai tashrih farmatay hain k iss kaitteba’ wajib hay aur iss ki mukhalifat jaaez nahi hay lehaza angraizimain QURA’N e kareem likhnay maiN do kharabi hain aik to itteba’ emushafe rasm e usmani wo ho hi nahi sakta aur ghair e arabi mainQURA’N Kareem likhna wo b jaaez nahi hay aur is ki ijazat nahi.

Download

Question 5: Agar munh say khoon niklay to kya wuzu toot jayai gakya colour daikha jayai ga ya uss ka taste?

Answer: Agar munh say khoon munh k andar jari hua aur wo lu’ab edahan ko thooknay main wo nikla aur lu’ab e dahan uss khoon sayrangeen ho gya to iss soorat main khoon ka nikalna munh k baahiraisay mauzay ki taraf paya gya jis ki tatheer wajib hay jabb nijasatjism say beh kar k bahair aa jayai aur aisay azw par aayai ya gir jayaiaur itni nijasat ho k agar koi maane’ na hota to uss azw par behti to

Page 6: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

5

iss soorat main wuzu wo TooT jata hay aisay hi agar yai taste kisoorat main agar thook ka rang nahi badla aur thook ka rangmutaghayyar nahi hua na peela paRa na laal hua balkay apnay hirang par raha kuch maza aa gya to iss soorat main wuzu TooTna nachahiyai ehtiyaat phir b yehi hay k wuzu kar lay.

Download

Question 6: Kya naakhun kaaTnay say aur baghlon k neechay baalsaaf karnay say wuzu TooT jata hay ?

Answer: Nahi na nakhun kaaTnay say wuzu TooTta hay na under armbaghlon k baal waghaira kaaTnay say wuzu TooTta hay.

Download

Question 7: Kya Ciggeratte peena aur huqqa peena haraam hay?

Answer: Ciggeratte aur huqqay ko haraam kehna yai ahle sunnat waljamat k tareeqay say jo log baygana haiN aur baat baat par ahlesunnat wal jamat ko bidda’ti aur mushrik qarar daitay hain yai unn ktareeqa hay aur unn main b bohat baRay muttkasshif aur bohat baRayhard liners hain sakht hain yai unn ka tareeqa hay aaj mushahida yaihay k wo log bhi ciggerette waghaira peetay rehtay hain aur sheeshayka khoob riwaj hay aur kuch afghanistan k logon ka yai qaul hay wohuqqay ko naa jaaez aur haraam mutlaqan kehtay hain wo huqqamamooli jis ko peenay say nashaa naa aayai aur na aqal zaael ho auraisay hi cigerrette wo haraam nahi hay albatta cigerrette noshi sehet kliay muzir hay aur uss ki kasrat achi nahi hay lehaza advice yehi haykay log cigerret noshi say jahan tak ho parhaiz karain aur iss main aikkharabi to yai zaroor hay k cigerret noshi say haath aur munh aurkasrat say agar pia jayai to bad boo daar aur kharab zaroor hotay hainaur logon k hathoN par daikha gya hay kay jalay ka daagh sa ho jatahay agar jo log cigerret noshi k aadi haiN unn ko uss soorat main jabbk wo durud shareef paRhtay hoN ya zikr kartay hoN unn ko naseehathay k wo munh ki badbu zaael karain aur yai hi hukm koi b badboodaar cheez khanay k taur par ya khanay ki soorat main hay lehsanpyaaz ya koi aur cheez agar khaayi kachi tu munh ki badbu zaaelkarain aur phir zikr main mashghool aur munh main agar badboo hayto uss soorat main namaz paRhna aur masjidki haziri yai mana’ hay hukm hay k badboo zaael kar k namaz main

Page 7: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

6

masroof ho aur masjid main jayai Huzoor nay yeh farmaya

"jo iss pair par say yaani lehson waghaira badboo daar pair say agarwo khayai to hamari masjid k qareeb na jabb takk uss k munh mainbadboo hay". [Sahih Muslim, Kitab al Masajid, Vol 1, Page 209]

Download

Question 8: Aurat naqli zewar pehen kar namaz paRhay to kya namazho jayai gi ?

Answer: Namaz to ho jayai gi yai jo mashhoor hay logon main k chainki ghaRi baandh kar kay namaz parhay ga to namaz nahi ho gi namazho jayai albatta chain mardon k liay mutlaqan haram hay sonay aurchandi ki ho to aurat ko jaaez hay aur agar immitation kisi fashion kiimmitation jewlery ho ya chain ho wo aurat ko b naa jaaez o haramhay aur uss ka pehn’na gunah hay aur jo namaz yai zewar pehan karpRhi jayai gi wo makrooh tehreemi wajib ul a’yada ho gi younhi jomard chain pehen kar kay namaz paRhain gae unn ki namazmakriooh tehreemi wajib ul a’yada ho gi balkay jo uss chain pehn’nayk aadi hain aur issi tarah jo auratain immitation jewlery aurornaments  pehenti  hain  aadatan  jabb  takk  uss  ko  pehen’na  nachaoRain aur tauba e sareeha na karain namaz ka wohi hukm hay jobataya gya.

Download

Question 9: Kuch bazurg hazraat masjid main kursi par baiTh karnamaz paRhtay hain jab k wo chal saktay hain magar zyada dairkhaRay nahi reh saktay to kya wo baith kar namaz paRh saktay hain?

Answer: Chal kar agar khaRay honay par qaadir hay to uss par farzhay kay khaRay ho kar wo takbeer e tehreema kahay aur jabb takkhaRa reh sakta hay wo khaRa rahay phir uss ko baiThnay ki ijazathay jis taur par aasaani say wo zameen par baith sakta hay baith kar kwo namaz paRhay kursi par baiThna yai sakht mahall e nazar haykursi ka istemal iss gharaz k liay naa jaaez hay aur yai chand wajoohsay hay aik to yai jamat ki jagah ghairna hay aur jamat ki jagah iss taurpar ghairna jiss par taqreez e jamat hay yai na jaaez hay aur phiris may qat e’ saff b hay yaani aik to kursi hay jo saff ko munqate’ karti

Page 8: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

7

hay phir uss par jo saahib namaz paRh rahay hain wo agarcheappearantly obviously wo namazi hain laikin wo actually haqeeqatannamazi nahi hain unn ki namaz namaz nahi hain iss liay k jabb wochal saktay hain ab kursi par baith kar k namaz parh rahay hain aik toaik tu qayaam choRa youn namaz gaee aur agar qayam kar b lia aurkursi par baiTh kar k ab sajda kia isharay say to zameen par paishanirakh k sajda kar sakta hay uss ka isharay say sajda karna sahi nahi inndono sooraton may kursi par baiThnay walon ki namaz nahi hotikursi ka istemaal sakht mahall e nazar hay ALLAH tabarakawa ta’alaa logon ko taufeeq day k wo pani ibadaton ko raaeygaaN nakarain aur ibadaton k ahkaam jaanaiN aur sahi taur par ALLAhtabarak o ta’alaa ki ibadat ada karaiN.

Download

Question 10: Sajday main pair ki ungli ka pait zameen par na lagay tokya namaz ho jayai gi ?

Answer: Aik ungli ka pait lagna farz hay agar aik ungli ka bhi pait b nalaga to namaz na ho gi aur aksar ka lagna yeh wajib hay aur kull kalagna yai sunnat e moa’kkidah hay aur yai hukm mardon k sajday kahaqq hay auraton k liay yai hukm nahi hay!

Download

Question 11: A salafi told me that the hadees on the jihad of the nafsbeing jihad e akbar is fabricated, is it so ?

Answer: You must ask that salafi to establish his claim and you mustdemand him to prove his statement. His statement is quite baselessand this hadees is authentic while our prophet Sallallaho Ta’alaaAlaihi wa Sallam was returning from a Ghazwa. I m not sure at themoment that it was ghazwa e Badr or any other Ghazwa. He said,

"we are back now to the Jihad e Akber from Jihad e Asghar" [Kashf alKhifa, Vol 2, Page 345, Hadith 1362]

so it is jihad we have returned back to Great jihad!!!

Page 9: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

8

Download

Question 12: Who are Salafies Today and what are there Beliefs?

Answer: They are well known and at this time, it is not advisable toelaborate this answer. They are well known and there beliefs are wellknown.

Download

Question 13: Bahar e Shariat hissa soym main hay k aik soorat mainimam ko niyyat e imam bil ittefaq zaroori hay k muqtadi aurat ho aurwo kisi mard k mahazi khaRi ho jayai aur wo namaz e janaza na ho toiss soorat main agar imam nay imamat e zanana ki niyyat na ki to ussaurat ki namaz na hui, iss main mahazi say kya murad hay?

Answer: Mahazi say murad uss k baraabar mard k baraabar kandhaysay kandha mila kar agar aurat khaRi ho gaee to uss soorat main wojis k mahazaat main khaRi hay uss ki namaz uss k saamnay walay kinamaz aur uss k peechay walay ki namaz fasid ho jayai gi ba shart yaikay wo jo mahazaat ki shartaiN hain wo sabb bahar e shariat mainsaael daikh kar maloom karay agar wo saari shartain payi gaeen touss soorat main namaz fasid ho gi unn main say aik yai hay k wonamaz salaat e mustaqaa rukoo’ o sajood wali namaz ho aur doosrishart  yai  hay  k  tehreema  ada’n  aur  baqa’n  wo  aurat  salat  emushtaraka jo namaz mushtarak hay imam k darmyan aur uss kdarmyan uss namaz main takbeer e tehreema keh k shamil ho phiraik shart yai hay k wo aurat mushta’hat ho baligha ho mushta’hat hoagar baaligha nahi yaa saghira hay laikin mushta’hat nahi uss sooratmain namaz fasid nahi ho gi !!!

Download

Question 14: Mein Sunni hun aur professional Cricketer hun. Iss khelmein Sitr ki bhi Hifazat rehti hay aur mein Namaz ki bhi Pabandikarta hun aur yahi meri Income ka Zaira hay. Kia mein isay continuekar sakta hun?

Answer: Agar namaz ki hifazat kertay hain aur bay satri nahi hoti aurnamazoon ki qaza ka andesha nahi hay aur waqt per namazain hojati

Page 10: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

9

hain tu is sorat may ijazat hona chahiyay albatta aap ko yeh hidayathay kay Lahw-o-La'ab ki is sorat say bhi bachain aur Allah rozi rasahay koi sanjeeda acha paisha talab-e-rozi kay liyay ikhtiyaar karain.

Download

Question 15: Main bohat hi frequently travel karta hooN maintasaaweer ko jaaez nahi janta aur na hi aam taur par banwata hooNlaikin travelling ki wajah say mujhay tasweer banwana parti hay kyaiss soorat main mein mazoor hoon?

Answer: Yai travelling par depend karta hay agar travelling kizaroorat zaroorat e shar’iyya hay ya hajat e shar’iyya hay iss ki binapar tasaweer k liay qanoon majboor karta hay to uss soorat main woshakhs mazoor hay aur agar safar k baghair wo zaroorat us ki pooriho sakti hay ya hajat poori ho sakti hay uss soorat main ijazat nahi.

Download

Question 16: Khatm e qadirya main jab hamm tufail e hazrat edastgeer paRhtay hain to kuch log zameen par haath maartay hainkya aisa karna hamary bazurgon say saabit hay aur aisa karnay saykya maqsad hota hay ya kya niyyat honi chahiyai?

Answer: Iss silsilay main mujhay kuch mustehzar nahi hay ho saktahay kay yeh maamoolaat main koi amal ho aur baharhaal iss saymumane’at  ki  koi  wajah  b  samajh  main  nahi  aati  hay  agar  yaibazurgon k maamoolaat main hay to bazurgon ka amal jis say zahiritaur par shara’an koi mumane’at nahi wo laaeq e ittebaa’ hay.

Download

Question 17: Kya hanafi laRka ya laRki shafa’ee laRkay ya laRki sayshadi kar saktay hain aur shadi k baad kya unn ko apna mazhabbadalnay ki zaroorat hay?

Answer: Hanafi laRka ho ya shafa’ee laRki ho unn ka nikah bar wajhe shar’ee shar’ee taur par ho to yai jaaez o sahi hay aur bila wajh eshar’ee hanafi ko shaf’ee hona ya shaf’ee ko hanafi hona yai jaaeznahi hay.

Page 11: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

10

Download

Question 18: Kya islam ki roo say khawateen ko khaas dinoN mainkhaas dinoN main ghusl karna ghar k achar main harh dalna yaThanDi cheez khana mana hay ?

Answer: Bilkul islam ki roo say koi baat mana’ nahi hay agar uss koghusl karnay ki hajat hay maslan sakht garmi hay ya aur koi wajah hayaur wo ghusl kar sakti hay aur jab tak uss k wo ayyaam jari hain ussghusl ki bina par uss ko namaz waghaira nawafil tilawat e QURAN ekareem ko choona yai jaaez nahi ho ga aur achaar main aur thandicheez khanay main koi harj nahi hay lagta hay k awam main kuch logaisay hain jo yai samajhtay hain k ayyaam ki wajah say uss ki najasatuss k haath main aa gaee yai batil aur ghalat khyal hay hazrat eAYESHA Radi ALLAHu Tabarka wa Ta’ala Anha Huzoor nay Huzoormasjid main tashreef farma thay huzoor nay kuch talab kia unhon naykaha main haaez hooN. Farmaya "tumhara haiz tumharay haath mainnahi hay" aur bhi ahadees say saabit hay k huzoor masjid e nabvitashreef rakhtay aur apna sarr hujra e AYESHA main kar daitay aurhazrat e AYESHA sarr e mubarak main kanghi waghaira karteeN aurwo ayyaam say hoteeN yai ghalat aur bayhooda khyaal hay aur thandicheez khana iss bina par k period jari hay uss saymumaane’at nahi ho sakti albatta thandi cheez kisi wajah say uss komuzir hoti hay khas wajah say to uss waqt yai wajah hay k wo parhaizkaray laikin mehez iss bina par k ayyaam jari hain inn baatoN say ussko mumaane’at nahi ho sakti.

Download

Question 19: Kya naa paaki ki haalat main masjid jana kufr hay auragar majboori hay to b wohi hukm hay. Aksar masjid ko ALLAH kaghar kehtay hain aisa kehna kaisa hay?

Answer: ALLAH ka ghar kehna masjid ko jaaez hay aur khud ALLAHtabaraka wa ta’alaa nay masjidon ko farmaya

[Surah al Jinn, Part of Verse 18]

k masjidain ALLAH ka ghar hain aur ka’aba b masjid e haraam hayaur wo masjid hay uss ko khud ALLAH nay farmaya

Page 12: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

11

[Surah Aal Imran, Part of Verse 96]

sab say pehla k logon k liay rakha gya yai wo hay jo makkay main haybarkat wala aur hazrat e ibrahim aur ismaaeel say farmaya

[Surah al Baqarah, Part of Verse125]

meray ghar ko tawaf aur ruku’ o sajood karnay walon k liay paakrakho.

Aur naapaaki ki halat main masjid jana naa jaaez o haraam hay agaruss par ghusl e janabat hay to masjid main aanaa uss ko wo jo kmauze Salat k liay muqarrarr hay uss main uss ko jana naa jaaez oharama hay kufr nahi hay albatta haram ko ko halal jaan kar k uss kairtikab karay yai bay shakk kufr hay laikin yai musalman say yaiguman nahi kia jaa sakta k wo haram ko halal jaan kar uss ka irtikaabkaray ga.

Download

Question 20: Agar Fajar ki sunnatain parhnay ka waqt na milay tokya qaza paRhay ga aur agar paRhay ga to kabb parhay ga?

Answer: Zawaal say pehlay pehlay takk imam e muhammad nayfarmaya k zuhwa e kubra k jis waqt koi namaz jaaez nahi hay uss saypehlay pehlay tuloo e aftab aftab buland honay k baad zahwa e kubratak paRh lay.

Download

Question 21: Jadoo karnay walay ki tauba kya qabool ho jayai gi jaadoseher aur aasaib kya hay kya yai sabb alag cheezaiN haiN aur inn kihaqeeqat kya hay?

Answer: Jadoo aur seher to aik hi cheez hay aur aasaib JINN kokehtay hain aur jadoo karna yai haraam hay aur baaz halaat mainjadoo kufr hay aur uss ka karnay wala agar aitiqaad k saath jokalimaat uss main paRhay jatay haiN unn ka aitiqaad rakh kar kpaRhay kya jo kalimaat k maloom hain k yai kuffaar o mushrikeen kkalimaat hain unn sabb ko samajh kar ada karta hay paRhta hay topaRhnay walay par tauba aur tajdeed e iman laazim hay aur agar

Page 13: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

12

shyaateen say iste’aanat ya kufri kalimaat nahi bolay kisi aur taur parjadoo kia to b yai haram hay k iss main izraar nuqsaan pohanchanaaur khalq ko bay jaa taur par eezaa daina hay jo bajayai khud haraamhay aur tauba harr gunag gaar maqbool hay jabb k tauba e saheehakaray aur tauba e saheeha yai hay k apnay gunah par naadim ho auraainda k liay uss ka Azm ho k gunah nahi karay ga aur gunah parfarhaaN aur shaadaaN na ho .

Download

Question 22: Hazrat nay kaee martaba farmaya k badmazhab kibadmazhabi hadd e kufr takk pohanch jayai to ya hadd e kufr kkyahay, iss ki kuch rafseel say wazahat farma dain ?

Answer: Hadd e Kufr ki tafseel kya batayi jayai badmazhabi hadd ekufr takk pohanchnay ka matlab yai hay k jo baataiN zarooriyaat edeen say haiN k harr khaas o aam b janta hay k yai musalmanoNdeen ki baatain hain unn main say agar kisi aik ka inkaar karay yaALLAH aur RASOOL ki tauheen ka sareeh taur par murtakib ho isstaur par ya koi fael aisa jo munaafi e islam o iman hay uss say sarrzadd ho to yai sabb soorataiN badmazhabi hadd e kufr takpohanchnay ki haiN.

Download

Question 23: Majmoo’a e A’amaal e raza shareef main seher jadoo yaaasaib ka asar kia par hay ya nahi uss ki babat kuch naam k ya din ka’adaad nikaalnay ki tarkeeb likhi hay iss ki kya haqeeqat hay aur kyanaam aur huroof main b asar hota hay?

Answer:  Jabb  majmoo’a  e  a’amaal  e  raza  main  likha  gya  hay  tohaqeeqat poochnay ka kya matlba hua yai hamaray bazurgon ka’amaal hain jo mashaaekh e sadat e marehra say chalay aa rahayhain aur unn main unn k bazurgon say ghaus e azam say aur ghaus eazam k ooper doosray bazurgon say wo a’amaal chalay aa rahay hainuss ki haqeeqat to issi say roshan hay aur yai baat to khud saael kosochna chahiyai k majmoo’a e a’amaal e raza main koi aisi baat tonahi likhi jayai gi kau jiss ki koi haqeeqat na aur bazurgan e deen kamamool na ho jo bazurgaan e deen ka mamool hay zaroor uss kihaqeeqat hay aur zaroor wo baa’es e barkat hay aur uss main taseermohtaat hay aur mujjarrab hay buzurgaan e deen nay wo amal kia

Page 14: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

13

hay yai hi hamaray liay kaafi hay.

Download

Question 24: Mehwish, mehnaaz aur shumaila yai naam rakhnaykaisay hain aur inn ka matlab b irshad farma dain?

Answer: Mehwish meh maan’e chand k hain aur wish ma’ane munh khain aur mehnaz main pehlay hissay ka ma’ana maloom hain aur naazhusn ko husn ki makhsoos adaa ko ya fakhar ko naaz kaha jata haydono naam ka  ma’naa  hay  shumaila  yai  naam  main  nay  nahisuna aur mujhay iss ma’na main koi ma’naviyyat bhi nahi nazar aati.

Download

Question 25: Aisay school main bachon ko parhana kaisa hay jahandin ki ibtidaa hindu’oN k bhajan ya christians ki prayers say hota ho?

Answer: Hukm e asali wohi hay aisay schoolon main bachon kobhaijna sakht muzir hay aur khaas taur say uss ki ijazat hukm e asli kaitebaar say maloom nahi hoti wahan bhejna hukm asli k aitibaar saymana’  hay  khas  taur  say  uss  waqt  bachon  ka  jana  aur  bachon  kobhejna yai sakht haraam na sirf haraam balkay yai kufr anjam hay aurbachon k sar parast aur guardian agar unn ko maloom hay aur wo usswaqt main unn ko bhaijtay hain to ilzam unn par hay unn par taubalazim hay aur agar rasmi uloom k liay dunyavi taleem k liay zarooratya hajat hay to iss baat ka lehaaz ashad zaroori hay k uss waqt mainbachon ko na bhaijain jab wahan unn ki prayer hoti hay ya bhajanhota hay uss waqt pay bachon ko door rakhain .

Download

Question 26: Koi imam agar deobandi ya wahabi ka zabeeha khata hoya zabeeha ki parwah na karta ho to aisay imam k peechay namazparhna chahiyai ya nahi?

Answer: Agar yai sabit aur mushtahar hay to wo laaeq e imamat naihhay.

Page 15: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

14

Download

Question 27: Agar koi shakhs dubai ya jaddah aayai aur wahan saydirect madina shareef chala jayai phir wahan say makka shareefaanay ka irada ho to ussay ihraam dubai say baandhna ho ga yamadina shareef say?

Answer: Nahin iss soorat mein Dubai se Ehram baandhnay kiZaroorat nahin hay. Balkay jub Madina Sharif se chalega MakkahSharif k Iraday se tou Madina Sharif ka jo Meeqat hay wahan se woEhram baadh kar k chalay.

Arz: Aisa bhi ho jata hay k mu'allim Jeddah se direct Madina Sharifjanay nahin detay tou agar kisi ne Dubai se Ehram na pehna ho touJeddah se Ehram bandh sakta hay?

Irshaad: Baandh sakta hay.

Download

Question 28: Kya aik miswaak say aik, do ya zayed log istemaal karsaktay hain?

Answer: Iss main koi harj maloom nahi hota.

Download

Question 29: Kya Aurat apnay baalon ka joora bandh kar namaz parhsakti hay?

Answer: Parh sakti hay.

Download

Question 30: Shab e Me’raaj shabe bara’at auraton ko apnay ghar saynikal kar kisi aur k gharr jaa kar mehfil karna kaisa hay?

Page 16: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

15

Answer: Iss ki kya zaroorat hay auraton ko iss maqsad k liay ghar saynikalnay ki ijazat shara’an maloom nahi hoti.

Download

Question 31: Jab hum wuzu kartay hain to aik hissa ham 4 5 ya 6martaba wash kar saktay hain ya phir sirf 3 martaba hi dhonachahiyai?

Answer: 3 martaba dhona sunnat e moa’kkidah hay aur 3 martaba sayzayed paani bahana baghair kisi niyyat e sareeha k yai israaf o bay jaahay .

Download

Question 32: Can we buy things by bidding?

Answer: No objection to this .

Download

Question 33: Can we buy shares from a govt or a private company?

Answer: Share main aksar baishtar yai hota hay k jitney per share liagya lainay k baad uss ki wo qeemat nahi rehti balkay kamm ho jatihay lehaza iss soorat main share laina mumaasilat bil maal aur apnayaap ko zarar pohanchaana hay

[Ad-Durr al Mukhtar, Vol 7, Page 165]

shariat ka qaaedah yai hay kay na khud ko zarrar pohanchao nadoosray ko zarrar do lehaza aam haalaat main iss ki ijazat nahi hay.

Download

Question 34: What is the ruling for life insurance and life insurance?

Answer: I have just declared the ruling regarding this issue I repeat it

Page 17: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

16

is not legitimate if it is unavoidable if it is unavoidable it must beavoided.

Download

Question 35: Nafli roza baghair sehri k rakh saktay hain kya?

Answer: Baghair sehri rakhnay ki kya wajah hay sehri sunnat haylehaza jo sunnat ka tark yai moojib e isaat hay aur agar iss ki aadathay to yai gunah hay.

Download

Question 36: Larka USA main hay aur larki karachi main hay hammchahtay hain unn ka nikah ho jayai  iss ka shara’ee tareeqa inayatfarmaa dain?

Answer: Shara’ee tareeqa yehi hi hay k laRki kisi ko wakeel karay auruss ko ijazat day kay wo uss ka nikah shara’ee taur par uss laRkay saykar day jis say wo nikah karna chahti hay iss say wo majlis e aqd mainyai kahay k falaN bint e FalaaN nay falaaN aurat ya falaaN laRkifalaaN ki baiTi uss nay mujhay wakeel banaya hay k uss ka nikah mainunn say kar dooN wo qabool karay aur yai kahay k main nikah kartahoon main nay nikah kia itnay meher par ilawa naan nafqay k to woqabool karay iss soorat main aur wakeel ki taraf say eejaab aurdoolhay ki taraf say qabool paya jayai ga majlis e aqd maiN jo log hainwo gawah ho jayaiN gae to yai nikah ho jayai ga .

Download

Question 37: Hamari masjid main fajar asar aur ishaa ki namaz mainimam sahib aagay ki aik saff chor daitay hain kya iss say namaz mainkoi farq aataa hay?

Answer: Namaz main iss say koi farq nahi aataa.

Download

Page 18: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

17

Question 38: Rozay ki haalat main haraam kaam karnay say rozamakrooh ho jata hay to kya daaRhi shave karnay say bhi rozamakrooh ho jayai ga ya toot jayai ga ?

Answer: tootay ga nahi albatta rozay main karahat ho gi .

Download

Question 39: Fateha parhnay ka baad jo shereeni waghaira hazir hotihay kya uss pay phoonkna chahiyai ya nahi?

Answer: Phoonknay ki kya wajah hay agar fateha uss par parh di gaeeto wo tabbarruk hay agar uss par shifa waghaira ka damm kar k ussko khana chahta hay to aayaat e shifa ya durud e shifa parh kar k usspay damm kia ya phoonka to haraj b koi nahin.

Download

Question 40: Sonay ya chandi k frame ka chashma pehn’na mard kliay jaaez hay?

Answer: Frame k silsilay main Fatawaa Razvia main kuch tafseel haywo iss waqt mujhay mustehzar nahi hay wahan say maloom ki jaye.

Download

Question 41: Kya zakat ya fitray ki raqam say iftar karna theek hayaur sadat k liay uss ka kya hukm hay ?

Answer: Zakat aur fitray ki raqam say agar aftar ka saman khareedagya to zaroori hay k wo fuqaraa ko ba taur e tamleek dia jayai meheziss taur par khila daina jaisay mehman ko khila daitay hain uss mainkhanay ki cheez par khanay wala aadil aur mutasarrif aur maalik nahihota balkay ibahat hoti hay khilanay walay ki taraf say maizban kitaraf say k kitna saman rakha hay aap jitna khaa lain wo aap ka haybaaqi wo uss ki milk par hay iss taur par agar zakat aur fitray ki raqamsay samaan khareeda gya aur uss ko iss taur par khilaya gya to zakatadaa nahi hui aur iss soorat main yai maal jo yahan rakha hua haykhanay k liay jis par aftar kar rahay hain log uss main syed b hainghair e syed b hain ameer b hain aur ghareeb b hain yai maal e ziyafat

Page 19: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

18

hay jo uss maizban ki milk hay uss soorat main khana uss ka jaaez hayaur zakat uss par ba dastoor zakat o fitra uss par farz hay uss kiadaaegi jo maalik hay iss maal say zakat o fitra ada nahi ho ga auragar uss nay yai maal fuqraa e muslimeen ko ba taur tamleek day diak yai aap ka hay aap khaiyai ya lay jaiyai ya kuch kijiay to zakat ada hogaee ab raha k syed sahib ko iss main say khana jaaez hay ya nahi agarfuqraa e muslimeen nay sadat ko wo maal ba taur e hadiya paish kardia to unn ko uss ka laina aur khana jaaez hay aur uss ki asalhuzoor sarwar e alam sallallaho tabaraka wa ta’alaa alahie wasallamasay marwi wo hadees hay jo sahihain main bukhari aur muslim mayhay huzoor tashreef laayai aur khanay k liay kuch talab farmaya tohuzoor say arz kia gya k koi cheez aisi nahi hay jo huzoor k shayan hohuzoor k paish ki jaayai mazmoon hadees ka bata raha hooN alfazmujhay yaad nahi hain to bareera jo aik baandhi thi uss k liay kuchgosht sadqay ka aayaa tha kaha k yai gosht hay magar aap sadqay kamaal aur gosht waghaira tanawul nahi farmatay farmaya

[Sahih Bukhari, Kitab al-Sadaqah, Vol 6, Page 6]

"yai gosht uss k liay sadqay ka hay laikin bareeda nay jabb hamm koday dia to hamaray liay yai hadiya ho gya "tabaddul yad say hukmbadal jata hay wo gosht jab malik nay dia faqeer ko wo sadqay ka thaaur jabb faqeer nay uss ko hadia kar dia doosray ko to haath badal gyaaur ab hukm badal gya ab yai jaaez hay issi tafseer par agar fuqraa emuslimeen nay wo khana sadaat e kiram ko nazar kar dia to wo unnko jaaez hay warna nahin!

Download

Question 42: Please can i have ijazah to read Khatm-e-KhawajganSharif?

Answer: Khatme Qadrya ki Ijazat hay aur Khatme Khwajgan, ye kistaur par hota hay uska tareeqa zikr kar k bataen. Aur Khatm e Qadriyamein bhi jo Ghous-e-Azam Radi ALLAHu Ta'ala Anho k Asma Zikrkiye jatay hain uss mein kuch Asma Shan-e-Aqdas k Khilaf hain. Touunko na parrhain ya Asma na parrhain baqi jo tareeqa hay uss tourpar Khatm-e-Qadriya Parrhain.

Download

Page 20: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

19

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah

DUA

Moulana Mujeeb Ali Razvi Sahab Hyderabad INDIA (Khalifa eHuzur Mufti e Azam Wa Khalaifa e Huzur Taajushshariah) kiSahibzadi Sahiba ka kal 31 july ko Inteqal ho gaya hay. Unn keliye dua maghfirat ki Guzarish.Please can i have ijazah to read Khatm-e-Khawajgan Sharif?Mein Aalim banna chahta hun magar meray walidain nahinchatay. Mujhe koi Wazeefa taleem farmaen aur DUA farmaen kwo mujhe Ijazat de dein.Yahan UK mein Sunniyat k Haalat bohat Nazuk hay. Aaey dinkoi na koi Fitna darpesh rehta hay. Koi Aalim ya Peer SahibSubha Sunni hotay aur Shaam mein BudMazhabi wali koi baatkeh detay hain aur Awam ki kaseer tadaad unn k peechaygumrah ho jati hay. Hamaray liye DUA farmaen k ALLAHhamain Imtihan se bachaey aur hamain Iman k Salamati k sathiss Dunya se chutkara ata farmaey. Aur Hazrat se Guzarish hayapnay Qeemti Waqt mein se kch waqt nikal kar UK ka Daurafarmaen! JazakALLAHMera beta 8 mahine ka hai aur uske dil mai 2 hole (Surakh)hain. uske liye dua farma dein.shahzad aslam ur sheraz aslam ke business mey kher o barkatki dua farma dey.my father had an eye operation now he does not see properlyopertion not went gud plz give me wazifa and pray for myparents ashraf and zaitoon.Mai Huzoor Tajushshariah se bai'at hoo'n.Mujhe bukhar meBlood se platelets aur wbc kam hojane ki shikayat hai. Jismanihalat kamzor hai. Huzoor sehat ke Liye khususi dua farmae'n.Noor Fatima aur Muhammad Youns Sahib ki Sehatyabi k liyeDUA farma dein aur Younus Sahab k Karobar mein barkat k liyeDUA farma dein.

Bait

Shahzad AhmadHassan IlyasHamza IlyasFatima IlyasAamina ShoaibAbdur RaHman

Page 21: 112 sawaal 0 jawaab 01082010

www.tangali.net 8 augustus 2010

20

Taalib:

Waqaas UmmarAshraf DawoodHafsa IlyasShoaib Haroon